Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday 24 September 2017

ubaidullah ibn ziyad wiki

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم


Ubaidullah Ibn Ziyad daur e hukumat E Ameer Mauviya Radiallahu anhu me ye Basra ka Governor tha.
Jab Yazeed takht e badhshahat me betha aur ahle kufa ne Imam Muslim ibn Aqeel Radiallahu anhu kay haath me Sayyidna Imam Hussain ibn Ali Radiallahu anhu ki bayt e khilafat karli.
Us wakt Kufa kay Governor Hazrat Noman Bin Basheer Radiallahu anhu they aur makam e ahle bayt jaante the unhone naa to khul kay Imam Muslim bin Aqeel Radiallahu anhu ki tayeed ki aur naa hi unki mukhalifat.
Lihaja unhone Imam Muslim Bin Akeel Radiallahu Anhu ko nahi roka unhe apne kaam pe azaad rakha aur Imam Hussain Radiallahu anhu ki bayt lene di.
Yun to Ubaidullah ibn Ziyad ek chalak Siyasat daan tha aur awaam ko kaise dabaye rakhna hai ye baat bakhubi janta tha jab Yazeed ko khabar mili kay Imam Muslim bin Aqeel Radiallahu Anhu ne Kufa me Yazeed ki hukumat ka raddh kar diya aur Imam Muslim Ibn Aqeel Radiallahu Anhu Kay Haatho Imam Hussain Radiallahu Anhu ko apna khalifa chun liya tab

Yazeed kay sahayak (advisor) ne mashwara diya kay Ibn Marzana yaani Ubaidullah ibn Ziyad ko Basra se Kufa bhejo wo is halaat me Jor jabr julm o siyasat se Kufa sambhelega lihaza yehi huwa Hazrat Noman bin Bashir Radiallahu Anhu ko Yazeed ne majhool kar diya aur Ubaidullah ibn Ziyad ko  mukammal ekteyarat deke Kufa ka naya Governor banakar bheja kay.
Ubaidullah ibn Ziyad ne Basra ka Governor apne bhai Usman ibn Ziyad ko banaya aur khud farmaan e Yazid leke Kufa kay liye rawana huwa kay jo Yazeed ki bayt lo jo inkaar kare usse katl kardo jo aage hum dalail se dikhaynge.
Ubaidullah Ibn Ziyaad Pe Pahle Se Hi Khatra Tha Kay YE HAKIM BANEGA AUR GALAT KAREGA
Hadees :
Ubaidullah Ibn Ziyad, Hazrat Maiqil bin Yaseer Ki Bimari me Unki iyadat kay liye aaya Unka Haal Pucha Hazrat Maiqil bin Yaseer Kahne Lage Kay Me Tujhe Se Ek Hadees bayan Karta hoon Jo Mene Ab tak Bayan Nahi ki hai wo ye Kay Rasoolullah صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  Ne Farmaya ALLAH jise logo ka Hukmaran Banaata Hai Aur phir wo logo kay hukooq ki adaygi me kotahi karte huwe marta hai to ALLAH uspe Jannat haraam farma deta hai,
Ibn Ziyad Kahne Laga kya tum mujh se isse pahle ye hadees nahi bayan kar chuke yaa ye farmaya kay tujhe is se pahle ye hadees bayan nahi kar sakta.
References:
(Sahih Muslim, Pg : 87 - 88, Kitabul Imaan, Baab 62/63 : اسْتِحْقَاقِ الْوَالِي الْغَاشِّ لِرَعِيَّتِهِ النَّارَ  Hadees : 259, 260, 261, 262)
(Sahih Muslim, Kitabul Imara, Hadees : 4501)
Is hadees E Paak Se Kuch Khulase Kabil E Gaur Hai wo yeh kay Sahabi E Rasool صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم Hazrat Maqil bin Yaseer Radiallahu Anhu Ko is baat ka ilm Huzoor صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم Se Hasil tha kay Ye Shaks Ibn Ziyad pe aage kuch aisa khatra hai jo Isko Kuch Auhdha Power milte hai ye anzaam dega aur galat kar jayga issi wajah se usko pahle hi Maqil bin Yasir Ne is baat se aagah kiya tha kay Maamlaat me khayanat naa karna jab koi hukumati ekteyar mil jaaye.
Sochne ki baat hai kay ye farmaan Sahabi ne kisi aur se kyun naa bayan kiya aur Apne Aakhri ayyam me Ibn Ziyad ko hi kyun kaha ?
Hazrat Maqil bin Yasir Radiallahu Anhu Ka wisal 59 Hizri me Basra me huwa aur Ibn Ziyad 60 Hizri me Kufa Ka Governor bana aur wo sab kiya jis se isko aagah kiya gaya tha lekin iski badkismati apne amal se isne apni jahannam kharid li.
Imam Muslim ibn Aqeel Radiallahu Anhu kay saath Ubaidullah ibn Ziyad Ka Amal
Imam Ibn Jarir Tabari Tareekh E Tabari Me is talluk se likhte hai
“Ubaidullah Ibn Ziyad ne Hukm Diya Kay Isse Muslim ibn Aqeel Radiallahu Anhu ko Mahal kay Chath (Terrace) Me le Jaao Aur Buri tarah Sar ko Jism kay saath Niche gira do taaki haddiya Chakna chur hojaye,
Jaalim Ibn Ziyad ne Buqair ibn Hamran Asadi ko bulaya Jab woh aaya to usse hukm diya ki Kotte pe jaa kar iska sar kalam kar do,
Imam Muslim Ibn Aqeel Radiallahu ko Kotte pe lekar chale to Aap nihayat sabr sukoon kay saath Takbeer, Istegfar aur durood sharif padh rahe they aur saath ye bhi kah rahe they YA ALLAH IS KAUM AUR HAMARE DARMIYAN BAS TU HI FAISLA FARMA JISNE HUM DHOKA DIYA, JHUTHLAYA Aur Jalil kiya, Iske baad Jallado ne aapko shaheed kar diya aur Sir kay saath jism e aqdas ko Mahel ki Chatth(Terrace) se niche fek diya”
References :
(Imam Ibn Jarir Tarikh E Tabari Vol : 04, Pg : 68)
(Imam Ibn Aseer Tarikh E Kamil Vol : 03, Pg : 398)
(Hafeez ibn Kathir Al Bidaya Wa Nihaya Vol : 05, Pg : 660)
(Imam Abdul Rehman Ibn Jawzi Al Muntazam Fi Tarikh Al Mulook, baab : Zikr e bayt e Yazeed ibn Mauviya, Vol : 05, Pg : 362)
Ye Waqya 03 Zil Hizza San 60 Hizri ka hai.
Agar Ubaidullah ibn Ziyad ko Yazeed ye sabke liye naa bhejta to usne Imam Muslim ki Shahadat kay Waqt hi Ibn Ziyad pe koi karwayi kyun naa ki ? Kyuki Yazeed Khud ye chahta tha kay jo uske hukumat kay bich aayega wo usko Khatm karega.
Ye tha Ubaidullah ibn Ziyad ka kirdar ab yahan wo puri dastan likhna munasib nahi hai iske liye Mufti Jalalludin Amzadi Rahmatullah Alaih ki kitab KHUTBAAT E MUHARRAM ka muttala karen.
Ubaidullah Ibn Ziyad Ka Amal Sar E Aqdas E Maula Hussain Radiallahu Anhu Kay Saath
Hadees :  
Hazrat Anas bin Malik Radiallahu anhu Se Marvi Hai Farmate Hai Sar E Aqdas E Hussain Ko Ubaidullah ibn Ziyad Kay Saamne ek tasht (tray) me rakh kay laya gaya Us badbakt ibn Ziyad ke haath me ek Chaddi (Stick) thi jisko wo Imam Hussain Ki Naak Me Aur Haseen Chahre Pe Maarta aur Us Haseen Chahre kay baare me kuch kehta,
Ye Sab Dekh Kay Hazrat Anas bin Malik Radiallahu Anhu tadap gaye aur us badbakt ko tambeeh karte huwe kaha ALLAH KI KASAM Imam Hussain Rasoolullah
صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم Kay Sabse zyada mushabah the.
References :
(Sahi Bukhari Kitab ul Manakib E Sahaba, Baab : Manakib E Hasan Wal Hussain رضي الله عنهما , Pg : 921, Hadees : 3748)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 3778) Scan Page

Sahih Bukhari Hadees 3738
Ye hadees Bukhari ki hai din raat bukhari chillane waale kyun nahi dikhate ye rivayat awaam ko is hadees me to itna hai lekin Isko Dusre Sahabi Hazrat Zaid bin Arqam Radiallahu anhu se bhi rivayat hai wo bhi us waqt Kufa me hi the jisko Imam Ibn Jarir Tabri ne Tarikh E Tabri me naql kiya hai
“Sahabi E Rasool Zaid Bin Arqam Radiallahu Anhu Jo Us Waqt wahan Mauzood the unse woh gustakhi kaa dekhi gayi tadap uthe aur rote huwe kaha AYE IBN MARZANA CHADI HATA LE Khuda ki kasam Maine Apni aankho Se Rasoolullah صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم Ko Dekha Hai ki Aap is chahre ko danto ko chuma karte the,
Ye Kah Kar Beikhteyar Rone Lage,
Ye Dekh Kay Ibn Ziyad ne Kaha Khuda Tujhe Khoob Rulaye Agar Tu Bhuda naa Hota Aut Teri Aql Kharab naa Hoti to mai teri issi waqt gardan maar deta, Hazrat Zaid Wahan Se Uthe Aur ye kahke chale gaye kay Aye Logo Aaj Se Tum Gulam bana Liye gaye , Kyuki tum logo ne Hazrat Fatima Kay Lakht E Zigar ko qatl aur Ibn Marzana kay bete ko apna hakim bana liya hai jo tumhare nek logo ko qatl kar raha hai aur tumhare bure logo ko gulam bana raha hai.
References :
(Imam Ibn Jarir Tabrik , Tarikh E Tabari Vol : 05, pg : 281)
(Imam Ibn Aseer, Tarikh Ibn Aseer Al Kamil Vol : 04, Pg : 33)
(Hafiz Ibn Kathir, Al Badaya Wan Nahaya Vol : 08, Pg : 190)
(Imam Haythami Sawaiq E Muharika Pg : 196)
Ye Amal tha Yazeed kay Hukm pe Governor banke aaye Ubaidullah Ibn Ziyad ka ab koi kahe kay In tamam mamlaat kay piche Yazeed ka hukm naa tha to kitni khayanat hai ye agar Yazeed ka haath naa tha to baad waqya e karbala Yazeed ne Imam Hussain ibn Ali Radiallahu Anhu ki shahadat kay jimmedaro kay khilaf koi karwayi kyun naa ki ?
Unhe Aazad kyun chod rakha ?

Ubaydullah Ibn Ziyad Ka Kabool Naama Usne Jo Kuch Kiya Hai Wo Yazeed kay Farmaan Pe Kiya Hai
Aqsar Wahabi Nasbi Ghair Muqallid logo ko aapne dekha hoga jab wo Yazeed ko bacha Nahi paate wo ye kahke bachane me lag jaate hai Kay Imam Hussain Ibn Ali Aur Unke Ashaab ko Shaheed Yazeed ne to nahi kiya ye jo kuch huwa hai Wo Ibn Ziyad ne kiya hai Yazeed iska Jimmedar nahi wo to Sham me tha.  
Wahabiyo Kay Nazdeek bade Motebar Hafiz Ibn Kathir likhte hai
“Yazeed ne Ibn Ziyad Ko Hukm Diya Tha jab tum Kufa pahuch Jaana to Muslim Ibn Aqeel Ko Qatl kar Dena”
(Al Bidayah Wan Nihaya Vol : 08, Pg : 152)
Imam Jalaludin Suyuti Naql Karte hai
“Yazeed Ibn Mauwiya Ne Apne Hukmaran Ubaydullah ibn Ziyad ko Imam Hussain Ibn Ali Kay Qatl ka Farmaan likha tha”
(Tarikhul Khulfa Pg : 125)
Abi Hanifah Ahmad Ibn Dawood Dinwari ne Apni Kitab me Naql kiya hai
“Ubaydullah ibn  Ziyad Kahta Hai Maine Hussain ko Qatl kiya kay unhone Hamare Imam Yazeed kay khilaf bagawat ki aur Mere Imam Yazeed ne mujhe Paigam bheja kay Hussain ko qatl karo, to agar Hussain ka qatl karna Gunaah hai to iska Jimmedar Yazeed hai”
(Al Akhbar Al Tawaal Pg : 278-279)
Ubaidullah Ibn Ziyad Ka Dardnaak Anzaam
Sinn 67 Hizri me Abu Ubaid Mukhtar Saqafi ne Ibrahim bin Malik Ashtar Ko Ibn Ziyad kay Mukable Fauz Dekhe Mosul rawana kiya jahan Ibn Ziyad ki shikast huwi aur isko Nahr E Furat Kay pass 10 Muharram 67 Hizri me mara gaya aur sar tan se juda kar Kufa Me Mukhtar Saqafi kay pass bheja gaya Muqhtar ne Koofa Darul Imarat Sazaya aur iske sar ko numaish kay taur pe manzaar e aam pe rakh diya phir kya huwa Yazeedio Tumhare baap ka anzaam
Hadees :
عَنْ عُمَارَةَ بْنِ عُمَيْرٍ، قَالَ لَمَّا جِيءَ بِرَأْسِ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ زِيَادٍ وَأَصْحَابِهِ نُضِّدَتْ فِي الْمَسْجِدِ فِي الرَّحَبَةِ فَانْتَهَيْتُ إِلَيْهِمْ وَهُمْ يَقُولُونَ قَدْ جَاءَتْ قَدْ جَاءَتْ ‏.‏ فَإِذَا حَيَّةٌ قَدْ جَاءَتْ تَخَلَّلُ الرُّءُوسَ حَتَّى دَخَلَتْ فِي مَنْخَرَىْ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ زِيَادٍ فَمَكَثَتْ هُنَيْهَةً ثُمَّ خَرَجَتْ فَذَهَبَتْ حَتَّى تَغَيَّبَتْ ثُمَّ قَالُوا قَدْ جَاءَتْ قَدْ جَاءَتْ ‏.‏ فَفَعَلَتْ ذَلِكَ مَرَّتَيْنِ أَوْ ثَلاَثًا
Umarah bin Umair Farmate Hai Jab Ubaidullah ibn Ziyad Aur  Uske Saathiyo ka sar Koofa Kay Masjid Ar Rahbah kay pass rakha gaya,
To Mai wahan aaya aur dekha log kah rahe hai Wo Aagaya hai  Wo Aagaya Hai, Ek Bada Saanp Namudar Huwa jiski haibat se log darr gaye,
Wo Tamam Sar Kay Pass phira aur Jab Ubaidullah Ibn Ziyad kay sar kay pass pahucha to Uske Nathune me ghus gaya aur thodi der baad uske mooh se nikla, Aur Aisa Usne 03 baar kiya aur gayab hogaya”

References :
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib Baab : Manakib E Hasan Wa Hussain ibn Ali ibn Abu Talib, Pg : 854, Hadees : 3780)
هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏
Imam Tirmizi Ne Farmaya ye  Hadees Hasan Sahi Hai.
Scan page 



Iski Shara me Mubarakpuri Likhte hai  
“Ubaidullah ibn Ziyad ne Apni Chadi Imam Hussain Kay Chahre Me maari Aur unke Mubarak Chahre kay talluk se galat baat kahi ALLAH Taala Ne Usko Is Dunya Me Saza Di taaki log dekhe Aur Saanp Din baar uske naak kay raate jaata aur aata”
(Abdur Rehman Mubarakpuri Tuhfatul Awadhi Shara E TIrmizi Vol : 04, Pg :342)

Aise Anzaam kay baad bhi Yazeedi Wahabi Agar aise logo ka difa karte hai to iska ilaaz kuch nahi,
Yazeed ne waqya e karbala kay pahle kya kuch kiya hai wo bhi ek alag article me hum likhnege Yazeed kay kaale karname jisme usne Waqya E karbala kay pahle jo kiya, baad me kya kya kiya hai In Sha Allah Taala Authentic references kay saath. Keep Remember Us at your Prayer Post by Sher Ali Hanfi

1 comment:

  1. AS SALAAMU ALAIKUM WA REHMATULLAHI WA BARKATU.
    BAHUT KHUB PAR HAZRAT JO REFRENCES AAPNE DIYE HAI USPE BHI AGAR SCANS HOTA TO AUR ACHACH HOTA,
    JAZAKALLAH JAZAKALLAH JAZAKALLAH KHAIR

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers