Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday, 24 September 2017

Hadis about Yazeed aur Ameerul Momineen Kahne Pe 20 kode


بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
TOPIC :
Yazeed Ibn Mauviya Aur Hadees E Paak
Yazeed Ko Ameerul Momineen kahne Waalo Ko Saza

Yazeed ibn Mauviya jiski Kunniyat ABU KHALID aur BANU UMMAYA khandaan ka ek badhbakt insaan jiske haath Nawas E Rasool صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  Aur Khandaan E Ahle Bayt kay khoon se range hai ek aisa daag iske peshani pe laga hai jo kabhi mit nahi sakta har daur me Musalman ispe lanaat hi karte aaye hai aur to aur maine aise western oreintalist ko bhi padha hai jo din raat Islam kay khilaf hi mansooba bandi karte hai lekin jab baat Aayi karbala ki to wo bhi tamam jhooth likhne waale bhi Sadaqat Aur Sabr ko maan gaye lekin ab kuch aise firqe aagaye hai jo Yazeed Ibn Mauviya ko Radiallahu Anhu aur bada nek paak kahne lage aur khulke saamne aachuke hai Ahle Hadees Salafi Wahabi Firqa to openly saamne aata hai aur unhone to Yazeed ki Fazilat pe kayi kitab bhi likhi hai dusri taraf hai Deobandi Firqa wo halaat aur awaam dekh kay baat karte hai jab unhe lagta hai sab apne log hai to wo Yazeed ki tarif me lag jaate hai par jab dekhte hai kay Mazme me Shaheed E Aazam Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu se aqeedat rakhne waale log hai to wo aur unka firqa Yazeed ki mazzamat karne lagta hai,
Kul mila kay awaam ko mukammal taur pe Khandan E Rasool Ahly Bayt E Mustafa Se Dur karne ka ek pura mansooba hai.
Allah Aise logo ki munafikat se hum sabki hifazat kare. Ye Unwaan hai Yazeed Ibn Mauviya Aur Hadees E Paak yahan hum kuch hadees e paak likhnege jo Yazeed ibn Mauviya kay liye aayi hai jo padhke aap khud kahoge kay ye shakhs aur iske pairokar kabhi haq parast ho nahi sakte.

KYA YAZEED SAHABI THA ? Aqsar kuch khud ko padhe likhe kahne waale Wahabi Yazeed ki muhabbat me aur apne jahil aalim jo unke naqdeek Aalim maane jaate hai unko sunke ye kahte milte hai Yazeed Sahabi tha Sahabi ko bura nahi kahna chahye asal me ye dhoka diya jaata hai awaam ko ek naam aur ek hi khandaan hone ki wajah se. Yazeed paida huwa hai 25 Hizri ko yaani us daur me Jab Khilafat Hazrat Usmaan E Gani Radiallahu Anhu ka daur e khalifat tha to wo sahabi to hi nahi sakta. Ek hi naam se jhuta propoganda kiya gaya chunki Hazrat Abu Sufiyan Radiallahu Anhu kay bete Yazeed ibn Abu Sufiyan they jo Shaam Syria kay Governor banaye gaye they aur ek jalilul qadr Sahabi they jinhone Roman Empire se jung ki thi. Ab khandaan Ek hi tha to kuch imaan choro ne same naam hone ki wajah se Yazeed ibn Mauviya ko hi sahabi kahna shuru kar diya chunki Yazeed ibn Abu Sufyan Radiallahu Anhu rishte me Yazeed ibn Mauviya kay chacha they to naam aur khandaan ek jaisa dekh kay Wahabi Ulema ne khayanat kar Yazeed ko hi sahabi kahna shuru kar diya taaki Yazeed ko bachaya jaa sake par chor ki chori pakdi jaati hai.   YAZEED AUR HADEES E PAAK #Hadith_about_Yazeed Hadees 01 : Imam Bukhari Wa Imam Muslim Kay Ustaad Imam ibn Abi Shayba (Al Mutwaffa 235 Hizri) hadees rivayat karte hain. “Hazrat Abu Zarr Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai unhone Nabi E Karim صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم Se Suna MERI SUNNAT KA SABSE PAHLE BADALNE WAALA SHAKSH BANU UMMAYA KA EK SHAKSH HOGA” References : (Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Baab : Awwalo Man Faa’lahu, Vol : 02, Pg : 260, Hadees : 35877) Imam Ibn Abi Shayba Kahte Hai ye hadees Hasan Hai (Imam Bayhaqi Dalail Un Nabuwwah Vol : 06, Pg : 466) (Imam Ibn Adi Al Kamil Fi Vol : 03, Pg : 21024) (Imam Ibn Hajar Asqalani Matalib Ul Aaliya Hadees : 4462) (Hafiz Ibn Kathir Al Bidaya Wa Nihaya Vo l: 08, Pg : 221) Is hadees me itna aaya kay Banu Ummaya ka Shaks hoga jo Sunnat ko sabse pahle badlega ab wo Banu Ummaya ka shaksh kon hai ? Uska saaf saboot ab Dusri hadees me milta hai.

Hadees  02 : Muhaddis Imam Abu Yaala Al Musli (Al Mutwaffa 307 Hizri) hadees naql krte hai “Abu Ubaidah Se Marvi Hai Nabi E Karim صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم Ne Farmaya MERI UMMAT HAMESHA INSAAF PAR KAYAM RAHEGI YAHAN TAK KAY USME RUKHNA DAALNE WAALA SABSE PAHLA AADMI BANU UMMAYA KA HOGA JISKO YAZEED kaha jayega” References : (Musnad Abu Yaala Vol : 02, Pg : 176, Hadees : 871) Imam Abu Yaala Likhte Hai iske Tamam Ravi Siqah hai. (Imam Daylami Musnad ul Firdaws Vol :  05, Pg : 52) (Imam Ibn Bazzar Musnad Al Bazzar Vol 01, Hadees : 1619) (Imam Haythami As Sawaiqe Muharriqa Pg : 314) (Imam Ali Ibn Abu Baqr Al Haythami Mazma uz Zawaid, Vol : 05, Pg : 241) (Imam Ibn Hajar Asqalani Lisanul Mizaan Vol : 08, Pg : 560, Hadees : 8594) (Hafiz Ibn Kathir Al Bidaya Wa Nihaya Vol : 08, Pg : 231) (Shah Waliullah Muhaddis Dahelvi Hujjatul Baligh Vol : 02 , pg : 330) (Imam Jalaludin Suyuti Tarikh Ul Khulafa Pg : 300) (Imam Ibn Asaqir Tarikh E Damishq Vol : 06, Pg : 249 -250)
Issi tarah ki hadees Imam Ruyani (Al Mutwaffa 307 Hizri)Al Musnad me naql karte hai Hadees 03 : Hazrat Abu Darda Radi Allahu Anhu Se Marvi hai Nabi E Karim صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم ko farmate huwe Suna MERI SUNNAT KA PAHLA BADALNE WAALA BANI UMMAYA KA EK SHAKHS HOGA JISKA NAAM YAZEED HOGA” Reference : (Imam Jalaludin Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 305) In dono hadees se maloom huwa yahan baqayda naam kay saath aaya hai kay wo koi nahi YAZEED hoga ab koi shaksh Yazeed ki andhi aqeedat me gulu kare to hum jimmedar nahi uske.
YAZEED KO AMEERUL MOMINEEN RADIALLAHU ANHU KAHNE WAALO KO TOHFA : Ye hai fake Islamic  Scholor Dr. Zakir Naik Sahab aur Peace TV me aane waale Jalaludin Qasmi inki aadat hai jis masle kay baare me inko A B C bhi nhi pata wahan bhi apne farzi Chapter No Verse No Hadees No kay naam pe logo ko dhoka dete hai Yazeed ki fazilat me baat kahte hai kay wo Jannati hai Muslim leader they.

Is video ko jarur sune unke dalail aur Uska tehkeeki Jawab hai kis tarah Ummat ko Sirf Chapter No Verse No se dhoka diya jaata hai. Hadees e Qastuntunya pe hamara research paper padh sakte ho CLICK HERE - HADEES E QASTUNTUNYA AUR YAZEED Dusre bade bhai Deobadi Firqa jo Tareek Jamil jiski tableeg karte hai unka bhi maukuf kya hai
Ye rahi wo fatwe ki link unki hi website se maine li hai http://www.darulifta-deoband.com/home/en/Others/6134 “Azeeb Teri Siyasat Azeeb Tera Nizaam Yazeed Se bhi Muhabbat Hussain ko Bhi Salam”
YAZEED KO AMEERUL MOMINEEN KAHNE WAALE KO KODE MAARNE KI SAZA : Hazrat Umar ibn Abdul Azizi (Wiladat 63 Hizri - 108 Hizri) aapka talluk bhi ussi khandaan e banu Ummaya Se tha jahan se Yazeed huwa lekin uske baad bhi aap Yazeed paleed se sakht nafrat karte they aur Aap Ahly Bayt kay muhib aur Imam Moosa Kazim Radiallahu Anhu kay aqeedat mand they. Aapke Daur e khilafat ko Khilfat E Rasheeda tak aimma kahte hai issi se aapke Taqwe, Fazl Wa kamal ka andaza lagaya jaa sakta hai yahan tak kay aapko Umar II bhi kaha jaata hai
Hazrat Umar Ibn Abdul Aziz Rahmatullah Alaih kay Saamne ek Yazeed Se Aqeedat rakhne waale shaks ko kya haal huwa padhe Naufayl ibn Abi Al Furaat be Kaha Mai Hazrat Umar ibn Abdul Aziz Rahmatullah Alaih kay paas tha EK SHAKHS Ne Yazeed ko Ameerul Momineen Kaha to Hazrat Umar Ibn Abdul Aziz Ne Farmaya YAZEED ko Ameerul Momineen kahte Ho ? Phir Unhone Us Shaks Ko Bees 20 Kode (20 Hunters) Maarne ka Hukm Diya”
References : (Imam Zahbi Tahzibul Kamaal Vol : 10, Pg : 100, Rizaal No : 7823) (Imam  Ibn Hajar Asqalani Lisan Al Mizaan Vol :0, Pg : 507) (Imam Tahzeebut Tahzeeb Lil Ibn Hajar Vol : 11, Pg : 361) Is rivayat pe ehtejaaj karke Iski sanad ko bilkul sahih maana hai. (Imam Ibn Hajar Al Makki Haythami As Sawaiq Al Muharriqa Pg : 132) (Imam Jalaludin Suyuti Tareekhul Khulfa Pg : 301) Imam Ibn Asakir Tarikh E Damishq me iske Raavi Naufal ibn Abi Furaat kay baare me likhte hai “YE SHAAM (Syria) Me Umar ibn Abdul Aziz Ki taraf se Munshi They, Muhadiseen kay nazdeeq Mamoon they” (Imam Ibn Asakir Tarikh E Damishque Vol : 06, Pg : 292) Ye tha Aslaaf aur Buzurgo ka amal kay koi Yazeed ko unke saamne Ameerul Momineen Kah de to usko 20 Hunters maar khani pad rhi hai agar Aaj Umar ibn Abdul Aziz Rahmatullah Alaih jaise Khalifa e Islam hote to Dr. Naik Aur deegar Wahabi Maulvio ko Yazeed ki tareef aur usko rahmatullah kahne kay jurm me 100 hunters jarur maarte.
Some Link Can Refer Similar to This Topics http://786sho.blogspot.in/2016/10/abu-hurrairah-ka-60-hizri-se-panah-mangna.html #hadith_about_Yazeed_ #Yazeed_Ko_Ameerul_Momineen_Kahne_Ki_Saza #Yazeed_Kya_Sahabi_Tha Remember Us At Your Prayer Post by Shaikh Sher Ali Hanfi

4 comments:

  1. Ye najdi munaafiq hai, ganda hai wALLAH..
    Jahannum pe naam is ka kundaa hai wALLAH..
    (Aala Hazrat)

    ReplyDelete
  2. Jazakumullah..u r doing...wonderful job..amy allah bless you..my brother.

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers