Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 13 October 2015

Fazail E Farooque E Aazam Radi Allahu Anhu

Fazail E Umar Ibn Khattab Radi Allahu Anhu
Fazail E Umar Farooque E Aazam Radi Allahu Anhu

Fazail E Hazrat Sayyidna Farooque E Aazam Radi Allaho Anho
Naam Wa Nasab : Khalifa E Duwam Naam Umar Ibn Khattab, Kunniyat Abul Hafas, Lakab Farooque E Aazam.
Walid Ka Naam Khattab Walida Ka Naam Antma jo Hisham ibn Mugeera Ki Beti Hai.
Aathwi 8th Pusht Me Aapka Sazra E Nasab Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسلم  Se Mil Jaata hai.
Waqya E Fil K 13 Saal baad aapki wiladat huwi Ailan E Nabuwat K Chatte Baras 27 Saal Ki Umr me Aapne Islam Huzoor Rehmat E Aalam ki Dua Se Kabool Kiya.
Hazrat Umar Makkah k  Ashraaf Wa Akabir Quraish Me The.
(Imam Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 183)

Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Mubarak Dua Hai Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Kaa Imaan
Jab Sahaba E Kiram Rizwanullahi Azmayeen Huzoor Nabi E Karim Se Arz Gujar Huwe k Ya Rasool Allah Aap Dua Farmade k ALLAH Islam Ko Kuwwat de, Us wakt me 02 Shaks Abu Jahel Aur Hazrat Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Makkah k Takatwar me Shumar Kiye jaate the us Wakt ALLAH k Nabi Ne Hazrat Umar aur Abu
Hadees 01:
“Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Dua Farmayi, Aye ALLAH Islam Ko Faukiyat De Abu Jahl bin Hisham YA Umar ibn Al Khattab k Jariye Se.
Pass Agle Roz ye Huwa K Hazrat Umar Ibn Khattab Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل  k pass aaye Aur Islaam Kabool kar liya”
Reference :
(Jamai Tirmizi Vol :03, Pg :363, Kitabul Manakib, Baab : Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ki Dua Se Umar Radi Allaho Anho Ka Islaam laana,  Hadees : 4047, English No : 3683)
(Jamai Tirmizi Vol :03, Pg :362, Kitabul Manakib, Baab : Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ki Dua Se Umar Radi Allaho Anho Ka Islaam laana,  Hadees : 4045, English No : 3681 Ye rivayat Hazrat ibn Umar Radi allaho Ahnho Se Hai Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees HASAN HAI) Hadees 02:
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Dua Farmayi, Aye ALLAH Islam Ko Umar Ibn Khattab k Jariye Se Kuwwat De”
Reference :
(Sunan Ibn Majah Vol :01, Pg :65 ,Kitabal Mukaddam,Hadees :110)
Hazrat Umar Radi Allaho Anho k Islam laane Ka Wakya Aksar logo ko pata hai k wo nikle to the Wo Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسل k taraf Talwar leke par jab unhe Maloom Huwa k Unki Bahen Aur Bahnoyi Ne Islam Kabool Kar Liya to gusse me unhe hi marne jaa pahuche aur bahnoyi ko maara bhi par Islam par Istekamat dekh dhang reh gaye.
Us Wakt Unki bahen Surah Taha ki tilawat kar rhi thi Umar k kaano me Jaise hi Tilawat E Kalam E Paak Gunji Dil badal gaya ab Umar k dil me Imaan aachuka tha unhone Quran ko waju kar padha aur fauran Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسل k pass jaa pahuche unke behnoyi ne kaha MUBARAK HO UMAR MAI UMMID KARTA HOON TUM HI DUA E RASOOL HO. Phir Hazrat Umar Radi Allaho Anho Imaan laake Dakhil E Islam Hogaye.
(Tarikhul khulfa Lil Suyuti Pg :90)

Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Kay Imaan Laane Par Aasman K Farishto Ne Khusiya Manayi
Hadees 03: Sayyeduna Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه se riwayat hai jiss waqt Hazrat E Umar farooq e Aazam رضي الله عنه  musharraf ba islam huwe,Hazrat e Jibreel e Ameen علیہ السلام haazir e khidmat huwe aur arz kiya Yaa Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسل  yaqeenan Umar رضي الله عنه ke islam qubool karne par ahle aasmaan ne khushiyaan manayi.
References :
(Sunan Ibne Majah, Vol : 01, Pg : 41, Kitabus Sunnah, Baab Fazl Umar رضي الله عنه Hadees : 108)
Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Kay Imaan Laane Se Islam Ko Kuwwat Mili
Hadees 04:
Hazrat Abdullah bin Masood Radi Allaho Anho Farmate Hai Hazrat Umar Radi Allaho Anho K Islaam laane K Baad Se Phir Hume Hamesha Kuwwat Wa Izzat Haasil Rahi.
Reference :
(Sahi Bukhari Vol :05, Pg : 31,Kitabul Manakib Al Ansar, Baab : Hazrat Umar Radi Allaho Anho Ka Islam Laana, Hadees : 3863)
(Sahi Bukhari Vol :05, Pg : 32, Kitabul Manakib E Ashabun Nabi, Baab : Manakib Umar ibn Khattab, Hadees : 3684) Hazrat Umar Radi Allaho Anho ‘FAROOQUE’ Hogaye
Islam laane k Baad jab Hazrat Umar Radi Allaho Anho Huzoor E Akdas صلى الله عليه و آله وسل k paas the us wakt Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسل ne 02 Saff banaye Ek Taraf Hazrat Umar ko Liya Aur Dusri Taraf Hazrat Hamjah Radi Allaho Anhuma Azmayeen ko liya aur Bahar nikal aaye Musalmano ki Shan o Shaukat Dekh k Kuffar jal gaye,
Us Din Islam Zahoor E Islam Haqq aur batil me imtiyaz hojane k wajah se Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسل Ne Hazrat Umar ko FAROOQUE ka Lakab ata farmaya
(Tarikhul Khulfa Lil Suyuti Pg : 90) Farooque E Aazam Ka Ilm Khwaab E Mustafa صلى الله عليه و آله وسلم
Hadees 05:
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Farmaya,
Mai So Raha Tha ki Dauran E Khwab Maine Itna Doodh piya Jiski Taazgi Mere Nakhoono Se Jaahir Hone Lagi Phir Bacha Huwa Doodh Maine Umar ibn Khattab Ko De Diya. Log Arz Gujar Huwe Is Doodh Se Kya Murad Hai ? Faramya ILM Murad hai”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg :104,  Kitab No 03 Kitabul Ilm, Baab : Fazail E Ilm, Hadees : 82)
(Sahi Bukhari Vol :05, Pg :30, Kitab No 62 Fazail E Ashab Un Nabi, Baab : Manakib E Umar Ibn Khattab, Hadees : 3681)
(Sahi Bukari Vol :09, Pg :98,105, Kitab No 91 Kitabut Tabeer, Hadees : 7006,7007,7027)
(Jamai Tirmizi Vol :04, Pg : 325,Kitab Ut Tabeer,Hadees : 2284)


Farooque E Aazam Radi Allaho Anho Muhadis E Ummat E Muslima
Hadees 06 :
لَقَدْ كَانَ فِيمَا قَبْلَكُمْ مِنَ الأُمَمِ مُحَدَّثُونَ، فَإِنْ يَكُ فِي أُمَّتِي أَحَدٌ فَإِنَّهُ عُمَرُ ‏"
“Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل ne Farmaya Tumse Pehle Ummato Me Muhadis Huwa karte The Agar Meri Ummat Me Koi Muhaddis hai To Wo Umar Hai”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol : 05, Pg :34, Kitab Manakib E Ashabun Nabi, Baab :Manakib E Umar Ibn Khattab, Hadees : 3689) Quran E Karim Ki Aayat E Mubaraka Farooque E Aazam Radi Allaho Anho k Mawakif Nuzool Hoti
“Ibn Marduyea ne Imam Mujahid se rivayat ki k Hazrat Umar Radi Allaho Anho Jo Kuch Ray (Opinion) Ahem Masail Me Dete To Quran E Hakim Ki Aayat Uske Mutabik Nazil hoti,
Imam Ibn Asakir Ne Maula Ali Radi allaho Anho ka Kaul Nakl kiya k Quran me Aksar Aayat Umar ibn Khattab ki Ray hai, Ibn Umar Farmate Hai Baaj Masail Me Logo ki ray kuch aur hoti aur Umar ibn Khattab ki aur to Quran Hazrat Umar Radi Allaho Anho k MAWAKIF Nuzool hota”
(Imam Suyuti Lil Tarikhul Khulfa Pg : 137)
Jinme Se Kuch Aayat E Karima ye hai
1)Makam E Ibrahim Par Namaz :
“Aur Ibrahim k Khade Hone Ki Jagah Hone Ko Namaz Ka Makam Banao”
(Surah Baqrah Ayat 125)
2) Ummahatool Momineen k Parda :
“Aur Jab Tum Unse baratne Ki KOi Cheez Maango To Parde k Bahar Se Mango”
(Surah Ahzaab Ayat 53)
3) Iftaar K baad Apni Khwateen Se Mubashirat Ki Izazat :
“Rozo’n Ki Raato Me Apni Aurato K Paas Jana Tumhare Liye Halal Huwa”
(Surah Baqrah Ayat 187)
4) Jo Allah, Rasool Aur Farishto Ko Dushman Rakhe :
“Aur Jo Koi Dushman Ho ALLAH AUR USKE FARISHTO AUR USKE Rasoolo aur Jibrail Aur Mikhael Ka To ALLAH Dushman hai Kafiro Ka”
(Surah Baqrah Ayat 98)
5) Munafikeen Ki Nishani :
“Kya Tumne Unhe Dekha K Jinka Dawa Hai K WO Imaan laaye Us Par Jo Tumhare Upar Utra Aur Uspar Jo TUmse Pehle Utra Phir Chahte Hai K Shaitan Ko Apna Hakim Banaye”
(Surah Nisa Ayat 60)
6) Hazrat Umar Ne Munafik Ka Sar Jism Se Alag Kar Diya :
“Aur Aye Mehboob Wo hargiz Musalman Na Honge Jab Tak Apne Aapas k Jhagdo Me Tumhe Apna Hakim Na Banaye Phir Jo Kuch Tum Farmao Apne Dilo Se Us Se Naa Maane”
(Surah Nisa Ayat 65)
Is tarah k Bahot Se Aayat E Karima Hai ab Har Aayat ko Tafseel Se yaha likha Nahi Jaa Sakta hai Ummid Hai k padhne waale Samajh chuke honge iski tafseer bhi.
Hadees 07:
“Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه  Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسل Ney Farmaya :
Allah Ta’ala Ney Haque Ko Umar Ki Zabaan Aur Dil Par Jaari Kar Diya Hey.
Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه  Farmatey Hain :
Jab Kabhi Logon Ko Koi Mas’ala Darpeysh Huwa Aur Logon Ney Us Mey Baat Ki Aur Hazrat Umar رضي الله عنه  Ney Bhi Us Mas’aley Par Kuchh Kaha To Qur’ane Hakeem Hazrat Umar Farooque رضي الله عنه  Key Qaul Key Muwaafik Naazil Huwa.”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 06, Pg :362, Kitabul Manakib, Baab : Beshak ALLAH ne Hazrat Umar Ki Jaban Par Haq Jaari Farmaya, Hadees : 3682)
ALLAH Taala Ne Farooque E Aazam Radi Allaho Anho K Dil O Jaban Pe Haq Jaari Farmaya
Hadees 08 :
Abu Jarr Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Unhone Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko Farmate Suna
"‏ إِنَّ اللَّهَ جَعَلَ الْحَقَّ عَلَى لِسَانِ عُمَرَ وَقَلْبِهِ ‏"‏
“Allah Ne Umar Ki Jabaa’n Aur Dil Par Haq Jaari Farmaya”
References :
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 138, Kitab No 20 Kitab Al-Kharaj, Wal-Fai' Wal-Imarah, Hadees : 2962)   
Albani ne bhi is hadees ko Sahi Likha
(Jamai Tirmizi, Vol : 05, Kitab No 49 Kitabul Manakib,Hadees : 4046 {English Version Hadees No : 3682})  Is hadees ko Hazrat Nafi Ne Ibn Umar se rivayat kiya.
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 108)  
Huzoor Khatimeen Nabiyeen Hai Warna Farooque E Aazam Radi Allaho Anho Nabi Hote
Hadees 09:
Hazrat Uqba ibn Aamir Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya
"Agar Mere baad Koi Nabi Hota To Wo Umar ibn Khattab Hote”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05 , Kitabul Manakib, Hadees : 4050)
Shaitan Kabhi  Farooque E Aazam Radi Allaho Anho k Raste Se Nahi Gujarta
Hadees 10 :
Sa`d bin Abi Waqqas Se rivayat Hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya "Aye Umar Mujhe Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Me Meri  Jaan Hai,Jis Raaste Se Tum Guzaro Ge Us Raste Se Shaitan Nahi Guzarega Bulke Wo Dosre Raaste Se Jayega."
References :
(Sahih Bukhari Book No : 62 kitabul Fazail e Ashabun Nabi, Baab : Manakib e Umar Bin Khattab, Hadees : 3683 {English Version - Sahih Bukhari Book 57, Hadith 32  English})
(Sahih Bukhari, Kitab No : 78 Kitab Al Adab, Baab : Muskurane Ka Bayan, Hadees : 6085)
(Sahih Bukhari Book No : 59 kitabul Badi al Khalk (Begining of Creation), Baab : Sifat e Iblees Wa Zunudihi (Iblees aur Uski Fauz ki sifaat), Hadees : 3294 )
(Sahih Muslim Book No : 44 kitabul Fazail e Sahaba, Baab : Manakib e Umar Bin Khattab, Hadees : 2396 {English Version : Sahih Muslim Book 44, Hadith 32})
Ilm E Gaib E Nabi Hazrat Umar Shaheed Kiye Jaynge
Ameerul Momineen Hazrat Umar Ibn Khattab Is Ummat ki Dhaal Hai
Hadees 11:
Hazrat Sayyidna Huzaifa bin Yaman رضي الله عنه   Se Rivayat Hai wo Farmaye hai hum Ameer Ul Momineen Sayyidna Umar Farooque E Aazam رضي الله عنه   kay pass bethe they, 
Farooque E Aazam رضي الله عنه   Ne Kaha Fitne Kay Baare Me Rasoolullah ﷺ ki koi hadees kisi ko yaad hai ? Maine Arz Kiya  Mujhe yaad hai, Farmaya Sunao Tumhara Yehi Mansab hai,
Maine hadees Sunate huwe kaha Rasoolullah ﷺ ne farmaya Insaan Ka fitna Uske Ahle Khaana, Maal, Jaan, Aulaad aur padosi kay baare me hota hai,  Jo Roza, Namaz, Sadqa Aur Neki Ka Hukm Dene Se Aur Burayio ko rokne se mit jaata hai,
Ye Hadees E Paak Sunke Ameerul Momineen Farooque Azam رضي الله عنه   Ne farmaya Ye Hadees E Paak Nahi balki mai us hadees e paak ki baat kar raha hoon Jisme us Fitne Ki baat hai jo samundar ki tarah mauz e marega,
Maine Kaha Aye Ameerul Momineen Aapka Abhi is se kya waasta abhi to fitne kaa darwaza band hai.
Aapne Kaha Wo Darwaza toda jayga yaa khola jayega ?
Maine Kaha Toda Jayga aur Phir Kabhi band naa hosakega.
Sahaba E Kiram Rizwanulahi azmayeen Farmate Hai Humne Baad Me Hazrat Huzaifa رضي الله عنه   Se Pucha Kya Hazrat Umar رضي الله عنه   ko us Darwaze Kay baare me Ilm tha ?
Unhone Kaha Ji Haan Bilkul Ilm Tha Balki Aisa Ilm Tha Jaise Kal  din se pahle raat kay aane ka ilm hota hai aur haan maine Unhe Jo kuch bataya wo koi galat baaton ka mazmua nahi hai balki sahi baatein hai
Sahaba farmate hai humne aage Hazrat Huzaifa رضي الله عنه   ki haibat kay maddenazar koi sawal naa kiya albatta Unke Gulam Hazrat Masrooq رضي الله عنه Ne Kaha Wo FITNO KO ROKNE WAALA KOI AUR NAHI KHUD HAZRAT UMAR IBN KHATTAB رضي الله عنه   KI JAAT HAI”.
(Sahih Bukhari, Pg : 138 , Kitab - Mawakit Salat, Baab -  الصَّلاَةُ كَفَّارَةٌ
 Hadees : 525)
(Sahih Bukhari , kitab Manakib E Nabi Wa Ashaab, baab - Alamatal Nabuwat Fi Islam, Hadees : 3586, 3606)
(Sahih Bukhari Kitabuz Jakat, Hadees : 1435)
(Sahih Bukhari kitabul Fitan, Hadees : 7096)
(Sahih Muslim Vol : 01 , Kitabul Imaan, Hadees : 144, 195)
(Sahih Muslim Vol : 07, Kitabul Fitan, Hadees : 6914)
Hadees 12:  
“Hazrat Anas bin Malik Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلمUhad K Pahad Par Tashreef Farma The Aapke Saath Hazrat Abu Baqr, Umar, Aur Hazrat Usmaan Bhi The k Uhad Ka Pahad hilne Laga Huzoor Nabi E Karim Ne Apna Kadam E Mubarak Uspe Rakha Aur Farmaya Aye Uhad Taherja Tujhpe Aur Koi Nahi Ek Nabi, Ek Siddiq Aur Shaheed Khade Hai”
References :
(Sahi Bukhari, Kitabul Manakib, Baab : Fazail E Umar Ibn Khattab, Hadees : 3686 & 3675)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib,  Hadees : 4062 Eng No : 3697)
Is Hadees E Paak Se Ilm E Gaib E Mustafvi صلى الله عليه و آله وسلم ki Dalail Mauzood Hai Jo Saaf hai Nabi Se Murad to khud Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسلم ki Jaat E Aqdas Hai, Siddiq Se Murad Abu Baqr Siddik Radi Allaho Anho Hai aur Shaheed Se Hazrat Umar Ibn Khattab Aur Usman Radi Allaho Anhuma Azmayeen Hai. 
Hadees 12:
Hazrat Moula Ali Shere Khuda رضي الله عنه Bhi Hazrat Umar رضي الله عنه Se Muhabbat Ki Dua Kiya karte The 

حَدَّثَنِي الْوَلِيدُ بْنُ صَالِحٍ ، حَدَّثَنَا عِيسَى بْنُ يُونُسَ ، حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ سَعِيدِ بْنِ أَبِي الْحُسَيْنِ الْمَكِّيُّ ، عَنْ ابْنِ أَبِي مُلَيْكَةَ ، عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا ، قَالَ : إِنِّي لَوَاقِفٌ فِي قَوْمٍ فَدَعَوْا اللَّهَ لِعُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ وَقَدْ وُضِعَ عَلَى سَرِيرِهِ إِذَا رَجُلٌ مِنْ خَلْفِي قَدْ وَضَعَ مِرْفَقَهُ عَلَى مَنْكِبِي ، يَقُولُ : رَحِمَكَ اللَّهُ إِنْ كُنْتُ لَأَرْجُو أَنْ يَجْعَلَكَ اللَّهُ مَعَ صَاحِبَيْكَ , لِأَنِّي كَثِيرًا مَا كُنْتُ أَسْمَعُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، يَقُولُ : كُنْتُ وَأَبُو بَكْرٍ , وَعُمَرُ وَفَعَلْتُ وَأَبُو بَكْرٍ , وَعُمَرُ وَانْطَلَقْتُ وَأَبُو بَكْرٍ , وَعُمَرُ ، فَإِنْ كُنْتُ لَأَرْجُو أَنْ يَجْعَلَكَ اللَّهُ مَعَهُمَا , فَالْتَفَتُّ فَإِذَا هُوَ عَلِيُّ بْنُ أَبِي طَالِبٍ..! 

Tarzuma👇🏻

Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه Farmate Hain Me Un Logon Ke Sath Khada Tha Jo Ameer Ul Mominin Umar Bin Khatab رضي الله عنه Ke Liye Dua E Karwa Rahe The Is Waqt Inka Janazah Chaar Pai Par Rakha Huwatha Itne Me Ek Sahab Ne Mere Peeche Se Aakar Mere Shanu Par Apni Kuhniyan Rakhdi Aur Hazrat Umar رضي الله عنه Ko Mukhatib Karke Kehne Laghe Allah Aap Par Raham Kare Mujhe To Yahi Ummid Thi Ke Allah Tala Apko Apke Dono Sathiyon (Rasul Akram ﷺ Aur Abu baqar Siddiq رضي الله عنه Ke SAath Dafan Karayega Mai Aksar Rasulullah ﷺ Ko Yun Farmate Suna Tha Ke Mai Aur Abu baqar Aur Umar The, Maine Aur Abu baqar Aur Umar Ne Ye Kaam Kiya, Mai Aur Abu baqar Aur Umar Gaye Is Liye Mujhe Yahi Ummid Thi Ke Allah Tala Apko In Hi Dono Buzurgon Ke Saath Rakhega Maine Jo Mudhkar Dekha To Dua Karne Wali Jaat Hazrat Ali Shere Khuda رضي الله عنه The.
{Sahih Bukhari Hadees No 3677}

Hazrat Umar Radi Allaho Anho Wo Jalilul Qadr Sahabi Hai Jo Ashra E Mubashhara Me Shamil Hai jinhe unki Jindgi me hi Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ne Jannati hone ki basharat di thi.
Ameerul Momineen Hazrat Umar Ibn Khattab Radi Allaho Anho Maah E Jumadil Ukhra 13 hizri Me Masnad E khilafat Huwe.
10 Saal 04 maah Khilafat Me Rahe aur lagbhag pure Arab Me yaha tak k Baitul Mukaddas ko Islami Sultanat bana diya.
23 Hizri Me Aap Radi Allaho Anho Ko Abu Lulu Mazoosi Ne Masjid Me Shaheed kiya us wakt Aap Radi Allaho Anho ki umr 63 baras thi.
Hazrat Umar Radi Allaho Anho Ne Phir Apne Madfan k liye Pahlu E Rasool Me Jagah ki izazat Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Se Mangi jo unhone de di aur Aap Radi Allaho Anho ka Madfan Wahin huwa.

Dua Ki Gujarish Sher Ali Hanfi

4 comments:

  1. Wo Umer (R.A.) jis k aa'da pe shaedaa saqar..
    Us Khudaa dost Hazrat pe laakhon salaam..
    (Aala Hazrat)

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. Hadees No.11 ke last me likha hai ek Nabi aur (do) shaheed hona chahiye

    ReplyDelete
  4. Nice blog thanx for sharing, we At Capital Bolts Our primary focus is on providing high-quality products from many manufacturers.
    Din 444 B
    Din 479
    Din 603
    Din 976 A
    Din 15237
    ASTM A193
    IS 3757
    Din 604
    Din 6914
    Din 961

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers