Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday 17 August 2017

,

Image result for khwaja gareeb nawaz


Karamat E Auliya

MUTTAQI AUR PARSA KO QASRE JANNAT DEDIYA

MAST SARWAR KO DIYA ALLAH NE ROZA TERA


Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Likhte Hai “Wilayat Zille Nabuwat Hota Hai”

Hawala:
Sharah Futuhul Ghaib Safa 35

Kaise Pehchane Wali Kaun

Hadees # 1

Tarjuma:
“Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Sey Auliya Allah Key Baarey Mey Poochha Gaya To Aap Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Woh Log (Auliya Allah Hain) Jinhey Deykhney Sey Allah Azza Wa Jalla Yaad Aa Jaaye.”
:
[Nasa'i As-Sunan-Ul-Kubra, Jild :  06  Safa : 362, Hadees : 11235,
Ibn Mubarak Kitab-Uz-Zuhad, Jild :  01  Safa : 72, Hadees : 217,
Maqdasi Al-Ahadith-Ul-Mukhtarah, Jild : 10  Safa : 108, Hadees : 105,
Hakeem Tirmidhi Nawadir-Ul-Usul, Jild :  02  Safa : 39,
Haythami Majma-Uz-Zawa'id, Jild :  10  Safa : 78.]


Hadees # 2

Tarjuma :
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Jab Allah Ta’ala Kisi Bandey Sey Muhabbat Karta Hey To Hazrat Jibra’il Alaihissalam Ko Aawaaz Deyta Hey Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il Alaihissalam Us Sey Muhabbat Karta Hain.
Phir Hazrat Jibra’il Alaihissalam Aasmaani Makhlooq Mey Nida (Aawaaz) Deytey Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta Hey.
Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo.
Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey.
Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hey.”
Muttafaque Alayh
:
[Bukhari As-Shahih, Jild : 03 Safa : 1175, Hadees : 3037, &
Jild 05 Safa: 2246, Hadees : 5693, &Jild : 06  Safa : 2721, Hadees : 7047,
Muslim As-Shahih, Jild  04  Safa : 2030, Hadees : 2637,
Malik Al-Muwatta, Jild  02  Safa : 953, Hadees : 1710.]

Hadees # 3

Tarjuma :
“Hazrat Umar Bin Khattab Radiyallahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Beshak Allah Ta’ala Ke Kuchh Aisey Barguzeeda Bandey Hain Jo Na Ambiya Kiram Hain Na Shohada, Qayamat Key Din Ambiya Kiram Alaihimussalam Aur Shohada Inhey Allah Ta’ala Ki Taraf Sey Ata Kardah Maqaam Deykh Kar Un Par Rashk Karey Gey.
Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ney Arz Kiya :
Ya Rasoolallah ﷺ!
Aap Hamey Un Key Baarey Mey Bataaye Ke Woh Kaun Hain?
Aap Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Woh Aisey Log Hain Jin Ko Aik Doosarey Sey Muhabbat Sirf Allah Ta’ala Ki Khaatir Hoti Hey Na Ke Rishteydaari Aur Maali Leyn-Deyn Ki Wazah Sey.
Allah Ta’ala Ki Qasam!
Un Key Chehrey Noor Ho’n Gey Aur Woh Noor (Key Mimbaron) Par Ho’n Gey, Unhey Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Ho’n Gey Unhey Koi Gam Nahin Hoga, Jab Log Ghamzada Ho’n Gey.
Phir Aap Swallallahualaihiwasallam Ney Yeh Aayat Tilaawat Farmayi,
˝khabardaar Auliya Allah Par Na Koi Khauf Hey Na Woh Ranjeeda Wa Ghamgeen Ho’n Gey.[Yunus, 10 : 62]“
:
[Abu Dawood As-Sunan, Jild : 03  Safa : 288, Hadees : 3527,
Nasa'i As-Sunan-Ul-Kubra, Jild : 06  Safa : 362, Hadees : 11236,
Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, Jild : 06  Safa : 486, Hadees : 8998.]

Hadees # 4

Tarjuma:
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Allah Ta’ala Key Kuchh Bandey Aisey Hain Jo Ambiya Nahin Lekin Ambiya-E-Kiram Aur Shohada Bhi Us Par Rashk Karey Gey.
Arz Kiya Gaya :
(Ya Rasoolallah Swallallahualaihiwasallam) Woh Kaun Log Hain? (Hamey Un Ki Sifaat Bata’iye) Taake Hum Bhi Un Sey Muhabbat Karey.
Aap Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Woh Aisey Bandey Hain Jo Aapas Me Baghair Kisi Qaraabatdari Aur Waastey Key Mahaz Allah Ta’ala Ki Khaatir Muhabbat Kartey Hain Un Key Chehrey Poornoor Ho’n Gey Aur Woh Noor Key Mimbaron Par Jalwa Afroz Ho’n Gey.
Unhey Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Ho’n Gey Aur Unhey Koi Gham Na Hoga Jab Log Ghamzada Ho’n Gey.
Phir Aap Swallallahualaihiwasallam Ney Yeh Aayat Tilaawat Farmayi,
“Khabardaar Beshak Auliya Allah Par Na Koi Khauf Hey Aur Na Woh Ranjeeda Wa Ghamgeen Ho’n Gey.[Yunus, 10 : 62]“
:
[Ibn Hibban As-Shahih, Jild :  02  Safa : 332, Hadees : 573,
Abu Ya'la Al-Musnad, Jild : 10  Safa : 495, Hadees : 6110,
Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, Jild : 06  Safa : 485, Hadees : 8997, 8999,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild : 04  Safa : 12, Hadees : 4580.]

Hadees # 5

Tarjuma:
“Hazrat Asma Binte Yazeed Radiyallahu Ta’ala Anha Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ko Farmatey Suna Ke Kya Mein Tumhey Tum Mey Sey Sab Sey Behtar Logon Key Baarey Mey Khabar Na Doo’n, Sahaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ney Arz Kiya :
Ya Rasoolallah Swallallahualaihiwasallam
Kyun Nahin?
Aap Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Tum Mey Sey Behtar Log Woh Hain Jab Unhey Deykha Jaaye To Allah Yaad Aa Jaaye.”
:
[Ibn Majah As-Sunan, 02  Safa : 1379, Hadees : 4119,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06  Safa : 459, Hadees : 27640,
Bukhari Al-Adab-Ul-Mufrad  Safa : 119, Hadees : 323,
Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Kabir, 24  Safa : 167, Hadees : 423.]

Hadees # 6

Tarjuma:
“Hazrat Amr Bin Hamiq Radiyallahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Banda Us Waqt Tak Iman Ki Haqeeqat Ko Nahin Paa Sakta Jab Tak Ke Woh Allah Ta’ala Key Liye Hee (Kisi Sey) Naaraaz Aur Allah Ta’ala Key Liye Hee (Kisi Sey) Raazi Na Ho (Ya’ni Us Ki Raza Ka Markazo Mehwar Sirf Zaatey Elaahi Ho) Aur Jab Us Ney Yeh Kaam Kar Liya To Us Ney Iman Ki Haqeeqat Ko Paa Liya Aur Beshak Merey Ahbaab Aur Auliya Woh Log Hain Ke Merey Zikr Sey Un Ki Yaad Aa Jaati Hey Aur Un Key Zikr Sey Meri Yaad Aa Jaati Hey (Ya’ni Meyra Zikr Un Ka Zikr Hey Aur Un Ka Zikr Meyra Zikr Hey).”
:
[Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Awsat, Jild :  01  Safa : 203, Hadees : 651,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild :  03  Safa : 430, Hadees : 15634,
Ibn Abi Duniya Kitab-Ul-Auliya  Safa : 15, Hadees : 19,
Ibn Rajab Jami'-Ul-Uloom Wal-Hikam, 01  Safa : 365,
Daylami Musnad-Ul-Firdaws, Jild :  05  Safa : 152, Hadees : 7789,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild :  04  Safa : 14, Hadees : 4589,
Haythami Majma-Uz-Zawa'id, Jild :  01  Safa : 58.]

Hadees # 7

Tarjuma:
“Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hain Ke Arz Kiya Gaya :
Ya Rasoolallah Swallallahualaihiwasallam
Hamarey Behtareen Humnasheen Kaun Log Hain?
Aap Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Aisa Humnasheen Jis Ka Deykhna Tumhey Allah Ta’ala Ki Yaad Dilaaye Aur Jis Ki Guftagoo Tumharey Elm Mey Izaafa Karey Aur Jis Ka Amal Tumhey Aakhirat Ki Yaad Dilaaye.”
:
[Abu Ya'la Al-Musnad, Jild : 04  Safa  : 326, Hadees : 2437,
Abd Bin Humayd Al-Musnad, Jild :  01  Safa : 213, Hadees : 631,
Abu Nu'aym Hilyat-Ul-Auliya, Jild : 07  Safa : 46,
Ibn Mubarak Az-Zuhad,Jild :  01  Safa : 121, Hadees : 355,
Ibn Abi Duniya Kitab-Ul-Auliya  Safa : 17, Hadees : 25,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild : 01  Safa : 63, Hadees : 163,
Hindi Kanz-Ul-Ummal, Jild : 09  Safa : 28, 37, Hadees : 24764, 24820,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta'rif,Jild :  02  Safa : 39, Hadees : 994,
Zurqani As-Sharh,Jild :  04  Safa : 553,
Manawi Fayd-Ul-Qadir, Jild : 03  Safa : 467.]



Wilayat Ki Qisme

Hadees # 8

Tarjuma :
Hazrat Abdullah Ibn Masood Radiallataala Anhu Se Riwayat Hai  Allah Kay Rasul Swallallahualaihiwasallam Ne Irshad Farmaya Kay 40 Meri Ummat Me Woh Log Hai Jinke Dil Hazrat Ibrahim Kay Qalb Kay Niche Hai Aur Farmaya Jaante Ho Inki Shaan Kya Hai Kay Allah Taala Inke Tufail Tumse Azaabo Ko Door Kardeta Hai Aur Jaanlo Unhe Jo Kaha Jaati Hai Woh Abdaal Hai.
:
Imam Ibn Nuyem Hilyatul Auliya
Imam Tabrani Majame Kabir Jils 10 Hadees 1039 Safa 181.

Hadees # 9

Tarjuma :
Hazrat Shuri Ibn Ubaid Ne Kaha Hazrat Ali Kay Saamne Mulke Sham Ka Zikr Kiya Gaya Aur Kehne Wale Ne Kaha Ameerul Momineen Aap Mulk E Sham Per Laanat Kijiye ,Hazrat Ali Ne Kahame Waha Kay Liye Baddua Nahi Karuga , Kyu , Isliye Ki Mene Mulk E Sham Kay Bare Me Nabi Swallallahualaihiwasallam Se Suna Ki Waha Per Abdaal Raha Karte Hai Aur Unki Taadad 40 Hai Un Mese Kisi Ek Ka Bhi Inteqal Hota Hai Toh Allah Taala Uski Jagah Dusra Wali Bana Deta Hai Aur Jaante Ho Unka Makaam Kya Hai,Unke Sadke Me Tum Per Baarish Farmata Hai Aur Unhi Ki Wajah Se Tum Dushmano Per Fatah Paate Ho Aur  Ahle Shaam Kay Abdaalo Kay Sabab Se Tumhare Azaabo Ko Taal Diya Jaata Hai.
:
Mishkat Shareef Jild 2 Hadees 6015
Musnad Ahmed Jild 1 Safa 122
Imam Tabrani Ne Majame Kabir Jild Safa 63

Hadees # 10

Tarjuma:
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallataala Anhu Se Riwayat Hai Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Irshad Farmaya Kay Logo Allah Kay Kuch Khas Bande Hai Ji Allah Ne Kisi Khas Maqsad Se Paida Kiya Kay Logo Ki Zarurat Taaki Woh Puri Kare ,Farmaya Jab Log Apni Haajat ,Taklife Le Jaate Hai Tab Allah Unke Sabab Se Unke Dua Se Woh Taklife Door Kardeta Hai Aur Woh Log Woh Hai Jinke Sabab Se Tumse Azaab Door Kardiya Jaata Hai.
:
Imam Abu Nuyem Hilyatul Auliya Jild 3 Hadees 308 Safa 225
Imam Tabrani Ne Majame Kabir.

Hadees # 11

Auliya Se Qurb

“Karamat E Auliya” Is Ko Chaapne Wale Khud Deobandi Hai Aur Iska Urdu Tarjuma Kiya Hai Molana Imdadullah Sahab Ustad Jaame Ashrafiyat Lahore

Yeh Kitab Imam Yaafi Ki Hai Arabic Me (Tarjuma : Rudoor Riyaheen) Safa 39

Hazrat Hasan Basri Se Marwi Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Irshad Farmaya Fuqhra Se Jaan Pehchan Zyada Rakha Karo ,Arz Kiya Ya Rasul Allah SwallallahualaihiwasallamInki Jaan Pehchan Se Kya Fayda Hai,Farmaya Jab Qayamat Ka Din Hoga Unse Kaha Jayega Jisne Tumhe Ek Roti Ka Bhi Tukda Khilaya Hai Ya Ek Ghutt Paani Bhi Pilaya Hai Use Talash Karo Aur Use Jannat Me Lekar Chale Jao.

Hadees # 12

Hazrat Anas Bin Malik Riwayat Karte Hai Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Irshad Farmaya Auliya Allah Se Apni Jaan Pehchaan Rakha Karo Unse Qareeb Hojaya Karo Jis Wali Se Tum Qurb Haasil Karoge Woh Allah Ka Wali Roz E Qayamat Tumhari Shafat Karega.
:
Imam Dailmee Ne Musanad Ul Firdous Jild 1 Hadees 2051 Safa 81

Hadees # 13

Hazrat Aisha Radiallataala Anha Se Riwayat Hai Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya Ya Suna Kay Allah Nabi Swallallahualaihiwasallam Jab Kisi Mariz Ko Dekhne Jaate Toh Yeh Farmaate “Beshak Humari Zameen(Madina) Ki Mitti Me Allah Ne Shifa Rakhi Hai Aur Meri Ummat Kay Baaz Log Aisi Hai Jinke Thuk(Luab) Me Bhi Allah Ne Shifa Rakhi Hai.
:
Bukhari Jild 2 Kitabut Tib Hadees 696
Muslim Shareef Kitabus Salam
Abu Dawud Kitabut Tib
Ibn Majah Kitabut Tib
Musanad E Imam Ahmed Jild 6 Safa 93

Hadees # 14

Ahle Hadees Kay Maulvi Armaan Sarhindi Sahab Jisne Hazrat Gaus E Paak Ki Kitab Gunyatut Talibeen Ka Tarjuma Kiya Hai Usme Likhta Hai Ki Futuhul Ghaib Hazrat Gaus E Paak Ki Mustanad Tareen Kitaab Hai Aur Yeh Woh Kitab Hai Jise Aapne Mohabbat E Ilaahi Me Doobkar Likhi Hai.

Futhul Ghaib Maqala No. 16

“Allah Taala Ne Apni Baaz Kitabo Me Farmaya “A Farzande Aadam Me Allah Hu,Mere Siwa Koi Maabud Nahi Me Jis Chiz Ko Hukum Deta Hu “Hoja” Woh Yaqeenan Hojati Hai Pas Toh Meri Itaat Ikhtiyar Kar Phir Me Tujhe Bhi Aisa Bana Duga Kay Tu Jis Chiz Ko Hukum Dega “Hoja” Woh Hojayegi Aur Azaan E Ilaahi Se Alime Wajud Me Aayege Aur Bilshuba Allah Taala Ne Apne Ambiya,Siddiqueen,Auliya Aur Khas E Bani Aadam Ko Aise Hi Roohani Quwato’n Ka Haala Banaya Hai.

Scan Safa :







Auliya Se Dushmani Allah Taala Se Jung Karna Hai

Hadees # 15

“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ney Farmaya :
Allah Ta’ala Farmata Hey :
Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhey Mey Us Sey Elaane Jung Karta Hoo’n Aur Meyra Banda Aisee Kisi Cheez Key Zariye Meyra Qurb Nahin Paata Jo Mujhey Farzon Sey Zyada Mehboob Ho Aur Meyra Banda Nafli Ibadat Key Zariye Baraabar Meyra Qurb Haasil Karta Rahta Hey.
Yahan Tak Ke Mein Us Sey Muhabbat Karney Lagta Hoo’n Aur Jab Mein Us Sey Muhabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Sunta Hey Aur Us Ki Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Deykhta Hey Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Pakarta Hey Aur Us Ka Paanw Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Chalta Hey.
Agar Woh Mujh Sey Sawal Karta Hey To Mein Usey Zaroor Ata Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hey To Mein Zaroor Usey Panaah Deyta Hoo’n.
Mein Ney Jo Kaam Karna Hota Hey Us Mey Kabhi Is Tarah Mutardid (Fikramand) Nahin Hota Jaisey Banda-E-Momin Key Jaan Leney Mey Hota Hoo’n, Usey Mowt Pasand Nahi Aur Mujhey Us Ki Takleef Pasand Nahin.”

رواه البخاري.
-
[Bukhari As-Shahih, Jild : 05  Safa : 2384, Hadees : 6137,
Ibn Hibban As-Shahih, Jild : 02  Safa : 58, Hadees : 347,
Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, Jild : 10  Safa : 219, Baab(60),Kitab-Uz-Zuhad Al-Kabir, Jild : 02  Safa : 269, Hadees : 696.]


Auliya Aur Saleheen Radiyallahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Ki Karamat Ka Bayan

Hadees # 16

Tarjuma :
“Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ki Zawza Mubaraka Hazrat Aaisha Siddiqa Radiyallahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ki Hazrat Abu Bakar Siddique Radiyallahu Ta’ala Anhu Gaaba (Naami Waadi) Me Unhein Khajooor Ke Chand Darakht Hiba Kiye Jin Me Se Bees Wasaq Khajoorein Aati Thi.
Jab Hazrat Abu Bakar Siddique Radiyallahu Ta’ala Anhu Ki Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Farmaya :
Aye Meri Pyari Beti!
Aisa Doosara Koi Nahin Jis Ka Apne Baad Ghani Hona Mujhe Tum Se Zyada Pasand Ho Aur Apne Baad Mujhe Kisi Muflisi Zyada Gara’n Nahin.
Mein Ne Tumhein Kuchh Darakht Diye They Jin Se Bees Wasak Khajoorein Aati Thi Agar Tumne Un Par Qabja Kiya Hota To Woh Tumhare Ho Jaate.
Ab Woh Miraas Ka Maal Hai Aur Tumhare Do² Bhai Aur Do² Behnein Hain.
So Saare Maal Ko Allah Ki Kitaab (Ke Hukm) Ke Mutabik Taqseem Kar Lena.
Hazrat Aaisha Radiyallahu Ta’ala Anha Farmati Hain :
Mein Ne Arz Kiya :
Abba Jaan!
Maal Khwaah Kitna Hee Zyada Hota Mein Chhod Deti Lekin Meri Bahen To Sirf Hazrat Asma Hain Doosari Kaun Hai?
Hazrat Abu Bakar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Woh Binte Khaarija Ke Pait Me Hai Aur Mere Khayaal Me Woh Ladaki Hai Phir Unhone Umme Kulsoom (Naami) Beti Ko Janm Diya.”
-
( Malik Al-Muwatta, Jild 02 Safa : 752, Hadees-1438)
(Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, Jild 06 Safa 169, Hadees-11728, 12268)
(Tahawi Sharh Ma'ani Al-Aathar, Jild : 04 Safa: Safa 88)
(Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', 01 Safa:177, Hadees-62,
Asqalani Al-Isabah, 07 Safa:575, Hadees-11023,
Nawawi Tahdhib-Ul-Asma', 02 Safa:574, Hadees-1030, 1239,
Zayla'i Nasab-Ur-Rayah, 04 Safa:122,
Abu Ja'far At-Tabari Ar-Riyadh-Un-Nadhirah, 02 Safa:123, 257,
Ibn Sa'd At-Tabqat-Ul-Kubra, 03 Safa:194.]

Hadees # 17

Tarjuma :
“Hazrat Abd-Ur-Rahman Bin Abu Bakar Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Aik Taweel Waaqiye Me Marwi Hai Ki Aik Martaba Hazrat Abu Bakar Siddique Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Sahaba Kiram (Ashabe Suffa) Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ki Daawat Ki (Aur Un Ke Saath) Aap Ne Khud Bhi Khaana Khaaya Aur Doosaron Ne Bhi.
Har Luqma Uthaane Ke Baad Khaana Pehle Se Bhi Zyaada Badh Jaata.
Sayyadana Siddique Akbar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Apni Beewi Se (Jo Bani Faraas Ke Qabeele Se Thi) Farmaya :
Aye Hamsheera Bani Faaras!
Yeh Kya Maamala Hai?
Unhone Arz Kiya :
Aye Meri Aankhon Ki Thandak (Mere Sartaaj) Is Waqt To Yeh Khaana Pehle Se Teen Guna Jyaada Hai Chunanche Un Sab Sahaba Ne Bhi Khoob Khaaya Aur Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ki Khidmate Aqdas Me Bhi Rawaana Kiya, Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ne Bhi Tanaawul Farmaya.”
Muttafaque Alayh
-
(Bukhari As-Sahih, Jild 01 Safa : 216, Hadees-577, &
Jild 03 Safa : 1312, Hadees-3388,)
(Muslim As-Sahih, 03 Safa:1627, Hadees-2057)
(Bazzar Al-Musnad, Jild 06 Safa : 228, Hadees-2263,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01 Safa:197, Hadees-1702, 1712)

Hadees # 18

Tarjuma :
“Hazrat Abdullah Umar Radiyallahu Ta’ala Anhuma Ne Se Marwi Hai Ki Mein Ne Hazrat Umar Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Koi Aisee Baat Nahin Suni Jis Ke Mut’alliq Unhone Farmaya Ho Ki Mere Khayaal Me Yeh Is Tareh Hai Aur Woh Un Ke Khayaal Ke Mutaabik Na Nikli Ho.”
(Bukhari As-Sahih, Jild 03 Safa:1403, Hadees-3653,
Hakim Al-Mustadrak, Jild 03 Safa:94, Hadees-4503,
Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', Jild 01 Safa:119, Hadees-65,
Nawawi Riyad-Us-Saleheen, 01 Safa:568, Hadees-1510.]

Hadees # 19

Tarjuma :
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya :
Pehli Ummaton Me Aise Log They Jin Ke Dil Me Allah Ta’ala Ki Taraf Se Baatein Ilqa Ki Jaati (Ghaib Se Dil Me Daali Jaati) Thi (Ya’ni Unhein Ilhaam Hota Tha) Aur Meri Ummat Me Agar Koi Aisa Shakhs Hai To Woh Umar Hai.”
“Aur Hazrat Abu Saeed Khudari Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Riwayat Me Bayan Kiya Ki Sahaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Poochha (Ya Rasoolallah Swallallahualaihiwasallam) Is Ilhaam Ki Kaifiyat Kya Hoti Hai?
Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya :
Us Ki Zubaan Par Farishe Bolte Hain.”
-
(Bukhari As-Sahih, 03 Safa:1349, Hadees-3486, &
03 Safa:1279, Hadees-3282,
Muslim As-Sahih, 04 Safa:1864, Hadees-2398,
Tirmidhi As-Sunan, 05 Safa:622, Hadees-3693,
Ibn Hibban As-Sahih, 15 Safa:317, Hadees-6894,
Hakim Al-Mustadrak, 03 Safa:92, Hadees-4499,

وقال : هذاحديثصحيحالإسناد،

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06 Safa:55, Hadees-24330,
Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, 05 Safa:48, Hadees-5734,
Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Awsat, 07 Safa: 18, Hadees-6726,
Daylami Musnad-Ul-Firdaws, 03 Safa: 278, Hadees-4839,
Ibn Rahawayh Al-Musnad, 02 Safa: 479, Hadees-1058,
Hakeem Tirmidhi Nawadir-Ul-Usul, 03 Safa: 138,
Nawawi Riyad-Us-Saleheen, 01 Safa: 564, Hadees-1504,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa'id, 09 Safa: 69,
Bayhaqi Al-I'tiqad, 01 Safa: 315,
Asqalani Fat'h-Ul-Bari, 06 Safa: 50,
Mubarakpuri Tuhfat-Ul-Ahwadhi, 10 Safa: 125.]

Hadees # 20

Tarjuma:
“Hazrat Aaisha Siddiqua Radiyallahu Ta’ala Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya :
Mein Jinnaat Wa Insaanon Ke Shayaatin Ko Dekhta Hoo’n Ki Woh Umar Ke Khauf Se Bhaag Gaye Hain Aur Aik Riwayat Me Farmaya :
Aye Umar!
Tum Se Shaitaan Darta Hai.”
-
(Tirmidhi As-Sunan, 05 Safa:621, Hadees-3690, 3691,
Nasa'i As-Sunan-Ul-Kubra, 05 Safa:309, Hadees-5957,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05 Safa:353, Hadees-23039, &
01 Safa:333, Hadees-480,
Ibn Hibban As-Sahih, 10 Safa:231, Hadees-4386,
Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, 10 Safa:77.]

Hadees # 21

Tarjuma:
 “Hazrat Abdullah Bin Umar Radiyallahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Hazrat Umar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Aik Lashkar Lashkar Rawana Farmaya Aur Us Ka Saalaar Aik Shakhs Ko Mukarrar Kiya Jis Ka Naam Saaroya Tha.
Aik Din Aap Khutba De Rahe The Ki Achaanak Dauraane Khutba Pukaara:
Aye Saariya Pahaad Ki Ot Lo.
(Jung Ke Baad) Lashkar Se Aik Qaasid Aaya Aur Kehne Laga :
Aye Ameer-Ul-Momineen Hum Dushman Se Lad Rahe They Aur Qareeb Tha Ki Woh Hamein Shikast De De Phir Achanak Kisi Pukaarne Waale Ne Pukaara :
Aye Saariya Pahaad Ki Ot Lo Hum Ne Apni Peethey Pahaad Ki Taraf Kar Lee To Allah Ta’ala Ne Unhein Shikast Aur Hamein Fateh Ata Ki.”
-
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01 Safa:219, Hadees-355,
Bayhaqi Dala'il-Un-Nubuwwah, 06 Safa:370, &
Al-I'tiqad, 01 Safa:314,
Abu Nu'aym Dala'il-Un-Nubuwwah, 03 Safa:210, 211,
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, 02 Safa:410, Hadees-5954,
Razi At-Tafsir-Ul-Kabir, 21 Safa:87.]

Hadees # 22

Tarjuma:
“Hazrat Qais Bin Hazzaj Riwayat Karte Hain Us Se Jis Ne Unhein Bataaya Ki Misr Fateh Hone Ke Baad Ahle Misr (Governor Misr) Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ki Khidmat Me Haazir Huwe Jab Ajamee Mahina Boona Shuru Huwa.
Aur Arz Kiya:
Aye Ameer!
Hamare Is Dariya-E-Neel Ka Aik Maamool Hai Jis Ki Taameel Ke Baghair Us Me Rawaani Nahin Aati.
Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya:
Bataawo Woh Kya Maamool Hai.
Un Logon Ne Jawaab Diya :
Jab Us Mahine Baarah Taarikh Aati Hai To Hum Aik Kunwaari Ladaki Us Ke Waalidain Ki Razamandi Se Haasil Karte Hain Aur Phir Use Umda Se Umda Zewraat Aur Kapade Pehna Kar Dariya-E-Neel Ki Nazar Kar Dete Hain Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya :
Yeh Sab Islam Me Nahin Hoga.
Islam Zamana-E-Jahiliyat Ki Tamam (Behuda) Rasmon Ko Khatm Karta Hai.
(Raawi Ne) Kaha :
Ahle Misr Boona, Aur Misri Teen Maah Tak Is Hukm Par Qaayam Rahe Neel Ki Rawaani Rooki Rahi Paani Ka Qatra Na Raha.
Dariya-E-Neel Ki Rawaani Ko Band Dekh Kar Logon Ne Tarke Watan Ka Iraada Kiya.
Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Tamaam Haalaat Ki Ameer-Ul-Momineen Hazrat Umar Bin Khattab Radiyallahu Ta’ala Anhu Ko Ittila Dee.
Hazrat Umar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Jawab Me Likha Ki Aye Amr Bin Aas Tum Ne Jo Kuchh Kiya Durast Kiya Islam Ne Saabika (Behuda) Rusoom Ko Jad Se Ukhaad Phainka Hai.
Mein Apne Is Khat Ke Andar Aik Ruq’aa Bhej Raha Hoo’n Use Dariya-E-Neel Me Daal Dena.
Bas Jab Hazrat Umar Faruq Radiyallahu Ta’ala Anhu Ka Khat Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Tak Pahuncha To Unhone Us Khat Ko Khola To Us Me Darj Zel Ibaarat Thi :
˝allah Ta’ala Ke Bande Ameer-Ul-Momineen Umar Ki Taraf Se Misr Ke Dariya-E-Neel Ke Naam.
Hamdo Salaat Ke Baad (Aye Dariya) Agar Too Apni Marzi Se Behta Hai To Beh.
Aur Agar Allah Waahid Wa Qahhaar Hee Tujhe Rawa’n Karta Hai To Hum Khudawande Waahid Wa Qahhaar Se Sawaal Karte Hain Ki Woh Tujhe Jaari Kar De.
Chunanche Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Woh Ruq’aa Dariya-E-Neel Me Daal Diya.
Jab Ruq’aa Daala Hafte Ke Deen Sub’h Logon Ne Dekha Ki Aik Raat Me Allah Ta’ala Ne Solah Haath (Pehle Se Bhi) Ooncha Paani Dariya-E-Neel Me Jaari Farma Kar Ahle Misr Se Usee Din Se Aaj Tak Is Qadeem Zaalimaana Rasm Ko Hamesha Ke Liye Khatm Farma Diya.”

رواهاللالكائوالقرطبيوابنكثيروأبوالشيخفيكتابالعظمة.-

(Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', 01 Safa:119, Hadees-66,
Qurtabi Al-Jami' Li-Ahkam-Ul-Qur'an, 13 Safa:103,
Ibn Kathir Tafsir-Ul-Qur'an Al-Azim,03 Safa:465,
Razi Tafsir-Ul-Kabir, 21 Safa:88,
Hamawi Mu'jam-Ul-Buldan, 05 Safa:335.]


Hadees # 23

Tarjuma:
“Hazrat Imam Malik Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Aik Taweel Riwayat Me Marwi Hai Farmate Hain Ki Hazrat Usman Radiyallahu Ta’ala Anhu Ko Shaheed Kiya Gaya Aur Darwaje Par Hee Un Ka Sare Mubarak Pukaar Raha Tha :
Mujhe Dafan Karo.
Chunanche UnKe Saathi UnKi Na’sh Mubarak (Janaaze) Ko Baaghe Kawkab Me Le Gaye Jaha’n Unhone Aap Ki Tadfeen Ki.”
-
(Tabarani Mu'jam-Ul-Kabir, 01 Safa:78, Hadees-109,
Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-Kabir, 39 Safa:532,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa'id, 09 Safa:95,
Ibn Abd-Ul-Barr Al-Isti'ab, 03 Safa:1047,
Ibn Sa'd At-Tabqat-Ul-Kubra, 03 Safa:77,
Mizzi Tadhib-Ul-Kamal, 19 Safa:457,
Asqalani Talkhis-Ul-Hubayr, 02 Safa:145.]

Hadees # 24

Tarjuma:
“Hazrat Imam Malik Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat Usman Radiyallahu Ta’ala Anhu Baaghe Kawkab Ke Paas Se Guzarte To Farmate Ki Yaha’n Aik Nek Insan Dafan Kiya Jaayega (Chunanche Woh Khud Usee Jageh Dafan Ki Gaye).”
-
(Tabarani Mu'jam-Ul-Kabir, 01 Safa:78, Hadees-109,
Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-Kabir, 39 Safa:532,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa'id, 09 Safa:95,
Ibn Abd-Ul-Barr Al-Isti'ab, 03 Safa:1047,
Ibn Sa'd At-Tabqat-Ul-Kubra, 03 Safa:77,
Mizzi Tahdhib-Ul-Kamal, 19 Safa:457.]

Hadees # 25

Tarjuma:
“Hazrat Abdullah Bin Umar Radiyallahu Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Usman Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne (Apni Shahadat Ke Din) Sub’h Huwi ToFarmaya:
Mein Ne Raat Ko Dekha Ki Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya:
Aye Usman!
Aaj Ka Roza Tum Hamare Paas Iftaar Karo.
So Us Din Hazrat Usman Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Roza Rakha Aur Usee Din Unhein Shaheed Kar Diya Gaya.”

وقالالحاكم : هذاحديثصحيحالإسناد.
-
(Hakim Al-Mustadrak, 03 Safa:110, Hadees-4554,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06 Safa:181, Hadees-30510, 30511, &
07 Safa:442, Hadees-37085,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa'id, 07 Safa:232,
Ibn Sa'd At-Tabqat-Ul-Kubra, 03 Safa:74,
Ibn Hayyan Tabqat-Ul-Muhaddithin Beasbahan, 02 Safa:98, Hadees-182,
Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-Kabir, 39, 384.]
Hadi “Aik Riwayat Me Hazrat Usman Radiyallahu Ta’ala Anhu Ki Jawza Mohtaram Se Marwi Hai Ki Hazrat Usman Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya:
Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Aur Hazrat Abu Bakar Aur Umar Radiyallahu Ta’ala Anhuma Ko Dekha Woh Sab Mujhe Keh Rahe They (Aye Usman!) Aaj Raat Tumhari Iftari Hamare Saath Hai.”
-
(Hakim Al-Mustadrak, 03 Safa:110, Hadees-4554,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06 Safa:181, Hadees-30510, 30511, &07 Safa:442, Hadees-37085,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa'id, 07 Safa:232,
Ibn Sa'd At-Tabqat-Ul-Kubra, 03 Safa:74,
Ibn Hayyan Tabqat-Ul-Muhaddithin Beasbahan, 02 Safa:98, Hadees-182,
Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-Kabir, 39, 384.]

Hadees # 26

Tarjuma:
“Hazrat Sulaiman Bin Yasar Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Jahjaah Al Ghafaari Ne Hazrat Usman Radiyallahu Ta’ala Anhu Ka Asa Jis Par Tek Lagaate They Apne Ghutane Par Rakh Kar (Gustakhi Ke Saath) Tod Diya To Us Ke Ghutane Par Foda Nikal Aaya.”
-
(Ibn Asakir Tarikh Dimashq Al-Kabir, 39 Safa:329,
Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', 01 Safa:124, Hadees-70,
Ibn Abd-Ul-Barr Al-Isti'ab, 01 Safa:269,
Razi At-Tafsir-Ul-Kabir, 21 Safa:88.]

Hadees # 27

Tarjuma:
“Hazrat Abu Rafe’ Radiyallahu Ta’ala Anhu Jo Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ke Aazaad Kardah Ghulaam They Riwayat Farmate Hain Ki Jab Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ne Hazrate Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ko Apna Jhanda De Kar Khaibar Ki Taraf Rawaana Kiya To Hum Bhi Un Ke Saath They Jab Hum Qila-E-Khaibar Ke Paas Pahunche Jo Madinah Munawwarah Ke Qareeb Hai To Khaibar Waale Achaanak Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Par Toot Pade Aap Bemisaal Bahaaduri Ka Mujaahira Kar Rahe They Ki Achaanak Un Par Aik Yahoodi Ne Chot Kar Ke Un Ke Haath Se Dhaal Gira Dee.
Us Par Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Qile Ka Aik Darwaaza Ukhed Kar Apni Dhaal Bana Liya Aur Use Dhaal Ki Haisiyat Se Apne Haath Me Liye Jung Me Shareek Rahe.
Bil Aakhir Dushmanon Par Fateh Haasil Ho Jaane Ke Baad Us Dhaal Numa Darwaaje Ko Apne Haath Se Phaink Diya Us Safar Me Mere Saath Saath (7) Aadami Aur Bhi They Aur Hum Aath (8) Ke Aath (8) Mil Kar Us Darwaaze Ko Ulatne Ki Koshis Karte Rahe Lekin Hum Woh Darwaza (Jise Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Tanha Ukheda Tha) Na Ulat Sake.”
-
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06 Safa:08, Hadees-23909,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa'id, 06 Safa:152,
Tabari Tarikh-Ul-Umam Wal-Muluk, 02137,
Ibn Hisham Sirat-Un-Nabawiyyah, 04 Safa:306.]


Hadees #28

Tarjuma:
 “Hazrat Zaadaan Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Guftagoo Farmayi To Aik Shaks Ne Unhein Jhuthlaaya Us Par Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Farmaya:
Agar Too Ne Jhooth Bola Ho To Mein Tujhe Badduaa Doo’n?
Us Ne Kaha Ha’n Badduaa Karein.
Chunanche Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Us Ke Liye Badduaa Ki To Woh Shakhs Abhi Us Majlis Se Uthane Bhi Na Paaya Tha Ki Andha Ho Gaya.”
-
(Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Awsat, 02 Safa:219, Hadees-1791,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa'id, 09 Safa:116,
Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', 01 Safa:126, Hadees-73.]

Hadees # 29

Tarjuma:
“Hazrat Aasim Bin Zmara Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Jab Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ko Shaheed Kar Diya Gaya To Hazrat Imam Hasan Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Aik Khutbe Me Irshad Farmaya:
Aye Ahle Koofa (Ya Farmaya) Aye Ahle Iraq Aaj Tumhare Darmiyan Woh Shakhs Shaheed Kar Diya Gaya Jis Se Elm Me (Ummat Ke) Awwalin Bhi Sabqat Nahin Kar Sake Aur Aakhireen Me Se Bhi Koi Un Ke Muqaam (Martabe) Ko Na Pahunch Sakega.
Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Jab Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ko Kisi Jihaad Kee Muhim Par Rawaana Farmate To Un Kee Daayi Taraf Hazrat Jibra’il Aur Baayi Taraf Hazrat Mika’il Alaihimussalam Raha Karte They Aur Woh Kabhi Bhi Fateh Haasil Kiye Baghair Nahin Laut’te They.”
-
(Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06 Safa:369, Hadees-32094,
Hindi Kanz-Ul-Ummal, 06 Safa:412.]

Hadees # 30

Tarjuma:
“Hazrat Ammara Bin Umair Radiyallahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab (Imam Husain Radiyallahu Ta’ala Anhu Ke Qatil) Ubaidullah Bin Ziyaad Aur Us Ke Saathiyon Ke Sar La Kar Masjid Ke Baraamade Me Rakhe Gaye Aur Mein Us Waqt Un Logon Ke Paas Pahuncha Jab Woh Log Keh Rahe They Woh Aa Gaya, Woh Aa Gaya.
Itni Der Me Aik Saanp Kahin Se Aaya Aur Un Ke Saron Par Ghusna Shuroo Kiya Aur Ubaidullah Bin Ziyaad Ke Nathane Me Ghusa Aur Us Me Thodi Der Thaher Kar Phir Baahar Aa Gaya Aur Kahin Chala Gaya Yaha’n Tak Ki Woh Kahin Ghaayab Ho Gaya.
Phir Achaanak Woh Kehne Lage Woh Aa Gaya, Woh Aa Gaya.
Woh Saanp Phir Aaya Aur Yahin Amal Us Ne Do² Ya Teen³ Baar Dohraaya.”

رواهالترمزيوالطبراني.
وقال : أبوعيسى : هذاحديثحسنصحيح.
-
(Tirmidhi As-Sunan, 05 Safa:660, Hadees-3780,
Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Kabir, 03 Safa:112, Hadees-2832,
Mubarakpuri Tuhfat-Ul-Ahwadhi)


Hadees # 31

Tarjuma:
“Hazrat Qurra Bin Khalid Farmate Hain Ki Mein Ne Suna Hai Ki Hazrat Abu Riza Ataaridee Farma Rahe They:
Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Aur Us Khanwada-E-(Nubuwwat) Ko Gaaliya’n Mat Do Hamara Aik Padosee Jo Ki Bil Hajeem Se Tha Kehne Laga :
Kya Tum Yeh Nahin Dekhte (Ma’azallah) Ki Us Faasik Husain Ibn Ali Ko Allah Ta’ala Ne Qatl Kar Diya (Us Ka Yeh Kehna Hee Tha Ki) Usee Waqt Allah Ta’ala Ne (Aasmaan Se) Us Kee Donon Aankhon Me Do² Sitaare Maare Aur Woh Andha Ho Gaya.”

رواهالطبراني.
إسنادهحسنورجالهرجالالصحيح.
-
(Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Kabir, 03 Safa:112, Hadees-2830,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa'id, 09 Safa:192,
وقال : ورجالهرجالالصحيح.]

Hadees # 32

Tarjuma:
“Hazrat Umme Salma Radiyallahu Ta’ala Anha Riwayat Karti Hain Ki Jab Hazrat Fatima Radiyallahu Ta’ala Anha Apne Marze Wisaal Me Mubtila Huwi To Mein Un Ki Teemardari Karti Thi.
Beemaari Ke Us Poore Arse Ke Dauraan Jaha’n Tak Mera Khayaal Hai Aik Sub’h Un Ki Haalat Qadre Behtar Thi (Kuchh Thik Thi) Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Kisi Kaam Se Baahar Gaye Sayyada-E-Qa’inat Ne Kaha :
Aye Amma Mere Ghusl Ke Liye Paani Laaye, Mein Paani Laayi Jaha’n Tak Mera Khayaal Hai (Us Din) Unhone Behtareen Ghusl Kiya.
Phir Boli :
Amma Jee Mujhe Naya Libaas De.
Mein Ne Aisa Hee Kiya.
Phir Woh Qibla Rookh Ho Kar Let Gayi Haath Rookhsaar Mubarak Ke Neeche Kar Liya Phir Farmaya :
Amma Jee Ab Meri Wafaat Ho Jaayegi Mein (Ghusl Kar Ke) Paak Ho Chuki Hoo’n Lihaaza Mujhe Koi Na Khole Pas Usee Jageh Un Ki Wafaat Ho Gayi.
Hazrat Umme Salma Farmati Hain Ki Phir Hazrat Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Tashreef Laaye To Mein Ne Unhein Saari Baat Sunaayi.”
-
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06 Safa:461, Hadees-27656, 27657,
الدوﻻبىفىالذريةالطاهرة،١١٣Safa:١،
Zayla'i Nasab-Ur-Rayah, 02 Safa:250,

ومحبالدينفىذخائرالعقبى،١٠٣Safa:¹،
Haythami Majma'-Uz-Zawa'id, 09 Safa:210,
Ibn Athir Asad-Ul-Ghabah, 07 Safa:221.]

Hadees # 33

Tarjuma:
“Hazrat Khaisama Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Khalid Bin Walid Radiyallahu Ta’ala Anhu Ke Paas Aik Aadami Laaya Gaya Us Ke Paas Sharaab Ki Suraahi Thi, Aapne Farmaya:
Aye Allah Ise Shahad Bana De.
To Woh Sharaab Fauran Shahad Me Tabdeel Ho Gayi.”
“Aur Aik Riwayat Me Hai Ki Jab Hazrat Khalid Bin Walid Radiyallahu Ta’ala Anhu Hurra Ke Maqaam Par Aaye To Un Ke Paas Zahre Qaatil Laaya Gaya, Unhone Use Hatheli Par Daala Aur Bismillah Kar Ke Pee Gaye (Magar Us Zahar Ne Un Par Koi Asar Nahin Kiya).”

رواهاللالكاءيوالذهبيوالعسقلاني.
وقال : رواهأبويعلىوابنسعدوابنأبيالدنيابإسنادصحيح .
-
(Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', 02 Safa:254, Hadees-94, 97,
Dhahabi Siyar A'lam-Un-Nubula', 01 Safa:375, 376,
Asqalani Al-Isabah, 02 Safa:254,
Razi At-Tafsir-Ul-Kabir, 21 Safa:89.]

Hadees # 34

Tarjuma:
“Hazrat Abu Khalda Taba’i Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Abu Aaliya Se Poochha:
Kya Hazrat Anas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Se Hadithon Ki Sama’at Kee Hain?
Abu Aaliya Ne Farmaya :
Hazrat Anas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Das-10 Saal Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ki Khidmat Kee Aur Rasoolullah Swallallahualaihiwasallam Ne Un Ke Liye Duaa Farmayi Jis Kee Wajeh Se Hazrat Anas Ka Baagh Saal Me Do² Martaba Fal Deta Tha Aur Un Ke Baagh Me Aik Khushboodar Pauda Tha Jis Se Unhein Kastoori Ki KhushAbu Aati Thi.”

رواهالترمزي. وقالأبوعيسى : هذاحديثحسن.

-(Tirmidhi As-Sunan, 05 Safa:683, Hadees-3833,
Dhahabi Siyar A'lam-Un-Nubula', 03 Safa:400,
Asqalani Al-Isabah, 01 Safa:127,
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, 02 Safa:401, Hadees-5952.]

Hadees # 35

Tarjuma:
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Aik Taweel Riwayat Me Hai Ki Hazrat Khubaib Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Ghazawa-E-Badr Me (Sardare Quraish) Haaris Ko Qatl Kiya Tha (Baad Ke Aik Waaqiye Me) Hazrat Khubaib (Giraftaar Ho Kar) Un Ke Qaidee Ban Gaye.
Haaris (Jise Hazrat Khubaib Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Qatl Kiya Tha) Ki Aik Beti Kaha Karti Thi Ki Mein Ne Hazrat Khubaib Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Zyaada Achchha Aur Nek Koi Qaidee Nahin Dekha Aur Beshak Mein Ne Hazrat Khubaib Radiyallahu Ta’ala Anhu Ko (Dauraane Qaid) Angoor Ka Khoosa (Guchchha) Khaate Huwe Dekha Halan Ki Un Dino Makka Me Koi Fal Nahin Milta Tha (Ya’ni Falon Ka Mausam Bhi Nahin Tha) Aur Waise Bhi Woh Zanjeeron Me Jakade Huwe They.
So Yeh Woh Rozee Thi Jo Allah Ta’ala Unhein (Ghaib Se) Ata Farmata Tha.”
-
(Bukhari As-Sahih, 04 Safa:1499, Hadees-3858, &03 Safa:1108, Hadees-2880,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02 Safa:310, Hadees-8082,
Abd-Ur-Razzaq Al-Musannaf, 05 Safa:353, Hadees-9730,
Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Kabir, 04 Safa:221, Hadees-4191,
Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', 01 Safa:101, Hadees-53,
Asqalani Fat'h-Ul-Bari, 07 Safa:384,
Ibn Abd-Ul-Barr Al-Isti'ab, 02 Safa:779, Hadees-1305,
Tabari Tarikh-Ul-Umam Wal-Muluk, 02 Safa:78.]

Hadees # 36

Tarjuma:
“Hazrat Jaabir Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Ghazawa-E-Uhad Ka Waqt Aa Gaya To Mere Waalid (Hazrat Abdullah Radiyallahu Ta’ala Anhu) Ne Mujhe Raat Ke Waqt Bulaaya Aur
Farmaya :
Mein Yahin Dekhta Hoo’n Ki Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ke Ashaab Me Sab Se Pehle Mein Shaheed Kiya Jaoonga Aur Mein Apne Baad Kisi Ko Nahin Chhod Raha Hoo’n Jo Rasoolullah Swallallahualaihiwasallam Ke Alaawa Mujhe Tum Se Zyaada Azeez Ho Mujh Par Qarz Hain Ise Ada Kar Dena Aur Apni Bahnon Ke Saath Achchha Sulook Karna.
Subah Huwi To Sab Se Pehle Vahi Shaheed Kiye Gaye.
Aur Aik Doosare (Shaheed) Ke Saath Dafan Kiye Gaye.
Phir Mera Dil Us Par Rajaamand Na Huwa Ki Unhein Doosaron Ke Saath Chhode Rakhoo’n Lihaaza (Tadfeen Ke Baad) Chhe-06 : Mahinon Ke Baad Mein Ne Unhein Nikaala To Woh Usee Tareh (Tarotaaaza) They Jaise Dafan Karne Ke Din They, Siwaye Aik Kaan Ke Jo Ki Jung Ke Dauran Shaheed Ho Gaya Tha.”

رواهالبخاري.
وقالالحاكم : هذاحديثصحيحعلىشرطمسلم.
-
(Bukhari As-Sahih, 01 Safa:453, Hadees-1286,
Hakim Al-Mustadrak, 03 Safa:224, Hadees-4913,
Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, 06 Safa:285, Hadees-12459,
Asqalani Muqaddimah Fat'h-Ul-Bari, 01 Safa:270,
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, 02 Safa:399, Hadees-5945.]


Hadees # 37

Tarjuma:
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Aik Lambi Riwayat Me Marwi Hai Ki Kuffare Quraish Ne (Dhokhe Se Shaheed Karne Ke Baad) Aik Daste Ko Shinaakht Ke Liye Hazrat Aasim Radiyallahu Ta’ala Anhu Ki Laash Me Se Tukada Kaat Kar Laane Ke Liye Bheja.
Hazrat Aasim Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Ghazawa-E-Badr Me Un Ke Bade Sardaaron Me Se Aik Ko Qatl Kiya Tha So (Us Daste Ke Pahunchte Hee) Allah Ta’ala Ne Un Kee Laash Ke Paas Bhidon (Laal Rang Ke Tataiyon) Ki Tareh Koi Jaanwar Bhej Diye Jinhone Kisi Ko Un Ke Laash Ke Paas Bhi Aane Nahin Diya Aur Woh Un Ke Jism Ka Koi Hissa Le Jaane Me Kamyab Na Ho Sake.”
-
(Bukhari As-Sahih, 04 Safa:1499, Hadees-3858, &03 Safa:1108, Hadees-2880,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02 Safa:310, Hadees-8082,
Abd-Ur-Razzaq Al-Musannaf, 05 Safa:353, Hadees-9730,
Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Kabir, 04 Safa:221, Hadees-4191,
Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', 01 Safa:101, Hadees-53.]


Hadees # 38

Tarjuma:
“Hazrat Anas Radiyallahu Ta’ala Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Do² Aadami Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ki Bargah Se (Majlis Khatm Hone Ke Baad) Andheri Raat Me (Ghar Jaane Ke Liye) Nikale To (Us Andheri Raat Me) Achaanak Aik Noor Un Ke Samne Aa Gaya (Aur Woh Un Ke Saath-Saath Roshani Ke Liye Raha) Aur Jab Woh Donon Aadami (Apne-Apne Ghar Jaane Ki Wajah Se) Alag-Alag Raah Par Chal Pade To Woh Noor Bhi Un Donon Ke Saath (Do² Hisso Me Bat Kar) Alag-Alag Ho Gaya.
Hazrat Anas Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ki Bargah Se (Andheri Raat Me Ghar Jaane Waale Woh Donon Aadami Hazrat Usayd Bin Huzayr Aur Abbaad Bin Bishr They) .”
-
(Bukhari As-Sahih, 03 Safa:1384, Hadees-3594, &
01 Safa:177, Hadees-453, &
03 Safa:1331, Hadees-3440,
Abu Ya'la Al-Musnad, 05 Safa:361, Hadees-3007,
Bayhaqi Al-I'tiqad, 01 Safa:310,
Nawawi Riyad-Us-Saleheen, 01 Safa:566, Hadees-1506,
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, 02 Safa:399, Hadees-5944.]

Hadees # 39

Tarjuma:
“Hazrat Aaisha Siddiqua Radiyallahu Ta’ala Anha Riwayat Farmati Hain Ki Jab Hazrat Najjashi Radiyallahu Ta’ala Anhu (Shaahe Habsha) Faut Ho Gaye To Hum Bayan Karte They Ki Un Ki Qabr Par Hamesha Noor (Barasta) Dekha Jaata Hai.”
-
(Abu Dawood As-Sunan, 03 Safa:16, Hadees-2523,
Dhahabi Siyar A'lam-Un-Nubula', 01 Safa:430,
Asqalani Al-Isabah, 01 Safa:206, Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, 02 Safa:400, Hadees-5947,
Ibn Kathir Tafsir-Ul-Qur'an Al-Azeem, 01 Safa:444.]


Hadees # 40

Tarjuma:
“Hazrat Safeena Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Samandar Me Kashtee Par Sawaar Huwa.
Woh Kashtee Toot Gayi To Mein Us Ke Aik Takhte Par Sawaar Ho Gaya Us Ne Mujhe Aik Aisee Jageh Faink Diya Jo Sher Ki Kachchh’haar (Sher Ke Rehne Kee Jageh) Thi.
Vahi Huwa Jis Ka Dar Tha (Achaanak) Woh Sher Saamne Tha, Mein Ne Kaha Aye Abul Haaris (Sher) Mein Rasoolullah Swallallahualaihiwasallam Ka Ghulaam Hoo’n To Us Ne Fauran Apana Sar Kham Kar Diya Aur Apne Kandhe Se Mujhe Ishaara Kiya Aur Woh Us Waqt Tak Mujhe Ishaara Aur Rehnumayi Karta Raha Jab Tak Ki Us Ne Mujhe Sahee Raah Par Na Daal Diya.
Phir Jab Us Ne Mujhe Sahee Raah Par Daal Diya To Woh Dheemi Aawaaz Me Gur Guraaya.
So Mein Samajh Gaya Ki Woh Mujhe Alwida Keh Raha Hai.”

رواهالحاكموالبخاريفىالكبيروالطبرانيوالبغويفيشرحالسنة.
وقالالحاكم : هذاحديثصحيحالإسناد.
-
(Hakim Al-Mustadrak, 02 Safa:675, Hadees-4235, &03 Safa:702, Hadees-6550,
Bukhari Tarikh-Ul-Kabir, 03 Safa:195, Hadees-663,
Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Kabir, 07 Safa:80, Hadees-6432,
Ibn Rashid Al-Jami', 11 Safa:281,
Lalka'i Karamat-Ul-Auliya', 01 Safa:158, Hadees-114,
Baghawi Sharh As-Sunnah, 13,313, Hadees-3732,
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, 02 Safa:400, Hadees-5949.]

Hadees # 41

Tarjuma:
“Hazrat Abdullah Bin Umar Radiyallahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ne (Hazrat Sa’d Bin Muaaz Ansaari Radiyallahu Ta’ala Anhu Ke Mut’alliq) Farmaya :
Yeh Woh Hastee Hai Jis Ki Wafaat Se Arsh Bhi Hil Gaya, Aasmaan Ke Darwaaze Khol Diye Gaye Aur Sattar Hajaar Farishte Us Ke Janaze Me Shareeq Huwe.
Aik Dafa Qabr Ne Use Dabaaya Phir Kushaada (Chaudi) Kar Dee Gayi.”
“Aur Aik Riwayat Me Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya :
Tamam Tareefe Allah Ke Liye Hee Hai Agar Koi Qabr Ke Dabaane Se Bach Sakta To Sa’d Bin Muaaz Bhi Zaroor Us Ke Dabaane Se Bach Jaate.
(Momineen Aur Saaliheen Ke Liye Qabr Ka Dabaana Ba’ise Raahat Hota Hai Jaise Maa Bachche Ko God Me Le Kar Muhabbat Se Dabaati Hai.”

وقالالعسقلاني : ورجالهثقاتمحتجبهمفيالصحيح.
-
(Nasa'i As-Sunan, 04 Safa:100, Hadees-2055, &
As-Sunan-Ul-Kubra, 01 Safa:660, Hadees-8182,
Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Awsat, 02 Safa:199, Hadees-1707, &
Al-Mu'jam-Ul-Kabir, 06 Safa:10, Hadees-5333,
Ibn Rahawayh Al-Musnad, 02 Safa:552, Hadees-1127,
Zayla'i Nasab-Ur-Rayah, 02 Safa:286,
Suyuti Sharh Ala Sunan-Un-Nasa'i, 04 Safa:101, Hadees-2055,
Asqalani Al-Qawl-Ul-Musaddad, 01 Safa:81.]

Hadees # 42

Tarjuma:
“Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ke Kisi Sahabi Ne Aik Qabr Par Khaima Lagaaya Unhein Maaloom Na Tha Ki Yeh Qabr Hai Achaanak Pata Chala Ki Yeh Qabr Hai Aur Us Ke Andar Koi Aadami Soorah Moolk Padh Raha Hai Yaha’n Tak (Us Sahaabi Ne Suna Ki) Use Padhane Waale Ne (Qabr Ke Andar) Mukammal Soorah Mulk Padhi (Yeh Sun Kar) Woh Sahabi Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ki Khidmat Me Haazir Huwe Aur Arz Kiya Ya Rasoolallah Swallallahualaihiwasallam
Mein Ne (Bhool Kar) Aik Qabr Par Khaima Lagaaya Aur Mujhe Yeh Khayaal Nahin Tha Ki Yeb Qabr Hai Achaanak Suna Ki Aik Aadami Qabr Me Soorah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak Ki Mein Ne Suna Us Ne Mukammal Soorah Mulk Padhi.
Huzoor Nabi-E-Akram Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya:
Yeh (Soorah Mulk Azaabe Qabr Ko) Rokne Waali Hai Aur Azaabe Qabr Se Nizaat Dene Waali Hai.”

رواهالترمزيوالبيهقي.
وقالأبوعيسى : هذاحديثحسن.-
(Tirmidhi As-Sunan, 05 Safa:164, Hadees-2790,
Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, 02 Safa:495, Hadees-2510,
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, 01 Safa:405, Hadees-2153,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02 Safa:247, Hadees-2266,
Ibn Kathir Tafsir-Ul-Qur'an Al-Azeem, 04 Safa:396,
Qurtabi Al-Jami' Li-Ahkam-Ul-Qur'an, 18 Safa:205.]

-Shaikh Mohammad Imran Saifi
,



Khawarij Wahabia (Deobandi Tabligi Gahair Muqallid Salfi Jamate Islami Wa Jamatul Muslimin) Tamam Giroh Huzoor ﷺ Kay Mubarak per Anghothay Chomne Ko Najaz Wa Biddat Kehtay Hain

Jab ki Ahe Sunnat Kay Akabarin Ka Ye Maumul Tha Kay Wo Anghothay Chomne Ko Jayaz Samjhtay Thay Aur Unahon Nay Apni Kutub Mein Bhi is baat ko likha Hai

Hazrat ismail haqqi rohul Bayan Mein likhtay Hain”Qasasul Ambiya Wagera Kutub Mein Hain Kay Jab Hazrat aadam Aleslam Ko janat Huzoor ﷺ Ki Mulaqat Ka Ishtiyaq Howa Tu Allah Nay Unki Taraf Wahee Bheji Kay Tumhare Salb Say Aakhir Zamane  Mein zahor Farmayen Gay Tu Hazrat Aadam Alehsalam Nay Aapki Mulaqat Ka sawal Kiya tu Allah Nay Hazrat Aadam kay Daiyen Hath kay Kalime Ki Ungli Mein noor Muhammadi ﷺ Chamkaya Tu Us Noor Nay Allah Ki Tasbeeh bayan Ki isi Wastay is Ungli Ka Naam Kalime ki Ungli Howa Jaisa kay Rauzul faiq Mein Hai Aur Allah Nay Apne Habib Kay jamal Muhammadi ﷺKo Hazrat Aadam Alehsalam Kay Dono Anghoton Kay Nakhono Mei misle Aaina Zahir Farmaya Tu Hazrat Aadam Alesalam Nay Apnay Anghoton Kay Nakhono ko Choom Kar Aankhon per Phera aur ye Sunnat Unki Aulad Mein Jaari Howi Phir Jab Jibril Ameen Nay Huzoorﷺ Ko isi Khabar di tu Aap Nay Farmaya Jo Shaks Azan Mein Meera Naam Sune Aur Apne Anghothon Kay Nakhono Ko Chom Kar Ankhon Say Lagaye Wo Kabhi Andha nahi Hoga..

*Tafsir Rohul bayan V 7 Page 229*

Hazrat imam Sakhawi Riwayat Naqal Faramatay hain Hazrat Tauoos Farmatay hain Unaho Nay Khawaja Shamshuddin Abi Nasar Al BukharinSay Ye Hadees Suni  Kay Jab Mauzin Say Kalima Shahadat Sun Kar Anghothon Kay Nakhon Choom e Aur Aankhon Say Lagayae Aur Dua  padhay “الھم احفظ حدقنی الخ” Tu wo Andha Na Ho Ga..

*AL Maqaidul Hasna, Page 608*

Hazrat  Abukar Siddiq ؓNay Mauzin Kay Qaul   اشہدان محمد رسول اللہ ko sunkar Anghothon Ko Choma Aur Aankhon Say Lagay Tu

Huzoorﷺ Nay Irshad Farmayaa ما فعل خلیلی فقد حلت علیہ شفاعتی Jis Tarah Mere Khalil Abubakar Siddiq Nay Kiya jo bhi Aisa Hi Kare Ga Us Kay liye Meri Shifaat Wajib Hogai..

*KASHFUL KHIFA V 1 Page 206*

Hazrat imam Quhastani Likhtay hain “jaan Lo Be Shak Azan ki Pehli Shahadat Ki Sunne Per  صلی اللہ تعالی  علیک یا رسول اللہ  Aur Dusri Shahadat Kay Sunne per قرۃ عینی بک یارسول اللہ  Kehna Mustahab Hai Phir Apne Anghoton Ko Choom Kar Apni Ankhon Per Rakhe  Aur kahe اللھم متعنی بالسمع والبصر  Tu  Huzoorﷺ Aisa Karnay Wale ko Apnay Piche piche Jannat mein Lay jayen Gay jaisa ki Kanzul Ibad Mein hai۔۔

*Hashiya Tahtawee page 205*

Fiqah ki mustanad Kitab Jame ur Roomuz Mein likha Hai”Aur Maloom Ho Kay Ye Mustahab Hai Kehna Dusri Shahadat Mein Say pehli Ko Sunne kay Waqat صلی اللہ تعالی  علیک یا رسول اللہ   Aur dusri Ko Sunnne kay baad  قرۃ عینی بک یارسول اللہ kahe Phir Kaheاللھم متعنی بالسمع والبصر   Tu  Huzoorﷺ Aisa Karnay Wale ko Apnay Piche piche Jannat mein Lay jayen Gay..

 *Jame ur Romoz page 7*

Hazrat imam Noruddin khirasanai ko kisi Nay Azan Kay Waqat AnghoThon Ko Ankshon per MaltayHowe Dekh Kar pocha Tu Aap nay Farmaya kay main Pehle Anghothy Chom kar Ankhon Per lagata Tha Bad Mein Tark kar diya Meri Ankhen Kharab Hogai main Nay Khawab Mein Huzoor ﷺ Ko Dekha Tu Farmaya Tu nay Azan Kay Waqat AnghoTay Chom Kar Aankhon say lagana Kiyun Tark kar Diya Agar Tu Chahta Hai Kay Teri Ankhen dursut hojayen Tu Wo Amal Phir Say Shuro Kar Day Pas Mein Bedar Howa aur Ye amal main Nay shuro kar diya Tu Meri Ankhen Durust hogai Aur Uskay bad Ab Tak Wo marz nahi Lauta….

*KIFYATUL Talib ur Rabbani vol 1 page 482*

Hazrat Wahab Bin Munba Farmatay hain kay bani israil Mein Ek Aisa Mard Tha Jiskay 100 Saal Jurm Wa Khata Mein Guzre Jab Uska inteqal Howa Tu bani israil nay Usay Bila Kafan Wa Dafan Aise Hi Phenk diya Allah nay Hazrat Mosa Ko Wahi Bheji Kay us Shaks Ko Kafna kar Bani israil Ko Bulakar usper Namaz janaza padhi Jaye Jab Allah Say iska Sabab Dariyafat Kiya gaya Tu Allah Nay Farmaya is Liye Kay isnay Tauraat Mein Mere Habeeb Ka isme Girami Dekha Tu Use Bosa Day Kar Aankhon Per Rakha Aur Durood Bhi Padha isi Liye Main Nay Usay Baksh Diya Aur Use Hoor Bhi inayat Kardi

*AL KHASAIS UL KUBRA V 1 PAGE  29*

Shafai Maslak Ki Kitab Eiyanatul Talibeen Mein Likha Hai “Jis waqat Mauzin Ko  اشھد ان محمد رسول اللہ Kehtay Sunay Tu Kahe Mere Aaqa Mere Aankhon Ki Rahat wa Thandak Huzoor ﷺ Ko Khosh Aamadid Aur Phir Dono Anghothon  Ko Apni Aankhon Per Rakhe Tu Na Kabhi Andha Ho Aur Na Kabhi Ankhen dukhen “

*Eiyanatul Talibeen vol 1 page 243*

Hazrat Imam Shami Likhtay hain”Mustahab Ye Hai Pehli Martaba  اشھد ان محمد رسول اللہ Suntay Waqat صلی اللہ   علیک یا رسول اللہ  Aur dusri Martaba  اشہدان محمدا رسول اللہ   Suntay  waqat قرۃ عینی بک یارسول اللہ   kahe Phir Dono Anghothon kay nakhono ko Dono Aankhon Per  Rakhkarnاللھم متعنی بالسمع والبصر  Kahe Tu Huzoor Usko Apne Piche  piche Jannat Mein Le Jayen gaynAisa Hi kanzul ibad imam QuhastaninMein Aur isi Tarah Fatawa Sufia Aur Kitab  al firdaus Mein Hai Kay Jo shaks Azan Mein اشھد ان محمد رسول اللہsunkaar Apne Anghoton Ko Nakhono Ko Chome {Uskay mutaliq Huzoor irshad hai} Mein Uska Qaid banon Ga Usko Jannat Ki Safon Mein Dakhil karon ga iski Puri Tashreeh Aur Bahas bahar ur Raiq Kay Hawashi Ramli Mein Maujod Hai”….

*Raddul Muhtaar Vol 2 Page 68*

Wahabi Deobandi Ghair Muqallid Ka Mutafiqa imam Molvi Abdul Hai Lukhnavi Say Sawal Howa Kay “Huzoor Ka Naam Azan Mein Sunkar Anghotay Chomna Kaisa Hai? Is Sawal kay Jawab Mein Molvi Abdul hai Lukhnavi Jawab Deatay hain Kay “Baaz Fuqah Kay Nazdik Mustahab Hai Jaame Ur Romoz Mein Hai اعلم انہ یستحب  ان یقال عند سماع الاول من الاول من الشھادۃ صلی اللہ علیک یا رسول اللہ وعند سماع الثانیۃقرۃ  عینی بک یا رسول اللہ ثم قال اللھم متعنی بالسمع والبصر و بعدہ وضع ظفر الیدین علی العینین فانہ صلی اللہ علیہ وسلم یکون قائدا لہ الی الجنۃ کذا فی کنزالعباد  janna Chahiye kay {Azan Mein} Pehli Shahadat Ko Sunkarصلی اللہ   علیک یا رسول اللہ  Aur Dusri Ko Sunkar قرۃ عینی بک یارسول اللہ     Phir اللھم متعنی بالسمع والبصر

Kehna Mustahab Hai Uskay Baad Dono Hathon Kay Dono Nakhono Ko Aankhon Per Rakhe Pas Aanhazrat Us Shaks Ko Jannat Mein Le Jayen Gay Aisa Hi Kanzul ibad Mein likha Hai”

*Majmua Fatawa Abdul Hai  vol 1 page 196,197 Mutarajim Barkat ullah Deobandi*

Deobandi Dharam Kay Molvi Fareed Apne Fatwe Mein Anghothay Chomnay kay Sawal Kay jawab Mein Likhta hai “Jame Ur Romuz Kanzul ibad Fatawa

Sufia Aur kitab Al firdaus Wagera Mein is {Anghotay} Chomnay Ko Jayaz Kaha gaya Hai Aur isi Baab Mein Ahadees Marfoo Zaeef marwi Hain Pas Baaz

Auqat Bataur Ahteyat Ye {Anghotay Chomnay Wala} kaam Qabile Aitraz Nahi Hai”

*Fatawa fareedia Vol 2 Page 182,183*


Hazrat Maulana Room Masnavi Shareef Safa 114 mein Farmatay hain

بوسہ داندے بر آں نام شریف رو نہادندے بداں وصف لطیف

 Is Masnavi ka Tarjama Qazi Sajjad Husain Deobandi Karta hai Ki

“is Mutbarrak Naam {Muhammadﷺ} Ko Bosa Dete is Paak Tareef Per Moon Rakh Detay”

Tafsir e Jalalain mein Likha Hai

”Hazrat Abu Talib Makki Quwatul Qulob Mein Syedna ibne Ainiya Say Riwayat Kartay Hain Huzoor ﷺMasjid Mein Tashrif Laye Aur Hazrat Abubakar Siddiq Nay Apne Dono Anghothon Kay Nakhono Ko milaya Aur Kaha قرۃ عینی بک یارسول اللہ    Aur Jab Hazrat Bilal Azan Say Faragat Pakar Hazir Howe Tu Huzoorﷺ Nay Farmaya Aye Abubakar Jo Shaks Wo Kahe Jo Tu Nay kaha Aur Jo Shaks Wo Kare Jo Tu Nay Kiya Shauq Aur Meri Mohabbat Ki Waje Say Tu Allah Use Baksh Dega Uskay Gunah Kitne Hi Hun Nay Hun Ya Puranay Qasdan Hun ki Bhol Kar Chupe Howe Hun Ki Zahir Aise hi Jame Ul Muzmirat Mein Naqal Kiya Hai Kay Huzoor ﷺ Ka irshad hai Ky Jisnay Azan Mein Mera Naam Suna Phir Usnay Apnay Dono Anghoton Kay Nakhono Ko Choma Aur Apni Dono Aankhon Per Lagaya Wo Kabhi Andha Na hoga..

*Tafsir e Jalalain Page 405*


BarnaBas Ki injeel kay Taluk Say Deobandi molvi Ameen Safdar tajalliyat Safdar Mein likhta Hai “Barnabas Ki injeel hi Asli injeel Hai vol 1 page 665” pata Chala Ki Jo injeel Mein likha Hai Wo sab Sahi hai Ab isi  injeel Mein Hazrat Adam ka Ek Amal Bhi Zikr Kiya Howa Barnabas Ki injeel Mein likha hai “ Pas Aadam nay Ba Minnat Ye kaha Ky Aye Parwardigar Ye Tahrir  mujhe  mere Hath Ki Ungliyaun Kay Nakhono Per Ata Farma,,Tab Allah Nay Pehle Insan Ko Ye Tahrir Uskay Anghothay Kay Nakhon Per Ye ibarat لا الہ الااللہ Aur Bayen hath Kay Anhghothay Kay Nakhon Per Ye ibarat محمد رسول اللہ Tab Pehle insan nay Un Kalimat Ko Pidri Mohabbat Kay Sath Bosa Diya Aur Apni Dono Ankhon Say Malaa Aur kaha Mubarak hai Wo Din Jis Mein Ky Tu Duniya Ki Taraf Aaye Ga

*INJEEL BARNABAAS page 171 {MUTARJIM DEOBNAADI MUHAMMAD HALIM}*

Hazrat Mulla Ali Qari Anghotay Chomne Wali Hazrat Abubakr Siddiq ؓwali Riwayat Kay Taluk Say Tahrir Farmate Hain “Main Kehta Hun Kay Jab is Hadees Ka Rafa Hazrat Siddiq Akber ؓTak Sabit Hai Tu Amal Kay Liye Kaafi Hai Kiyun Kay Huzoor ﷺka Farman Hai Kay Main Tum Per laazim Karta hun Apni Sunnat Aur Apne Khulfa e Rashadeen Ki Sunnat”

*Al israr Ul Marfooa Page 306*

Kahan Wo Jahil Molvi Jo Naam e Mustafa Chomne Walon Ko Biddati Kehtay Hain Imam Ahmad Raza Ki ijad Kehtay Hain kiya Hazrat Mulla Ali Qari Bhi Biddati Thay Kiya Mulla Ali Qari Bhi Barelvi Thay? Wahabdon Himmat Karo Aur Hazrat Mulla Qari Per Fatwa Laga Do Dekhtay Hain Kismein Himmat Hai

Deokhani Deobandi Dharam Kay Molvi Abdul Shakoor Likhta Hai”Azan Sunne Wale Ko Mustahab Hai Ki Pahli Martaba اشہدان محمد رسول اللہ   Sune Tu Ye Bhi Kahe صلی اللہ   علیک یا رسول اللہ  Aur Jab dusri Martaba Sune Tu Apne Hath Kay Anghoton Kay Nakhono Ko Aankh Per RakhKar Kahe اللھم متعنی بالسمع والبصر  قرۃ  عینی بک یا رسول اللہ

*Ilmul Fiqah Page 158*

Kiya Koi Deobandi Wahabi hai Jo Apne is Molvi Ko Biidati  Hone Ka Fatwa De Sake?









































































Saturday 12 August 2017

,


Firqa e Wahabia Najdia ki Purani Khaslat Rahi Hai kay Ye Log Jayaz wa Halal mubah chizon Ko Bina Tahqiq kay Na jayaz Haram Shirk Keh detay Hain Hadees ko Jo Maana wa Mafhoom Muhaddasin wa Fuqah Nay Samjha Hai Usko Lenay Kay Bajayae Apni Naqis Aqal ka istemal kartay Hain aur Bholi Bhali Awam ko Dhoka Denay ki Koshish Kartay Hain

In mein Say Ek Masla Taweez Ka bhi Hai ye wahabi Ghair Muqallid Taweez Ko Na jayaz wa Shirk kehtay Hain jab kay Ahadees wa Akabarin Say Taweez Ka Saboot Milta hai yahi Nahi Balki wahabi Dharam kay jo Pehle Molvi thay wo Bhi taweez ko Jayaz Samjhtay thay Aur is per unki Kutub wa Fatwa Bhi Maujod Hai

Huzoor Irshad Faramate Hain Jab Koi Tum Mein Say Neend Mein chaunk Pade kahe “اعوذ say یحزرونTak Yani Main Allah puri Bataun Ki Panah Mein Aata Hun Uskay gazab Say Aur Azab Say Aur Uskay Bandun Kay Fasad Say Aur Waswasaun say Shaitan Kay Aur us Say Kay wo hamare pas Aayen So Wo Khawab use Zarar na Kare ga Abdullah Bin Umro Sikhate Thay Usko Jo Balig Hota Tha Unki Aulad say Aur Jo Na Baligh Hota Tha Us Kay Galey Mein Latka Detay Thy

*{Tirmizi Vol 2 Page 972 Wahabi Tarjama}*


Hazrat Mulla Ali Qari Aur Masla Taweez

Huzoor Irshad Faramate Hain Jab Koi Tum Mein Say Neend Mein chaunk Pade kahe “اعوذ say یحزرونTak Yani Main Allah puri Bataun Ki Panah Mein Aata Hun Uskay gazab Say Aur Azab Say Aur Uskay Bandun Kay Fasad Say Aur Waswasaun say Shaitan Kay Aur us Say Kay wo hamare pas Aayen So Wo Khawab use Zarar na Kare ga Abdullah Bin Umro Sikhate Thay Usko Jo Balig Hota Tha Unki Aulad say Aur Jo Na Baligh Hota Tha Us Kay Galey Mein Latka Detay Thy

{Tirmizi Vol 2 Page 972 Wahabi Tarjama}

*Tirmizi Ki isi Hadees Kay tahat Hazrat Mulla Ali Qari Likhtay Hain “Jin Tawizat Mein Allah Kay Amaa Hun Unko latkane Kay Liye Ye Hadees Asal hai*

(Mirqat Sharah Mishqat Vol 5 Page 384,)

Imam Malik Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai

Imam Ibne Abdul bar Likhtay Hain Kay Hazrat imam Malik Nay Kaha “Jab Taweez Latkane Say Ye Irada Na Ho kay is say Nazar Nahi Lage Gee Ya Koi Bimaari Nahi Hogi Tu Taweez {Galy Mein} Latkana Jayaz Hai Kisi Bhi Tandrust Aadmi Kay Galay Mein Taweez Latkana Jayz Nahi hai Aur Kisi Musibat Kay Nazil Hone Kay Baad Galay Mein Taweez Latkana Jayaz hai jab Kay is Taweez Mein Allah Tala kay Asma Likhe Howe Hun Aur Is Tawakko Per Taweez Latkaya Jaye Kay is Sa Musibat Tal Jaye Gi Aur Shifa Hasil Hogi

*Al Tamheed Ibne Badulbar vol 17 Page 161*

Imam ibne Hajar Kay Nazdeek Taweez Jayaz Hai

Hazrat Imam Ibne Hujar Hasqalani Likhtay hain “Wo Tamaim {taweez} Jismein Quran Aur Zikr Ullah Kay Alfaz Hun Un Kay Istemal Mein Koi Harj Nahi hai Kiyun Kay Wo Tabarruk Kay Manind hai Aur Un Taweez Mein Allah Ka Naam Aur Zikr Hota Hai

*Fatul Baari Sharah Sahih Ul Bukhari Vol 6 Page 147*

Hazrat Imam Malik Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai

Hazrat Imam Malik Faramate Hain “is Baat Mein Koi Harj Nahi kay Hayez Aurten Ya Bachchun Kay Galay Mein Taweez Latkaya jaaye bashrat Ye ki Taweez Kisi Lohe Ya Cahamde Mein Band Ho

*Al Majmoo Sharah Ul Muhazzab vol 2 Page 71*

Hazrat Imam bagwi ؒLikhtay Hain “ Sa,eid Bin Musaiyab SaySawal Pocha Gaya kay Aurtun Aur Chotay Bachon Kay Galay Main Aisay Taweez Latkana Jin Mein Quran Majid Likha Howa Ho Tu iska Kiya Humkam Hai? Hazrat Sa,eid Bin Musaiyab Nay Farmaya Jab Taweez Chamde Mein Bandha Howa Ho Ya Lohe Ki Dibiya Mein Ho Tu Koi Harj Nahi hai

*Saharah Us Sunnah Vol 12 page 158*

Ye Hamare Akabir Ulama e Ahle sunnat ka Mauqaf hai Jo Taweez ko Likhne Aur Pahnne ko jayaz Kehaty hain jab Ki Daure Jadid Ki Nasle Wahabi Taweez Ko Shirk kehtay hain


Hazrat Imam Shami Kay Nazdil Taweez jayaz Hai

Hazrat Imam Shami Likhtay Hain “Logon Kay Aamal is {Taweez} Kay Jawaz Per Hai kay Junbi Ya Haeez {Na Paaki Ki Halat }  Kay Bazoo Per Taweez  Bandha Howa Ho Aur Wo Kisi Cheez Mein Lipta Howa Ho Tu Koi Harj Nahi

*Raddul Muhtar vol 9 Page 523*

Hazrat Imam Shafai Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai

Allama Zarkashiؒ Likhaty Hain “Hazrat Imam shafai Ki Khidmat Mein Ek Shaks Nay Ashobe Chashm Ki Shikayat Ki Tu Aap Nay Ek kagaz Per Usse Ye Taweez Likh Kar Bhejaفکشفنا عنک غطاءک فبصرک الیوم حدید   us Shaks Nay Wo Taweez Pehna Tu uski Bimari Door Hogai “

Alburhan Fi Uloom Ul Quran Vol 1 Page 434

Hazrat Ibne Saalaba  Huzor ﷺkay Paas Tashrif Laaye  Aur Arz karnay Lagay Ya rasool Allah ﷺMere Liye Allah kay Huzoor  Shahadat ki Dua Farmayen Huzoor ﷺNay Farmaya Mere Paas Khuch Baal Lawo  Hazrat Saalba  Baal lekar Hazir Howe Huzoor Nay Farmaya Apne Kandhe Say kapda Hitawo   Sahabi farmatay Hain Huzoor Nay Wo Baal Unakay Baazo Per Bandh Diye Phir Unmein Phonk Maar Kar Farmaya  Aye Allah Saalba Ka Khoon Mushrikin Aur Munafiqeen Kay Liye Haram Farma Day

Al Asaba Fi Tameez As Sahaba Vol 1 Page 394 {Wahabi Tarjama}

Ghair muqallid wahabi molvi ishaq bhatti likhta hai

“Molana Muhammad Khan Tilli Kay Shadid Dard Mein Mubtila Hogaye ilaj Karaya Ifaqa Na Howa Dam Aur Dua Kay liye Sufi Sahab kay Pas Gaye (Wahabi)Sufi Sahab Uswaqat Kisi Kay Liye Taweez Likh Rahe Thy Unaho Nay Sufi Sahab Say Apni Taqleef Ka Zikar Kiya Tu Sufi Sahab Nay Kagaz Pakda Us Kay Wast Mein Gol Dayera Banaya Us Dayere Mein Gol Nishan lagaya Aur Likha “Tilli Ka Dard Kahatam Hoaye Molana Mohamad Hussain Khan Say Farmaya Ye kagaz Tilli Per Bandh Layen Unahon Nay Kagaz Tilli Per Bandh Liya Aur Dard Khatam Hogay
*Sufi Mohammad Abdullah Halaat khidmat Aasar page 404*

Note

Jamat e Wahabia Kay molvi Tausif Ur Rahman Meraj Rabbani Wa Zakar naik Aur inki parastish mein Mubtala wahabi Awam Ahle sunnat per Taweez kay Taluk Say Shirk kufar kay Fatwe Lagate Hain Kiya Aisa koi   wahabi Hai jo Apne is molvi ko Musrik wa Kafir Hone ka Fatwa Day Sakay
is waaiye mein chand chizen Qabile Gaur Hain

1″Wahabi molvi Bimar Hone ka Baad Allah Say Maddad Nahi Manga

2″Apni Bimari ki Mushkil Kushai kay liye Wo wahabi Molvi kay Paas Taweez Lene Per Majboor Hogay

3″.sufi Abdullah wahabi Sufi Taweez Banata tha Matlab wahabi Dharm Kay Hisab say Shirk Mein Mubtila Tha

4″.wahabi molvi Apne sufi ko Muskhil Khusha Samjhta Tha Tabhi tu wo Allah Say Madad Mangbe Kay Bajaye Wahabi sufi Kay Paas Chala gaya

kiya Allah wahabi ko shifa Nahi De sakta tha?

kiya wahabi molvi nay Sufi Abdullah Say madad Mang kar uski Hajat Rawa Muskhil Kusha Nahi Samjha?

agar ye shirk Nahi tu shirk phir kis ko Kehtay hain

5″,Wahabi sufi nay Taweez mein Na Quran Ki aayat Likha Aur Na Hadees sahih wali Dua likha likha tu kiya likha Apna Qaul

kiya sufi Abdullah Ka qaul Quran Wa Hadees Ka Darja Rakhta Hai?

Quran wa Hadees mein Kahan likha Hai ki is tarah ki Taweez pehni jaye?

Kiya Ye Wahabion Ki biddat Nahi Hai?

6″,wahabi kay Taweez dayne Aur Molvi kay Taweez bandne per Usko Shifa mil gai

kiya Allah Kay Alawa Bhi wahabi Mazhab mein Koi illah Hai jo Wahabion ko shifa Deta Hai?


Wahabi Molvi Nazir Hussain Ghair Muqallid Kay Nazdik Taweez Jayaz Hai

Ghair Muqallid imam Nazir Husain dehlvi taweez kay Jayaz hone ka fatwa dete howe likhta Hai “Taweez likh Kar Gale Mein Dalna Jayaz hai Koi Harj Nahi HaiTabain Nay asmein ikhtelaf Kiya Hai Lekin Sahih Yahi Hai Kay Jayaz Hai Quran Sharif Ka Taweez Karne Mein ikhtelaf Hai Maslan Bimar Ya Dase Howe per Padh Kar Dam Dam Kare Ya Kagaz Per Likh Kar Gale Mein Daalay Ya Kisi Thal Mein Likh Kar Mareez Ko Pilaye Tu Ata Mujahid Abu Quaba isko Jayaz Kehty hain Aur Nakhai Aur Basri Makro Galay Mein Taweez Latkane Mein Koi Harj Nahi hai Albatta Qazaye Hajat Kay Waqat Isko Utar Dey”

*{Fatwa Naziriyaa vol 3 Page 298}*

Taweez Kay Jayaz Hone Per Wahabi Ghair Muqallid Molvi Sana ullah Amritasari Ka Fatwa

Sana ullah Amritsari Ghair Muqallid Wahabi Likhta hai “Masla Taweez Mein Ikhtelaf Hai Rajeeh Ye Hai Kay Aayat Ya Kalimat Sahihya Duaiya Jo Sabit Hun Unka Taweez Banana jayaz Hai Hindu Ho Ya Musalman Sahaba Kiram Nay Ek Bimaar Per Sureh Fateha Padh kar Dam Kiya Tha”

*Fatwa Saniya vol 2 Page 339*

Hokasta Wahabi Jan Bachane Kay Liye Kahe Ki Hum is Fatwe ko nahi Mante Janab jab nahi mante Tu Fatwa Kitab Chape kiyun? Aur Apne Wahabi Molvi Ko Abhi Tak ushrik Hone Ka Fatwa Kiyun Nahi Diya Kiyun is kitab Ko Raddi Ki Tokri Mein Abhi Tak nahi dala gaya? Jawab hai ATumhare Paas

Wahabi molvi Abdullah Ropadi likhta Hai

“Quran Majid Ki Aayat Ka Taweez Adab karne Wale Namazi ko Likh Kar deny Mein Koi Harj Nahi Muda Liya Jaaye parda Mein Rahe Peshab Hambistari kay Waqat Utar Liya Jaye

{Fatwa Ahlehadees vol 3 page 420}

Ishaq Bhatti wahabi Ghair Muqallid  apni Kitab Mein likhtay hain

Ek Din Moin uddin {Ghair muqallid wahabi Molvi} say Milnay Ko Ji Chaha Tu Lahor Say Awkaday pahunchGaya Wo Taweez Likh Rahe Thay Aur ird Gird Hujoom E Aashiqan Tha phir Aage Likhtay Hain “Ek Din Batay Kay Ek Shaks Un Kay Paas Kisi Mariz Ko lay Kar Aaya Us kay Liye Taweez Likh dain

{Bazme Arjmandanpage 560,561}

Ibne Tamiya Taweez pahenta Tha

Ibne Tamiya Kay Marne kay Baad Jab Usse Nehlaya  Jaa Raha Tha Tu Us Kay Galya Say Paare wala Taweez Nikla jo Usnr Joween Ko Bhaghane Kay liye Bandh Rakha Tha

*Tareekh ibne Kasir vol 14 page 159 urdu*

Ye baat ibne Kasir Jo ibne Tamiya Ka Shagird Hai Usnay Likhi Hai lihaza wahabi is Riwayat Ko Mauzo zaif Kehkar Picha Churane Ki Koshish Hargiz Na karen

Mumkin Hai wahabk Ye bhi Keh Dain Kya Hum ibne Taimiya Kay Muqallid Nahi Hain Jo uskay is Amal Ko Maan leyen

Tu janab wahabio

agar Aap ibne Taimiya Kay is Amal Ko nahi Mantay tu Ye Bhi Fatws Tamiya Per Laga dijiye ki Wo Mushrik Tha is liye kay usnay Taweez ko Mushkil Kusha Mana Tha Aur Ye Uskay Marnay Tak Ka Amal Raha Hai


-Shaikh Mohammad Imran Saifi
,
Hazrat Ameer muaviya Fazail wa Manaqib


Hazrat Ameer Muaviya Hazrat ibne Abbas ki Nazar mein

Hazrat Ibne Abbas say Pocha Gaya Kay Aap Hazrat  Ameer ul Mominin Ameer Muaviya Kay Baare Mei Kya Raaye  Hai Jab Ki Wo witar KI Ek hi Rakaat Padhtay Hain Hazrat Ibne Abbas Nay Farmaya BE shak Wo Faqeeh Hain

*Bukhari Shareef vol 2 page 436*


Jaame Tirmizi mein Baab ul Manaqib Hazrat Ameer Muaviya

*Huzoor ﷺ Hazrat Ameer Muaviya Kay liye Jannat ki Basharat Farmaye Hain*
Nabi Karim irshad Farmate Hain meri ummat mein say Jo giroh Sab Say Pahle Bahri Jihad Kare ga Un kay Liye Jannat Wajib Hogai bukhari sahrif vol 2 page107 Bukhari sharif Hi mein Dusri Jaga Riwayat Milti Hai ki sahaba kiram Nay Hazrat Ameer Muaviya Kay Sath milkar Sab Say pala Bahri Jihad kiya Bukhari sharif vol 2 page 66,67



*Huzoor ﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya Ko Duayen Di Haain

Huzoorﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya kay LIye Dua farmai ki “ aye Allah is {Ameer muaviya} ko ilm Ata Farma isko Hidayat Ka Rasta Dikhane Wala Aur Hidayat Yaafta Bana Aur Isko Hidayat Ata Farma Aur Iskay Zariye  Dusron Ko Hidayat Ata Farma
 *{kanzul umal vol13 page 349}*



5

Tirmizi Ki Bab ul Manqib Mein Hadees Hai ki”Hazrat Omer Bin KHattab nay Hamas bin Umair bin Sa,ad Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Waali Banaya tu Logon Nay kaha Aap Nay Umair  Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Ameer  Muqarar Farma Diya is per Hazrat Umair Nay Kaha Hazrat AmeerMuaviya Ka zikr Khair say Hi Kiya Karo Kiyun Kay Main Nay Nabi Karim Ko Farmate Suna Ya Allah in {Ameer Muaviya }Kay Zariye Logon ko Hidayat Day [Jame Tirmizi vol 2 page755]





Huzoor ﷺ irshad Farmate Hain Aye Allah {Hazrat} Ameer Muaviya ؓ Ko Quran Aur Hisab Ki Taleem  Daye Use Zameen Ki Badshahi Ata Farma Aur Use Azab Say Azab Say Bacha

{Al Muajjam ul Kabeer vol 19 page 439}





Nabi Karim ﷺIrshad Farmate Hain “Mere Raaz Muaviya Bin Abu Sufiyan ؓHain Tu Jis Nay in Say Mohabbat Ki Wo Najat Pa Gaya Aur Jis Nay in Say Bugaz Rakha Halak Hogaya”

{Al Riyaz Ul Nazra Page 218}

Is Hadees Ko Imam Ibne Hujar Haitmi Nay Apni Kitab Tathir ul Jinan mEin Bhi Naqal kiye Hain









*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*

 Huzoor ﷺ irshad Farmate Hain abubakar Meri Ummat Mein Sab Say Bada Naram Dil Aur Meharban Hai Phir Aap Nay Baqiya Manaqib Khulafa e Araba Zikr Farmaye Uskay Bad Sahaba Ki Dusri Jamat Ka Aap Nay Tazkira Farmaya  Aur Aap Nay Hazrat Ameer  Kay Mutaliq Farmaya  Muaviya Bin Abi Sufiyan Meri Ummat Mein Sab Say Ziyada Burdbaar Aur Sakhi Hai

*Al Mukhtar Fi Usol sunnah  page 154)*




Ibne Asakir Riwayat kartay hain

 Ki Arwa bi Roveem say kaha

Ek Airabi Nabi karim ﷺ kay paas aaya aur bola kay mujh say khushti lado Tu ussay Hazrat Ameer Muaviya Radi Allah Anha Nay kaha main Tujh say Khushti Ladta hun tu (isper) Nabi karim ﷺ  Nay irshad Farmaya kay(Hazrat Ameer) Muaviya Kabhi Maglob Na hun gay chunancha Hazrat Ameer muaviya Nay us Airabi Ko pachad diya Jab Jange siffain Ho chuki Tu Hazrat Ali Radi Allah Anah Nay (Arwa say) kaha kay Agar tum is Hadees zikar Kar Detay Tu Main Muavuya radi allah anah say Jang Na karta

*izalatul khulafa vol 4 page 516*




Hazrat Ali ki wafat aur imam Hasan ki khilafat say Daatbardari Kay baad Hazrat Ameer muawiya Kay liye khilafat Bilitefaq Sahih Sabit Hai Kiyun Kay Hazrat Hasan Radiallahuanha Nay khoon Rezi Say Bachaw Ki Maslihat Ko Madden Nazar Rakhtay howe Khilafat Hazrat Ameer Muaviya Kay Sapurd kardi Aur is Tarah Rasool Allah Ki Hazrat Hasan Kay Bare Mein Peshangoi Bhi Sahih Hogai Kay mera ye Beta Sardar Hai Aur Allah iskay  Zariye 2 Jamaton mein Surah Farmaya Day Ga istarah Hazrat Hasan Radiallahuanha Ki Dastbardari Say Hazrat Ameer Muaviya Radiallahuanha ko Khilafat Tafweez Howi Aur is Saal Ka Naam Hi Aam ul Jamaa ( ijtema wa itefaq wala saal) Mashoor Hogaya Kiyun Kay is saal Tamam Sahaba Kay ikhilafat Kahatam hogaye Aur Sab Nay Hazrat Ameer Muaviya Radiallahuanha ko Khalifa Taslim Kar Liya Kiyun Kay is wafat (Hazrat Ameer Muaviya aur Hazrat imam Hasan Radiallahuanha Kay Alawa ) Koi Teesara Mudai Khilafat Nahi tha

MAZEED Aage Irshad Farmate Hain

*”Ahle sunnat Ka muttafiqa Faisal Hai kay sahaba Kiram Kay Bahami Ikhtelafat per Bahas Wa Mubahisa Na kiya Jaye unki Burai Say Zubane Rok li Jayen unaky Fazail Wa Mahasin Ka izhar Kiya Jaye  jo Waqiyat Aur ikhtelafat Ronuma Howe Uneh Allah Kay Sapurd Kiya Jaaye jaisa kay Hazrat Ali Hazrat Talha Hazrat Zuber Hazrat Aaisha Hazrat Ameer muaviya Radi allah anha wagera kay ikhtelafat ka zikar kiya gaya hai*

*_Ghuniyat ul Talibeen _*

*Note* Sarkar Ghause Azam ki Talim tu ye Hai kay sahaba kay Apasi ikhtelafat mushjirat per Zuban band rakhi jaaye magar Afsos kay baaz log Sahaba kiram ko radi allah anah bhi kehte Hain Aur Unki Zaat per Aitraz Bhi kartay Hain Afos Hai Aise logon per Jamate Ahle sunnat Ki Rawish Say Hat kar Rafziyat Ki Taraf chal pade Hain

Allah Tala Hame Ghause Azam kay Rastay Per Chalne ki Taufiq Ata farmaye.







*Huzoor ﷺ Hazrat jibrael Alehsalam kay Mashware say Hazrat Ameer Muaviya ko Apna katinmb Banaya*
Ibne Kaseer Albadaya Wan Nahaya {Tareekh Ibne kaseer} Mein Riwayat Naqal Farmate Hain

Hazrat Ibne Abbas Bayan farmate hain Kay Jibrael Alehsalam Rasol Allah ﷺ Kay Paas Tashrif Laye Aur kaha Ya Rasool Allah ﷺ Muaviya Radi allah Anhu  Ko Salam Kahiye Aur Uneeh Bhalai Ki Wasiat kijiye Bila Shuba Wo Katib Aur Wahi Per Ameen Hain Aur Bahut Ache Ameen hain

Mazeed Aage Ek Aur Riwayat Ibne Asakir say naqal Karte hain Kay “Rasool Allahﷺ Nay hazrat Amer muaviya Ko Apna Katib Banane Kay Liye Hazrat Jibrael Alehsalam Say Mashwara Kiya Tu Unhaun Nay kaha Uneeh Katib Bana Lijiye

*Tareekh Ibne Kaseer Vol 5 page 158*



Imam ibne hujar makki Likhtay hain

“Hazrat Ameer muaviya  ki khilafat aur  unka musalmano kay umoor ki Nigrani karna aur Khilafat Kay Taqazon Kay Mutabiq  Tasarrif Karna Dusrust Tha Aur Ye sab Batain us Sulah Per Muratib Hoti Hain (Jo imam Hasan radi allah anah Aur Hazrat Ameer muaviya Radialla anah) Pas Us waqat Say Hazrat Ameer Muaviya Ki Khilafat Ka Saboot Ban Gaya Aur iskay Baad wo Imam Bar Haq Aur Sache imam Ban Gaye”

*Al Sawaiq Ul Muharriqa mutarjim page 721*





Imam ul Hind Hazrat Shah Wali Ullah Muhaddis Dehlvi Rahmatullaha Aleh Riwayat Naqal Farmatay Hain
Hazrat Ali shere Khuda Radi allah anah say Ahle jamal kay Taluk say Sawala kiya gaya

Kaha ki

*kiya wo Mushrik Hain ye log(yani Ahle jamal Hazrat Ameer muaviya aur unki Fauj)?*
Hazrat Ali radi Allah anah nay farmaya Ye log Shirk Say Bhagtay Hain

*Pocha gaya kiya Munafiq Hain Ye Log?*

(Hazrat Maula Ali nay farmaya) Munafiq Allah Ka zikr Nahi Kartay Magar Kam(yaani Ahle jamal tu Allah ka zikr Kasrat say karnay wale hain Munafiq tu zikr kartay hain magar bahut kam kartay hain)

*Pocha gaya Phir Ye Log Kiya Hain?*

Hazrat Ali Shere Khuda Nay irshad Farmaya *Ye Hamare Bhai Hain* unaho nay Hus say Bagawat ki Aur Hazrat Maula Ali nay Farmaya main Umeed Karta Hun Hum Misal Un Logon kay Ho Jaayen Gay jin Kay Bary mein Allah Tala ka farman Hai ونزعنا ما فى صدورهم

Aur jo khuch Unkay Dilon mein Gubar Tha Hum usko Door karen Dain gay ki Sab Bhai Bahi Ki Tarah (Ulfat wa Muhabbat) Say Rahen Gay

*izalatul Khifa Vol 4 page 522*




Imam Rabbani Hazrat Mujaddid Alf e Saani Jin kay Taluk say Dr iqbal nay Kaha tha
Hazir Huwa Main Sheikh-e-Mujadid Ki Lehad Par

Woh Khak Ke Hai Zair-e-Falak Matla-e-Anwar
Iss Khak Ke Zarron Se Hain Sharminda Sitare

Iss Khak Main Poshida Hai Woh Sahib-e-Asrar
Gardan Na Jhuki Jis Ki Jhangeer Ke Agay

Jis Ke Nafs-e-Garamond​ Se Hai Garmi-e-Arhar
Woh Hind Mein Sarmaya-e-Millat Ka Negheban

Allah Ne Barwaqt Kiya Jis Ko Khabardar
Hazrat Mujaddid Alfe Sani likhtay hain

Qazi Ayaz Nay kitab Shifa Mein Likha Hai imam Malik Farmatay Hain kay Jis Shaks Nay Huzoor ﷺ Kay Ashab Mein Say Kisi Ko Yani Hazrat Abubakar Hazrat Omer Hazrat Usman Hazrat Ameer muaviya  aur Hazrat Umroo Bon Aas Razi allah Tala anahum Ko Gali Di kah ki wo kufr Aur Gumrahi Per Thy tu wo Wajib ul Qatal Hai Aur iskay Alawa Aur Koi Sab wa shatam ka lafaz istemal kiya jis Tarah Log Ek dusre Ko kahtay Hain Tu isko Sakht Saza di Jaaye

*maktobat imam Rabbani Daftar Awal Hissa Duam page 188*






-Shaikh Mohammad Imran Saifi



Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers