Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday, 18 December 2015

Eid e Miladunnabi Sallallahualaihiwasallam Quran shareef se saabit

Ismay Insha ALLAH taala Hum yeh Saabit karege ki Quran ne khud Milaad manaya


Kuch Basic Tarjume jo sabko pata hoti hai :


Milad kay maana hai : Paidaish


Eid : Khushi


Miladunnabi Sallallahualaihiwasallam: NABI Sallallahualaihiwasallam ki paidaish


Milaad manana : Paidaish ka zikr karna


Eid e Miladdunnabi Sallallahualaihiwasallam manana : NABI Sallallahualaihiwasallam ki paidaish ki khushi ka zikr karna.


Ab Daleel dekhte hai ki Quran ne Milad manaya ya nahi ???


Daleel # 1


Surah Maryam , Aayat # 7


يَا زَكَرِيَّا إِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلَامٍ اسْمُهُ يَحْيَى لَمْ نَجْعَلْ لَهُ مِنْ قَبْلُ سَمِيًّا (19:7)


اے زکریا ہم تجھے خوشی سناتے ہیں ایک لڑکے کی جن کا نام یحیٰی ہے اس کے پہلے ہم نے اس نام کا کوئی نہ کیا


Tarjuma : “A Zakariya hum tumko ek ladke ki basharat dete hai jiska naam yahya hai,isse pehle humne is naam ka koi shaks paida nahi kiya”


Hazrat Yahya Alaihissalam kay bare hai.




Daleel # 2


Surah Maryam , Aayat # 15


وَسَلَامٌ عَلَيْهِ يَوْمَ وُلِدَ وَيَوْمَ يَمُوتُ وَيَوْمَ يُبْعَثُ حَيًّا (19:15)


 اور سلامتی ہے اس پر جس دن پیدا ہوا اور جس دن مرے گا اورجس دن زندہ اٹھایا جائے گا (ف۲۲)


Tarjuma : “Aur salamati hai us per jis din paida hua aur jis din marega aur jis din zinda uthaya jayega”


Hazrat Yahya Alaihissalam kay bare hai.




Daleel # 3


Surah Maryam , Aayat # 17 to 30


Is aayat me Hazrat Isa alaihissalamki paidaish ka zikr hai.



Daleel # 4


Surah Maryam , Aayat # 33


وَالسَّلَامُ عَلَيَّ يَوْمَ وُلِدْتُ وَيَوْمَ أَمُوتُ وَيَوْمَ أُبْعَثُ حَيًّا (19:33)


اور وہی سلامتی مجھ پر (ف۵۱)جس دن میں پیدا ہوا اور جس دن مروں گااور جس دن زندہ اٹھایا جاؤں گا (ف۵۲)


Tarjuma : “ Aur wahi salamati mujh per,Jis din me paids hua aur jis din me maruga aur jis din zinda uthaya jauga”


Yaani Hazrat Isa alaiihissalam kay bare hai.




Daleel # 5


Surah Maryam , Aayat # 41


وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِبْرَاهِيمَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقًا نَبِيًّا (19:41)


 اور کتاب میں (ف۶۵) ابراہیم کو یاد کرو بیشک وہ صدیق (ف۶۶) تھاغیب کی خبریں بتاتا


Tarjuma : “ Aur kitab me,Ibrahim ko yaad karo beshak woh siddique,tha Ghaib ki khabre batata”



Daleel # 6


Surah Maryam , Aayat # 51


وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ مُوسَى ۚ إِنَّهُ كَانَ مُخْلَصًا وَكَانَ رَسُولًا نَبِيًّا (19:51)


   اور کتاب میں موسٰی کو یاد کرو بیشک وہ چُنا ہوا تھا اور رسول تھا غیب کی خبریں بتانے والا


Tarjuma : “Aur kitab me Moosa ko yaad karo beshak woh chuna hua tha aur rasool tha Ghaib ki khabre batane wala”


Daeel # 7


Surah Maryam, Aayat # 54


وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِسْمَاعِيلَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صَادِقَ الْوَعْدِ وَكَانَ رَسُولًا نَبِيًّا (19:54)


اور کتاب میں اسماعیل کو یاد کرو (ف۸۹) بیشک وہ وعدے کا سچا تھا(ف۹۰) اور رسول تھا غیب کی خبریں بتاتا


Tarjuma : “Aur kitab me Ismail ko yaad karo ,beshak woh waade ka saccha tha,aur rasool Ghaib ki khabre batata”



Daleel # 8


Surah Maryam ,Aayat # 56


وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِدْرِيسَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقًا نَبِيًّا (19:56)


اور کتاب میں ادریس کو یاد کرو (ف۹۳) بیشک وہ صدیق تھا غیب کی خبریں دیتا


Tarjuma : “Aur kitab me Idrees ko yaad karo,beshak woh siddique tha Ghaib ki khabre deta”



Daleel # 9


Surah Al Imran,Aayat # 81


وَإِذْ أَخَذَ اللَّهُ مِيثَاقَ النَّبِيِّينَ لَمَا آتَيْتُكُمْ مِنْ كِتَابٍ وَحِكْمَةٍ ثُمَّ جَاءَكُمْ رَسُولٌ مُصَدِّقٌ لِمَا مَعَكُمْ لَتُؤْمِنُنَّ بِهِ وَلَتَنْصُرُنَّهُ ۚ قَالَ أَأَقْرَرْتُمْ وَأَخَذْتُمْ عَلَى ذَلِكُمْ إِصْرِي ۖ قَالُوا أَقْرَرْنَا ۚ قَالَ فَاشْهَدُوا وَأَنَا مَعَكُمْ مِنَ الشَّاهِدِينَ (3:81)


اور یاد کرو جب اللّٰہ نے پیغمبروں سے ان کا عہد لیا (ف۱۵۵) جو میں تم کو کتاب اور حکمت دوں پھر تشریف لائے تمہارے  
پاس وہ رسول (ف۱۵۶) کہ تمہاری کتابوں کی تصدیق فرمائے (ف۱۵۷) تو تم ضرور ضرور اس پر ایمان لانا اور ضرور ضرور اس کی مدد کرنا فرمایا کیوں تم نے اقرار کیا اور اس پر میرا بھاری ذمہ لیا سب نے عرض کی ہم نے اقرار کیا فرمایاتو ایک دوسرے پر گواہ ہوجاؤ اور میں آپ تمہارے ساتھ گواہوں میں ہوں 


Tarjuma : “Aur yaad karo jab ALLAH ne paigambaro se unka ahad liya,jo me tumko kitaab aur hikmat du phir tashreef laaye tumhare paas woh rasool , kay tumhari kitabo ki tasdeek farmaye,toh tum zarur zarur us per imaan laana aur zarur zarur uski madad karna farmaya kyu tumne iqrar kiya aur is per mera bhari nama liya sabne arz ki humne iqrar kiya farmaya toh ek dusre per gawah hojao aur me aap tumhare saath gawah me hu”



Yaha per ALLAH taala aalam e arwah me Paigambaro se ahad le raha hai,NABI Sallallahualaihiwasallam kay duniya me aane per.



Daleel # 10


Surah Maida,Aayat # 114


قَالَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا أَنْزِلْ عَلَيْنَا مَائِدَةً مِنَ السَّمَاءِ تَكُونُ لَنَا عِيدًا لِأَوَّلِنَا وَآخِرِنَا وَآيَةً مِنْكَ ۖ وَارْزُقْنَا وَأَنْتَ خَيْرُ الرَّازِقِينَ (5:114)



عیسٰی ا بن مریم نے عرض کی اے اللّٰہ اے رب ہمارے ہم پر آسمان سے ایک خوان اتار کہ وہ ہمارے لئے عید ہو (ف۲۸۲) ہمارے اگلے پچھلوں کی (ف۲۸۳)اور تیری طرف سے نشانی (ف۲۸۴) اور ہمیں رزق دے اور تو سب سے بہتر روزی دینے والا ہے


Tarjuma : “Isa ibn maryam ne arz ki a ALLAH a rab hum per aasman se ek khwaan utaar kay woh humare liye eid ho,humare agle pichlo ki,aur teri taraf se nishani,aur hume rizq de aur tu sabse behter rozi dene wala hai”


Isse maalum hua kay jis roz ALLAH taala ki khaas rehmat naazil ho us din ko EID banana aur khushiya manana,shukr e ilaahi baja laana tarika e saleheen hai aur kuch shak nahi kay sayed e aalam Sallallahualaihiwasallam ki tashreef awari ALLAH taala ki azeem tareen nemat aur buzurg tareen rehmat hai,isliye huzur Sallallahualaihiwasallam ki wiladat Mubarak kay din EID manana aur milad shareef padhkar shukr e ilaahi baja laana Mehmood aur ALLAH kay maqbul bando ka tarika hai.



Conclusion:


Humne padha ki Quran ne Kin ambya e kram ka Milad ka zikr kiya aur yeh bhi padha ki Milad ka din ko EID kyu kaha jaye,ab agar koi kahe ki NABI Sallallahualaihiwasallam ALLAH taala ki azeem nemat nahi (Maz ALLAH) woh apna thikana jahannam me talash kare kyukay ALLAH taala ne apne NABI Sallallahualaihiwasallam ko rehmatalillaalameen banakar bheja hai Subhan ALLAH.


EID e Miladunnabi Sallallahualaihiwasallam per fatwa lagane walo kay lamha e fikr hai yeh warna lagao hukum Quran shareef per jo khud Milaad ka zikr karraha hai aur Qayamat tak karta rahega,na koi ise badal sakta hai na koi ise Badal payega,iska zimma khud rabbul aalameen ne liya


Wa ma alayna illal balag


Walla hu aalam summa Rasuloo aalam

14 comments:

  1. janab par allah ne bola ne khushi manao to quran bhi to allah ki rehmat h to kya quran k utarne ki bhi eid hogi kya ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bilkul,
      Allah hi sura Qadr main farmata hai
      Beshak hum ne iss Quran ko Shab-e-Qadar main nazil kiya aur tum kiya jano k Shab-e-Qadar kya hai . Wo hazaar(1000) mahino se afzal hai.
      Tu jis raat Allah ne Quran utara uss raat ko 1000 mahino se afzal bataya. Jise aap hr saal manatay bhi ho.Tu zara socho k jis raat Allah ne Sahib-e-Quran Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ko bheja.wo kitni afzal hogi.

      Delete
    2. Bilkul,
      Allah hi sura Qadr main farmata hai
      Beshak hum ne iss Quran ko Shab-e-Qadar main nazil kiya aur tum kiya jano k Shab-e-Qadar kya hai . Wo hazaar(1000) mahino se afzal hai.
      Tu jis raat Allah ne Quran utara uss raat ko 1000 mahino se afzal bataya. Jise aap hr saal manatay bhi ho.Tu zara socho k jis raat Allah ne Sahib-e-Quran Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ko bheja.wo kitni afzal hogi.

      Delete
    3. nadeem shaik quraan paak shab e qadar ku utra tum usdin khusi (eid) manao hum samil hoajayeinge.

      Delete
    4. Aap jo ramzan vali eid manate he kis khushi me manate he jara tehqeeq kare

      Delete
  2. Beshak manate hai janab.
    Har din hum or aap pdh kr khusi hasil nhi krte kya?
    Or kya as a momin hm Allah ki niymato ka rehmato ka khusi se isteqbal nhi krte kya..zikr nhi krte. Hum to krte hain bhai.. Nabiyo ke Awliyao ke milad mein jashn mnate hain khusi zaahir krte hain.
    Oe wese bhi Quran koi ek din mein nazil nhi hua bhai mere ki Koi special day rkha jae ise khusi se tasleem krne k liye...blki roz jshn mnao bhai roz padho roz tilawat kro..kya musalman hone ki khusi nhi hai tmhe? Kya umaat-e Mustafa hone ki khusi nhi hai tmhe?

    ReplyDelete
  3. QURAN SHAREEF PARHNA BHI EID HAI...IMAN WAALO KE LIYE....

    ReplyDelete
  4. Masha Allah bhut hi behtareen bolg h plz apse guzarish h isme or update kre 🙏

    ReplyDelete
  5. Masha Allah bhut hi behtareen bolg h plz apse guzarish h isme or update kre 🙏

    ReplyDelete
  6. Masha Allah

    Allah Hamein Din Ko Sahi Samajhne Aur Uspar Amal Karne Ki Taufique Ata Farmaye

    ReplyDelete
  7. मस्लके आलाहजरत ज़िंदाबाद - MASLAKE AALAHAZART ZINDABAAD - مسلک اعلٰیحضرت زنداباد

    ReplyDelete
  8. Ye sari daleel sahaba ko samajh nahi aayi ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Samaj I aur sahaba ne b milad manaya
      Tum jaise chilgozo ko kabhi samaj nai ayegi , isliye kabhi b mat manana aur naahi koi force karta hai tum jaise ko k manao

      Delete
  9. Gustakh e rasool ki saja ke bare me bhi ek post upload kare

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers