Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday, 17 September 2015

Aala Hazrat Ahmad Raza Khan Par Shia Hone Ka Jhuta Ilzaam


AHMAD RAZA KHAN SHIA HONE KA JAWAB
KYA AALA HAZRAT SHIA THE ?
Ahmad Raza Khan Was Shia ?
بسم الله الرحمن الرحيم

Kya Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddis E Barelvi Rehmatullah Alaih Shia The ? Aitraaz :
Devband Aur Gair Mukkalideen Naam Nihaad Ahle Hadees Ka Aala Hazrat Pe Ek Ye Aitraaz bhi karte Hai k Aala Hazrat Shia khaandaan se jaisa Imam Ahmad Raza Khan AlaihRehma k Nasab se Zaahir Hai.

Wahabi Ki Daleel : Ahmad Raza Khan ibn Naqi Ali ibn Raza Ali Ibn Kazim Ali.
Nasab Se Maloom Huwa Ye Shia Naam Hai Isliye Ahmad Raza Khan Barelvi Shia Hai. Al Jawab  :
Ye Hai Padhe Likhe Jaahilo Ki Tehkeeq aur ye Aitraaz Koi Kide Makode raah chalte Pagal Wahabi Kare To Insaan soch sakta hai k koi awaam hai laa ilm hai magar kaum e wahabiya ne aise aise lawaris paida kiye jinka daawa bahot bade mukarir mufakir maane jaate wo aisa bhi yehi aitraaz karte hai.

Aala Hazrat Faqih Ahmad Raza Khan Fazil E Barelvi Rahmatullah Alaih Ka Nasab Naama Is Tarah Hai
“Ahmad Raza Khan ibn Hazrat Naqi Ali Khan ibn Hazrat Maulana Raza Ali Khan Ibn Hazrat Maulana Hafiz Muhammad Kazim Ali Khan ibn Hazrat Maulana Shah Muhammad Azaam Khan bin Hazrat Muhammad Saad’aat Yaar Khan ibn Hazrat Muhammad Said’ullah Khan Rehmatullah Alaihim Ajmaeen” Reference : (Allama Zafrudin Qadri Bihari Rahmatullah Alaih , Hayat E Aala Hazrat  Vol : 01, Pg : 02, Maqtaba E Razviya Araam Bagh Karachi)

Wahabiyo ka Tabseera :  Hum Ahle Hadees hai Hamara Naam Ahle Hadees Hai Hume Aata jaata Kuch Nahi Lekin Bas Ye Naam Shia Ka Hai Yehi Hamare Mullao Ne Aur Shaykh E Nazd ne Bataya Hai ye Hai Wahabiyo Ki Ilmi Salahiyat aata kuch Nahi Par ye Naam Se SHIA hona Laazim Aagaya.
Ab Aaye Dekhe Hadees E Paak Se Ye Naam The Kinke
Hadees E Paak
Arabic :
حَدَّثَنَا سَهْلُ بْنُ أَبِي سَهْلٍ، وَمُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ، قَالاَ حَدَّثَنَا عَبْدُ السَّلاَمِ بْنُ صَالِحٍ أَبُو الصَّلْتِ الْهَرَوِيُّ، حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُوسَى الرِّضَا، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَعْفَرِ بْنِ مُحَمَّدٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ الْحُسَيْنِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ‏ "‏ الإِيمَانُ مَعْرِفَةٌ بِالْقَلْبِ وَقَوْلٌ بِاللِّسَانِ وَعَمَلٌ بِالأَرْكَانِ ‏"‏
‏.‏ قَالَ أَبُو الصَّلْتِ لَوْ قُرِئَ هَذَا الإِسْنَادُ عَلَى مَجْنُونٍ لَبَرَأَ
Translation  :
“Sanad :  Chain of Narration
Imam Abdus Salam ibn Saaleh unhone Abis Salt Al Harawai Se unhone
Hazrat Imam Ali Bin Moosa Ar Riza → Hazrat Imam Jafar Sadiq → Hazrat Imam Muhammad Baqar → Imam Ali ibn Hussain (Imam Zainul Aabeedin) → Imam Hussain → Hazrat Ali 
Hazrat Ali Radi Allaho Anho Se rivayat Hai Nabi E Karim Sal Allahu Alaihiwassalam Ne Farmaya Imaan Dil Se Pehchaan Ne , Jabaan Se Iqraar Karne Aur Arqaan Par Amal Karne Kaa Naam Hai”
‏.‏ قَالَ أَبُو الصَّلْتِ لَوْ قُرِئَ هَذَا الإِسْنَادُ عَلَى مَجْنُونٍ لَبَرَأَ
Imam ibn Majah k ustad Hazrat Imam Abu Salt Al Harwi Farmate Hai Ye Sanad Kisi Pagal Par Padhke Dam Kardi Jaaye Wo Theek Hojayga”
Reference :
(Sunan Ibn Majah Vol : 01 Pg :  Kitab Al Mukaddama, Hadees : 68 English No 65)
Hadees E Paak Se pata chala k ye Naam To Ahle Bait E Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam k hai ab agar koi aise naam ko Nauzubillah Shia kahe to kitni badi maslaki tassub aur jahalat ki baat hai.
Koi Musalman Apna Aur Apne Ahlo Aayal kaa Naam Hubbe Ahle Bait Me Ahle bait ki tarz par rakhe to ye shia hone ki dalil hogayi lanaat hai aisi soch pe.
Ye to wo naam hai jinki fazilat to bhari badi hai Quran E Karim Aur Hadees e Paak me Aur yehi Naam Waalo pe to tum bhi Namaz Me Salam Padhte Ho aur yehi naam ko shia kehte ho kitni Munafikat aur bugz e Ahle Bait Hai Wahabiyo tumko.

Agar yehi tumhara paimana hai to kal ko koi apna Naam Gulam Ahmad rakhe to tum besharm uspe Qadiyani hone ka ilzaam laga doge ?
Shia jo chahe Naam Rakhe Unse Hume Kya Unka naam rakhlena iska matlab ye to nahi k wo naam ab hum rakh hi nahi sakte. Saabit Huwa k Aala Hazrat Fazil E Barelvi Rahmatullah Alaih to Shia Nasab Se Naa The aur Naahi Shia the lekin ab aaye ye Wahabi Naam Nihad Ahle Hadees jo Dar Asal Hai Khabis Aala Hazrat pe to aitraaz Karte Hai par Apne Ghar ki khabar nahi hoti inko.
Ab Dekhe Ulma E Gair Mukallideen K Top Mullaho k Naam Dekhe.
“Shaykul kul Maulvi Nazeer Hussain Dahelvi, Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali, Maulvi Muhammad Hussain Batelvi, Maulvi Sayyad Shareef Hussain, Maulvi Sayyad Ahmad Hasan, Maulvi Sayyad Ameer Hasan Shawani, Maulvi Sibt Ahmad, Maulvi Hakeem Mazhar Ali,Maulvi Muhammad Taqi, Maulvi Sayyad Ali,Maulvi  Nawab Sayyad Ali Hasan, Maulvi Khurram Ali Balhori, Maulvi Mirza Hasan Ali Lakhnawi”
Reference :
(Abu Yahya Imam Khan Nosherwi, Tarjumaan Ulma E Hadees Hind, Pg : 03 - 13, Print : Matbooa Maktab E Ahle Hadees Trust ,Karachi)
Kya ye Naam Shia Hai Ya Nahi ?
Aur Agar Nahi to phir Kyu ?
Ye Maulvi bhi Shia Huwe yaa Nahi ?
Agar Nahi Huwe to kyu ?
aur ye sab tumhare Akabir Hai Wahabiyo.
Ab chale Orignal Shia Ki Paidaish hi dekhlo inke Ghar se 1) Wahabiyo k Leading Authority Mullah Qazi Shawkani Yamani Jinko Bahot zyada Motebar maante Hai wo kon the Kya Nasab tha Kis Ghar Se Talluk Tha "Born Into A Zaidi Shia Family" Is link me padh bhi sakte ho aur Image Me Dekh bhi Sakte ho.https://en.wikipedia.org/wiki/Muhammad_ash-Shawkani 2) Nawab E Ahle Hadees Maulvi Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali Jinki Kabr k aas paas Acchi khasi imarat taamir ki hai unka bhi dekh lo
"His Father Was Converted From Shia Islam" Is Link Me Padh Sakte Ho inko bhi

https://en.wikipedia.org/wiki/Siddiq_Hasan_Khan
Chalo ye Sab To Mar Kar Mitthi Me Mil Gaye Log hai Gal Sad Gaye Kide Kha Chuke Inko Zinda Sahab Bhi Hai Dekhe. Ulma E Wahabiya k Sabse Bade Munazir Maane Jate Hai jinka Naam Prof. Talibur Rehman Hai inke hi bhai Tauseef Ur Rehman Aur Tayyabur Rehman hai jinko Wahabi Bahot jaata maante hai inka Haal dekho kya hai ye kon the hum nahi kehte khud in logo ki jaban se sunlo
Talibur Rehman Khud Shia tha jo aapki jamaat k bade bhai Meraj Rabbani ne kabool kiya hai
Is Link Me Sune
https://www.youtube.com/watch?v=P2tvbcSBvHw
Aala Hazrat Par Ilzaam Lagane Nikle Khud k ghar me Itne Saare Paidaishi khatmal mauzood hai Ye ALLAH ki maar hai tum par uske bando pe ilzaam tarashi ki khud k ghar me lawaris Shia Paida kar rkhe ho. Tumhare mazhab ki bunyaad khud 1857 k baad huwi isliye tumhari khud ki jamaat me jitne hai yaa to Sunni the ya Shia the. Ye to Wahabi Jamat k chote bete Gair Mukkalideen Ki baat huwi ab bade bete Deobandi ye bhi same aitraaz karte hai. Inse Bhi Bas Ek Hee Sawal Hai Zyada nahi jisko Sabse zyada jaante maante ho wo hai inke Hakimul Ummat Maulvi Ashraf Ali Thanvi Sahab Thanvi Sahab k Naam me Aage ALI kyu likha Hai ? Kya Thanvi bhi Shia Tha ? ALI likhne Ki thoda wajahat bhi kar de hume. Ab Hamare Chand Sawal Hai Wahabiyo Se Jab Tak Zinda Ho Ya Kayamat Tak Jawab De Dena waise ummid nahi hai hume iski bhi k jawab aayga 1) Ye Naam Se Shia hona Laazim aaya Hai Ye kis Quran Ki Aayat ya hadees E Paak Me Aaya Hai ? 2) Kis Sahabi Ka ya Tabain Se Saabit Hai k ye Naam Shiya K Hai Aur Rakhna Nazaiz o Haram ?  3) Ye Kanoon Kaha Mauzood Hai ye Naam Rakhne Se Koi Shia Hojata hai ?  4) Shia Insaan Kab hota hai ye Naam Se Ya Shiat k Aqaid Se ?  5) Yaa Phir Sirf Naam Se Shia Hojata Hai yaa unke Aqaid o Nazariyat Se ? Itne Sawal yaha Kaafi hai warna is unwaam me hi aur bhi bahot se sawal hai inka hi jawab tum de sakte kabhi In Sha Allah Taala
Dua  ki Gujarish By Sher Ali Hanfi

8 comments:

  1. लाजवब पोस्ट है इस का जवाब ना इन के बाप दादा के पास था ना इन के पास होगा

    ReplyDelete
  2. Hi ! here you can download Biographie De Imaam Ahmad Razaa Khaan in Creole, a most authentic and renowned Islamic Book.
    http://www.dislamicbooks.com/2015/12/download-biographie-de-imaam-ahmad.html
    The book is also available in English, Urdu and other Languages.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  5. Saari duniya me Aliع se bada sunni koi nahi or
    Saari duniya me Muhammadﷺ se bada Shia koi nahi

    ReplyDelete
  6. Thank you for taking the time to publish this information very useful! tomb of Hussain

    ReplyDelete
  7. bhai wahabiyo kitab se scan dijye unhe dikhana hai ke unke akabir shia the

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers