Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Thursday 9 May 2019

Fazail E Shabe Qadr Virtues of Shabe Qadr

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ بِسْمِ
Assalaamu Alaykum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu Assalaatu Wassalaamu Alayka Ya Rasoolallah Sallal Laahu Ta'ala Alaika Wa Sallam
Shab E Qadr Laylat al-Qadr
Laylatul Qadr intehai barkat wali raat hai isko Laylatul Qadr isliye kahte hai kay isme saal bhar kay ehkaam Naafiz kiye jaate hai, Yaani Farishte register (book) me ainda hone wale maamlaat likhte hai,
Allama Ahmad Savi Al Maliki (Al Mutwaffa 1241 Hijri)
”Isse (Yaani Umur E Taqdeer ko) Muqarrab Farishto kay register (book) me jaahir kar diya jaata hai”
(Tafseer E Savi, Vol : 06, Pg : 2398)
Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naemi Rahmatullah Alaih ne iski kayi wajah bayan ki hai
“Isko Laylatul Qadr Chand Wajah Se kahte Hai,
i) Is Saal Me ainda kay umur Muqarrar karke Malaika kay supurd kar diye jaate hai, Qadr Baa maana Taqdeer Yaa Qadr Baa Maana Izzat Yaa Izzat Waali Raat,
ii) Isme Qadr Wala Quran Pak Nazil Huwa,
iii) Jo Ibadat isme ki jaave uski Qadr Hai,
iv) Qadr Baa Mana Tangi Yaani Malaika Is raat me is qadr aate hai zameen tang hojati hai, In Wujuh se Isse Shabe Qadr Kahte hai”
(Mawaze Naeemia, Pg : 62)
Allah Taala Ne Quran E Karim Me is raat ki fazilat par puri Surah nazil farmaya hai
بِسمِ اللَّهِ الرَّحمٰنِ الرَّحيمِ
إِنّا أَنزَلناهُ في لَيلَةِ القَدرِ
وَما أَدراكَ ما لَيلَةُ القَدرِ
لَيلَةُ القَدرِ خَيرٌ مِن أَلفِ شَهرٍ
تَنَزَّلُ المَلائِكَةُ وَالرّوحُ فيها بِإِذنِ رَبِّهِم مِن كُلِّ أَمرٍ
سَلامٌ هِيَ حَتّىٰ مَطلَعِ الفَجرِ
Allah Kay Naam Se Shuru Jo Bahut Meherban Rehmat Wala Hai
“Beshak Hum Ne Isse Shab E Qadr Me Utara,
Aur Tumne Kya Jaana, Kya Shabe Qadr,
Shabe Qadr Hazar Mahine Se Behtar,
Isme Farishte Aur Jibril Utarte Hain Apne Rab Kay Hukm Se,
Har Kaam Ke Liye Woh Salamati, Subah Chamakne Tak”
(97 Surah Al Qadr  Ayat 01 - 05 Tarjuma Kanzul Iman)
Shab E Qadr Me Utarne Ka Kya Mana Hai ?
Mufassireen Kay Kiram Iske Talluk se farmate hai
“Is raat me Allah Taala Ne Quran E Majid Ko Lohe Mehfooz Me Se Aasman E Dunya Me Nazil Farmaya Aur Phir takreeban 23 Baras Ki Muddat Me Apne Pyare Habib ﷺ Par Ba-tadreej Naazil Kiya”
(Tafseer E Savi, Vol : 06, Pg : 2398)
Pichli Ummat ki Umr zyada hoti thi lihaja unke Amal bhi zyada hote they is baat se Nabi E Karim ﷺ Khoob Gamzida hogaye lihaja Allah Taala Ne Nabi E Karim ﷺ Laylatul Qadr Ata Farmayi”
(Shah Abdul Aziz Muhaddis E Dehlvi Tafseer, Vol : 04, Pg : 434)

Is Raat Se Mehroomi Tamam Bhalai Se Mehroomi
Hadees 01 :
“Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Tumhare Paas Ek Mahina Aisa Aaya Hai Jisme Ek Raat aisi bhi hai, Jo Hazar Mahino Se Afzal Hai Jo Shaks Us raat Se Mehroom rah gaya, Goya Tamam Ki Tamam Bhalai Se Mehroom Rah Gaya Aur Uski Bhalai Se Mehroom Nahi Rahta Magar Wo Shaks Jo Hakikatan Mahroom hai”
(Sunan Ibn Majah, Vol : 02, Pg : 298, #1644)
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, #2106)

Gunahon Ka Maaf Ho Jana
Hadees 02 :
“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne Is raat me Imaan Aur Ikhlaas Kay saath Kiyaam Kiya To uske Umr Bhar kay gujashta gunaah Maaf kar diye jaate hai”
(Sahih Bukhari, Vol : 01, Pg : 660, #2014)
(Sahih Bukhari, Kitabul Iman, #35, Kitab Al Sawm, #1901)
(Sahih Muslim, Kitab Salat Al Musafir, #760)
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, #2206, #2207,  kitab Al Iman Washarayieuh, #5027)
(Imam Tirmizi, Sunan, Kitabus Sawm, #683)
(Imam Nawawi, Riyad Us Saliheen, Kitab Ul Fazail, #1189)

Ramzan Kay Aakhri Ashra Me Talash Karo
Hadees 03:
“Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ramzanul Kay Aakhri Ashre Me Itikaf Karte aur Farmate kay Ramzan Kay Aakhri Ashre Me Shabe Qadr Talash Karo”
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Lailatul Qadar, #2020)
(Imam Tirmizi Sunan Tirmizi, Kitabus Sawm, #792)

Aakhri Ashre Ki Taak Raat Me Talash karo
Hadees 04:
“Hazrat Ubada Ibn Saamit Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Nabi E Karim ﷺ Bahar Tashreef laaye Taaki Humko Shabe Qadr Kay baare me bataye (kay kis raat me hai), Do Musalman Aapas Me Jhagad rahe They, Aap ﷺ Ne irshad farmaya Mai Isliye aaya tha kay tumhe Shabe Qadr Bataun, Lekin Fulan Fulan Shaksh Jhagad rahe they, Isliye Iska Taiyun Utha liya gaya, Aur Mumkin Hai issi me tumhari bahtari ho, ab isko aakhri Ashre me 9vi, 7vi Aur 05 Wi raato me dhundo”   
(Sahih Bukhari, Kitab Ul Imaan, #49)
(Sahih Bukhari, Vol : 01, Pg : 663, #2023 || Kitabul Adab,#6049)

Hadees 05:
“Hazrat Syeda Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Shabe Qadr Ko Ramzan ul Mubarak Kay aakhri Ashra ki taak raato yaani 21vi, 23vi, 25vi, 27vi aur 29vi raato me talash karo”
(Sahih Bukhari, Vol :01, Pg : 662, Kitab Fazail E Lailatul Qadr,  #2020)
(Sahih Bukhari, Vol :01, Pg : 662, Kitab Fazail E Lailatul Qadr,  #2021 Rivayat Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu)

In hadees e paak se maloom huwa kay is raat ko poshida rakh diya gaya taaki log ab isko talash karen iski wajah ye bhi hai kay Momineen khoob amal kare aur naame amal ko badhaye agar ek raat ko fix karke bata diya jaata to log sirf us raat jagte par pura maahe ramzan me amal se gaafil hote lihaja aakhri ashre me jitna kayam karenge wo raat kay saath dusri raat ki ibadat ka sawab bhi milta,  dusra nuqta yahan Nabi E Karim ﷺ ko do musalman ka aapas me ladna kitna ranj wa gam pahuchata hai ye bhi maloom huwa hume chahye kay apne amal se Nabi E Karim ﷺ ko ranj wa gam na pahuchaye.

Khwab Kay Jariye Sahaba Par Shabe Qadr Munkashif Ki Gayi
Hadees 06 :
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Ne Farmaya Sahaba E Kiram Rizwanullahim Azmayeen me Se Chand Afraad ko Khwab me Aakhri 07 raato Me Shabe Qadr Dikhayi gayi, Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Mai Dekhta hoon kay tumhare khwab aakhri 07 raato me mutaffique hogaye hain, Isliye iska talash karne waala aakhri 07 raato me talash karen”
(Sahih Bukhari, Vol :01, Pg : 660, Kitab Fazail Laylatul Qadr, #2015)
(Sahih Bukhari, #6991)
(Sahih Muslim, Kitabus Sawm, #1165)
(Sunan Abu Dawood, #1385, #1386)
(Imam Malik Al Muwatta, Kitabul Itikaf, #702, #705)
(Imam Nawawi, Riyad Us Saliheen, Kitab Ul Fazail, #1190)  
(Imam Ibn Hajar Asqalani, Bulugh Al Maram, Kitabus Sawm, #724)

Dua E Shab E Qadr
Hadees 07:
عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّهَا قَالَتْ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَرَأَيْتَ إِنْ وَافَقْتُ لَيْلَةَ الْقَدْرِ مَا أَدْعُو قَالَ ‏ تَقُولِينَ اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marvi Hai Unhone Nabi E Karim ﷺ Ki Bargaah E Aqdas me Arz ki Agar Mujhe Shabe Qadr Ka Ilm hojaye to kya padhoon ?
Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Is tarah Dua Mango
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Aye Allah Taala Beshaq Tu Muaaf Farmane Waala hai Aur Maafi Dene Ko Pasand Karta Hai Lihaja Mujhe Bhi Maaf Farma De”
(Sunan Ibn Majah, Kitabud Dua, #3850)
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 306, #3524)
(Imam Nawawi Riyadhus Shalihin, Kitabul Fazail, #1195)
(Imam Ibn Hajar Asqalani, Bulugh Ul Maram, #726)
Shabe Qadr Ki Alamat
Hadees 08:
“Hazrat Ubada Ibn Saamit Radiallahu Anhu Ne Nabi E Karim ﷺ  Ki Bargaah E Aqdas Me Shabe Qadr kay baare me suwal Kiya, To Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya  Shabe Qadr Ramzanul Mubarak kay Aakhri Ashrah ki taak raat 21, 23, 25, 27, 29 yaa akhir shab me hai, To jo Koi Imaan kay saath ba niyat e sawab is raat me ibadat kare, uske tamam guzishta gunaah baksh diye jaate hai, Uski alamat me se ye bhi hai Wo mubarak shab khuli huwi, roshan aur bilkul saaf wa shaffaque hoti hai, Isme na zyada garmi hoti hai na zyada sardi hoti hai balki ye raat mo’tadil hoti hai goya isme chand khula huwa hota hai, is puri raat me shayatin ko aasman kay sitare nahi maare jaate, majid nishaniya me se hai ye bhi hai ki is raat kay guzarne kay baad jo subah aati hai usme suraj bigair shuaon kay tulu hota hai aur wo aisa hota hai goya chaudhawi ka chand, Allah Taala ne is din tulu se aftab kay saath shaitan ko nikalne se rok diya hai”
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 08, Pg : 414, #22829)
Shabe Qadr Ko Paane Ka Nushqa Jaisa kay tamam sahih hadees se maloom huwa shabe Qadr Ramzanul karim Kay aakhri ashre me poshida rakhi gayi hai, 21,23,25,27,29 me se kisi me lihaja Shabe Qadr paane ka asan tarika ye hai. i) Aakhri Ashre kay har raat Sadqa khairat kare
ii) Namaz E Isha Taraweeh padhkar sojaye kuch der uthkar tahajjud deegar zikr wa azkar kare.
Koi bhi raat inme se ho aapko In Sha Allah Taala Shabe Qadr jarur mil jayegi.

Our Detail Post About Ramzan Ul Kareem 
Post 01 : Fazail E Ramzan Quran Hadees Ki Roshni Me Click Here To Read  Fazail E Ramzan Quran Hadees Ki Roshni Me

Post 02 : Ramzan Kay Chand Kay Mutallik Dalil Se Post Click Here to read  Ramzan Kay Chand Ka Masla

Post 03 : Sehri Kay Fazail Masail Aur Kiye Jaane Waale Amal  Click To Read Sehrki Kay Fazail Masail Amaal

Post 04 : Itikaf Kay Fazail Wa Masail 

Click To Read Itikaf Kay Fazail Wa Masail


Post 05 : Fazail E Shabe Qadr Quran hadees Ki Roshni Me
Click To Read Fazail E Shabe Qadr 
Post By Shaikh Sher Ali


No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers