Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 3 October 2017

Noorul Bashar

Noorul Bashar


Tamam Tareef ALLAH Taala K Liye

Maujuda Waqt K Firqo Me Ahle Hadees Yaani Wahbi Aur Deobandi Ki Gustakhiyo Ka Walwalaa Zyada Hai Aur Inka Radd Khulkar Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaih Ne Kiya Aur Inke Batil Aur Kufriyaa Aqaid Per Kufr Ka Fatwa Diya Aur Saath Hi Harmain Shareefein K Ullema Ne B Kufr Ka Fatwa Diya.

Wahbi  Aur Deobandi Dono Ek Hi Shaak Ki Do ( 2 ) Tehniya Hai Jaha Wahbi Apna Aqeeda Gustakiyo Bhara Dikhate Hai Toh Wahi Dusri Taraf Deobandi , Shiya Ki Tarah Taqiya Karte Hai , In Sha ALLAH Taala Aage Isper B Daleel Pesh Ki Jayegi.

Awwal Toh Ahle Hadees Yaani Wahbi K Nazdeek NABI Swallallahualaihiwasallam Ek Aam Basher Hai Aur Deoband K Nazdeek Wah Ek Bade Bhai Ki Tarah Hai ( Taqwiyatul Iman ) Maz ALLAH

Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Aqeeda Noorul Basher Per:

NABI Swallallahualaihiwasallam Zaat K Aitbaar Se Noor Aur Aap Duniya Me Bashari Libas Me Tashreef Laye Isliye Apko Noorul Bashar Kehte Hai , Aur Yeh Quran O Hadees Ki Roshni Me Sabit Hai.

Hum Quran O Hadees Aur Salaf K Aqwal Apne Aqeede Ki Wazahat K Liye Pesh Karege.

Quran Shareef :

Ayat # 1

Surah Maida , Ayat No. 15

Tarjuma Kanzul Iman : “Beshak Tumhare Paas Allah Ki Taraf Se Ek Noor Aaya Aur Roshan Kitab”

Is Aayat Ki Tafseer :

Khaizan Ul Irfan Me Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai Aur Kitab Se Murad Quran Shareef.

Tafseer E Bezawi Jild 2 Safa 120 Per Isi Ayat K Tahet Kitab Se Murad Quran Shareef Aur Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai

Tafseer E Mazhari  Jild 3 Safa 280 Per Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Zaat E Paak Aur Quran Dono K Bare Likha Hai.

Tafseer E Naemi 6 Parah Safa 297-298 Per Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Zaat Hai Aur Kitab Se Murad Quran Hai.

Tafseer E Naemi K Musannif K Qaul K Mutabik Tafseer E Khazin , Madarik , Bezawi , Ruh Ul Bayan , Kabeer , Jalalain , Mazhari Me Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Zaat E Paak Hai ( Safa 298 )

Tafseer Qurtabi Jild 3 Safa 527 Me, Noor Se Murad Likhte Hai Baaz Ullema Ne Kaha Islam Hai Aur Baaz Ullema Ne Kaha Zaat E Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai Aur Kitab Se Murad Quran Hai .

Tafseer E Sanai Jild 1 Safa 352 Per Sanaullah Amritsari Ne Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Aur Kitab Se Murad Quran Ko Kaha Hai

Deoband Ki Tafseer , Tafseer E Usmani Safa 323 Per Likhte Hai Noor Se Murad Shayad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai Aur Kitab Se Murad Quran Hai.

Tafseer Ibn Kaseer Jild 6 Safa 46 Per Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Aur Roshan Kitab Se Murad Quran Kaha Hai.

Tafseer E Mulla Ali Qari Safa 511 Per Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai Aur Kitab Se Murad Quran Hai.

Tafseer E Raufi Safa 379 Per Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai Aur Kitab Se Murad Quran Hai.

Tafseer Ibn Abbas Safa 72 Per Noor Se Mura Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai Aur Kitab Se Murad Quran Hai.

Tafseer Fathul Qadeer Me Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai Aur Kitab Se Murad Quran Hai.

Tafseer Rul Al Mani Jild 6 Safa 97-98 Likhte Hai Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai

Za’ad Al Maseer Fil Ilm At Tafseer Me Imam Ibn Jawzi Likhte Hai Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai.

Tafseer Abi Saud Jild 4 Safa 36 Per Imam Al Shirbini Per Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Hai

Deoband K Alim Mohammad Ashiq Ilahi Mirthi , Kitab Imdad Us Sulook Safa 157-158 Per Likha Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Zaat Aur Kitab Se Murad Quran Hai.

Hasil Qalam Is Ayat Aur Tafseer Se Pata Chala Ki Bahut Se Mufassireen Ne Noor Se Murad Nabi Swallallahualaihiwasallam Ki Zaat E Paak Maana Hai Aur Kuch Ullema Ne Quran Aur Kuch Ullema Ne Islam.

Ab Hadees Ki Taraf Ruju Karte Hai.

Yeh Hadees Bahut Hi Mashoor Hai Musannaf Abdur Razzaq K Hawale Se.

Hadees # 1

Al Musannaf (Juz Al Mafqood Min Juz Al Awwal Min Musannaf) , Jild 1 , Hadees 18.

Sanad :

Abdur Razzaq > (2) Ma'mar Bin Rashid >(3) Muhammad Bin Munkdar > (4) Jabir Bin Abdullah (Radi Allah Ta'ala 'Anhu)

Urdu Tarjuma :

حضرت جابر بن عبد اﷲ رضی اﷲ عنہما سے مروی ہے فرمایا کہ میں نے بارگاہِ رسالت مآب صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم میں عرض کیا
: یا رسول اﷲ! میرے ماں باپ آپ پر قربان! مجھے بتائیں کہ اﷲ تعالیٰ نے سب سے پہلے کس چیز کو پیدا کیا؟ حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہوسلم  نے فرمایا : اے جابر! بے شک اﷲ تعالیٰ نے تمام مخلوق (کو پیدا کرنے) سے پہلے تیرے نبی کا نور اپنے نور (کے فیض ) سے پیدا فرمایا، یہ نور اللہ تعالیٰ کی مشیت سے جہاں اس نے چاہا سیر کرتا رہا۔ اس وقت نہ لوح تھی نہ قلم، نہ جنت تھی نہ دوزخ، نہ (کوئی) فرشتہ تھا نہ آسمان تھا نہ زمین، نہ سورج تھا نہ چاند، نہ جن تھے اور نہ انسان، جب اﷲ تعالیٰ نے ارادہ فرمایا کہ مخلوق کو پیدا کرے تو اس نے اس نور کو چار حصوں میں تقسیم کر دیا۔ پہلے حصہ سے قلم بنایا، دوسرے حصہ سے لوح اور تیسرے حصہ سے عرش بنایا۔ پھر چوتھے حصہ کو (مزید) چار حصوں میں تقسیم کیا تو پہلے حصہ سے عرش اٹھانے والے فرشتے بنائے اور دوسرے حصہ سے کرسی اور تیسرے حصہ سے باقی فرشتے پیدا کئے۔ پھر چوتھے حصہ کو مزید چار حصوں میں تقسیم کیا تو پہلے حصہ سے آسمان بنائے، دوسرے حصہ سے زمین اور تیسرے حصہ سے جنت اور دوزخ بنائی۔ ۔ ۔ یہ طویل حدیث ہے۔


Roman Tarjuma (Mukhtasar) :

“Hazrat Jabir Bin Abdullah Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai Mene Bargaahe Risalat Swallallahualaihiwasallam Me Arz Kiya , Ya Rasul ALLAH , Mere Maa Baap Aap Per Qurban ,Mujhe Bataye K ALLAH Taala Ne Sabse Pehle Kis Chiz Ko Paida Kiya ? Huzur NABI E Akram Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya , A Jabir Beshak ALLAH Taala Ne Tamam Makhlooq Se Pehle Tere Nabi Ka NOOR Apne NOOR Se Paida Farmaya……..


Is Hadees Ko Aur Kin Kin Kitabo Me Naqal Kiya Gaya Hai ;


Imam Qastalani ,  Kitab Mawahib Al Laduniyah , Jild 1 , Safa 71

Imam Ajluni ,Kitab Kashaf Al Khifa , Jild 1 ,Safa 311 , Hadees 8 27.

Imam Zarqani , Kitab Sharah Mawahib Al Laduniyah , Jild 1 , Safa 89-91.

Iydarusi , Kitab Tarekh An Nur As Saafir , Jild 1 , Safa 8

Imam Halabi , Kitab As Sirah , Jild 1 , Safa 50.

Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi , Kitab Madarij Al-Nubuwwa , Aur Is Hadees Ki Sanad Ko Thiqa Qarar Diya , Jild 2 , Safa 2 ( Farsi ) , Jild 2 , Safa 13 ( Urdu )

Imam Nabhani , Kitab Jawahir Al Bihar , Jild 3 , Safa 354.

Ashraf Ali Thanvi Deobandi , Kitab Nashr At Tib , Jild 1 , Safa 13.

Imam Ibn Hajr Al Haytami , Kitab Fatawa Al Hadithiyyah , Safa 289


Sanad Per Tehqeeq


1. Abdur Razzaq (RAWI)

Pura Naam : 'Abdur-Razzaq Bin Humam Bin Nafi' Al-Himyari As-San'ani

Kunniyat : Abu Bakr

Paidaish : 126 AH

Wafat : 211 AH

Grade : Thiqa.

Siha Sitta Me Hadees Rawi Abdur Razzaq

Sahi Bukhari Me 103 ; Sahih Muslim Me 376 ; Sunan Abi Daud Me 170 ; Jame Al Tirmidhi Me 129 ; Sunan An Nasai Me 97 ; Sunan Ibn Majah Me 75


Muhaddisseen K Aqwal Abdur Razzaq Per.

1.

Jarah O Ta'deel K Imam, Yahya Bin Ma'in Farmaty Hain:

Agr Imam 'Abdur Razaq Murtad Bhi Ho Jaye (Ma'az ALLAH) To Hum Us Say Hadeeth Layna Tark Na Karain Gay (Yani Phir Bhi Hadeeth Lege)

Imam Ibn Hajar, Kitab Tahdheeb At Tahdeeb , Jild 6 , Safa 314.

Imam Ibn Hajar , Kitab Mizan Al 'Itidal , Jild 2 , Safa 612.

2.

Imam Ibn Hajar Ne Thiqa Aur Hafiz Likha Hai.

Kitab : Taqreeb At Tahdheeb , Safa 354 , Rawi No. : 4064.

3.

Imam Ahmad Bin Saleh Ne Imam Ahmad Bin Hambal Radialla Taala Anhu Se Pucha:

Kya Ap Imam 'Abdur Razzaq Say Bhad Kar Kisi Hadeeth Jannywaly Kisi 'Alim Ko Janty Hain?
Apne Farmaya: Nahi (Main Nahi Janta)

Imam Ibn Hajar , Kitab Tahdheeb At Tahdeeb , Jild 6 , Safa 311.

4.

Imam Abu Zar'dah Farmaty Hai

Imam 'Abdur Razzaq Un Ullama Main Say Hain Jin Ki Hadeeth Mu'tabar ('Itibaar K Qabil) Hay.

Imam Ibn Hajar , Kitab Tahdheeb At Tahdeeb , Jild 6 , Safa 311.

5.

Imam Ahmad Bin Hambal Farmaya K:

Imam 'Abdur Razzaq Jo Hadeeth Ma'mar (The Rawi Hadeeth E Nur) Say Rawayat Karty Hain Wo Mere Nazdeek Un Basriyun K Rawayat Say Zyada Mahboob Hay.

Imam Ibn Hajar , Kitab Tahdheeb At Tahdeeb , Jild 6 , Safa 312.


2. Ma'mar Bin Rashid (RAWI)

Pura Naam : Ma'mar Bin Rashid Al-Azdi

Kunniyat : Abu Urwa

Paidaish : 95/96 AH

Wafat : 154 AH

Grade : Thiqa.

Siha Sitta Me Hadees Rawi Ma’mar Bin Rashid

Sahi Bukhari Me 217 ; Sahih Muslim Me 270 ; Sunan Abi Daud Me 156 ; Jame Al Tirmidhi Me 128 ; Sunan An Nasai Me 157 ; Sunan Ibn Majah Me 67

Muhaddisseen K Aqwal Ma’mar Bin Rashid Per.

1.

Imam Ibn E Sa'd Nain Ma'mar Bin Rashid K Bary Me Farmaya Hay K Yeh Imam Hasan Basri Radialla Taala Anhu K Janazy Main Shamil Thy.

Aur In Say Imam Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Abdur Razzaq Nain Rawayat Li Hai Aur Yeh Faqeeh, Muttaqi Aur Hafiz Thy.


Ibn E Sa’ad , Kitab Thiqat , Jild 7 , Rawi No. 11070.


2.

Imam Ibn E Hajr 'Asqalni Farmaya K Ma'mar Bin Rashid Thiqah Thabat Faazal Hain.

Imam Ibn Hajar ,Kitab Taqreeb At Tahdheeb ,Jild 2 , Safa 202.

3. Muhammad Bin Munkdar (RAWI)

Pura Naam : Muhammad Bin Al-Munkdar Bin 'Abdullah Bin Al-Hudayr Bin 'Abdul 'Uzza B. 'Amir B. Al-Harith

Kunniyat : Abu Abdullah , Abu Bakr.

Paidaish : 30 AH

Wafat : 130 AH

Grade : Thiqa.

Siha Sitta Me Hadees Rawi Muhammad Bin Munkdar

Sahi Bukhari Me 53 ; Sahih Muslim Me 41 ; Sunan Abi Daud Me 26 ; Jame Al Tirmidhi Me 37 ; Sunan An Nasai Me 25 ; Sunan Ibn Majah Me 27

Muhaddisseen K Aqwal Muhammad Bin Munkdar Per.

Imam Humaidi Ne Farmaya :Ibn E Munkdar Hafiz Hain.

Imam E Jarah O Ta'deel Ibn E Ma'in Ne Farmaya: Wo Thiqah Hain

Imam Tirmidhi Ne Farmaya K Mene Muhammad (Imam Bukhari) Say Pucha K Kya Muhammad Bin Munkdar Ne Hazrat 'Ayesha Radialla Taala Anha Say Hadeeth Ka Sima Kiya Hua Hy? To Imam Bukhari Farmaya : Haan.

Imam Ibn Hajar , Kitab Tahdeeb At Tahdeeh ,  Jild 9 , Rawi No. 11048

Hasil Qalam Is Hadees Ka Yeh Hai K Hadees Sahi Sanad Se Sabit Hai Aur Isey Kai Ullema Ne Apni Kitabo Me Darj Karke Apna Aqeeda Wazeh Kiya Hai Yaha Tak K Deoband K Ashraf Ali Thanvi B Manta Hai K ALLAH Taala Ne Sabse Pehle Nabi Swallallahualaihiwasallam Ko Paida Farmaya.

Hadees # 2


حديث مرفوع) أَخْبَرَنَا أَخْبَرَنَا أَبُو الْحَسَنِ عَلِيُّ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ سِيمَاءَ الْمُقْرِئُ ، قَدِمَ عَلَيْنَا حَاجًّا ، حَدَّثَنَا أَبُو سَعِيدٍ الْخَلِيلُ بْنُ أَحْمَدَ الْقَاضِي السِّجْزِيُّ ، أَنْبَأَنَا أَبُو الْعَبَّاسِ مُحَمَّدُ بْنُ إِسْحَاقَ الثَّقَفِيُّ ، حَدَّثَنَا أَبُو عُبَيْدِ اللَّهِ يَحْيَى بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ السَّكَنِ ، حَدَّثَنَا حَبَّانُ بْنُ هِلالٍ ، حَدَّثَنَا مُبَارَكُ بْنُ فَضَالَةَ ، حَدَّثَنَاعُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ عُمَرَ ، عَنْ خُبَيْبِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ حَفْصِ بْنِ عَاصِمٍ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : " لَمَّا خَلَقَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ آدَمَ خَيَّرَ لآدَمَ بَنِيهِ ، فَجَعَلَ يَرَى فَضَائِلَ بَعْضِهِمْ عَلَى بَعْضٍ ، قَالَ : فَرَآنِي نُورًا سَاطِعًا فِي أَسْفَلِهِمْ ، فَقَالَ : يَا رَبِّ ! مَنْ هَذَا ؟ قَالَ : هَذَا ابْنُكَ أَحْمَدُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ هُوَ الأَوَّلُ وَالآخَرُ وَهُوَ أَوَّلُ شَافِعٍ " .


Tarjuma :

Hazrat Abu Hurraira Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai NABI Swallallahualaihiwasallam Ne Irshad Farmaya , Jab ALLAH Taala Ne Adam Alaihissalam Ko Paida Kiya Toh Usne Iski Aulad K Baare Me Inko Khabar Di , Is Per Adam Alaihissalam Dusro Per Barkat Hasil Ki , Phir Isne “Intehai Noor “ K Ikhtetam Ki Taraf Dekha) ,Hazrat Adam Ne Kaha , A Mere Rab ,Yeh Kaun Hai ? Rab Ne Farmaya Yeh Tumhara Beta Ahmed Hai Jo Pehla Aur Akhri Aur Qayamat K Din Wah Sabse Pehle Shafa’at Karne Wala Hoga.

Imam Bayhaqi, Kitab Dala’il Un Nubuwwah , Jild 5, Safa. 483

Ibn E Abi 'Aasim , Kitab Al Awaael , Jild 1 ,Safa 61 , Hadees No. 5

Ibn Asakir , Kitab Tareekh Madina Damishq , Jild 42 , Safa 67

Imam Jalal Ud Din Suyuti , Kitab Khasais Al Kubra , Jild 1 , Safa 39

Hasil Qalam Is Hadees Se Hai K Yaha B NABI Swallallahualaihiwasallam Ka Noor Hona Sabit Hai.

Hadees # 3

Hazrat Maysira Al Fajr Ne Nabi Swallallahualaihiwasallam Se Pucha K Aap Kabse Nabi Hai , Toh Farmaya Jab Adam Mitti Aur Rooh K Darmayan Me The.

Yahi Hadees , Hazrat Abu Hurraira , Abdullah Bin Abbas , Abdullah Bin Shaqeeq , Umar Bin Khattab , Aamir Radialla Taala Anhum Se B Marwi Hai.

Imam Tirmidhi , Kitab As Sunan , Al Manaqib , Baab Fadl An NABI Swallallahualaihiwasallam , Jild 5 , Safa 585 , Hadees 3609.

Imam Ahmad Bin Hanbal , Kitab Al Musnad , Jild 4  Safa 66 Aur Jild 5 , Safa 59 , Hadees 23620

Imam Hakim , Kitab Al Mustadrak , Jild 2 , Safa 665-666 , Hadees 4209-4210.

Imam Ibn Abi Shayba , Kitab Al Musannaf , Jild 7 , Safa 369 , Hadees 36553

Imam Tabrani , Kitab Muajam Ul Awsath , Jild 4 , Safa 272 , Hadees 4175.

Imam Tabrani , Kitab Muajam Al Kabeer , Jild 12 , Safa 92 , Hadees 12571.

Imam Abu Nuy’m , Kitab Hilyatul Auliya , Jild 7 , Safa 122 Aur Jild 9 Safa 53.

Imam Bukhari , Kitab Tarikh Al Kabeer , Jild 7 , Safa 374 , Hadees 1606.

Imam Ibn  Abi Asim , Kitab As Sunnah , Jild 1 Safa 179 , Hadees 411

Imam Shaybani , Kitab Ahaad Wal Mathani , Jild 5 , Safa 347 , Hadees 2918.

Imam Abdullah Bin Ahmad Bin Hanbal , Kitab As Sunnah , Jild 2 , Safa 398 , Hadees 864.

Imam Ibn E Sa’ad , Kitab Tabqaat E Kubra , Jild 1 Safa 148.

Imam Ibn Hibban , Kitab Thiqqat , Jild 1 , Safa 47.

Imam Daylami , Kitab Musnad Al Firdous , Jild 3 , Safa 284 , Hadees 4845.

Imam Ibn Asakir , Kitab Tarikh E Damishq Al Kabeer , Jild 26 , Safa 382.

Imam Ibn Hajar , Kitab Tahdeeb At Tahdheeb,Jild 5 , Safa 147 ,Hadees 290 Aur Kitab Al Asabah , Jild 6 , Safa 239 Aur Kitab Ta'jeel Al Munfi'ah , Jild 1 , Safa 542 , Hadees 1518.

Imam Ibn Abdul Barr ,Kitab Al Isti’ab , Jild 4 , Safa 1488 , Hadees 2582.

Imam Zahabi , Kitab Sayyir Al 'Alaam An Nubala , Jild 7 , Safa 384.

Imam Jalal Ud Din Suyuti , Kitab Khasai Al Kubra , Jild 1 , Safa 18 Aur Kitab Alhawi Lil Fatawa , Jild 2 , Safa 100

Imam Ibn E Katheer , Kitab Al Badayah Wan Nahayah , Jild 2 , Safa 307

Imam Jarjani , Kitab Tareekh E Jarjaan , Jild 1 , Safa 392 , Hadees 653.
Imam Qastalani , Kitab Mawahib Al Laduniya , Jild 1 , Safa 60.

Imam Haitami , Kitab Majma' Az Zawaid , Jild 8 , Safa 122.

Imam Abu Sa'd An Neshaburi , Kitab  Sharaf Al Mustafa , Jild 1 , Safa 286 , Hadees 75.

Hasil Qalam Is Hadees Se Hai K Sabse Pehle ALLAH Taala Humare NABI Swallallahualaihiwasallam Ko Paida Farmaya Aur NABI Banaya Jab Adam Alaihissalam Mitti Aur Rooh K Darmayan Me The.

Hadees # 4

AAP Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya:


"Han, Main Ibrahim ('Alahis Salam) Ki Dua Hun Aur Hazrat Esa Bin Mariyam ('Alahima As Salam) Ne Meri Basharat Di Thi Aur Mere Wiladat K Waqt Mere Walidah Muhtarmah Ne Apny Badan Say Aysa NOOR Nikalty Hue Dekha Jis Say Un Par Shaam (Syria) Ki Muhallat Tak Roshan Ho Gaay Thi."


Imam Haakim Ne Farmaya:

Yeh Hadith Sahi Al Asnaad Hai Aur Imam Zahabi Ne Imam Haakim Ki Taed Ki Hay !!

Imam Hakim , Kitab Al Mustadarak , Jild 2 , Safa 656 , Hadees 4175.

Imam Ibn E Sa’ad , Kitab Tabqat Al Kubra , Jild 1 , Safa 150.

Imam Bayhaqi , Kitab Dalail An Nabuwwah , Jild 1 , Safa 83.

Imam Tabrani , Kitab Jami Al Bayan , Jild 1 ,Safa 556.

Imam Qurtabi , Kitab Jami' Al Ahkaam Al Quran , Jild 2 , Safa 131.

Imam Tabari , Kitab Tareekh Al Umam Wal Mulook , Jild 1 , Safa 458.

Imam Ibn E Katheer , Kitab Tafseer Al Quran Al Azeem , Jild 4 , Safa 361.

Imam Ibn E Ishaaq , Kitab Seerat An Nabwiyyah , Jild 1 , Safa 28.

Hasil Qalam , Noor Hai Tab Hi Noor  Dikha.

Aisi Aur B Bahut Si Hadeesein Hai Jo Sabit Karti Hai K NABI Swallallahualaihiwasallam NOOR Hai. Ab Hum Aitraaz K Jawab Per Hadees Pesh Karege.


Aitraaz # 1

Nabi Swallallahualaihiwasallam Ek Aam Basher Hai , Humari Tarah Hai .

Al Jawab :

Hadees # 1

Hazrat Abdullah Bin Umar Radialla Taala Anhu Bayan Karty Hain K HUZUR AKRAM Swallallahualaihiwasallam Ne Soom E Wisaal (Yani Sehri O Aftari K Bghair Musalsal Rozy Rkhny) Say Mana Farmaya , Sahaba Ikram Ne Arz Kiya: Ya RUSUL ALLAH Swallallahualaihiwasallam ! Ap To Wisal K Rozay Rakhty Hai.AAP Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya: "Main Hargiz Tumhari Misal Nahi Hun, Mujhe To (Apny Rab K Haan) Khilaya Aur Pilaya Jata Hai.

Imam Bukhari  , Kitab As Saum , Baab Wisal K Rozo Ka Bayan , Safa 693 , Hadees 1861.

Imam Muslim , Kitab As Siyaam, Baab Saum E Wisal Ki Mumania'at K Bayan Me ,Jild 2 , Safa 774 , Hadees 1102.

Imam Abu Dawud , Kitab As Saum , Baab Saum E Wisaal , Jild 2 , Safa 306 , Hadees 2360.

Imam Nasai , Kitab Sunan Al Kubra , Jild 2 , Safa 241 , Hadees 3263


Hadees # 2

Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Se Riwayat Hai K

Huzur AKRAM Swallallahualaihiwasallam Ne Logo Par Shafqat K Baes Unhain Wisaal K Rozay Rakhny Se Mana Farmaya To Sahaba Ikraam Ne Arz Kiya:(Ya RUSUL ALLAH Swallallahualaihiwasallam) Aap Bhi To Wisaal K Rozay Rakhty Hain.AAP Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya:"Main Tum Jaysa Nahi Hu, Mujhe To Mera Rab Khilata Aur Pilata Bhi Hai."

Imam Bukhari  , Kitab As Saum , Baab Wisal K Rozo Ka Bayan , Safa 693 , Hadees 1863

Imam Muslim , Kitab As Siyaam, Baab Saum E Wisal Ki Mumania'at K Bayan Me ,Jild 2 , Safa 776 , Hadees 1105

Imam Ahmed Bin Hanbal , Kitab Al Musnad ,Jild 2 , Safa 153 , Hadees 6413.

Imam Bayhaqi , Kitab Sunan Al Kubra , Jild 4 ,Safa 282 , Hadees 8161.

Hadees # 3

Hazrat Anas Radialla Taala Anhu Se Riwayat Hai K

HUZUR AKRAM Swallallahualaihiwasallam Nw Maheenay K Aakhir Main Sehri Aftari K Baghair Musalsal Rozay Rakhna Shuru Kar Dia To Baaz Deegar Logo Ne Bhi Wisaal K Rozy Rakhy.HUZUR AKRAM Swallallahualaihiwasallam Tak Yeh Baat Pohnchi To AAP Swallallahualaihiwasallam Ne Farmaya:

"Agar Yeh Ramzaan Ka Maheena Mere Liye Lamba Ho Jata To Main Mazeed Wisaal K Rozay Rakhta Ta K Mere Baraabri Karne Wale Mere Baraabri Karna Choor Dete, Main Bilkul Tumhari Misal Nahi Hun, Mujhe To Mera Rab (Apny Han) Khilata Bi Aur Pilata Bhi Hai."

Imam Bukhari , Jild 6 , Safa 2645 , Hadees 6814.

Imam Muslim , Kitab As Siyam , Baab Saum E Wisal Ki Mumani'at , Jild 2 , Safa 776 , Hadees 1104

Imam Ahmed Bin Hanbal , Kitab Al Musnad , Jild 3 , Safa 124 , Hadees 12270 ,13035 ,13092 , 13681.

Imam Ibn E Hibban , Kitab As Saheeh , Jild 14 , Safa 325 , Hadees 6414.

Imam Bayhaqi , Kitab Sunan Al Kubra , Jild 4 , Safa 282 , Hadees 8160.

Hasil Qalam In Ahadees Se Yeh Hai NABI Swallallahualaihiwasallam Ki Misl Koi Nai , Aur Naa Hi Aapke Barabar Ka Koi Nahi Aur Is Hadees Se Malum Padha K Aap Ek Aam Bashar Nahi.


Deoband Aur Noor E Mustafa Swallallahualaihiwasallam.



1.

Deoband Ka Alim Mohammad Ashiq Ilaahi Mirthi Apni Kitab Imdad Us Sulook Safa 157-158 Per Likhta Hai.

“ Insaan Ka Nafs Noorani Hojaata Hai Aur Yahi Baat Hai K Haq Taala Ne Apne Habib Swallallahualaihiwasallam Ki Shaan Me Farmaya Hai “ Beshak Aaya Tumhare Paas Haq Taala Ki Taraf Se Noor Aur Wazeh Kitab” Aur Noor Se Muurad Habib E Khuda Swallallahualaihiwasallam Ki Zaat Hai”


2.

Deoband K Mufti Sayed Najm Ul Hasan Amrohi Ka Fatwa Najm Al Fatwa Jild 1 Safa 315-316 Per Ek Sawal K Jawab Me Likhte Hai :

Tafseer Ruh Ul Bayan Jild 2 Safa 370 , NABI Swallallahualaihiwasallam Se Riwayat Kiya Gaya Hai K Aap Ne Farmaya Hazrat Adam Alaihissalam Ki Paidaish Se 4000 Saal Pehle Me Apne Rab K Saamne Noor  (Ki Soorat) Tha Aur Farishto Ki Tasheeh Is Noor Ki Tasheeh K Mutabik Thi.

Phir Jab ALLAH Taala Ne Hazrat Adam Alaihissalam Ko Paida Farmaya Toh Is Noor Ko Inki Salb ( Haqeeqat) Me Shamil  Kardiya .

Isi Tarah Hazrat Thanvi Ne Apni Kitab “Nashrat Ut Tib Fee Zikr An Nabi Habib Swallallahualaihiwasallam” Ki Pehli Fasl Me Jo Noor E Mohammadi K Unwaan Se Qayam Hai ,In Riwayat Ko Jama Kiya Hai , Jin Se Malum Hota Hai K Hazrat Mohammad Swallallahualaihiwasallam Noor Se Paida Hue .

3.

Deoband K Bahut Bade Ali Ashraf Ali Thanvi Ki Kitab Nashrat Ut Tib Fee Zikr An Nabi Habib Swallallahualaihiwasallam Me Safa 20-21,269 

Is Kitab Me Ashraf Ali Thanvi Ne NABI Swallallahualaihiwasallam Ko NOOR Maana Hai.

Alhamdulillah Issey Saaabit Hai Deoband K Bade Alim B Mante Hai K ALLAH Taala Ne Sabse Pehle NABI Swallallahualaihiwasallam K Noor Ko Paida Farmaya Aur Aap Noor Hai.


NABI Swallallahualaihiwasallam Ka Saaya Na Tha



Ullema Kram Ne Dalail K Saath Apni Qutub Me Darj Kiya Hai K NABI Swallallahualaihiwasallam Saraapa Noor Hai Aur Yeh Noor Be Saaya Hai , Aapka Saaya Na Dhup Me Dikhta Na Kisi Roshni Me Nazar Aata ,Daleel Mulahiza Kare.

1. Imam Zarqani Jild 4 Safa 220 Per Likhte Hai Suraj Aur Chand Ki Roshni Me NABI Swallallahualaihiwasallam Ka Saaya Na Tha ,Isliye K Aap Noor The.


2. Khasais Al Kubra Jild 1 Safa 67 Per Likhte Hai  “Beshak Rasul ALLAH Swallallahualaihiwasallam Ka Saaya Suraj Aur Chand Me Nahi Dekha Jaata Tha Aur Ibn Sab’i Ne Kaha K Mustafa Swallallahualaihiwasallam K Khawais Se K Apka Saaya Zameen Per Waqa’e Na Hota Tha Aur Behsak Aap Noor The.


3. Sharah Shifa Jild 1 Safa 505 Per Likhte Hai Mustafa Swallallahualaihiwasallam K Khawais Se Hai K Aap Noor The , Aur Jab Suraj Aur Chand Ki Roshni Me Chalte Toh Mustafa Swallallahualaihiwasallam Ka Saaya Zahir Na Hota Tha.


4. Al Jawahir Al Jawahar Jild 1 Safa 453 Per Likhte Hai , Jab Mustafa Swallallahualaihiwasallam Chalte Toh Chand Aur Suraj Me Apka Saaya Na Hota Tha.


5. Shah Abdul Aziz Muhaddis Dehlvi , Tasfir E Azizi Safa 219 Per Likhte Hai , Mustafa Swallallahualaihiwasallam Ka Saaya Zameen Per Na Padhta Tha.


6. Tafsir An Nasafi Jild 3 Safa 103 Per Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ka Aqeeda Likhte Hai , Farmaya Hazrat Usman Radialla Taala Anhu Ne K Beshak Ya Rasul ALLAH Swallallahualaihiwasallam ,ALLAH Taala Aapka Saaya Zameen Per Nahi Daala ,Taakay Is Saaye Per Koi Insaan Qadam Na Rakhe.


7. Maktubat Shareef Imam Rabbani Daftar Saum , Hissa Nahm , Marifat Al Hiqayat 75 ,Hazrat Mujadid Alf Saani Apna Aqeeda Bayan Karte Hai , Jab Sarware Ala Wa Aala Salatu Wa Salam Mumkinat Me Na The , Balke Is Aalam Se Dur The ,Zarur Apka Saaya Na Tha , Aur Aalam E Shahdat Me Aadmi Ka Saaya Aadmi Se Bahut Latif Hota Hai,Aur Jab Mustafa Swallallahualaihiwasallam Se Zyada Latif Duniya Me Koi Shaye Nai Hai Toh Mustafa Swallallahualaihiwasallam Ka Saaya Kaise Hosakta Hai.


8. Deoband K Mulla Rasheed Ahmed Gangohi Ka Aqeeda , Imdad Us Sulook Safa 158 Per Likhte Hai , Aur Ahadees Mutawatir Se Sabit Hai K Hazrat Swallallahualaihiwasallam Saaya Nahi Rakhte The,Aur Zahir Hai K Noor K Siwaye Tamam Ajsam Saaya Rakhte Hai.


Aitraz Aur Uske Jawabat



Aitraz

Musnad Imam Ahmed Bin Hanbal Ki Hadees E Pak Hai , Hazrat Sufiya Radialla Taala Anha Farmati Hai K Hum Me Ek Din Nisf Nihar Mustafa Swallallahualaihiwasallam Tashreef Laye Aur Is Waqt Aapke Zer Saaye The. , Saabit Hua Hadees Se K Mustafa Swallallahualaihiwasallam Ka Saaya Tha.

Pehla Jawab : Nisf Nihar Me Saaya Hota Hi Nahi , Lihaza Hazrat Sufiya K Nisf Nihar Farman Ne Tumhare Istedlal Ko Galat Sabit Kardiya.

Dusra Jawab : Hadees Me “Zil” Ka Matlab Suraj Aur Chand Me Dikhne Wala Saaya Nai , Iska Ilzami Jawab Hadees Se Pesh Karta Hu, Jame As Sageer , Jild 2 Safa 31 , Tarjuma : Aadil Aur Ajizzi Karne Wala Badhshah ALLAH Ka Saaya Hai , 

Kya Yaha B Suraj Se Saaya Hai ?

Jame As Sageer , Jild 2 Safa 26 ,Tarjuma : Badhshah Insaaf Wala Ajizzi Wala ALLAH Ka Saaya Hai 

Kya Khuda Ka Saaya Hai ?

Sahi Bukhari Jild 8 Hadees 6806 , ALLAH Taala Saath ( 7 ) Tarah K Logo Ko Arsh K Saaye Me Jagah Dega .

Hasil Qalam In Ahadees Se Yeh Hai K In Saaye Se Murad Suraj Aur Chand Ki Roshni Ka Nahi Balke ALLAH Taala Ki Rehmat Hai , Isi Tarah NABI Swallallahualaihiwasallam K Saaye Se Murad Apki Jalwa Giri Hai.


Ullema Jinhone Mustafa Swallallahualaihiwasallam Ko Noor Maana Hai


1. Imam Fakhruddin Razi Radialla Taala Anhu , Tafsir Ul Kabir Jild 2 Safa 302.

2. Imam Jalal Ud Din Suyuti Radialla Taala Anhu , Al Khasais Al Kubra , Jild 1 Safa 169.

3. Allama Alusi Al Hanfi Radialla Taala Anhu , Tafsir Ruh Al Mani , Jild 17 , Safa 105.

4. Imam E Azam Abu Hanfi Radialla Taala Anhu , Qasida E Nauman , Safa 23.

5. Hazrat Mulla Ali Qari , Mirqat Sharah Mishkat , Jild 1 Safa 289-290

6. Hazrat Mujadid Alf Thani , Maktubat Mujadid Alf Thani

7. Shaikh Abdul Haq Muhadddis Dehlvi , Madarij An Nabuwwah , Jild 2 , Safa 2.

8. Shaikh Ul Akbar , Muhayuddin Ibn Arabi Rahimahullah , Fatukhat Al Makiyyah , Jild 1 , Safa 119.

9. Hazrat Gaus E Paak Shaikh Abdul Qadir Jeelani Radialla Taala Anhu , Sirrul Asrar Wa Mazharul Anwar  , Safa 6.

10. Shah Abdur Rahim Dehlvi , Infaas Ar Rahmiyah , Safa 13.

11. Shah Wali Ullah Muhaddis Dehlvi , Fayudh Al Harmain.

12. Hazrat Hasan Ibn Thabit Radialla Taala Anhu , Dalail An Nabuwwa , Jild 1 Safa 280.

13. Ibn Abd Al Barr , Al-Isti’ab , Jild 1 Safa 341

14. Imam Zarqani , Sharah Al Mawahib , Jild 1 Safa 91.


-Shaikh Mohammad Imran Saifi.




5 comments:

  1. Sham’a dil mish'qaat tann seena zujaja noor ka..
    Teri surat k liye aaya hai surah noor ka..
    (Aala Hazrat)

    ReplyDelete
  2. Aslamu Alaikum bhaii.
    Apne upr jo musannaf abdur razzaq RA se hadees pesh ki hai uss k arabi matan main kahin bhii nahin hai k "Allah ny apne Noor se tere Nabi(SAW) k Noor ko paida kiya"
    Apse guzarish hy wazahat farma dein.
    Or koii wahabii deobandi nhii...main katter Brelvi hun..!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wo Wahabiyah ne hata di hai,
      qadeem/old edition jo Libraries me maujood hai unme wo Hadees hai.
      aur Muwahib al Ladunniyah me unka Hawala maujood hona is baat ki daleel hai pakki

      Delete
  3. اسلام وعليكم
    12. Hazrat Hasan Ibn Thabit Radialla Taala Anhu , Dalail An Nabuwwa , Jild 1 Safa 280
    Is hawale ko me ne dhoonda par page par mujhy kahi nh mila ye would meri rehbari farmiye
    Or haa me bhi ahle sunnat hanafi maslak wala hu الحمدالله

    ReplyDelete
  4. Dua me yad rakhiye age bhe y kam jari rahega jamshed ali qadri

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers