,
Fazail O Manakib Hazrat Muawiya Ibn Abu Sufiyan Radiallahu Anhu
Wiladat:
"Hazrat Muawiya Ibn Abu Sufiyan Radiallahu Anhu ki wiladat Besate Mubaraka Se 5 Saal Kabl (takriban 605 Iswi) Me Makkah Muazzama Me huwi aur yehi kaul mashoor hai"
(Imam Ibn Hajar Asqalani, Al-Isabah Fi Tamyiz Al-Sahabah, Vol: 06, Pg: 120)
Khandani Nasab:
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ka Sajra E Nasab "Hazrat Abde Manaf" par Nabi E Karim ﷺ ke Sajra E Nasab Se Jaa Milta Hai.
Nabi E Karim ﷺ Ka Sajra E Nasab Mubarak
Hazrat Muhammad ﷺ Ibn Abdullah ibn Abduł Muttalib ibn Hashim ibn Abde Manaf
(Seerat E Nabawiya Lil Ibn Hisham, Pg: 5)
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ibn Abu Sufiyan ibn Harb Ibn Ummaya ibn Abd Shams ibn Abde Manaf
(Imam Ibn Hajar Asqalani, Al-Isabah Fi Tamyiz Al-Sahabah, Vol : 06, Pg: 120)
(Imam Suyuti, Tareekhul Khulfa, Pg: 281, Mutarjim)
Aap Radiallahu Anhu Kab Iman Laaye Iman Laane ke talluq se do qaul milte hai ek Aapne Iman Fateh
Makkah Se pahle laaya par apne walid Hazrat Abu Sufiyan chunky ab tak wo Islam naa laaye they to Aap Radiallahu Anhu ne apna Iman Khulke Izhar na kiya dusra qaul hai ke Aap Bhi apne walid Hazrat Abu Sufiyan Radiallahu Anhu ke saath Fateh Makkah ke waqt Iman Laaye.
Imam Ibn Saad Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 230 Hizri apni mashoor kitab At Tabqat Ul Kubra Vol: 6, Baab Muawiya Ibn Abu Sufiyan Pg: 16 Par likhte hai "Hazrat Umar ibn Abdullah Al Ansi Rahmatullah Alaih Farmate hai Ke Ameer Muawiya Radi Allahu Anhu Ne Irshad Farmaya Ke Hudaibiya ke Waqt Iman Laaye Par Khandan Apne Walid ke sabab izhar na kiya.
Mufti Azam Pak O Hind Mashoor Maroof Munazir Sahib E Jaal Haq Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahmatullah Alaih Likhte hai "Sahih Yeh ke Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Sann 7 Hizri Me Islam Laaye Magar Makkah Walo Ke Khauf Se Apna Islam Chupa rakha, Phir Fateh Makkah ke Din Apna Islam Jahir farmaya Jin logo ne kaha Fateh Makkah ke din Iman laaye wo zahoor e Imaan Laane ke lihaz se hai"
(Ameer Muawiya Par Ek Nazar, Pg: 35)
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ke Bhai Bahen:
1) Yazeed ibn Abu Sufiyan Radialllahu Anhu (Al Mutwaffa 19 Hijri) Jo Sham Ke Governor They,
ii) Utbah Ibn Abu Sufyan Radiallahu Anhu (Al Mutwaffa 44 Hijri)
iii) Anbasa Ibn Abu Sufyan
iv) Ramla Bint E Abu Sufyan Ummul Momineen Umme Habiba Radiallahu Anha Jo Pure khandan me Sabse Pahle Iman laayi Aur Hizrat bhi ki.
v) Uzza bint Abu Sufyan
vi) Umaim bint Abu Sufyan
vii) Maymunah bint Abu Sufiyan
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ki Biwiya:
i) Katwa bint Qurayza al-Nawfaliyya
ii) Fakhita bint Qurayza al-Nawfaliyya
iii) Maysun bint Bahdal al-Kalbiyya
iv) Na'ila bint Umara al-Kalbiyya
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ki Aulad :
i) Yazid Lanatullah - Iske Hukm Se Imam Hussain Radiallahu Anhu ki shahadat Karbala Me huwi
ii) Abdullah
iii) Abdur Rehman
Abdur Rehman Ke Sabab Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ki qunniyat Abu Abdur Rehman mashoor huwi
Betiya:
i) Ramla
ii) Hinda
iii) Ayesha
iv) Safiya
v) Atika
Nabi E Karim ﷺ Rauf O Rahim Se Ameer Muawiya Ka Rishta E Talluq: Khalul Momineen (Ummat Ke Mamu Hone Ka Sabab)
Hazrat Umm Habiba Ramla Bint Abu Sufyan Radiallahu Anha Hamare Pyare Aaka Ki Ajwaz mutahirat me rahi hại Aur Nabi ﷺ ki Biwi Ummat Ki Maa Hai Quran E Karim Me Pak Parwardigar irshad farmata hai
النبي أولى بالمؤمنين من أنفسهم وأرواحة أمهاتهم
"Ye Nabi Musalmano ki unki jano se zyada Malik hai aur unki biwiya unki Maa'en Hai Surah Ahzab Ayat 06)
Hadees
Hazrat Abu Saleh bayan karte hai Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu ne Ye Ayat Ekarima tilawat ki
عسى الله أن يجعل بينكم وبين الذين عاديتم منهم مودة والله قدير والله عفورٌ رَحِيمٌ
Qarib Hai Ke Allah Ta'ala Tumhare aur un logo ke darmiyan mohabbat paida kar de jo unme se tumhare dushman hai, Aur Allah bahut qudrat wala aur Allah bahut bakshne wala bada meherbaan hai" Surah Mumtahanah Ayat 07)
Aur farmaya Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu ne Aur Is muhabbat ki ek surat ye huwi ke Umme Habiba Radiallahu Anha Jo Hazrat Abu Sufyan Radiallahu Anhu ki beti thi Nabi E Karim ﷺ ne unse nikah farmaya to Syeda Umm Habiba Radiallahu Anha Ummul Momineen Hogayi aur Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Momineen ke Mamu"
(Imam Abu Bakr Al Ajurri Shariya, Vol :03, Pg :569-570, Hadees: 1988)
Scan Page
Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 241 Hizri farmate hai
“Hazrat Abul Haris Ka bayan hai wo kahte hai humne Hazrat Imam Ahmad Ibn Hanbal kay pass ek khat likha ALLAH Taa’la Aap par rahem farmaye aise shaks kay bare me Aap kya farmate hai Jo Kahta hai Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu naa to Khalul Momineen (Musalmano kay Mamu) Hai aur naa hi qatib e wahi balki unhone talwar Se khilafat gasab ki thi ?
Imam Ahmad Ibn Hanbal Rahmatullah Alaih farmate hai ye bahot bura aur raddi qawl hai, aiso se dur raha jaaye aur unki sohbat ekteyar naa ki jaaye ”
(Imam Abu Baqr Khallal As Sunnan Vol : 01, Pg : 434, Hadees : 659)
Hazrat Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Se Rishta E Talluk
Shaheed E Karbala Hazrat Imam Ali Akbar Radiallahu Anhu Ki Walida Ye Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Bahen Ki Beti Hai,
Hazrat Layla Bint Maimunah bint Abu Sufiyan ibn Harb Ibn Umayyah
(Abu Amr Khalifa Ibn Khayyat, At Tareekh Vol : 01, Pg: 255, 61 Hizri Ke Waqiyat)
(Shia Aalim Abul Faraz Asfahani, Maqatil al-Talibiyyin, Vol : 01, Pg: 54)
(Shia Alim Shaykh Abbas Qummi, Nafasul Mahmoom Pg: 269, Muntaha al Amal, vol. 1 pg. 464, Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu Ki Ahliya ka Tazkira karte huwe likha hai)
Is rishte se Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Hazrat Ali Akbar Radiallahu Anhu Ke Mamu lagte hai,
Nabi Karim ﷺ Se Khandani Rishtedari Ki Fazilat Aur Gustako Ke Liye Lamha E Fikr
Hadees :
Hazrat Awim Ibn Saeeda Radiallahu Anhu Farmate hai Ke Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad farmaya beshak Allah Taala ne mera intekhab farmaya aur mere liye mere sahaba ko chuna aur unme se mere wajir banaye, mere madadgar banaye, mere rishtedar banaye jisne mere un tallukdaro ko gali di is par Allah Pak Ki lanat farishton ki Aur tamam insanon ki lanat, kayamat ke din iska na koi amal kabul hoga aur na koi iske haq me shifarish kabul hogi
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :03, pg 732, Hadees : 6656)
Imam Hakim Kahte hai ye hadees sahih hai. Scan Page
03 Tabke :
Kuch wakt se baaj tabka jo Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke baare me Ahle Sunnat se mukhtalif raaye rakhta hai jinka nazariya kuch aisa hai.
Ek tabka kehta hai wo sahabi to hai unpe laan taan na kare lekin unke fazail wa manakib bayan karna Nasbiyat hai, ye zyadatar Janab Tahir Qadri Sahab ke followers hai
Dusra tabka hai un logo ko Jo Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ko Sahabi kahte hai aur saath me unke baare me awaam ke dil dimag me ek rafzi propaganda bhi karte hai awaam ko sahaba se bezar karne me koi kami nahi chodte unpe laan taan shab we shitam bhi karte hai phir munafiqat dikha ke unhe sahabi thi kahte hai, ye tabka zyadatar filhal Zahoor Ahmad Faizi Alamgir Ashraf, Peer Abdul Qadir Pakistan, Engineer Muhammad All Mirza, Habib Hyderabadi Minhaji, Sibtain Haider Aur Pak Wa Hind ke kuch peero ka hai.
Dusra tabka jo behad khatarnak hai inke baare me Peer Syed Irfan Shah Sahab likhte hai
Irfan Shah Sahab Ne 3 Giroh Ka zikr kiya jisme Dusre Giroh ka Zikr Karte Likhte Hai
"Dusra Giroh : Jahil Sufiyo Ka Aur Naam Nihad Syedo Ka Hai Jo Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ki badgoi ko Hazrat Ali ul Murtaza Radiallahu Anhu Ki Muhabbat Ki Takmeel Samajhte Hai, Ye Log Khud Ko Sunni Samajhte Hai Magar Hakikat Me Naa sirf Is Masle Me balki bahut se usool wa furo me Ahle Sunnat Ki Mukhalifat Me Shia Firqo me dakhil hai"
In Giroh Me Sabse Khatarnak Giroh Dusra Hai
(Irfan Shah Mashadi, Syedna Ameer Muawiya Pg : 14) Scan Page
Teesra tabka hai wo farzi Sufi Ajmer Sharif ke baaj mujawar jisme Sarwar, Uska Beta Kamran aur Inke himayati ka aur inke maan ne wala ka hat jo khud ko Maulayi kahte har, inka kahna ke wo sahabi hai hi nahi balki wo kharji munafiq they Islam stam se khari) they dushman e ahle bait they ye pura Rafzi Fikr khulke izhar karte hai
Ahle Sunnat Ka Aqeeda Sahaba Ke Baare Me
Hazrat Shadrusharia Allama Amzad Ali Azmi Rahmatullah Alaih Jinki Kitab Bahar E Shariyat Puri Fiqh E Hanafi ki ek Encyclopedia mani jati hai Sahaba Ke Baare me likhte hai Aqeedah aur mera guman hai inke se koi Peer Aaj aisa nhi hoga jiske library me ye kitab na ho
6) Tamam Sahaba E Kiram Rizwanallahum Azmayeen ahle khair swaleh wa Adil hai, inka jab bhi zikr kiya jaaye to khair ke sath hona farz hai.
7) Kisi Sahabi Ke Sath Sau Aqeedat Ba Mazhabi Wa Gumrahi Wa Isteh'qaaq Jahannum Hai Ke Wo Huzur Aqdas ﷺ Ke Sath Bugz Hai, Esa Shakhs Rafzi Hai, Agar Charo Khulfa Ko Mane Aur Apne Aapko Sunni Kahe, Maslan Hazrat Ameer Muawiyah Aur Unke Walid Majid Hazrat Abu Sufiyan Aur Walida Majida Hazrate Hinda , Isi Tarah Hazrat Syedna Amr Bin Aas Wa Hazrat Mugira Bin Shaiba Wa Hazrat Abu Musa Ash'hari Radiallahu Ta'la Anhum, Hata Ke Hazrat Wahsi Radiallahu Ta'la Anho Jinhone Qabl Islam Hazrat Syedna Syed Us Shohda Hazrat Hamza Radiallahu Ta'la Anho Shaheed Kia Aur Bad Islam Akhbas Ul Naas Khabis Maslima Kajaab Ko Wasil E Jahannum Kia. Wo Khud Farmaya Karte They : Ke Maine Khair Ul Nass Wa Shar Ul Naas Ko Qatl Kia, Unme Se Kisi Ki Shaan Me Gustakhi , Tabra Hai Aur Uska Qayl Rafzi, Agar Che Hazrat Shaikhain Radiallahu Ta'la Anhuma Ki Tauheen Ke Mishl Nahi Ho Sakti, Ke Unki Tauheen, Balke Unki Khilafat Se Inkar Hi Fuqah E Kiram Ke Nazdik Kufr Hai."
(Bahar E Shariat Hissa Awwal, Imamat ka Bayan, Aqeeda 6,7, Pg : 252-253)
Scan Page
Allah Pak Ki Rehmat Ho Hazrat Shadrusharia Alaihrehma pe jinhone Bahar E Shariat jaisi kitab likh kar jo kayi hazaro kitab ka nichod jama karke spoon feeding hume kar diya hai bas jaruri hai ke padhe isko kamse kam kuch nahi to Kitab Al Aqaid ko jarur padhe
Imam Qazi Iyaz Maliki Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 544 Hizri) apni Maroof O Makbool Kitab Shifa me likhte hai
Fasl :
"In Mukaddas Hazrat Ahle Bayt, Umhatul Momineen aur tamam Sahaba e Kiram Rizwanullahim Azmayeen ki Shaan me tankees karna haram hai aur tankees karne wala Maloon (lanati) hai"- (Pg : 876)
"Raqam 1822 :
Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Mere Sahaba Ko gali na do jo shaksh inhe gali dega uspar Allah Pak ki tamam farishto aur Insano Ki Lanat hai, Allah Pak Na uska farz kabul karega na nafal
Raqam 1823 :
Farmaya Rasoolallah ﷺ ne Beshak mere sahaba ko gali mat do aakhri jamane me ek kaum aayegi jo mere sahaba ko gaali degi, Pas's tum unke na janaze padho Aur Na unke saath namaz padho, na unse nikah karo, aur na unke saath betho agar wo bimar hojaye to na unki iyadat karo".
(Pg : 877)
Imam Malik Rahmatullah Alaih Farmate Hai
Jis Shakhs Ne Huzur Nabi E Karim ﷺ Ko gaali di usko qatl kiya jaayega Aur Jo Aap Karim ﷺ ke ashaab ko gali de usko saja di jaye
Imam Iyaz Rahmatullah Alaih Farmate Hai Aur Ye Bhi Ke Jo Shaks Aap Huzoor ﷺ Kay Kisi Ashab Ko Gali De Yani Hazrat Abu Bakr Hazrat Umar Hazrat Usman Hazrat Ameer Muawiya Aur Hazrat Amr Bin Aas Razi Allah Tala Anahum Aur Ye Kahe Ye Gumrah aur Kafir they to usko qatl kiya jaye Aur Iskay Alawa Aur Koi Sab wa Shatam Ka Lafz Istemal Kiya Jis Tarah Log Ek Dusre Ko Kahtay Hain Tu Isko Sakht Saza Di Jaaye" (Pg : 878)
(Al-Shifa bi Ta'rif Huquq al-Mustafa ﷺ, Pg : 876, 877, 878) Scan Page
Imam Qazi Iyaz Maliki Rahmatullah Alaih koi muhtaz e tarruf hasti nahi hai aur ye kitab Ummat E Muslima ke har tabke me maani jati hai hatta ke sufiya e kiram is kitab ko padhate aur iska dars dete Seerat E Nabwi ﷺ par sabse mumtaz kitab mani jati hai aur aqeeda aaj se 900 saal pahle ke buzurg ka hai magar ab jaisa ke hadees me hai aakhri jamane me ek kaum aayegi jo Ashab Pe tabarra karegi hum dekhte hai ek kaum 2012 ke baad jorse wajud me aayi jo sahaba pe laan taan karti hai aur aise logo se kaisa rishta rakhna hai wo bhi hadees me hai ye mar jaye to janaza na padho bimar ho to iyadat na karo shadi na karo inke saath namaz na padho na dosti rakho aur Imam Qazi Iyaz Rahmatullah Alaih ne iski sarahat naam khas likh kar ki hai ab aajke launde chaap jahil peero ko follow Karo ya un buzurgo ko jinhe tum khud buzurg Allah Ka wali mante ho
Agar koi shakhs aise galat logo se dosti ya koi laan taan giroh ka hissa hai chahe direct ya indirect aise bande ko sacche dil se tauba karna chahiye aur aise jahil peero se goya wo kisi bhi buzurg se nisbat rakhe khud ko laakh Qadri Chisti Barkati Ashrafi Koi bhi likhe
Wo Inme se kuch nahi hai taqayyabaj RAFZI hochuka hai aur Aapko bhi bana raha hai
Nabi E Karim ﷺ Kee Hadees Ko Rivayat karne Wale Sahabi
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ko ye Sharf bhi hasil hai fateh Makkah ke baad Aap Radiallahu Anhu Ne Nabi E Karim ﷺ Ki Suhbat payi hai aur faiz hasil kiya aur barah'rast Aap se hadees riwayat ki.
Imam Jalaludin Suyuti Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 911 Hizri) Likhte Hai
"Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Darbar E Risalat ﷺ Ke Qatibeen Me Se They, Aur Aap Radiallahu Anhu Se 163 Hadees Marvi Hai"
(Tarikh Al Khulafa Imam Suyuti, Pg: 405 Mutarjim)
Kayi Sahaba Ne Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Se Hadees Rivayat Ki
Imam al Nawawi Rahmatullah Alaih ne Aap Radiallahu Anhu Se 163 rivayat bayan ki hai
1. Sayyidina 'Abdullah ibn 'Abbas al Hashimi Radiallahu Anhu
2. Sayyidina Jarir ibn 'Abdullah Radiallahu Anhu
3. Sayyidina Muawiyah ibn Khudayj
4. Sayyidina Sa'ib ibn Yazid Radiallahu Anhu
5. Sayyidina 'Abdullah ibn al Zubair Radiallahu Anhu
6. Sayyidina No'man ibr Bashir Radiallahu Anhu
7. Sayyidina Abu Sa'id al Khudri Radiallahu Anhu
8. Sayyidina Abu al Darda' Radiallahu Anhu
9. Sayyidina 'Abdullah ibn 'Umar Radiallahu Anhu
(Imam Nawawi Shara E Sahih Muslim, vol. 2 pg. 141-142, Kitab Al Imraah)
Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Se In Qutub E Hadees Me Marvi Rivayatein
Sahih Bukhari: 71, 587, 914, 1730, 2003, 3116, 3641, 3766,4831, 4832, 7460,
Sunan Nasai: 295, 676,677, 678, 2373, 2588
Sunan Tirmizi: 1444, 2755, 3653
Sunan Ibn Majah: 126, 221, 540, 638, 721.963, 2573, 4199
Mishkat Al Masabih: 1050
Quran E Karim Se Fazail
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ne Jung E Hunain Me Shirkat Ki Iska Tazkira Quran E Karim Me Allah Pak Farmata Hai
Ayat 01:
ثُمَّ أنزل الله سكينته على رسوله وعَلَى المُؤمِنينَ وَأَنزَلَ جُنُودًا لم تروها وعَذَّبَ الَّذِينَ كَفَرُوا وَذَلِكَ حَرَاء الكافرين
"Phir Allah Ne Taskeen utaari Apne Rasool Par Aur Momino par Aur wo lashkar utare jo tumne na dekhe aur kafiro ko azaab diya aur munkiro ki yahi saza hai" (Surah Taubah Ayat 26)
Ayat E Karima Se Saabit huwa ke chunki Aap Radiallahu Anhu Nabi E Karim ﷺ Ke Humrah they to Aap Radiallahu Anhu Par bhi Allah Karim Ne Sakina Nazil Farmayi aur dusre makam par Rab Tala Farmata hai Allah pak ne unse Husn Ka Jannat Ka Wada Kar Liya Hai
Ayat 02:
لا يستوي منكم من أنفق من قبل الفتح وقاتل أُولَئِكَ أَعظَمُ دَرَجَةً مِنَ الَّذِينَ أَنفَقُوا مِن بَعْدُ وَقَاتَلُوا وَكُلًّا وَعَدَ الله الحسنى والله بما تعملُونَ خَبِيرٌ
"Tum me se barabar nahi wo jinhone Fateh Makkah Se pahle kharch kiya aur jihad kiya woh martabe me unse bade hai jinhone Baad Fateh ke kharch aur Jihad kiya aur un sabse Allah jannat ka wada farma chuka aur Allah ko tumhare kaamo'n ki khabar hai" (Surah Al Hadid Ayat 10)
Peer Syed Irfan Mashadi Sahab Likhte Hain
"Aur Wo tamam jinhone Fateh Makkah Se Qabl kharch kiya aur jihad kiya, aur wo log jinhone Fateh Makkah ke baad kharch kiya aur Jihad kiya Allah Ne Unsab se jannat ka wada kiya" Pg : 34
"Mazkur Aayat Se Rauz E Raushan se zyada wajeh hogaya ke Rasoolallah ﷺ ke saare sahaba Fateh Makkah se pahle wale fateh Makkah se baad waale, Jinhone bhi Habib E Khuda ﷺ ki gulami ekteyar ki Allah Pak Ne unhe Jannat ata farmadi" Pg : 36
"Allah Taala Quran E Majid Me Sahaba E Kiram Ke muttalik ailan farmata hai
وَكُلا وَعَدَ اللَّهُ الْحُسْنَى
Yaani Allah Taala Ne tamam Sahaba se jannat ka wada farma liya hai" Pg : 91
(Syedna Ameer Muawiya Ahle E Haq Ki Nazar Me, Pg : 34, 36, 91) Scan Page
Haadi O Mahdi Banane Ki Dua
Hadees 01:
"Hazrat Abdur Rahman Ibn Abu Umaira Radiallahu Anhu Bayan karte hai ke Nabi E Karim ﷺ Ne Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ke baare me Farmaya Aye Allah! Tu Inko hidayat de aur hidayat yafta bana aur inke jariye logon ko hidayat de"
(Imam Tirmizi. Sunan, Kitabul Manaqib, Baab: Manaqib E Muawiya Ibn Abu Sufiyan Hadith: 3842)
Imam Tirmizi Rahmatullah Farmate Hai قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثُ حَسَنٌ غَرِيبٌ Ye hadees Hasan Gharib Hại.
(Imam Bukhari At Tareekh Al Kabeer, Vol: 05, Pg: 220).
(Imam Ibn Saad At Tabqat Ul Kubra, Vol : 07, Pg: 287)
(Imam Ibn Asim Al Ahad Wa Al Mathani, Vol 02, Pg: 358, Hadees: 1129)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol: 07, Pg: 214, Hadees: 17895)
(Imam Abu Bakr Al Ajurri Kitab As Sharia, Kitab Fazail E Muawiya Ibn Abu Sufiyan, Baab: Nabi E Karim Ka Hazrat Muawiya Ko Dua Dena, Hadees :1975)
(Imam ibn Asakir, Tareekh Damishq Vol 59, Pg:106)
Scan Page
Hadees 02:
"Hazrat Irbaz Ibn Sariya Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Ramzan Ul Karim Ke waqt Nabi E Karim ﷺ Ne hume Sahri Khane Ke liye bulwaya aur Farmaya Aao Barkat Wali Subah Ka Khana Khao, Phir Maine Suna Aaka Karim ﷺ Ne Farmaya Aye Allah! Muawiya ko Kitab Aur Hisab Ka Ilm Sikha Aur Azab Se Bacha
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad Ahmad, Vol: 8, Pg: 127, Hadees: 17156)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Fazail E Sahaba, Baab: Fazail E Muawiya Ibn Abu Sufiyan Hadith: 1748, 1749 Shareeh ibn Obaid Radiallahu Anhu Sę Marvi Hai)
(Imam Ibn Khuzaima Sahih, Vol 03, Pg: 214, Hadees: 1938)
(Imam Ibn Hibban Al Ihsan, Kitab Managia E Shaba, Vol: 16, Pg: 191, Baab Muawiya Ibn Abu Sufiyan)
(Imam Abu Bakr Al Ajurri Kitab As Sharia, Kitab Fazail E Muawiya Ibn Abu Sufiyan, Baab: Nabi E Karim Ka Hazrat Muawiya Ko Dua Dena, Hadees : 1970, 1971, 1972, 1973)
(Imam Tabarani Al Musnad Shaneen, Hadees: 190)
(Imam Ibn Asagir Tareekh E Damishq, Vol :16, Pg: 684, 686)
(Imam Zahabi Siyar Alaam al-Nubala, Vol. 8, Page 38)
Scan Page Musnad Ahmad Hadees 17156
Ilm Aur Hilm Se Bharne Ki Dua
Hadees 03:
"Wahshi Ibn Harb Apne Walid Aur Wo Unke Dada Ke Hawale Se Bayan karte haj Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Nabi E Karim ﷺ ke Saath Sawari par baithe hue they, Nabi E Karim ne Arz Kiya tumhara Konsa hissa mere jism se mila huwa hai unhone Kaha Mera Pet aur Sine (Stomach & Chest)
Nabi E Karim ﷺ Ne to dua di Aye Allah Pak Inhe Ilm aur hilm burdbari Se bhar de" (Imam Bukhari Tareekhul Kabeer, Vol 03, Pg: 180, Raqam: 2634)
(Imam Abu Bakr Al Ajurri Sharia, Hadees: 1978, 1979)
Scan Page
Hadees 04:
"Hazrat Ibn Mulaika Radiallahu Anhu Farmate hai Ke Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ne Isha Ki Namaz Ke baad EK Raqat Witr padhi, unke Pass Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhu ka Azad Karda Gulam Mauzud tha, wo Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Ke pass gaya Unhone Farmaya Muawiya Radiallahu Anhu Ko kuch na kaho Wo Rasool Allah ﷺ Ke Sahabi Hai"
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Sahaba, Baab: Zikr E Muawiya Radiallahu Anhu, Hadees : 3764)
(Mishkat Al Masabih, Hadees: 1277)
(Imam Abu Bakr Al Ajurri As Sharia, Hadees: 2000)
Scan Page
Hadees 05:
Hazrat Ibn Mulaika Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Wo Kahte Hai Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Kaha Gaya Ameer Ul Momineen Muawiya Radiallahu Anhu ko samjhao wo sirf Ek Rakat Witr Padhte hai, Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu ne farmaya Beshak Wo Faqih Hai"
(Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Sahaba, Baab: Zikr E Muawiya Radiallahu Anhu, Hadees : 3765)
Scan Page Sahih Bukhari Hadees 3765
Hadees 06:
"Hazrat Abu Idris Al Khawlani Kahte hai Ke Jab Hazrat Umar Ibn Khattab Radiallahu Anhu Ne Umair Ibn Saad Radiallahu Anhu Ko Homs Se Majul kiya aur Unki Jagah Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ko Waali (Governor) Banaya, Logo Ne Kaha Unhone Umair Radiallahu Anhu ko majul kar diya aur Muawiya Radiallahu Anhu ko Waali bana diya, To Hazrat Umair Radiallahu Anhu ne kaha Tum Log Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ka Zikr Bhatayi khair se karo Maine Nabi E Karim ﷺ ko farmate huwe Suna Hai اللهم أحد به Aye Allah Inke Jariye Hidayat De"
(Imam Tirmizi Sunan, Kitabul Manaqib, Baab: Manaqib E Muawiya Ibn Abu Sufiyan, Hadees: 3843)
Hadees 07:
الله عنهم - قَالَ قَصَّرْتُ عَنْ رَسُولِ اللهِ صلى الله عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، عَنْ مُعَاوِيَةَ - رضى
عليه وسلم بمشقص.
"Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ne Farmaya Maine Nabi E Karim ﷺ Ka Gesu Mubarak ko Kainchi (Scissor) Ke jariye tarashe"
(Sahih Bukhari, Kitab Al Hajj, Hadees : 1730)
(Sahih Muslim, Hadees: 3021, 3022) Muttafaque Alaih
(Sunan Abu Dawood, Hadees: 1802,1803)
(Musnad Ahmad Ibn Hanbal, Hadees : 16900)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Al Kabeer, Hadees: 16048, 16049, 16050, 16051,16052, 16054)
Scan Page SB
Kya Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ko Ameer Ul Momineen Nahi Kah Sakte ?
Baaj Neem Rafzi Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Par Tanz Tabbarayi Andaz me kahte hai unhe Ameer Na Kaho aur wo Musalmano ke Ameer Nahi balki Sirf Ahle Sham Ke Ameer they, isliye sirf Ameer E Sham Kaho, Lekin Sahaba Ka Kya Kahna Tha Padhiye
Hadees 08:
"Hazrat Zaid Ibn Saabit Radiallahu Anhu Ne Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ki Janib ek khat tahreer kiya jisme likha بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
Allah Pak Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherban Rahem Wala Hai, Allah Pak Ke Bande Ameer Ul Momineen Muawiya Radiallahu Anhu ki taraf Zaid Ibn Sabit Radiallahu Anhu ki taraf se, Aye Ameer ul Momineen Aap Par Salam Rahmat Ho, Allah Ki Hamd Sana Pesh karta hoon jiske siwaye koi ibadat ke layak nahi, Amma Baad"
(Imam Bukhari Adab Ul Mufrad, Kitab Al Khutoot, Hadees 1122)
Iske Alawa In Rivato Me Bhi Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ko Ameer Ul Momineen Kahke Khitab Sahaba Ne Kiya hai
(Sahih Bukhari Hadees: 3765)
(Imam Bukhari Al Adab Ul Mufrad Hadith: 1024, 1127, 1131, 1160)
(Imam Tirmizi Sunan, Hadees: 1393)
(Mishkat Al Masabih Hadees: 1277)
Kuch log is baat ka inkar karte hai halanki jab Sahaba E Kiram Rizwallahi Azmayeen se sabit hogya to jahil sufi farzi peer unke murideen ke inkar karne ka koi matlab nahi banta yahan hum ek dalail Janab Tahirul Qadri Sahab Ke idare se de dete hai
Hazrat Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Ko Ameer Ul Momineen Kahna Kaisa ?
Sawal No. 2961: Mera Sawal Hai Kay Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Aur Hazrat Imam Hasan Radiallahu Anhu Ne Ameer Mauwiya Radiallahu Anhu Ko Ameer Momineen Kaha Is baare me kuch bataye ye baat kahan tak sahih ? Al Jawab: Isme to koi shak nahi kay Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ameer Ul Momineen They iska to inkaar hi nahi kiya jaa sakta. Online Fatwa Link 2961 online link
Mehfil E Milad Ka Allah Pak Ki Bargah Me Charcha
Hadees 09:
Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Se rivayat hai Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ne Masjid Me ek halka dekha (logo'n ka) pucha Aap log yahan kyun baithe ho? Wo bole Hum Baithe hai Allah Pak Se dua kar rahe hai uski hamd o sana kar rahe hai, usne hume Apne Deen (Islam) Ki taraf rahnumai farmayi aur Aap Karim Ko bhej ke hum sab par apna Ehsan E Azeem farmaya.
Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ne Kaha Tum Allah Pak ki qasam khao ke Isiliye baithe ho ya aur bhi kuch kaam ke liye ?
Unhone Kaha Allah ki kasam kisi aur kaam ke liye nahi bas sirf issi kaam ke liye baithe hai, Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ne farmaya Maine tumse kasam kisi shak ya ilzam ke bina par nahi li, Mera jo rutba Nabi E Karim ﷺ Ki bargah me tha us rutbe me koi mujhse kam hadees bayan karne wala nahi hai (Yaani hadees ko bayan karne me bahut ehtiyat karta hoon).
Ek Baar Rasoolullah ﷺ apne Ashaab ke halke me nikle aur pucha tum log kyun baithe ho? Unhone kaha Hum Allah Pak ki hamd wa sana aur shukr ada karne ke liye baithe hai ke Allah pak ne hume Islam diya aur Aap Ko bhej kar hum par ehsan e azeem kiya,
Rasoolullah ﷺ ne Allah Pak ki qasam tum Isiliye hee baithe ho ya aur bhi
kuch kaam ke liye ? Wo bole Allah Ki kasam Hum to sirf isliye baithe hai. Nabi E Karim ﷺ Ne farmaya Maine tumko isliye kasam nahi di ke tumko jhuta samjha balki mere paas abhi Jibril E Ameen Alaihsalam hajir huwe aur Farmaya Allah Taa'la tum logon ki fazilat bayan kar raha hai farishto ke samne"
(Imam Muslim Sahih, Kitab 48 Al Azkar Wa Dua Wa Tauba Wal Istegfar, Baab 11 : باب فَضْلِ الاجْتِمَاعِ عَلَى تِلاوَةِ الْقُرْآنِ وَعَلَى الذِّكْرِ 1 Hadees : 2701, {6871})
(Imam Nasai As Sunan, Kitab Al Adab Al Quzaat, Hadees : 5426)
(Imam Abdullah Ibn Mubarak, Kitab Az Zuhd Wa Riqak, Hadees: 1107)
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol :09, Pg: 521-522, Hadees : 30066)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad Ahmad, Vol 13, Pg: 176, Hadees : 16778)
(Imam Tirmizi Sunan, Hadees : 3379)
(Imam Muhammad ibn Ishaq Al Mundah, Kitab Tawheed, Hadees: 757)
(Imam Ajurri As Shariya, Hadees: 2003)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Al Kabeer 19/211, Hadees 701)
(Imam Tabarani Ad Dua, Hadees : 1783)
(Imam Ibn Hibban Sahih, Vol: 03, Pg: 95, Hadees: 813)
(Imam Abu Ya'la Al Musnad, 13/381, Hadees : 3781)
(Imam Bayhaqi Shu'ab Al Iman 02/70, Hadees: 529)
(Imam Nawawi Riyad Us Salaheen, Kitab Al Azkar Hadees: 1450)
Scan Page Sunan Nasai #5426
Hadees E Pak Se maloom huwa Allah Pak to farishto me Sahaba ke ijteme ki fazilat bayan kar raha hai jisme Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke Manaqib bhi hai aur Aaj ke Neem Rafzi Peer kah rahe hai koi fazilat hai nahi balki bayan karna nasbiyat hai Tahirul Qadri Sahab jo milad pe aqsar ye rivayat bayan karte hai bataur dalil magar isme unhe Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ki Fazilat nahi dikhti.
Jannat Ki Basharat Paane Wale Sahabi
Hadees 09:
Umair bin Aswad Al Ansi se riwayat hai ke Hazrat Ubada bin Samat Radiallahu Anhu ke pas gaye jab ke wo sahil e mahazh per apne makan me they unke sath (unki aheliya) Hazrat Umm Haram Radiallahu Anha bhi thi. Hazrat Umair farmate hai ke Hazrat Umme Haram Radiallahu Anha ne hume bayan kiya ke unhone Huzoor Nabi E Akram ﷺ ko farmate huwe Suna: Meri ummat me se jo giroh sab se pehle behri jihad karega unke liye jannat wajib hogi.
Hazrat Umme Haram Radiallahu Anha arz guzar huwi: Ya Rasool Allah ﷺ ! kya mai bhi unme hu? Aap ﷺ ne farmaya han tum unme shamil ho.
Us ke baad Huzoor Nabi Akram ﷺ ne farmaya: Meri ummat ka wo pehla lashkar jo Kaiser e Room ki paya takhat me jung karega uski magfirat farma di gai hai. Maine arz kiya Ya Rasool Allah ﷺ ! Kya mai bhi unme hu? Aap ﷺ ne farmaya nahi.
(Sahih Bukhari, Kitab Al Jihad, Hadees: 2924)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol 04, Pg: 599, Hadees: 8668)
(Imam Ibn Asim Fi Zuhd, Vol 02, Pg: 662, Hadees: 684)
(Imam Ibn Asim Lil Al Ahad Wal Mathani, Vol 02, Pg: 98, Hadees: 3313)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Al Kabeer, 25/133, Hadees: 333,
(Al Mu'jam Al Ausat, 07/48, Hadees: 6812)
(Al Musnad Shameen 01, Pg: 257, Hadees: 444)
(Imam Bayhaqi Dalail Un Nubuwwah, Hadees: 2814)
(Imam Baghawi Shara Us Sunnah, Hadees: 3731)
Scan Page
Is Hadees ko Imam Abu Bakr Al Ajuri Al Mutwaffa 360 Hizr Ne apni kitab Shariya me naql kiya aur likhte hai
"Imam Faryabi Farmate hai Pahli Samundari Jung Hazrat Usman Radiallahu Anhu ke Jamane Me Hazrat
Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ne ki thi"
(Imam Ajurri As Shariya, Hadees: 1980) Scan Page
Imam Badrudin Aini Hanafi Al Mutwaffa 855 Hizri Is rivayat Huzur Nabi E Karim ﷺ Ke farman Meri Ummat Me Jo giroh sabse pahle bahri Jihad karega, ki shara me likhte hai
"Isse Aap Karim ﷺ Ki murad Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu Ka Lashkar Hai, Muhallab ne kaha Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu wo pehle Shaksh hai jinhone Bahri Jung Ki"
(Umdatul Qari Shara E Sahih Bukhari, Vol: 14, Pg: 198)
Scan Page
Is Hadees Ki mazeed wajahat is dusri hadees se hoti hai,
Hadees 09:
Hazrat Anas ibn Malik Radiallahu Anhu Apni Khala Umm, Haram Bint E Milhan Radiallahu Anha Se rivayat karte hai Unhone farmaya Ek Din Nabi E Karim ﷺ Ne hamare yahan Kailula Farmaya, Phir Muskurate huye Jaage, Maine Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Aap kis wajah se muskura rahe they, farmaya Meri Ummat ke kuch log mere saamne pesh kiye gaye, ke woh Allah Pak ke rastay mein Ghazwah karne ke liye Darya ke beech mein sawaar is terhan ja rahay hain jis terhan badshah takht par hote hain ya jaisay badshah takhat ravan par sawar hote hain,
Umm Haram Radiallahu Anha ne Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Aap Allah Pak Se Dua kar dijiye ke Allah mujhe bhi unme se karde, Aaka Karim ne Unke liye dua farmayi aur phir Apna Sir Mubarak rakh kar Sogaye, is martaba bhi Aaka Karim bedaar hue to muskura rahe thay.
Maine Pucha Ya Rasool Allah ﷺ ! kis baat par Aap ﷺ muskura rahe hain? Aap ﷺ ne farmaya meri ummat ke kuch log mere samne is tarah pesh kiye gaye ke woh Allah Pak ki raah mein Ghazwah ke liye ja rahe hain pehle ki tarah' is martaba bhi farmaya unhon ne bayan kya ke mein ne arz Ya Rasool Allah! Allah se mere liye dua kijiye ke mujhe bhi ihnen mein se kar day. Aap ﷺ ne is par farmaya ke to sab se pehli fauj mein shamil hogi (Jo behri rastay se jihad kerenge) chunanche Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ke zamana mein Umm Haram Radi Allahu Anha ne Behri safar kiya phir jab samandar se bahar ayen to unki sawari ne inhen neechay gira diya aur isi haadsa mein un ki wafaat ho gayi.
(Sahih Bukhari, Kitab Al Jihad, Hadees: 2788,2789)
(Sahih Bukhari, Hadees: 2799, 2800,2877,2878, 2894, 2895, 6282, 6283, 7001)
(Sahih Muslim, Kitab Al Imarat, Baab: Fazail Al Ghazwa Fi Al Bahr, Hadees : 1912, 4934, 4945)
(Sunan Nasai, Hadees : 3171, 3172)
(Sunan Abu Dawood, Hadees: 2490, 2491)
(Sunan Tirmizi, Hadees: 1645)
(Sunan Ibn Majah Hadees: 2776)
(Imam Malik Al Muwatta Kitab Al Jihad, Hadees : 999)
(Dalail-Un-Nubuwwah Imam Bayhaqi, Hadees: 2812, 2813)
Jis Samundari Jung Me Hazrat Umm Haram Radiallahu Anha ne shirkat ki aur shaheed hui, wo Hazrat Usman E Gani Radiallahu Anhu ke Daur E Khilafat Me waqaye huwa jab Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Sham ke Governor they aur is Samundari Jung ke Sipah Salar jo Sann 28 Hizri Me Hui
Islam Ke Pahle Badhshah Hone Ka Sharf
Hadees :
قَالَ حَدَّثَنَا رَوْحٌ قَالَ حَدَّثَنَا أَبُو أُمَيَّةَ عَمْرُو بْنُ يَحْيَى بْنِ سَعِيدٍ قَالَ سَمِعْتُ جَدِّي يُحَدِّثُ أَنَّ مُعَاوِيَةَ أَخَذَ الْإِدَاوَةَ بَعْدَ أَبِي هُرَيْرَةَ يَتْبَعُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِهَا وَاشْتَكَى أَبُو هُرَيْرَةَ فَبَيْنَا هُوَ يُوَضِّئُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ رَفَعَ رَأْسَهُ إِلَيْهِ مَرَّةً أَوْ مَرَّتَيْنِ فَقَالَ يَا مُعَاوِيَةُ إِنْ وُلِّيتَ أَمْرًا فَاتَّقِ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ وَاعْدِلْ قَالَ فَمَا زِلْتُ أَظُنُّ أَنِّي مُبْتَلًى بِعَمَلٍ لِقَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ حَتَّى ابْتُلِيتُ
"Abu Umayyah Amr ibn Yahya ibn Sa`id Kahte hai Ke unhe unke Dada ne farmaya
Ek martaba Hazrat Abu Hurraira Radi Allahu Anhu bimar hogaye to unke jagah Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu ne Khidmat Sambhali Bartan Liya Aur Nabi Karim ﷺ ke peeche chale gaye, abhi wo Nabi Karim ﷺ ko wuju karwa rahe they ke Nabi Karim ﷺ ne ek do martaba unki taraf dekha aur Farmaya Muawiya Radiallahu Anhu agar tumhe hukumat mile to Allah Taala se Darna aur adal karna, Hazrat Muawiya Radiallahu Anhu kahte hai mujhe is baat ka yakin hogaya tha ke mujhe koi jimmedari saunpi jayegi chunki Nabi Karim ﷺ ne aisa farmaya aur aisa hi huwa"
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, vol :28, pg : 129-130, Hadees :16933)
Iski sanad sahih hai aur iske saare ravi siqah hai
Scan Page
Imam Darmi Rahmatullah Al Mutwaffa 243 Hizri apni Sunan Me hadees likhte hai Sultanat E Mustafa ﷺ ke talluk se
Hadees :
Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Ne Hazrat Kaab Radiallahu Anhu Se daryaft kiya Aap ne Hazrat Muhammad Karim ﷺ ka tazkira aasmana kitabo me kaisa paya, unhone kaha Hazrat Muhammad Ibn Abdullah Makkah Me Paida Honge Hizrat Karke Taiba jayenge, unki hukumat Shaam Me bhi hogi,
(Sunan Darmi Kitab Al Muqaddama, Baab : Nabi E Karim ﷺ ki besat se pahle Aasmani Kitabo me Nabi E Karim ﷺ ka tazkira, Hadees : 08)
Aala Hazrat Imam Ahle Sunnat Rahmatullah Alaih Ne ek bahut pyari baat likhi hai
Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu To Awwal Mulk E Islami Aur Sultanat E Muhammadi ﷺ ke pahle badhshah huwe iski taraf Taurat mukaddas me ishara hai
مولده بمكة و مهاجره طيبة وملكه بالشام -
Wo Nabi ﷺ Makkah me paida honge aur Madina Ko hijrat farmayenge, aur unki Sultanat Shaam Me hogi, (to Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ki Badhshahi agarche Sultanat Hai, magar kiski Muhammad ﷺ Ki)
(Fatwa E Razviya Vol : 29, Pg :359)
Allama Amzad Ali Azmi Alaihrehma ne bhi isko Apni Kitab Bahar E Shariyat Vol : 01, Pg : 258, Hissa Awwal Imamat Ka Bayan Me likha hai
Aakhir Me Fazail Ke Baare Me Imam Dhahabi Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 748 Hizri ka ek Qaul likh kar khatm karta hoon
"Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Ke Manaqib Wa Fazail Unke Husne Sirat Aur Adal Wa Ehsan Ke Aitbar Se Bay Shumar Hain"
(Al Muntaqa Min Minhaj al Etedal
Pg :403)
Imam Al-Dhahabi Likhtey Hain
قال الليث وأبو معشر وعدة : مات معاوية في رجب سنة ستين فقيل : في نصف رجب وقيل : لثمان بقين منه وعاش سبعا وسبعين سنة .
Al-Layth, Abu Mashar, Aur Kuch Aur Logon Ne Kaha Ameer E Muawiyah (Radhiallahu'anhu) Ki Wafat Rajab Ke Mahine Mein, Saal 60 Hijri Mein Hui. Kuch Logon Ka Kehna Tha Ke Unki Wafat Rajab Ke Beech Mein Hui Thi, Aur Kuch Ka Kehna Tha Ke Unki Wafat Uske Aakhri 8 Dinon Mein Hui Thi (Rajab Ke 22nd). Aur Unki Umar 77 Saal Thi"
(Siyar A'lam Al-Nubala Jild 03, Safa 160)
Namaz E Janaza
Jaari....