Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Monday, 6 April 2015

ISTELAH E SHARIAT HUKM E SHARI IN ISLAM

سم الله الرحمن الرحيم

♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥


   HUKM E SHARI IN ISLAM
Mauzooda Pur Fitan daur me aapne dekha hoga k bahot se kam ilm na samajh log jo khud ko Quran O Hadees Aur Istelahi Shariat ka khoob jaankar samajhte hai raah chalte kisi bhi acche amal tak ko galat bol denge biddat Shirk tak bolte milenge halanki jab kisi ahle ilm se inka mukabla ho ya unke hattho chad jaate hai to saara inka SO Called Ilm saamne aajata hai Ek Hadees e paak Pesh e Nazr hai baat aur aasan hojaye.
Hazrat Abdullah bin Amr bin Al Aas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
“Allah Ta’ala Ilm ko is tarah nahi uthaayega ke Usey Logo’n (ke Dilo’n) se Kheench le balke Ulema’ ke Uth Jaane (Ya’ni Wafaat) se Ilm Uth Jaayega Yaha’n tak ke Jab Koi Aalim nahi rahega to Log Jahilo’n ko Sardaar bana lenge. Chunancha Unse (Masaa’il) pooche Jaayenge to wo Baghair Ilm ke Fatwa denge, Khud bhi Gumrah honge aur Logo’n ko bhi Gumrah karenge.”
Reference :
(Sahih Al-Bukhaari, Vol : 01, Kitaab No 03 : Al-Ilm, Baab No 34 : Kaifa Yuqbazul Ilm, Hadees : 100)
Mauzooda daur me bhi hum is hadees e paak ko dekhe aur apne muashre ka jaiza le to yakinan pata chalega aisa hi horaha hai jaahil khud ko aalim samajhe rahe hai aur fatwe dete phir rahe hai jinhe thek se Shariat ki bunyadi Istelah bhi nahi pata hoti to baat baat pe musalmano ko biddati Mushrik kehte milenge.  
Aise Nazook wakt me har Musalman par jaruri hai k wo ilme din ki taraf aaye aur sahi Sunni Ulema se, Motebar ulema ki kutoob se llm haasil kare aur Ulme E Ahle Sunnat ki Sohbat me rahe unse karibi rahe.
Aap dunya me tamam uloom ko dekhe ek cheez hamesha notice ki hogi k jab tak aap us uloom k basic bunyaadi kanoon ko naa samajh sake jab jab aapko dushwari hogi.
Misal k taur pe Zaid ek Computer Software Engineer hai par Zaid ko thek se computer ki basic language C program # ki coding tak nahi aati ho kya Zaid ek accha Engineer ban sakta hai ??
Har samajhdar kahega nahi nahi ban sakta kyuki uske ab tak thek se Computer ki bunyaad hi nahi pata hai.
ye fakat ek misal thi kuch baatein samjhane k lihaz se ab aate hai unwaan ki taraf yaha hum kuch HUKM E SHARI bayan karenge in baato ko hamesha yaad rakhe bahot mukhtasar aur bahot kaam ki chiz hai ye yaad karli to IN SHA ALLAH Taa’la Kabhi kisi badmazhab k makkari farebkari me nahi aaoge.
SHARIAT E ISLAMI K MASAIL KI CHAND ISTELAAH’EIN :

YE AMAL KARNA HAI JISKI IZAZAT HAI (DO’s In ISLAM)
1.  FARZ (Obligatory) :  Jo Shariat ki Yakini Daleel se saabit ho jiska karna JARURI hai aur Bila kisi uzr k isko chodne waala FASIK AUR JAHANNAMI aur ISKA inkaar Karne Waala KAAFIR HAI.  
Jaise NAMAZ, ROZA, HAJJ, ZAKAT etc. namaz roza har baalig Musalmaan par farz hai agar nahi padhe aur rakhe to sakht Gunaagaar Azaab e Jahannam ka mustahik bhi ho sakta hai.
Hajj Zakat har sahibe haisiyat par zindagi me ek baar hajj farz hai aur Zakat har sahibe haisiyat jaise shariat ne miyar rakhi hai uspe farz hai na ada kare to sakht gunaahgaar aur INKAAR Kare to KAAFIR.
Yaani wo amal jo saaf saaf QURAN se saabit hai.
2. WAAJIB (Imperative) : Woh Jo Shariat ki Zinni Daleel Se saabit ho iska karna zaruri hai isko bila kisi taaweel aur bigair kisi uzr k chod dene waala azaab ka mustahik hai aur iska inkaar karne waala kaafir to nahi par gumraah aur bad mazhab hai.

Example : Isha ki Namaz me 3 rakat Witr Waajib hai, Juma Ka Khutba, Namaz e Eidan ye kaam wajib hai.
3. SUNNAT E MUAKADDAH : Wo jisko Huzoor ne hamesha kiya ho albatta bayan e jawaz k liye kabhi chod bhi diya ho isko ada karne pe bahot sawab kabhi chuth jaane se Isaah aur jisne hamesha ki adaat bana li sakht gunaahgaar azab e Elahi ka mustahik.  
Example : Fazar ki Namaz me 2 rakat Sunnat, Zohar me 4 Sunnat , Magrib ki 2 sunnat, Namaz e Esha ki 2 sunnat e Muakkadah hai.
4. SUNNAT E GAIR E MUAKADDAH : Wo amal jo Nabi e Karim ﷺ ne kiya ho par musalsal hamesha na kiya ho bigair kisi uzr k chod bhi diya ho. Isko ada karne waala sawab paayga na karne waala azaab ka mustahik nahi hoga.
Par musalsal isko chodne waala Makrooh e tanjihi me shumar hoga yaani NAPASANDIDA amal.
Example : Asar ki 04 Rakat Sunnat.

4. MUSTAHAB :  Wo kaam jisko karna Shariat ki nazar me pasandida ho aur Na karne pe koi gunaah bhi na ho. Khwaah Rasool Allah ﷺ ne Kiya ho ya iski targeeb di ho yaa ulema e saaliheen ne isko pasand farmaya ho Isko karne pe sawab na karne pe koi gunaah nahi hatta k iske na karne pe MAKROOH e Tanzihi napasandida amal ka bhi hukm nahi lagega.
Example : Waju me Kibla rooh hoke bethna, Milad ki mehfil Munakkid karna, ya Isaal e sawab karna, 3ra 10wa 40wa, 11vi Manana uroos manana etc. ye tamam amal MUSTAHAB hai kiya to Sawab na kiya to gunaah nahi.
Iski daleel me hum ek Hadees e paak pesh kar rahe hai mulahiza kare.
Hazrat Abdullah Ibn Masood رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai ki unhone farmaya
Jis Amal ko koi Momin Accha jaane wo amal Allah k Nazdeek bhi accha hai aur jis amal ko momineen bura jaane woh Allah k nazdeek bhi bura hai”
References :
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol- 03, Pg : 83, Hadees : 4465)
(Imam Tabrani Al Muajamul Kabir Vol : 09, Pg : 112, Hadees : 8583)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 01, Pg : 379 , Hadees : 3600)
(Imam Abu Noem ne Al Hilyatul Aulia Vol : 01, Pg : 375)

Mubaah : Wo amal Jiska karna aur chod dena dono ek barabar ho karne pe koi sawab nahi na karne pe koi gunaah nahi.
Example : Computer, Mobile ka use,  Lazeez pakwaan, Behtareen kapde etc. inka use khana pahen na pe na koi sawab na koi gunaah ye aapki apni khwaish par hai kiya to thek na kiya to bhi koi gunaah nahi.

ye Upar bayan kiye amal ki istelah aur condition aapne samajhli jinko karne ka hukm Shariat e Islami ne diya hai aur uski bhi apne levels hai jo bayan kiye jaa chuke ab dusri istelah iske mukhalif opposite hai wo bhi mulahiza kare.
WO AMAL JO NAHI KARNA HAI JISKI IZAZAT NAHI HAI (Dont’s In ISLAM)
1. HARAAM  : Wo jiska yakini shari daleel se ho jiska chodna jaruri aur ba ise sawab hai jiska ek baar bhi karne waala sakht gunaah gaar faasik jahannami aur gunaah e kabira ka aur iska inkaar karne waala kaafir hai.
Ye samajh lo k ye FARZ k opposite hai jo farz kaam na kare usne haraam kiya jiska hukm saaf QURAN me hai.
Ab kisi shaks pe koi Hukm e Haraam lagaye to uska NASS E QATAI se saabit hona jaruri hai.
Example : SHARAB peena, Namazo ka tark kar dena, Geebat karna etc. koi in kaam ko kare to hukm haraam ka lagega par direct ye kahde k haraam nahi hai ya iske haraam hone ka mutlakan inkaar kare to aisa shakhs KAAFIR hai.

2. MAKROOH E TEHREEMI : Wo kaam jo shariat ki jinni daleel se saabit ho ho jisko Nabi e Karim ne mana farma diya ho jisko chodna laazim hai iska ek martaba bhi kasdan karne waala Fasik Aur Jahannami hai. Iska darja Haraam se thoda kam hai magar chand baar karne se Gunaah e kabira hai.
Ye bilkul opposite hai WAJIB k goya k wajibat ko chod dena MAKROOH E TEHREEMI HAI.
Example : Namaz e Esha ki 3 witr chod dena, Juma Ka Khutba Na Sun Na, etc. ye makrooh e tahreemi me aayga.

3. ISA’AT : wo jiska karna bura hai kabhi ittefakiya kar lena waala Laeeke Itaab hai (yaani ek do dafa hua to gunaah nahi) aur adat bana lene waala Mustahik e Aazab.
Ye Opposite hai bilkul Sunnat e Moekaddah ki.
Example : Fazar ki Namaz me 2 rakat Sunnat, Zohar me 4 Sunnat , Magrib ki 2 sunnat, Namaz e Esha ki 2 sunnat e Muakkadah hai isko ek se do baar na padha kisi wajah se to gunaahgaar nahi par hamesha ki adat bana li to mustahik e azaab hoga.
4. MAKROOH E TANZEEHI : Ye wo amal hai jiska karna Shariat me napasandida hai magar iske karne waale pe azaab nahi hoga.
Ye Mukaabil hai Sunnat e Gair Muakkadah k.
Example : Asar ki Namaz ki 04 sunnat na padha to gunaah nahi par baar baar isko chod dena Shariat me napasandida hai.

5. KHILAAF E AULA: Wo amal jisko chod dena behtar tha par agar kar liya to koi Muzaika nahi.  ye Mustahab k mukaabil hai.

ka Har Musalmaan ko zaruri hai k istelahi sharia ko jaane sikhe aur yaad rakhe jab ye yaad hoga to koi wahabi hume misguide nahi karega.
To yaha humne HUKM E SHARIAT padha ab koi shaks kahe k fala kaam haraam hai, to check kiya jaayga kya wakayi wo kaam haraam hai ya uska hukm Mustahab me aayga ya mubah me ya kuch dusri types me.

قُلْ هَلُمَّ شُهَدَاءَكُمُ الَّذِينَ يَشْهَدُونَ أَنَّ اللَّهَ حَرَّمَ هَٰذَ
“Tum Farmaao Laao Apne Wo Gawaah Jo Gawahi De Ki ALLAH ne Usse Haraam Kiya” (Surah Anam Ayat 150)
Is aayat e mubarika se maloom hua k proof karna haraam unke jimme hai to dalil unhe dena hai jo Milad, 11vi Esaal e sawab etc aisa amal ko haraam kahe to unpar laazim hai k ab wo saaf dalil de k kaha likha hai QURAN me ya hadees e paak me k ye amal haraam k hukm me aayga ?
Ab saboot laana iske mukhalifeen k jimme hai na ki hamare.
kyuki hamare nazdik ye amal MUSTAHAB ki category me aata hai.  
Is article ko complete karne k liye 02 aham books se details extract ki gayi hai BAHAR E SHARIAT by Shaikul Hadees Allama Amzad Ali Khan Rahmatullahi Alaih aur JANNATI ZEVAR by Hazrat Abdul Mustafa Aazmi Alaih Rehma..

Post Credit Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Remembrance at your Prayers

10 comments:

  1. Allah Aap logo ki khoob khoob madad kre isi trh deen ka kaam krne ki taufeeq ata farmaye..Jazak Allah Fiddaran khaira..

    ReplyDelete
  2. Assalam alaykum,Janab hamare mazhab Islam mein halal or haraam ka bohut wazahat hey.kya karobar mein Janwar zibah karne se pehle stunning karna ya currant Dena Sahi hey?

    ReplyDelete
  3. Assalam alaykum,Janab hamare mazhab Islam mein halal or haraam ka bohut wazahat hey.kya karobar mein Janwar zibah karne se pehle stunning karna ya currant Dena Sahi hey?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekumusalam
      Is masle kay liye Muftiyan E Kiram Se ruju karen

      Delete
  4. Assalamoalaikum
    Bahut acha post h....

    Sath agr har hukm e sharai k tareef k sath maakhaz ka v detail lga dete to aur v achaa hota hm jeso ko madad milti.....
    Baato ko aage pahuchane me majbut daleel k sath.....

    ReplyDelete
  5. SubhanALLAH.. JazakALLAHukhair...ALLAH apko dunya akhirat dono jahano me kamyab kre

    ReplyDelete
  6. Shirk aur biddat pr baddaqeedo ke tanj ke jawab zrur share kre.shukriya

    ReplyDelete
  7. Jazak Allah bhai. Bht madad hogai is se.

    ReplyDelete
  8. Sabse bada jahil firqa Jo no. 1 par aata hai ( Lahabi 48 numberi ) hai jisko log Barelviat ke naam se pukaarte hain, qabron me pujaari hain jinpar Allah ke rasool saws ne laant farmayee hai ye Shiaon se kuchh chote hain in ke nabi Aala Hazrat Raza khan sahab thay Jo Shia thay aur sunnion mein deewarein lagwa dein , Angrejon ke wafadar thay .

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers