Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Saturday, 24 January 2015

Waseela - Tawwasul - Intercession - Quran Hadees Ki Roshni Me POST 02

                                WASEELA POST OR PART 02

Hadees 05 : 


 “Aur Humne Koi Rasul Na Bheja Magarisliye Kay ALLAH Kay Hukum Se Uski  Itaat Ki Jaaye Aur Agar Jab Who Apni Jaano Per Zulm Kare Toh A Mehbub Tumhare Huzur Haazir Ho Aur Phir ALLAH Se Maafi Chahe Aur Rasul Unki Shafa’at Farmaye Toh Zarur ALLAH Ko Bahut Tauba Qabul Karne Wala Maherbaan Paye”
(Surah Nisa Ayat 64)


Is ayat kay tahet Ullem e Kiram Hadees naqal karte hai :
“NABI Sallallahualaihiwasallam ki wafat shareef kay baad ek arbi roza e aqdas per hazir hua aur roza shareef kay khaak paak apne sar per daali aur arz karne laga ya rasul ALLAH jo apne farmaya humne suna aur jo aap per naazil hua usme yeh aayat bhi hai وَلَوْاَنَّھُمْ اِذْ ظَّلَمُوْا   mene beshak apni Jaan per zulm kiya aur apke huzur me ALLAH se apne gunah ki bakshish chahne haazir hua toh mere rab se meri gunah ki bakshish karaye is per qabr shareef se nida aayi ki teri bakshish ki gai”.
References :
1) [Imam Ibn Kathir ne Tafseer Al Quran Al Azim Vol : 04 Pg : 140, 4:64]
2) [Imam Qurtabi ne Tafseer Al Jami Al Ehkaam Al Quran Vol : 06, Pg:439, 4 :64]
3) [Bahyaqi ne Shoebul Iman Vol : 03, Pg : 495-496, Hadees : 4178]
4) [Ibn Qudamah Al Mugni ne Kitab Al Haj, Baab : Wa Yustahabbu Ziyarat Qabr An Nabi Vol : 05, Pg: 465]
5] [Imam Jalaluddin Suyuti ne Tafseer e Durre Mansoor Surah 4 Ayat 64]
6] [Imam Nawawi ne Kitab Al Azkaar, Pg : 179, Print Darool Marifah Beirut]
7] [Imam Nawawi ne Al Majmua vol : 08, Pg :202/203]
8] [Ibn Hajar Haythami ne Al Jawhar Ul Munnazam Pg : 51]
Scan Pages of Tafseer Ibn Kathir 

Front Cover of Tafseer Ibn Kathir
Tafseer Al Quran Al Azim Vol : 04 Pg : 140, 4:64
Scan Pages of Imam Qurtabi ne Tafseer Al Jami Al Ehkaam Al Quran Vol : 06, Pg:439, 4 :64 niche dekhe 
Front Pg of tafseer e Qurtabi

Tafseer Qutabi Pg : 439

Scan Pages of Imam Bahyaki Shoebul Imaan niche dekhe 
Front Cover of Shoebul Imaan
Shoebul Iman Pg 495

Shoebul Iman Pg 496
Imam Qurtabi Rahmatullahi Alaihi ne Hazrat Ali Radi Allaho ne farmaya Huzoor E Akram Sal Allahu Alaihi Wassalam k Wisaal k 3 baad ek baddu aaya aur dua ki Allah Taala ne uski tauba kabool ki.
bahot se Mufasireen ne is wakay ko likha kisi ek ne bhi ye guman nahi kiya k ye shirk hai biddat hai ye kaisa shirk hai jab tak banda hayat ho tab to tauheed ho aur wisal baad shirk hojaye ?
Shirk Hamesha Shirk hi rahega wo ek pal bhi tauheed nahi banega. 


Hadees 06 :
Abu-Al-Jawaza Aws Bin Abdullah radialla taala anhu se Imam Darimi riwayat karte hain ki, Madina ke log ek bar sukha padne ki waja se pareshan ho gaye,
woh Hazrat Ayesha Siddiqa radialla taala anha ke pas apni shikayat lekar pahuche,
Aapne farmaya ki Rasoolullah alaihe salam ki Qabr ke paas jaao, aur unke Rauze aur asman ke darmiyan upar ek khidki khol do, taki Rauza-e-Aqdas aur Asman ke darmiyan koi parda na reh jaye,
raawi farmate hain ki humne aisa kiya to bahot zor se barish shuru ho gayi, hari bhari ghaas nikal aayin, aur hamare oont mote ho gaye, ki lagta tha zyada khane ki waja se phoot padenge.
So is saal ka naam Hariyali wala saal rakha gaya.
References :
[Sunan Darmi Vol:001, Page 227, Hadees:93]
[Al Wafa Bi Ahwal Lil Mustafa Baab 39: Huzoor Ki Kabr E Mubarak K Tawassul Se Barish Ka Bayan Vol:02, Pg:817-818]
[Khatib Tabrizi Mishkat Ul Masabih Vol-04,Pg:400, Hadees : 5950]
[Imam Qastalani Al Muwahib Ul Laduniyah Vol-04, Pg:276]
[Sharah Zurqani Vol:11, Pg:150]
[Imam Taqyudin Subki Shifa us Siqaam Fi Ziyarat Khayril Anam Vol:01 Pg:128]

Scan Page Of Sunan Darimi
Front Cover of Sunan Darmi
Sunan Darmi Hadees : 93

Scan Page of Imam Jauzi Al Wafa Bi Ahwal Lil Mustafa Niche Dekhe 

Is Hadees e Paak se Sahaba Razi Allahu Anhuma Azmain ka akeeda pata chalta hai Barish na thi chahte to ghar bethke dua karte par Ummool Momineen Ayesha Siddika Razi Allahu Anha k pass jaake pahuche aur Akeeda kya diya Ummol Momineen ne k Roza E Rasool  Sal Allahu Alaihi Wassalam k upar dome(CHATTH) par khidki khol do Aasman deedar e Roza E Rasool Alaihi Salam karlega to Barish hojaygi aur hua bhi Pata chala Roza E Rasool Sal Allahu Alaihi Wassalam  se faiz aaj bhi jaari hai .. Subhan Allah 



FAROOQUE E AAZAM RAZI ALLAHO ANHO KA HAZRAT ABBAS RAZI ALLAHU ANHO KA WASEELA LENA
YEH WASEELAH HAZRAT ABBAS (Radi Allaho Ta'ala Anho) KA. "YA" HAQEEQAT ME NABI-E-PAK (Sallallaho Alaihe Wasallam) KI ZAAT KA... 
Hadees 07:
 Hazrat Anas Bin Malik Radi Allaho Ta'ala Anho Farmate Hai Jab Qahat Padta To Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib Radi Allaho Ta'ala Anho k Waseele Se Dua Karte Farmate "AAI ALLAH Hum Teri Bargah Me Apne NABI-E-PAK Sallallaho Alaihe Wasallam Ka Waseelah Diya karte The To Tu Hume Seraab Kr Diya karta Tha To Ab Hum Apne NABI-E-PAK Sallallaho Alaihe Wasallam k CHACHA HAZRAT ABBAS Radi Allaho Ta'ala Anho Ko Teri Bargah Me Waseelah Banate Hain k Hum Per Barish Barsa ToIn Per Barish Barsa Di Jati ".
References :
[1.SAHIH BUKHARI, KITAB : ISTASQA, Baab : Suaal An Nas Al Imam Alistasqa Iza Qahatu Pg: 245 Hadees : 1010]
[2. Sahih Bukhari Kitab:Fadail e Ashaab An NABI Sal Allahu Alaihi Wassalam, Baab : Zikr Al Abbas Bin Abdul Muttalib Radi Allahu Anho Pg :914 Hadees : 3710]
[3.Imam Ibn e Hibban, Sahi ibn e Hibban, Kitab : As Salah, Baab : Salat Al Istasqa Vol :07, Pg :110-111, Hadees: 2861]
[4. Imam Tabrani ne Mu'jam Al Ausath Vol : 03, Pg : 49, Hadees : 2437]
[5.Ibn e Khuzimah , Sahih Ibn e Khuzimah, Book: As Salah, Baab : Istihbaab Al istasqa Bi Ba'd Qarabat An NABI  Vol:02   Pg: 337-338 Hadees : 1421]


Scan Page of Sahi AL Bukhari 
FRONT COVER OF SAHI BUKHARI
Sahi Bukhari Hadees 1010
Sahi Bukhari Hadees : 3710
Ye hadees Wahabio k Ghar ki Samajh lo Waseele pe aakhri dalil hai ye hadees wahabi aapko dikhaynge ab is hadees se wahabio ne kya matlab akhaz (derived) kiya hai wo hum yaha bhi likh rahe hai aur aapko bhi ye ilm hoga..
Wahabi k Points
1) Daur E Farooque E Aazam Radi Allahu Anho me dekhiye Barish na hui to Hazrat Umar ne Hazrat Abbas Bin Abu Muttalib Ka Waseela liya is se ye baat saabit hoti hai k Huzoor ka Waseela Jaiz Nahi Agar Jaiz Hota to Hazrat Umar Hazrat Abbas Ka waseela Na lete.
2) Is se ye bhi Pata chala k Waseela sirf Hayat Yaani Zaahiran Zinda Shaks ka hi waseela lena hai baaki Wisal Kar gaye logo ka Waseela Nazaiz o Shirk hai.
3)Hazrat Umar Radi Allaho Anho ka bhi akeeda tha k Waseela ab Huzoor E Akram Sal Allahu Alaihi Wassalam ka Jaiz Nahi Agar Jaiz Hota to Huzoor Alaihi Salam ka waseela liya hota.
Yehi Bayan kiye gaye 3 ahem points wahabi ye hadees pesh karke awaam me bayan karte hai aur is baat se awaam me galat baat badgumani failate hai k dekho ab waseela zaij nahi hai.

Yaha se bahot gaur se padhe : Tarikhe Islam me piche 1400 saalo se leke aaj tak jitni Aetemad (Bharosemand) Shara e Bukhari likhi kisi ek Muhaddis ne Sharaain ne ye hadees se ye maana nahi liya k baad az wisal ab Huzoor E Akram Alaihi salam ka waseela nazaiz hai. Sabse Pehle Is Akeede ko tarashne waala shaks Gair Mukkalideen ka Allama Ibn Taimya tha usne Is hadees se ye naya masla akhaz kiya aur uske baad bhi kisi muhaddis ne Ibn E Taimya se ittefak na kiya.

Ye Naya akeeda aur khud ki soch paida karke deen me jabardasti daali jaa rahi hai  jo Khud me ek biddat e sayya hai is puri hadees me kaheen ek jagah bhi ye nahi likha k Huzoor E Akram Alaihi Salam ka waseela Ab Nazaiz o Haram hogaya hai ye khud ki soch ko hadeeso ki shara banayi jaa rahi hai jo cheez ye wahabi k dimag me nahi samati to usko haram shirk declare kardete hai.
Ab hum yaha Motebar Shara E Bukhari se Jinhe ye wahabi bhi bahot maante hai unki kitabo se is hadees ki shara bayan karenge k un muhadiseen ne is hadees se kya masla likha hai balki khud isi hadees me WASEELA E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM Saabit bhi hai..
Ab Is Hadees pe aasan lafzo me tehkeeki guftgu jo hum step wise bayan kar rahe hai taaki samajhne me kaafi aasani ho ye hadees ko Insha Allah Mukammal Samajh li to waseele pe kisi aur dalil ki hazaat na hogi..

1)Hazrat Umar Razi Allaho Anho ka Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Ka Jhubba Zebtan Karna
Imam Jalaludin Suyuti Rahmatullah Alaih Farmate Hain k....
“17 Hijri Me Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Masjid-e-Nabuwi Ko Wasi (Badhaya) Kiya Us Saal Hijaz Me Qahat Pada Gaya Tha
Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Barish k Liye Dua Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho k Waste Se Mangi
Hazrat Ibn Sa'ad Radi Allaho Ta'ala Anho Sahabi-e-Rasool Hazrat Niyar Al Aslami Radi Allaho Ta'ala Anho Se Rewayat Karte Hain k Jab Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Barish k Liye Dua Karne k Liye Bahar Tashreef Laye Tab Unho Ne RASOOL ALLAH Ka Jubba (Perahan/Kurta) Pahna Huwa Tha
Hazrat Ibn Awn Radi Allaho Ta'ala Anho Rewayat Karte Hain k Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ka Haath Liya Or Use Utha Kar Kaha " YA ALLAH Hum Aap Se Dua Mangte Hain AAP K RASOOL K CHACHA k Zariye k Humare Yahan Se Qahat Ko Hata De Or Barish Ata Kar De''
(Ref : IMAM JALALUDIN SUYUTI, TARIKH-UL-KHULFA, Pg : 140)

Agar Koi Kahe k Yeh Waseelah Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ka Hi Tha To Fir Woh Bataye k Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne NABI-E-PAK Sallallaho Alaihe Wasallam Ka Jubba (Perahan) Kyu Zebtan Kya...??? Iska jwab Gair Mukallideen de ?
Pata chala k Ambiya Alaihi Salam k tabbarukat bhi dar asal me waseela hai. 

2)Hazrat Umar Razi Allaho Anho ne Aakhir Hazrat Abbas Razi Allahu Anho ka waseela hi kyu pakda ??
Hazrat Abbas Bin Muttalib Razi Allahu Anho na to KHULFA E RASHEEDEEN me hai , na to ASHRA E MUBASSHIRA me shamil hai aur na hi MUHAZEERIN me se hai.
Jabki Makam o Martaba k Lihaz se bhi Farooque E Aazam Radi Allaho Anho Hazrat Abbas Bin Muttalib Se Afzal hai ispe mukhalifeen ka bhi ikhtelaf nahi hai, Ashra E Mubasshara me hai Muhazireen hai Khulfa e Rasheedin bhi hai phir aakhir wajah kya thi ??

 i)Hazrat Abbas Razi Allaho Anho ko isliye aage kiya Kyuki SALATUL ISTISQA padhani thi. 
ii)Hazrat Abbas Razi Allahu Anho ki NISBAT E TAKADUSS HUZUR E KARIM SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM Se thi ye sabse aham wajah thi jiska zikr hadees me aaya hai.

Iska Jawab Shaikul Islam Allama Ibn Hazar Askalani Rehmatullah Alaihi Ne Fatahul Baari Shara E Sahi Bukhari me diya hai
“Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Dua Kiya " YA ALLAH Beshak Musibatein Nazil Hoti Hai Humare Gunahon Ki Wajah Se Or Humare Astaghfar (Tuaba) Ki Wajah Se Utha Li Jati Hai
Yeh Log Mere Pass Dua Ki Darkhast Le Kar Aaye Hain KYUN K MERI QURBAT TERE RASOOL SE HAI Or Humare Haath Dua k Liye Uthe Hain Humare Gunahon Ko Na Dekh Or Humare Liye Barish Ata Kar De Or APANE RASOOL K CHACHA KI IZZAT Rakh Le....!

Huzoor Alaihi Salam Hazrat Abbas Radi Allaho Anho se aisa sulook karte jaise Beta apne baap se, Farook E Aazam aage farmate hai Aye Logo inki tazeem o taukeer me tum Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ki Pairvi karo aur inhe Allah ki bargaah me waseela banao" 

(IBN HAJAR Asqalani , FATAHUL BARI Shara E Sahi Bukhari, Vol: 02, Pg: 577) Scan page niche dekhiye 
Fatahul Bari Front Cover
Fatuhool Bari Pg : 577
Hadees k Alfaz Hain APNE NABI-E-PAK K CHACHA K WASEELE SE.....Yahan Rishta Zahir Karne Ki Kya Zaroot Thi...
Agar Hazrat Abbas Ka Hi Waseelah Lena Tha To Unhi Ka Naam Sirf Le Lena Kafi Tha keh dete k ALLAH ABBAS BIN ABU MUTTALIB KA WASEELA Magar "APNE NABI K CHACHA" Kah Kar RAB Se Waseela Kyu Liya Gaya...???
Kyun k Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ki Nisbat/Qurbat NABI-E-PAK Sallallaho Alaihe Wasallam Se Thi maloom hua yaha bhi dar asal Hazrat Abbas Razi Allaho Anho ka nahi balki HUZOOR E AKRAM SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE HAZRAT ABBAS KI NISBAT E TAKADDUS KA HI WASEELA LIYA hai.
Phir Farooque E Aazam Radi Allahu anho mimber me Sahaba se farmate hai k Hazrat Abbas Bin Abu Muttalib ka waseela pakdo.
Wo kyu kykui Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam se Nisbat e Takkabdus aur Huzoor Alaihi Salam ka Hazrat Abbas Radi Allaho Anho se Apne waalid ki tarah muhabbat Tazeem o taukeer karna.

Ek Bat Zehan Nashee'n Kar Len k SAHABA-E-RASOOL Ka Amal, Un Ka Qaul, Un Ka Fa'il Sab AINA-E-RASOOL Hai....
Goya k Maloom Huwa k Hazrat Umar Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Ummatiyon Ko Zehan De Diya Logo Main Ne Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ka Waseelah Liya Jo Un k CHACHA Hain Tumhara Bhi Waqt Aayega To Tum Bhi AULAD-E-RASOOL (SALEHEEN) Ka Waseelah Lena....
Ab Aisa Waseelah Lena Sunnat-e-Sahaba Bhi Ho Gaya...Is Per Jo Amal Kare Woh Sahaba Ki Sunnat Per Amal Karne Se Sawab Ka Bhi Haqdar Ho Jayega...

3) WASEELA SIRF AAMAL AUR HUZOOR E AKRAM ALAIHI SALAM KI ZAAT E MUBARAK TAK NA REH JAAYE Chunanche Imam Subki rahmatullah alaih Is Hadees k tahet likhte hai
“Is Hadees e Paak Se ye pata chalta hai k Swalaheen ka Waseela Zaij Hai, Yaha Tak k Kisi Musalman ne bhi Iska Inkaar nahi kiya, Sirf Wo log jinhone Din me Biddat Izaat ki Hai wo hi Is Waseele k Munkir Hue”
(Ref : Imam Subki As Sifa As Siqam Pg : 377) Scan Page Niche Dekhe 
  
Sifa Siqam Pg 377

Hosakta hai log ye gumaan kar lete k bas jab tak Huzoor e Akram Alaihi salam Baa Hayat Zahiri taur pe the tab tak Huzoor Alaihi Salam ka waseela jaiz tha ab kisi buzurg ka kisi ki nisbat ka waseela jaiz nahi FAROOQUE E AAZAM RADI ALLAHO ANHO k is amal ne is sawal ka bhi hamesha k liye raddh kar diya.
Pata chala k Waseela sirf Ambiya Alaihi Salam tak nahi balki ALLAH K MEHBOOB BANDO KA , NISBAT AUR QURBIYAT Ka bhi jaiz hai aur tamam Sahaba Rizwanallahu Azmain ka ispe ittefak bhi.

CONCLUSION OF THIS HADEES :
1) DAR ASAL WASEELA HAZRAT HAZRAT ABBAS RAZI ALLAHO ANHO KA WASEELA NA THA BALKI WASEELA NISBAT E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM KA THA JO HAZRAT ABBAS SE AAKA ALAIHI SALAM KI THI. ISLIYE LIYA GAYA K HAZRAT ABBAS RAZI ALLAHO ANHO HUZOOR AKRAM SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM K CHACHA HAI
2)HAZRAT ABBAS RAZI ALLAHO ANHO SE SALATO ISTISQA PADHANA THA ISLIYE UNHE AAGE KIYA GAYA NAMAZ PADHANE K IMAM CHAHYE.
3)HAZRAT UMAR RAZI ALLAHO ANHO NE JHUBBA SHARIF PAHEN K IS BAAT KO BHI WAJEH KIYA K HUZOOR ALAIHI SALAM SE NISBAT RAKHNE WAALE TABBARUKAT BHI DAR ASAL ME WASEELA HAI.
4) WASEELA SIRF AMBIYA ALAIHI SALAM KA NA REH JAAYE UMMAT E MUHAMMADIYA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM KA SWALEHEEN BHI WASEELA BAN SAKTE HAI.
5)HUZOOR ALAIHI SALAM KI AHLE BAIT KA WASEELA KHUD SUNNAT E SAHABA HO GAYA.

DUA ME DUROOD E PAAK KA WASILA

Hadees 08 :
Ameerul Momineen Farooque E Aazam Razi Allaho Anho Farmate hai
“Dua Aasman Aur Zameen k Darmiyan Muallak (Ruki) Rehti Hai Jab Tak Tu Apne Nabi Par Durood Na Bheje”

Reference :
(Sunan Tirmizi, Vol : 02, Kitab No 03 - Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja'aa Fi Salatun Alan Nabi  Pg : 29, Hadees : 486)
Is Hadees e Paak k Tahet Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naemi Alaihi Rehma Is Hadees ki Shara me likhte hai
“Durood Dua Ki Kabooliyat Balki Bargaahe Ilahi Me Pesh Hone Ka Jariya Hai”
(Ref : Miratul Manajih Vol : 02, Pg : 108)
Agar Huzoor E Akram Alaihi Salam ka waseela na hota to ye dua k darmiyan Hazrat  Umar Razi Allahu Anho Durood e Paak bhejne ko kyu kahte ??
Ye Durood kya hai dar asal duao ka waseela hi to hai..

For Post 03 TABARUKAT MUKADDAS MAKAMAT SE WASEELE OR BARKAT KA BAYAN 
NEXT POST 03 CLICK HERE

Dua ki Gujarish
Sher Ali Hanfi wa Deegar S.H.O. k members k liye 

8 comments:

  1. Laa Wa Rabbil Arsh jis ko jo mila Un se mila
    Bat’ti hai Ko'nain me ne’mat Rasool Allah (S.A.W.W) ki
    (Aala Hazrat)

    ReplyDelete
  2. Wo jahannum mein gaya jo Un se mustaghni hua..
    Hai Khalil Ullah ko haajat Rasool Allah(S.A.W.W) ki..
    (Aala Hazrat)

    ReplyDelete
  3. hhazrat siyah satta mai se bad az wisal waseelay ka saboot hai ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Zaroori nahi ki sihah sitae me maujud hona zaruri h ..Koi aur Muhaddis Ko woh Hadees Mili sihah sitae wale muhaddis Ko nai Mili simple ....Toh sihah sitae shart nahi h

      Delete
  4. Allama subki rahmatullahi alaihe ne jis wazahat k sth baad az wisal waseela ko jaiz kaha sareeh alfaz mn is trh digar muhaddiseen k aqwal apke pas hn to mjhe bhej dn kisi ko dikhane hn tarjuma k sth

    ReplyDelete
  5. Sunan Tirmizi, Vol : 02, Kitab No 03 - Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja'aa Fi Salatun Alan Nabi ﷺ Pg : 29, Hadees : 486 ye hadith daif hai

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers