Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Wednesday 1 May 2019

Fazail E Ramzan Roze Kay Fazail


بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Roze Kay Farz Hone Ka Bayan
Ayat 01 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا كُتِبَ عَلَيكُمُ الصِّيامُ كَما كُتِبَ عَلَى الَّذينَ مِن قَبلِكُم لَعَلَّكُم تَتَّقونَ
“Aye Imaan walon!tum par rozey Farz kiye gaye,Jaise tum Se Pehle logon par Farz kiye gaye the,Taki tum parhezgar ban jao."
(Surah Al Baqarah, Ayat 183 Tarjuma Kanzul Iman Imam Ahmad Raza Khan)
Quran E Karim Ko Ramzan Ul Karim Me Utara Gaya
Ayat 02 :
شَهرُ رَمَضانَ الَّذي أُنزِلَ فيهِ القُرآنُ هُدًى لِلنّاسِ وَبَيِّناتٍ مِنَ الهُدىٰ وَالفُرقانِ ۚ فَمَن شَهِدَ مِنكُمُ الشَّهرَ فَليَصُمهُ
“Ramzan ka Mahina Jisme Quraan Naazil Kiya Gaya Jo Logo Kay Liye Hidayat Aur Rahnumai Aur Faisla ki Roshan Baatein, Jo Tum Me Se Koi Yeh Mahina Paaye Jarur Iske Roze Rakhe”
(Surah Al Baqarah, Ayat 185 Tarjuma Kanzul Iman Imam Ahmad Raza Khan)
Quran E Karim Ka Ramzan Me Shabe Qadr Me Nazil Hone Ka Bayan
Ayat 03:
إِنّا أَنزَلناهُ في لَيلَةِ القَدرِ
"Beshaq Humne Isse Shabe Qadr Me Utara"
(Surah Al Qadr Ayat 01 Tarjuma Kanzul Iman)
Ek aayat E Karima Me Irshad E Baari Taala huwa kay humne Quran Ko Ramzan kay Mahine me utara phir dusri aayat me irshad huwa kay isse Shabe Qadr Me utara yaani Mahina Ramzan Ka tha aur raat shabe Qadr thi. Yahan Humne 03 Ayat E Karima Roze Kay Farz Hona Quran Se bataya to kuch log jo Roza Nahi rakhte khud ko liberal aazad khayal samajhte hai yaad rakhe Har Balig Mard Wa Aurat Musalman par Roza Farz Hai, usko chodne waala sakht gunahgaar hai.

Ramzan Me Jannat Kay Darwaze Khole Jaate Hai
Hadees 01:
“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jab Ramzan Shuru Hota Hai To Jannat Ke Darwaje Khol Diye Jaate Hain Aur Jahannam Ke Darwaaze Band Kar Diye Jaate Hain Aur Shaytan (Zanjiron Me) Jakad Diye Jaate Hain”
(Sahih Bukhari, Kitabus Saum, #1899, Kitab Bad Il Khalq,#3277)
(Sahih Muslim, Kitabus Saum, #1079)
(Sunan Nasai, Kitabus Saum, #2099,#2100, #2101, #2103, #2105)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 02, Pg : 281, #7768)

Gunaah Bakhs Diye Jaate Hai
Hadees 02:
“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jo Shakhs Ba Haalat E Iman Sawab Ki Niyyat Se Ramzan Ke Roze Rakhta Hai Us Ke Saabika (Pichhle) Gunaah Bakhs Diye Jaate Hain.”
(Sahih Bukhari, Kitabul Imaan, #38)
(Sahih Muslim Kitab As Salatul Musafireen Wa Qasr, #760)
(Imam Nasai As Sunan, Kitabus Sawm, #2203)
(Imam Abu Dawood As Sunan, Kitab Shahr Ramzan #1372)
(Sunan Ibn Majah, Kitabus Sawm, #1641)

Jannat Ka Ek Darwaza Ar Rayyan Sirf Rozedar Kay Liye
Hadees 03:
“Hazrat Sahal Bin Saad Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Jannat Me Ek Darwaaza Hai Jise Rayyan Kaha Jaata Hai.
Qayaamat Ke Din RozaDaar Us Me Se Daakhil Honge Aur Un Ke Siwa Us Darwaaze Se Koi Daakhil Nahin Hoga.
(Sahih Bukhari, Kitab Bad Il Khalq, #3257)
(Sahih Muslim, Kitabus Sawm, #1152)  
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, #2237)
(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra Vol : 04, Pg : 305, #8294)
(Imam Nawawi, Riyadusalaheen, Kitabul Manaqib, #227)
Roze Kay Barabar Koi Amal Nahi Hai
Hadees 04:
Hazrat Abu Umamah Al Bahili Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Unhone Nabi  ﷺ Se Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ !
Mujhe Koi aisa Amal Bataayein (Jis Se Mein Jannat Me Daakhil Ho Jaaun) Aap  ﷺ Ne Farmaya :
Roza Rakho, Us Ke Barabar Koi Amal Nahin Hai.
Mein Ne ( Phir) Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Mujhe Koi (Aur) Amal (Bhi) Bataaye Aap  ﷺ Ne Farmaya :
Roza Rakho, Us Ke Barabar Koi Amal Nahin Hai.”
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, #2223)
(Imam Ahmad Bin Hanbal Al Musnad, Vol : 05, Pg : 248, 249, #22194, #22195)
(Imam Ibn Khuzaymah Sahih, Vol : 03, Pg : 194,#1893)
(Imam Ibn Hibban As-Sahih, Vol : 08, Pg : 213,#3426)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 582, #1533)
Jisne Roze Me Bhool Kar Khaya Piya
Hadees 05 :
“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Jab Tum Me Se Koi Shakhs Bhool Jaaye Aur Khaa Pee Le To Use Chaahiye Ki Woh Apna Roza Poora Kare Kyun Ki Use Allah Ta’ala Ne Hee To Khilaaya Aur Pilaaya Hai.”
(Sahih Bukhari, Kitab Al'ayman walnudhur #6669)
(Imam Muslim As Sahih, Vol : 02, #1155)
(Sunan Ibn Majah,Kitab As Siyam,#1673)
Jhooth Kahna Bure Amal Karne Waale Ka Roza Allah Ko Pasand Nahi
Hadees 06 :  
“Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Jo Shakhs (Ba Haalat-E-Roza) Jhoot Bolna Aur Us Par (Bure) Amal Karna Tark Na Kare To Allah Ta’ala Ko Us Ki Koi Zaroorat Nahin Ki Woh Khaana Peena Chhod De”
(Sahih Bukhari, Kitabus Saum, #1903)
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Siyam, #2362)
(Sunan Tirmizi, Kitab Saum, #707)
(Sunan Ibn Majah, Kitab As Siyam, #1689)
(Imam Ibn Hajar Asqalani, Bulugh Al Maram #684)
Roza Jism Ki Zakaat Hai
Hadees 07 :
“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Har Ek Chiz Ki Zakaat Hai Aur Jism Ki Zakaat Roza Hai Aur Roza Aadha Sabr Hai.”
(Sunan Ibn Majah, Kitab Al Siyam, #1745)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Ul Kabir, Vol : 06, Pg : 193, #5973)
(Imam Bayhaqi Shu'ab Al Iman, Vol : 03, Pg : 292 #3577)
(Imam Munziri Attarghib Wattarhib, Vol : 02, Pg : 51,#1459)
Roza Aur Quran Shafaat Karenge
Hadees 08 :
Hazrat Abdullah Bin Amr Radiallahu Anhu Se marvi hai Nabi E Karim Salallahu Alaihi Wassalam Ne Irshad Farmaya Roza Aur Quran Qiyamat Ke Roz Banda E Momin Ke Liye Shafa’at Kareinge.
Roza Arz Karega : Aye Mere Allah !
Din Ke Waqt Mein Ne Is Ko Khaane Aur Shawat Se Roke Rakha Pas Is Ke Haque Me Meri Shafa’at Qabool Farma Aur Qur’an Kahega Mein Ne Raat Ko Ise Jagaaye Rakha Pas Is Ke Haque Me Meri Shafa’at Qabool Farma, Pas Donon Ki Shafa’at Qabool Kar Li Jaayegi.”
(Imam Ahmad ibn Hanbal Al Musnad, Vol :  02, Pg : 174 #6626)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 740,#2036)
(Imam Abdullah Ibn Mubarak Kitab Az-Zuhad, Vol : 01, Pg : 114,#385)
(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02, pg : 50,#1455)
Kaash ! Pura saal Ramzan hi hota !
Hadees 09 : Nabi E Karim ﷺ ka farmane Alishan hai Agar bandho ko malum hota ke Ramzan kya hai toh meri ummat tammana karti ke Kash! Pura saal ramzan ho"
(Imam Ibn Khuzaima As Sahih Vol : 3 Pg : 190, #18)
1 Lakh Ramzan Ul Karim Ka Sawab
Hadees 10:
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor ﷺ ne farmaya Jisne Makkah Mukarrama me mahe Ramzan paya aur Roza rakha aur raat me jitna maisar aya kayam kiya toh Allah Azzawajal uske liye aur jagha ke ek lakh ramzan ka sawab likhega aur har din ek gulam azad karne ka sawab aur har raat ek gulam azad karne ka sawab aur har riz jihad me ghode per sawar kerdene ka sawab aur har din me neki har raat me neki likhega.”
(Sunan Ibn Majah Vol : 03, Pg : 523, Kitabul Manasiq E Hajj, #3117)

Ramzan Me Magfirat Na Huwi To Kab Hogi
Hadees 13:
Hazrat Saydina Anas bin Malik Radiallahu Anhu se rivayat hai Farmate Hai Maine Rasool E Akram ﷺ ko farmate hue suna Ye ramzaan tumhare pas aagay hai, isme jannat ke darwaze khol die jate hai aur jahannam ke darwaze band ker die jate hai aur shaitan ko kaid ker diya jata hai. Mehroom hai wo shaksh jisne ramzaan ko paya aur uski magfirat nahi hui ke jab uski ramzaan me magfirat na hui toh fir kab hogi!”
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Awsat, Vol : 05 Pg :366 #7627)
Ramzan Ul Karim Ka Adab Ruswayi Se Bachayega Hadees 14:
Sayyadina Umme Hani Radiallahu Anha se riwayat hai Nabi E kareem ﷺ ka farman e ibrat Nishan hai “Meri umat jaleel aur ruswa na hogi jab tak wo mahe Ramzan ka haq ada karte rahegi”. Arz ki gai Ya Rasoll Allah ﷺ Ramzan ke haq ko jaya karne me unka jaleel wa ruswa hona kya hai? Farmaya “ is mah me unka haram kamo ko karna.” Fir farmaya: “jis ne is mah me zina kiya sharab pi toh agle ramzan tak Allah ajwajal aur jitne asmani farishte hai sab usper lanat karte rahenge pas agr ye shaksh agle mahe Ramzan pane se pehle hi mar gaya toh us ke pas koi aisi neki na hogi jo usse jahanam ki aag se bacha sake. Pas tum mahe Ramzan ke muamle me daro kyunkejis tarha is mah me aur mahino ke mukable me nekiya badha di jati hai usi tarha gunaho ka bhi muamla hai.” (Imam Tabarani Al Muj'am Ul Sageer Vol: 01, Pg :248)
Sabse Badh Kar Sakhi
Hadees 15:
“Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Farmate Hai Rasoolullah Logo me sabse bad kar sakhi hai aur sakhawat ka dariya us waqt josh me hota jab Ramzan me Hazrat Jibrael Alaihsalam Huzoor se mulakat kay liye aate, Jibraeil Alaihsalam Ramzan Ki har raat ko mulakat kay liye aate,Aur Nabi Unke saath har raat Quran ka daur farmate, pas Rasoolullah tez chalne waali  hawa se bhi zyada sakhawat farmate”
(Sahih Bukhari, Kitabul Wahi, #06)
(Sahih Bukhari #1902, #3220, #4997 #3554) (Sahih Muslim, Kitabul Fazail, #5308)

Roze Ki Jaza  Allah Azzawazal Khud Dega Rozedar Kay Muh ki Bo Allah Ko Mushq Se Zyad Pakeeza Hai
Hadees 16:
Hazrat Syedna Abu Huraira Radiallahu Anhu farmate hai Sultane Do Jahan ﷺ farmate hai Aadmi kay har nek kaam ka badla 10 se 700 guna tak diya jata hai, Allah Azzawajal ne farmaya Siwae Roze ke kay roza mere liye hai aur iski jaza mai khud dunga.
Allah azzawajal ka majeed irshad hai banda apne khawish aur khane ko sirf meri wajah se tark karta hai Rozedar ke liye do khushiya hai, ek iftar ke wakt aur ek apne Rab Azzwajal se mulakat ke wakt, Rozedar ke muh ki bo Allah Azzawazal ke nazdik mushk se jada pakeeja hai.”
(Sahih Muslim, Kitabus Sawm, Baab : Fazail E Sawm, #2567)
(Jamai Tirmizi, Kitabus Sawm, #764)
(Sunan Nasai, kitabus Sawm, #2213, #2214)
Koi Buri Baat Kare To Kah Do Mai Roze Se Hoon
Hadees 17:
“Hazrat  Abu Huraira Radiallahu Anhu se rivayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya roza Dozakh se bachne ke liye ek dhaal hai, isliye (rozeydaar) na fahash batein kare aur na jahalat ki batein aur agar koi shakhs usey lade ya usey gali de to iske jawaab me sirf ye hona chahiye ke main Rozadaar hu Mai Rozedar Hoon”
(Sahih Muslim, Kitab Al Siyam, #2563)
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Siyam, #2363)
(Jamai Tirmizi, Kitabus Sawm, #764)
(Imam Malik Al Muwatta, Kitabus Sawm, #690)
Hadees 18:
Hazrat  Abu Huraira Radiallahu Anhu se rivayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya roza Dozakh se bachne ke liye ek dhaal hai, isliye (rozeydaar) na fahash batein kare aur na jahalat ki batein aur agar koi shakhs usey lade ya usey gali de to iske jawaab me sirf ye hona chahiye ke main Rozadaar hu (ye alfaaz) 2 dafa (kah de) is zaat ki qasam! jiske hanth me meri jaan hai Rozadaar ki munh (mouth) ki  boo (smell) Allah ke nazdeek Mushk ki khushboo se bhi jiyada pasandeda aur pakizah hai, (Allah- Talaa farmata hai) banda apna khana peena aur khuwashat mere liye chodta hai, lihaza roza mere liye hai aur main hi iska badla donga aur (dosri) neakiyon ka sawaab asal neki ke 10 guna hota hai.
(Sahih Bukhari, Kitabus Sawm , Baab Fazail E Saum, #1894)

Roza Se Sehat Milti Hai Hadees 19:
Ameerul Momineen Hazrat Ali Murtuza Sher E Khuda Radiallahu Anhu se marvi hai ke Rasool Allah ﷺ ka farman E alishan hai “ Beshak Allah ajwajal ne Bani Israil ke ek Nabi Alaihsalam ki taraf wahi farmai ke Aap Alaihsalam apni kaum ko khabar dijye ke jo bhi banda meri raza ke lie ek din ka roza rakhta hai toh mai uske jism ko sehat bhi inayat farmata hu aur usko azeem ajar bhi dunga”
(Imam Bayhaqi Shoebul Iman Vol : 03, Pg : 412 #3923)

Ek Roze Ki Fazilat
Hadees 20 :
“Hazrat Salma Ibn Kaysar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne ek din ka roza Allah Ajwajal ki raza hasil kerne ke lie rakha, Allah ajwajal usse jahanam se itna dur kerdega jitna ke ek kawwa jo apne bachpan se udna shuru kare yaha tak ke budha ho ker mar jaye”
(Imam Abu Yala Al Musnad Vol : 01 Pg : 383, #917)
Roze Me Jisne Bhul Kar Khaya Piya
Hadees 21 :
“Hazrat Abu Hurraira Radillahu Anhu Se Rivayat Hai RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya Jo Shaks Rozah ki Halat mein Bhool kar khaye (piye) use Apna Rozah Mukammal Karna Chahiye, Kyun Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne hi use Khilaya aur Pilaya."
(Sahih Bukhari, Kitabus Sawm, Baab : Halaat E Roze Me Bhul Kar Khane Pine Ka Bayan, #1933)
(Sahih Muslim, Kitabus Sawm, #1155) Jisne bhul kar kha paa liya usko chahye kay apna roza pura kare, darmiyan khate huwe agar yaad aajaye kay roza hai to fauran khana chod de aur muh me mauzood khana paani andar naa le balki bahar nikalde.

Our Detail Post About Ramzan Ul Kareem 


Post 02 : Ramzan Kay Chand Kay Mutallik Dalil Se Post Click Here to read  Ramzan Kay Chand Ka Masla 

Post 03 : Sehri Kay Fazail Masail Aur Kiye Jaane Waale Amal  Click To Read Sehrki Kay Fazail Masail Amaal

Post By Shaikh Sher Ali Hanfi

No comments:

Post a Comment

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers