Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Sunday 17 June 2018

,
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ
Kya Nabi E Akram Ne Kabhi Azan Nahi Di Hai ?

Aqsar jhola’ha ye message circulate karte hai aur awaam me bhi ye baat mashoor hai kay Nabi E Akram Ne apni zindagi me kabhi Azaan nahi di aur naa dene kay piche 02 baat failayi gayi kay Agar Huzoor Nabi E Akram Ne Azaan de di hoti to Aapki Awaaz sunkar saari kaynaat ruk jaati aur dusra kay agar Huzoor Azaan kah dete aur koi aapki azaan par namaz kay liye labbayk naa kahta to aapki jaat e aqdas azmat wa fazilat par harf aajata.
Yahan Hum Kuch Sahih Hadees Pesh kar rahe hai kay Nabi E Akram ne bhi kayi baar Azaan Di Hai.
Imam Muslim (Al Mutwaffa 261 Hizri) Ne Apni Sahih Kay Muqaddamah Me Naql Kiya Hai
Hadees :
أَبَا هُرَيْرَةَ، يَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ‏ "‏ يَكُونُ فِي آخِرِ الزَّمَانِ دَجَّالُونَ كَذَّابُونَ يَأْتُونَكُمْ مِنَ الأَحَادِيثِ بِمَا لَمْ تَسْمَعُوا أَنْتُمْ وَلاَ آبَاؤُكُمْ فَإِيَّاكُمْ وَإِيَّاهُمْ لاَ يُضِلُّونَكُمْ وَلاَ يَفْتِنُونَكُمْ “Hazrat Abu Huraira Se Marvi Hai Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya Aakhir Waqt Me Dajjal Aur Jhoote Honge Woh Tumhe Aisi Aisi Hadees E Sunaynge Jinhe Tumne Aur Tumhare Baab Dadaon Ne Nahi Suna Hoga Isliye Apne aapko mehfooz rakhna kahin aisa naa ho ki woh tumhe gumraah kar den aur fitne me daal den”
(Sahih Muslim, Vol : 01, Pg:05, Mukaddamah, Hadees : 07) Aaj yehi horaha hai naa jaane kaise kaise message hadees kay naam par chalaye jaate hai.
Huzoor Nabi E Karim Ne Hazrat Imam Hasan Ibn Ali Radiallahu Anhu Ki Wiladat E Paak Par Unke Kaan Par Azaan Di
Hadees 01 :
عَنْ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ أَبِي رَافِعٍ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم أَذَّنَ فِي أُذُنِ الْحَسَنِ بْنِ عَلِيٍّ - حِينَ وَلَدَتْهُ فَاطِمَةُ - بِالصَّلاَةِ ‏.‏
“Hazrat Abdullah ibn Abu Rafaye Se Rivayat Hai Jab Imam Hasan Ibn Ali Ki Wiladat Hazrat Syeda Fatima Se Huwi to Nabi E Karim Ne Hasan Ibn Ali kay kaan me azaan Di”
Reference :
(Sunan Abu Dawood, Kitab Ul Adab, Baab : Paida Hue Bacho Kay Kaan Me Azaan Dene ka Bayan, Hadees : 5105)
(Sunan Tirmizi, Kitab Al Adha,Hadees :1514)
(Imam Abdur Razzaq Al Musannaf #7986)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 03, Pg : 179,#4827)
(Imam Tabarani Al Mu'jam Ul Kabeer #931)
(Imam Bayhaqi Shuab Ul Iman, # 8617)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 09, Pg : 305)
Scan Page Hakim Al Mustadraq
DAURAN E SAFAR APNI OONTNI PAR BETHE BETHE AZAAN DENA
Hadees 02 :
عَنْ عَمْرِو بْنِ عُثْمَانَ بْنِ يَعْلَى بْنِ مُرَّةَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، أَنَّهُمْ كَانُوا مَعَ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فِي مَسِيرٍ فَانْتَهَوْا إِلَى مَضِيقٍ وَحَضَرَتِ الصَّلاَةُ فَمُطِرُوا السَّمَاءُ مِنْ فَوْقِهِمْ وَالْبِلَّةُ مِنْ أَسْفَلَ مِنْهُمْ فَأَذَّنَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَهُوَ عَلَى رَاحِلَتِهِ وَأَقَامَ - أَوْ أَقَامَ - فَتَقَدَّمَ عَلَى رَاحِلَتِهِ فَصَلَّى بِهِمْ يُومِئُ إِيمَاءً يَجْعَلُ السُّجُودَ أَخْفَضَ مِنَ الرُّكُوعِ
“Hazrat Amr Ibn Usmaan Ibn Ya’la Ibn Murrah Se Marvi hai unhone apne Dada Se Rivayat kiya Nabi E Akram Safar Pe They Namaz Ka Waqt Aaya, Barish Barsi to jameen gili hogayi, Allah Kay Nabi Ne Apni Sawari par bethe huwe hi Azaan kahi, phir Iqamat Kahi Aur Namaz Ada Ki”
References :
(Jamai Tirmizi, Kitabus Salat, Hadees :411)
(Musnad Imam Ahmad Ibn Hanbal, Hadees : 17584)
Hadees 03:
Nabi Ne Hajjatul Wida Kay Khutbe kay baad Azaan Di”
(Imam Ibn Hibban As Sahih Vol : 09, Pg : 253, Hadees : 3944) In upar bayan karda rivayato se saabit hai Nabi E Akram Ne bhi Azaan di hai to jo log iska inkaar karte hai jahalat ki wajah se unhe apni islaah karni chahiye.
Post by Shaikh Sher Ali Hanfi

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers