Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 23 October 2015

,
Akeeda Khatme Nabuwat صلى الله عليه و آله وسلم

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Khatiman Nabiyeen Hai
Aqeeda E Islami Me Ye Bhi Ek Sabse Ahem Aqeeda Hai k Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ko Khatmanabiyeen Maan Na Aur ye Aqeeda rakhna k Ab Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم K Baad Koi Nabi Nahi.
Ab Jamane E Pur Fitan hai har taraf bas fitna nazar aata hai aaj jiske haatho Mobile Hai wo khud ko watsapp munazir samajh bas Pura wakt Munazre me guzarta hai bina wajah bahes o mubahisa karta hai natiza kya nikalta hai ? Zero naa to Amal Me neki me izafa huwa naa hi ilm me balki hakikatan WASTE OF TIME huwa.
Aksar Musalman Qadiyanio se bhi munazra karte hai aur ilmi liyakat dekhi jaaye to bilkul Zero hoti hai bas dawa hum to Munazir Hai hume koi Gumraah nahi kar sakta kisi badmazhab se hum nahi haar sakte.
Ye Darasal Shaitan Ka fil wakt sabse bada hathyar Hai kisi tarah Ummat E Muslima Ko bas FB watsapp Debates me uljha kar rakhe taaki naa koi amal kar sake naa kaum Ummat E Muslima k liye kuch kar sake pure bade bade kile wo nauzawan samajhta hai k fateh hogaye aur phir wo wakt bhi aata hai bahot logo k saath k dawa karte rahe par hogaye badmazhab aur yehi cheez mauzooda Musalmano ki gumrahiyat ki badmazhabiat ki taraf jaane ki sabse badi wajah hai.
Kya Aapka Ya Hamara Mansaab Hai Ye Munazre karna ? Munazra K lIye Kya Ulma Nahi Hai ?

Lihaja Chahye k In bakwas baato se dur rahe Aur wakt ki ahmiyat samjhe ALLAH HUM SABKO IMAAN K SAATH DUNYA SE RUKHSATI ATA FARMAYE SAHI AQEEDA SUNNI RAHE. Mission E AALA HAZRAT PE KAAYAM RAHE.
Khair Kuch Ahem baatein baaz awkaat kuch log ye bhi kah dete hai Agar Mirza Nabi Hai to dalil do ? Nauzubillah Astagfirullah
Awwal Cheez bunyaadi Usool Hai agar Kisi musalman ne Sirf Daleel bhi maangli Kisi k nabuwat ki to wo KUFR hai aur Tauba Laazim hai.
Bahot se log aise aaye jinhone Khud Ka Nabi Hone ka jhuta dawa kiya balki kuch Hypnotise brain wash log the jinki baato me log ulajh jaate hai.
Huzoor Rehmat E Aalamصلى الله عليه وسلم Ki Hayat E Zahiri Aur Daur E Sahaba Me bhi Kuch Logo Ne ye Dawa Kiya jinme
1) Musailma Kazzab :  Isko Jung E Yamama Me Hazrat Khalid Bin Waleed ki Kayadat Me Maara gaya Aur Jahannam Me Pahucha.
2) Tulaya Al Azdi : Inke Saath bhi Yehi maamla Tha Inko Jung E Buzakah me Khalid Ibn Walid k Haath Shikast Huwi Aakhir Me Tauba Karli Aur Musalman Hogaye Aakhir Me Inhone Jung E Qadisiya Me Hissa Liya Aur Waha Shaheed Huwe.
3) Aswad Al Ansi : Ye Bhi Ek Kaala Baddha Dikhne wala Shaks tha jisko Siddiq E Akbar K Daur E Khilafat Me Maara gaya.
4) Sajjah bint E Harith : Ye Ek Aurat Thi Jo Shayara Thi Isne Bhi Us Daur Me hi Nabuwat Ka dawa kiya baaj tareekh daan ne likh hai k isne Aswad Al Ansi se shadi karli thi par baad me ye bhi tauba kar Islam kabool karli khair isme kitni sacchai hai ALLAH AUR USKA RASOOL behtar jaane.
5) Mukhtar Saqafi : Ye Wo Hai jisne wakya E Karbala k baad Ek Ek Yazeedio ko Chun Chun k maara jo jo Sahadat E Imam Hussain K Zimmedar the par tha ye ek political kism ka insaan lihaja sabko maarne k baad isne bhi yehi jurm kiya khud ko NABI declare kar diya aur Murtad Kafir Hogaya Isko Sann 67 Hizri Me Hazrat Abdullah Ibn Zubair Radi Allaho Anho Ne Katl Kiya.
Ye to wo 05 the jo shuruwat k daur me hi Dawa E Nabuwat kar chuke aur baad me bhi kaafi logo ne kiya par is fitne ko asal urooz 150 saal qabl ye dobara Qadiyan jo Mirza Gulam Qadiyani Se Utha aur Phir Goharshahi aaya aur ab Egypt Me Bhi ek maloon ne haal hi me dawa kiya hai aur in daur me bhi kaafi aaye.
Jo Aachuke Hai wo aachuke Unke jhute dawe ko Ummat E Muslima Ne Nahi chalne diya aur jo baaki hai wo aake rahenge aakhir me in sab ka sardar Kaana Dajjal aayga uska pahla dawa bhi Ailaan Nabuwat hi hoga baad me wo Khud ko KHUDA hona declare karega lihaja jaruri hai k is fitne se khud ko bachaye aur apne ahlo Ayaal ko bhi bachaye aur ye us surat me mumkin hai jab is masle ka ilm ho. Pehle Kuch Arz
Allah Taala Ne Dunya Me har Kaum k pass uski Rahbari k liye Bando k Allah Se Talluk ko jodne k liye apne Nabiyo ko Bheja jo kaum ki hidayat aur unhe kufr o shirk se nizaad dene k liye aaye jinki tadaad approximately 1,24,000 k bayan ki gayi unme sabse Aakhir Me Allah Taala Ne Hamare Nabi Muhammad Mustafa Ko Bheja aur Khatimeen Nabiyeen ka Taj pahnaya Aaka Ki Ummat Ko tamam Ummat ka Sardar banaya aur beshumar fazilat di.
Allah Taala Ne Har Nabi ko ek khas Makhsoos Shaher Aur Ek Particular Kaum k rehnumayi k liye bheja baaj awkaat ye bhi huwa k Allah ne ek hi wakt me do alag alag kaum k liye do alag alag Ambiya Alaihsalam ko bheja jaise Kaum E Sadoom Me Hazrat Looth Alaihsalam ko Jo Hazrat Ibrahim Alaihsalam k Bhatije The phir Hazrat Ibrahim Alaihsalam jo Syria me bheje gaye Hazrat Ismail Alaihsalam Ko Makkah me Kayam farmaya.
Hazrat Yakoob Alaihsalam Ko Kanaan Me Aur Unke Bete Yusuf Alaihsalam ko Egypt Misr Me is tarah Hazrat Moosa Alaihsalam ko Kaum E Bani Israel k pass aur Unke daur Me hi Hazrat Shoeb Alaihsalam ko Kaum E Madyan k paas bheja gaya.
Pata Chala k ek hi wakt me alag alag Nabi Bheje Gaye par Jab Huzoor Rehmat E Aalam Ko Bheja Gaya to tamam aalam k liye bheja gaya.  
Quran E Karim Se Khatme Nabuwat Ka Saboot
Quran E Karim Me Bahot si aayat is baat ki gawah hai jo Huzoor Rehmat E Aalam k aakhri Nabi Hone pe dalalat karti hai unme se kuch yaha hum pesh kar rahe hai. Ayat 01 :
وَما أَرسَلنا في قَريَةٍ مِن نَذيرٍ إِلّا قالَ مُترَفوها إِنّا بِما أُرسِلتُم بِهِ كافِرونَ
“Aur Jab Humne Kabhi Kisi Shaher Me Koi Darr Sunane Waala Bheja Waha k Aasudo Ne yahi Kaha Tum Jo Lekar Bheje Gaye Hum Uske Inkaari Hai”
(Surah Saba Ayat 34)
Ayat 02 :
اليَومَ أَكمَلتُ لَكُم دينَكُم وَأَتمَمتُ عَلَيكُم نِعمَتي وَرَضيتُ لَكُمُ الإِسلامَ دينًا
“Aaj Maine Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya Aur Tum Par Apni Naemat Puri Kari Aur Tumhare Liye ISLAM ko Pasand Kiya”
(Surah Maida Ayat 03)
Ayat 03:
وَمَن يَبتَغِ غَيرَ الإِسلامِ دينًا فَلَن يُقبَلَ مِنهُ وَهُوَ فِي الآخِرَةِ مِنَ الخاسِرينَ
“Aur Jo Islam K Siwa Koi Deen Chahega Woh Kabhi Bhi Us Se Kabool Naa Kiya Jayga Aur Woh Aakhirat Me Ghata Uthane Waalo Me Se Hai”
(Surah Al Imran Ayat 85)
Ayat 04:
ما كانَ مُحَمَّدٌ أَبا أَحَدٍ مِن رِجالِكُم وَلٰكِن رَسولَ اللَّهِ وَخاتَمَ النَّبِيّينَ ۗ وَكانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَيءٍ عَليمًا
“Aur Muhammad Tumhare Mardo Me Kisi K Baap Nahi Hai Magar Khatiman Nabiyeen Hai”
(Surah Ahzaab Ayat 40)
Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Khatimeen Nabiyeen Hai Hadees E Paak Se Saboot
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurairah Radi Allaho Anho Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya :
Meri Misaal Aur Guzishta Anbiya E Kiram Alaihumusalam Ki Misal Aisi Hai, Jaise Kisi Ne Ek Bahut Khoobsoorat Makaan Banaaya Aur Use Khoob Aaraasta Kiya, Lekin Ek Goshe Me Ek Int Ki Jagah Chhod Dee.Log Aa Aa Kar Is Makaan Ko Dekhne Lage Aur Is Par Taa’jjub Ka Ka Iz’haar Karte Hue Kahne Lage :
Int Kyon Nahin Rakkhi Gaee ?
Nabi  صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya Mai Wahi Ent Hoon Aur Mein Khaatimunnabiyyin Hoon (Yaani Mere Baad  Baab-E-Nubuwwat Hamesha Ke Lie Band Ho Gaya Hai)
References :
(Sahih Bukhari Vol :04,  Pg :454, Kitab No 61 Kitabul Manakib, Baab : Khatimeen Nabiyeen , Hadees : 3535)
(Sahih Muslim Vol : 06 Pg : ,Kitab No 43 Kitabul Manakib, Baab : Zikr E Kawni Khatiminabiyeen , Hadees : 5959 to 5964  Online No 2286)
(Imam Ahmad Musnad Ahmad Ibn Hambal , Hadees : 7278, 7436,7917,8959,9132)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 06, Pg : 436, Hadees : 11422)
(Sahi Ibn Hibban ,  Hadees : 6405)
(Imam Tabrani Musnad Al Shameen, Hadees : 130, 3231)
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausat, Hadees : 3274)
(Imam Humaidi Al Musnad Humaidi, Vol : 01, Pg : 600, Hadees : 1067)

Hadees 02:
Hazrat Saad ibn Abi Waqqas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Rasool Allah صلى الله عليه وآله Ne Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Farmaya
Nabi E Karim  صلى الله عليه و آله وسلم Jung E Tabook K Liye Jaane Lage to Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne Farmaya Kya Aap Mujhe Aurato Aur Baccho k Saath Chode Jaa Rahe Hai ?
Huzoor Nabi  E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tum Mere Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon,Ko Darbaar E Hazrat Moosa k liye Me Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi
References :
(Sahi Bukhari, Vol : 05, Pg :424, Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Tabook, Hadees : 4416)
(Sahi Muslim, Vol :06, Pg :261, Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6217 ‘Online Version : 2404’)
(Jamai Tirmiz Vol : 06, pg : 400 Kitabul Manakib Hadees :3731,  Arabic No :  4095, Rivayat Hazrat Jabir Bin Abdullah Se)
Hadees 03:
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya
"Kayamat Us Wakt Tak Naa Aaygi Jab Tak Meri Ummat Me 30 Dajjal Naa Aajaye Unme Se Har Koi Nabi Hone Ka Dawa Karega”
References :
(Sahi Muslim Vol :07,  Pg :317, Kitabul Fitan, Hadees : 7342)
(Sunan Abu Dawood, Vol :04 , Pg :535 ,Kitabal Malaheem, Baab : Khabre Ibn E Saad, Hadees : 4333 ‘English No : 4319 ’)
Hadees 04:
Hazrat Saubaan Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya
"Aur Beshak Meri Ummat Me 30 Jhute Aaynge, Unme Se Har Shaks Khud Nabi Hone Ka Dawa Karega Aur Mai Aakhri Nabi Hoon Mere baad Koi Nabi Nahi Hai”
References :
(Jamai Tirmiz, Vol : 04, Pg :270 , Kitabul Fitan, Hadees : 2219)
Imam Tirmizi aage Farmate Hai Ye .‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ Hadees Hasan Sahi Hai.
Is Tarah Ek Hadees Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat Hai Jamai Tirmizi Hadees : 2218.
Hadees 05 :
حَدَّثَنَا أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ إِنَّ الرِّسَالَةَ وَالنُّبُوَّةَ قَدِ انْقَطَعَتْ فَلاَ رَسُولَ بَعْدِي وَلاَ نَبِيَّ
Hazrat Anas Ibn Malik Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Beshak Risalat Aur Nabuwat Khatm Kar Di Gayi Ab Mere baad Koi Rasool Aur Nabi Nahi Hoga”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol :04, Pg :318, Kitab No 34 Book Of Dream, Hadees : 2272, Arabic : 2441)

Hadees 06 :
Hazrat Zubair bin Mutim Radi Allaho Anho Se Marvi Hai  Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ne Apna Kayi Asma E Girami Bayan Farmaya Mai MUHAMMAD Hoon, Mai AHMAD Hoon, Mai Mahi Hoon Jiske Jariye Se ALLAH NE Kufr ko Mitaya, Aur Hasir Hoon Jiske pass Sab Jama Kiye Jaynge aur Al Aqib Hoon Jiske Baad Koi Nabi Nahi Hoga
References :
(Sahi Bukhari Vol :04, Pg : 453, Kitabul Manakib, Baab : Maa Jaa Fi Asma Ur Rasool Allah, Hadees :3532)
(Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 348, Kitabut Tafseer,  Hadees : 4896)
(Sahi Muslim Vol : 06,Pg :197-98 Kitabul Fazail, Baab : Fi Asma An Nabi, Hadees :  6105 - 6106  ‘Online Number : 2354’)
(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg :187, Kitabul Adab, Hadees : 2840, Arabic  No : 3075)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ  Imam Tirmizi Farmate hai Ye Hadees Hasan hai.
(Imam Malik Al Muwatta Vol : Pg : Kitab No 61 Asma An Nabi , Hadees : 1861)
(Imam Hakim Tirmizi, Shamail E Muhammadiya, Vol : 01, Pg : 250, Hadees : 366)
Hadees 07 :  
Hazrat Uqba ibn Aamir Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
"Agar Mere baad Koi Nabi Hota To Wo Umar ibn Khattab Hote”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 06 ,Pg : 364, Kitabul Manakib, Hadees : 3686, ‘Arabic No : 4050)
Sahaba E Kiram Aur Tabain Tabe Taibain Rizwanullahi Azmayeen Ka Amal
Jaisa k upar humne Shuru me hi kuch logo ka naam bataya k Jab Us Daur K Kazzabo Ne Ailan E Nabuwat ka Jhuta Dawa kiya to Sahaba Ka Amal kya raha ?
Unhone ye nhi pucha k janab aap dalil do Nabi Hone ki Kyuki Sahaba Tabain Tabe Tabain jaante the k Khatme Nabuwat ka Taaj Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ko pahna gaya Ab Aaka K Baad Koi Nahi hai koi kuch bhi dawa kare uski value kuch nahi wo murtad fitna baaz kaafir hai.  Lihaja aise fitno se unhone Bahes nahi ki balki Jung E Jihad kiya hai Aur khatm kiya hai par aajka musalman bas bahes me uljha hai lihaja chahye k Aqeeda apna sahaba k jaisa banaye naaki koi jaahilo ki tarah bahes kare aur jo normal aisa qadiyani giharshahri mile to usko Dalilo se samjhaye naa samjhe chod do time waste naa kare Hidayat dena ALLAH k Ekhteyar me Hai chahe dil khol de.  
Ab Yaha Ek Fitna ye bhi hai k koi ab ye dawa bhi kare k mai Nabi to nahi hoon albatta mai Imam Mehndi Hoon Astagfirullah
Ye bhi kazzabi ka dawa hai
Imam Mehndi kaun honge unki kya nishaniya hai wo daur kya hoga  wo bhi ek mukammal post karunga In Sha Allah Taala
Keep Us Remember on Your Prayer Sher Ali Hanfi

Sunday 18 October 2015

,

Yazeed Jung E Qastuntunya K Pehle Lashkar Me Shamil Naa Tha. Truth of Battle of Constaninople

The Conquest of Constantinople

Kya Yazeed Jung E Kastuntunya Me Shamil Tha ?
Is hadees pe guftgu kare uske Pehle thoda Kastuntunya k baare me Bata dein Urdu Arbi me Is makam ko KASTUNTUNYA kaha jaha Jaata hai Aur English Me Is makam ko Constantinople kaha jaata tha jo Turkey ka Shaher hai Jiska Naam Ab ISTANBUL hai jo Turkey Ka Capital city Hai.
Aaj se 1450 Saal kabl us daur me Aalam E Isayiat Christiano k Roman Byzantine Emperor ki hukumat Badi Wasi thi jisme Hams Jisko ab Homes kahte Hai Greece, Egypt,Turkey,Macedonia,Libya,Palestine,Jordan, Kuch Arab k Shaher bhi inke kabze me the hatta kayi Shahero Me Inke Markaj Kayam The. Ek Hadees E Paak Hai Bukhari Sharif ki Jis Hadees Bila Wajah Kastuntunya Se Milane Ki Koshish Mukhalifeen karte hai aur Us Hadees ko Pesh Karke Aaj Kuch Naasbi Yazeedi log Apne Abba Yazeed ko Jannat Ki Basharat Sunate Phirte Hai Aur Hadees E Paak k galat maane bayan kar bahot Se Laa Ilm Nauzawano ko Gumraah Kiya Jaa Raha Hai Lihaja Sabse jaruri Hai k wo Hadees ka Tehkeeki Khulasa Hum yaha karde.
Ye Dalil Ibn Yazeed Yaani Yazeed k Manvi Aulad E Wahabiya Naam Nihad Ahle Yazeed k ghar ki Aakhri Missile Hai jo Ab Hum Yaha Aisi Phuski karnge k Kayamat Tak k Nazdiyat Hind Se Leke Nazd tak k mulla iska Jawab nahi laa sakte. In Sha ALLAH Taala

Ab Wo hadees ye hai hum yaha Arabic Sanad, Matan dono likh rahe hai.
Hadees :

حَدَّثَنِي إِسْحَاقُ بْنُ يَزِيدَ الدِّمَشْقِيُّ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ حَمْزَةَ، قَالَ حَدَّثَنِي ثَوْرُ بْنُ يَزِيدَ، عَنْ خَالِدِ بْنِ مَعْدَانَ، أَنَّ عُمَيْرَ بْنَ الأَسْوَدِ الْعَنْسِيَّ، حَدَّثَهُ أَنَّهُ، أَتَى عُبَادَةَ بْنَ الصَّامِتِ وَهْوَ نَازِلٌ فِي سَاحِلِ حِمْصَ، وَهْوَ فِي بِنَاءٍ لَهُ وَمَعَهُ أُمُّ حَرَامٍ، قَالَ عُمَيْرٌ فَحَدَّثَتْنَا أُمُّ حَرَامٍ أَنَّهَا سَمِعَتِ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏"‏ أَوَّلُ جَيْشٍ مِنْ أُمَّتِي يَغْزُونَ الْبَحْرَ قَدْ أَوْجَبُوا ‏"‏‏.‏ قَالَتْ أُمُّ حَرَامٍ قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَنَا فِيهِمْ‏.‏ قَالَ ‏"‏ أَنْتِ فِيهِمْ ‏"‏‏.‏ ثُمَّ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ أَوَّلُ جَيْشٍ مِنْ أُمَّتِي يَغْزُونَ مَدِينَةَ قَيْصَرَ مَغْفُورٌ لَهُمْ ‏"‏‏.‏ فَقُلْتُ أَنَا فِيهِمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ‏.‏ قَالَ ‏"‏ لاَ

Hadees Ki Sanad (Chain of narration) -> Ishak Bin Yazeed Damishqi → Yahya bin Hamza → Saoor bin Yazeed → Khalid bin Madan → Umair Ibn Al Aswad Translation  : Umair Bin Aswad Ansi Ne Bayan Kiya K Wo Hazrat Ubada bin Saamit Radi Allah Anho Ki Khidmat Me Hazir Huwe. Hazrat Ubada bin Saamit Radi Allah Anho Ka Qayam سَاحِلِ حِمْصَ Sahil Hams Per Apne He Ek Makan Per Tha  Aur Aap Ke Sath(Aap Ki Biwi) Ummay Haraam bint E Milhaan Radi Allah Anha Bhi Thi. Umair bin Aswad Ne Bayan Kiya Ke Humse Ummay Haraam bint E Milaah Radi Allah Anha Ne Bayan Kiya Ke Mein Ne Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم Se Suna Hai, Aap صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Tha Ke: "Meri Ummat Ka Sab Se Pehla Lashkar Jo Daryai Safar Ker Ke Jihaad Ke Liye Jaeyga, Us Ne (Apne Liye Allah Ki Rahmat O Maghfirat) Wajib Ker Li. Ummay Haraam bint E  Milhaan Radi Allah Anha Ne Bayan Kiya Ke Mein Ne Kaha Tha Ya صلى الله عليه وسلم Kiya Mein Bhi Un Ke Sath Hoongi? Aap صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Ke Haan Tum Bhi Un Ke Sath Hogi. Phir Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلمNe Farmaya "Sab Se Pehla Lashkar Meri Ummat Ka Jo Qaisar Ke Sheher Per Hamla Karega Unki Maghfirat Hogi. Mein Ne Kaha Mein Bhi Un Ke Sath Hoongi Ya صلى الله عليه وسلم Aap  صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Ke Nahi. Reference: (Sahi Bukhari Vol :04, Pg :113, Kitabuz Jihad, Baab : Maa Kil Fi Kital Ar Room, Hadees : 2924 “English No : Vol. 4, Book 52, Hadith 175” ) Is Hadees Par Kuch Arz :
Is Hadees e Paak ko Base Banake 1400 Saalo ki Islami Tarikh Me Sabse Pahla Shaks Jisne Is Hadees Se Ye Masla Akhaz Kiya aur Ye Na Haq Tehkeek kar Sabit Karne Ki Koshish ki k Is Hadees ki Bunyaad par Yazeed ibn Mauviya Jannati Hai uske liye Jannat ki Basharat Hai aur wo Aalim Koi Aur nahi tha balki Allama Ibn Taimya tha ibn Taimya Hi wo shaks hai jisne Aksar Aqaid me is tarah ki naa haq tehkeek kar Aalam E Islam Me Biddat Izaad ki aur Ummat ko gumraah kiya hai ab chunki inke bade Abba Roohani baap ibn Taimya Ne Ye tehkeek ki to puri wahabiat isko aankh band kar tasleem karti hai aur logo ko gumraah karti hai aur dawa hai hum takleed nahi karte par abba inke ibn taimya ki mukammal takleed karte hai.
Is Hadees k Sanad Aur Matan pe Hum Yaha Koi Guftgu Nahi Kar Rahe Warna Iski Isnaad me hi Zauf hai Aur Matan K Aitbaar Se bhi kayi Rivayat Hai is Talluk Se Jisme Magfirat Ka Zikr Bhi Hai Hi Nahi par hum un sab masle Me yaha Nhi likh rahe In Sha ALLAH Taala Is Hadees k talluk se ek Mukammal Risala Likhenge Jisme Sanad Matan Shara E hadees Tareekh har Cheez Ka Zikr aayga Magar Article Me itni cheez munasib nahi hai.

Jung E Kastuntunya or Battle of Constantinople Yazeed kya Pahle Lashkar Me Shamil Tha ? Baaj Sharain Aur Tareekh Daan Ne Bas itna Likha Ghazwa E Kastuntunya Ka Sipaah Salar Yazeed Tha Aur Unhone Ye Tafseel Naa Likhi K kis Hizri Me Wo Sipaah Salaar Tha Yaa To Unke Ilm Me Year San Na Hoga Jisko Kuch Nasbiyo Ne Apne Mafad k liye istemal kar ummat ko gumraah karte hai wo nahi dekhte k Kastuntunya pe Jaane waalo ko ladne waalo ko nahi Basharat Sirf Aur Sirf Pahle Laskhar ko hai ab inke Abba Yazeed 03, Ya 04 Laskhar me Ho aur Sipah Salar hi ho kya basharat k mustahik hogaye ? Hargiz nahi Jabki Basharat FIRST k liye hai naaki baad waalo k liye  Ab Dekhna Hai Yazeed Kis Lashkar Ka Sipaah Salar Tha. Hosakat hai Kuch Logo Ko Yazeed K Jaane Se Kuch azeeb lage k ye itna bhadbakt kaise Jihad Karne jaa pahucha ? Baat Dar asal ye thi wo Mujahideen is se pahle waha Jihad kar rhe the wo badi pareshani me the bimariya, khane peene ki killat bahot thi to Yazeed Apni mashuka ko bahome bhar Fahsi kalam gaa raha tha aur Un Sahaba Wa Tabain ka mazak udha raha tha.
Jab is besharm ki ye khabar Hazrat Ameer Mauviya Radi Allaho Anho Ko Pahuchi to is Naa Ahel ko waha Saza k taur pe unhone bheja tha jisko bheja gaya wo bhi baad me bataur e saza usko jannati hone ki basharat diye phir rahe ho nasbiyo.

Jabki Yazeed ne Khud Kabool Kiya K Wo PAHLE LASHKAR ME SHAMIL NAHI THA jiska saboot Mai Aage pesh kar dunga aur in nasbiyo k buth khane me Aakhri jarb laga dunga. In Sha ALLAH Taala. Khair Ab Qastuntunya Pe Jihad K Muttalik Yazeed K baare me 04 Rivayat Aati Hai wo Ye hai. 01) Allama  Badrudin Aini Rahmatullah Likhte Hai “Sahi Ye Hai Ki Yazeed ibn Mauviya 52 Hizri Ki Ghazwa E Qastuntunya Me Sharik Tha” (Umdatul Qari Shara E Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 694) 02)Isi tarah Ek Aur Makam Me Yazeed Ki shirkat Ko 50 Hizri Likha. 03) Allama Ibn Kathir jo Wahabiyo k Bharosemand Mukhakik Hai Likhte Hai “Yazeed ne 49 Hizri Me Qastuntunya Me Shirkat Ki” (Al Bidaya Wa Nihaya Vol : 08, Pg : 34) 04) Hafiz Ibn Hajar Asqalani Al Isabah Fi Marifat E Sahaaba Me Yazeed ka 55 Hizri Me Sharik Hona Likhte Hai. Ab In Rivayat Me 04 year k Number Mile 52, 50,49,55 Maan le Se Sabse Purana San le to Sabse Purana hai 49 Hizri pata Chala k 49 Hizri Me Yazeed ne Qastuntunya Ki Junge Me Shirkat Ki. Ab Dekhna Hoga k Kya 49 Hizri Se Pahle bhi Koi Jung Huwi Yaa Nahi ? Iska Jawab Tareekh Se de to shayad hamesha Ki tarah Wahabi Bhage k jhuti gadi rivayat kahde isliye ab SAHI HADEES pesh karte hai.
Proof 01 : Yazeed Jung E Qastuntunya K Pahle Lashkar Me Shamil Naa Tha.
Hadees 01 :
أَبِي عِمْرَانَ، قَالَ ‏:‏ غَزَوْنَا مِنَ الْمَدِينَةِ نُرِيدُ الْقُسْطَنْطِينِيَّةَ، وَعَلَى الْجَمَاعَةِ عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ خَالِدِ بْنِ الْوَلِيدِ وَالرُّومُ
“Aslam Abu Imran Farmate Hai Hum Madina E Munawwara Se Jihad Ka Irada Kar Qastuntunya Nikle Us Wakt Abdul Rehman ibn Khalid Ibn Walid Radi Allaho Anho Hamare Lashkar K Sipaah Salar The….  
Waha Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Anho Ne Hume Quran Ki Aayat ‏ وَأَنْفِقُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَلاَ تُلْقُوا بِأَيْدِيكُمْ إِلَى التَّهْلُكَةِ (Surah Baqrah Ayat 02) Ki Ayaat ka Maane Samjhaya….  
قَالَ أَبُو عِمْرَانَ ‏:‏ فَلَمْ يَزَلْ أَبُو أَيُّوبَ يُجَاهِدُ فِي سَبِيلِ اللَّهِ حَتَّى دُفِنَ بِالْقُسْطَنْطِينِيَّةِ
Aslam Abu Imran Farmate hai Hazrat Abu Ayyub Kastuntunya Me Jihad Karte Rahe Karte Rahe Hatta k Aap ka Intaqal Hogaya ”  
References :
(Sunan Abu Dawood Vol : 03, Pg :211, Kitabuz Jihad, Baab : Fi Qaul E Taala, Hadees : 2512, English No : 2506)
Scan Page
Kamar aage Khud Inke Shaykh Ul Muhadis Albani Ne Todi Hai Farmaya YE HADEES SAHI HAI.  YE Sahi Hadees Yazeediyo k Gale Me Atak Gayi Hai Na Nigal Sakte hai Na Ugal Sakte hai.
Kuch Ahem Baat :
Explaination of This Hadees & Some Important Points :
1) Rome Kastuntunya Par Jihad K Sipaah Salar Hazrat Sayyidna Abdul Rahman Ibn Khalid bin Waleed Radi Allaho Anho The.
2) Us Lashkar Me Saath Me Sahabi E Rasool Hazrat Abu Ansari Radi Allaho bhi the aur waha wo jung karte rahe karte rahe aur phir koi lashkar me Intiqal Farma Gaye.
Ab Kabil E Gaur baat Ye Dekhna hai k Hazrat Abdul Rahman Ibn Khalid Bin Waleed ne Hamla Kiya Kab aur Kis Hizri Me Kiya ?
Dusra Hazrat Abu Ayyub Ansari Ka Wisaal Huwa Kab ? Aur Hadees Me Ye Bhi Hai k wo jihad karte rahe karte rahe hatta k intiqal farma gaye to pata chala k Jis Lashkar Me wo inteqal Farma gaye wo Pahla to nahi tha balki baad ka koi lashkar tha.
Hazrat Abdul Rahman ibn Khalid Bin Waleed Ka Biladar E Rome Kastuntunya par hamla
44 Hizri Mein Bilad E Rome Per Kis Ne Hamla Kiya?
“Is Saal Mein Abdur Rahman Bin Khalid Bin Walid Radi Allah Anho Ne Bilad E Rome Ke Sath Jung Ki Aur Musalman Bhi Aap Ke Sath The. Aur Unhoon Ne Mausam E Sarma Wohi Guzara. Aur Issi Mein Busar Bin Abi Artaat Ne Samunder Mein Jung Ki”
(Imam Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 08, Pg : 42)
\“44 Hizri Me Abdur Rahman Bin Waleed Ke Sath Musalman Bilaad E Rome Mein Dakhil Hoey Aur Sardiyoun Ka Mausam Wohi Guzara Aur Basar Bin Artaat Ne Darya Mein Jung Ki”
(Imam Tabri Tareekh Tabri Vol : 04, Pg : 62)

45 Hizri Me Hamle Ka Zikr.
Is Saal Ziyaad Ke Khurasani Naib Al.Hukam Bin Umroo Ne Ziyad Ke Hukam Se Jabal-al-asal Se Jung Ki Aur Un Mein Se Bahut Se Logoon Ko Qatal Kiya Aur Bahut Se Amwaal Maal E Ghanimat Mein Hasil Kiye.
(Imam Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 08, Pg : 45)
“Is Saal Abdur Rahman Bin Khalid Radi Allah Anho Rome Mein Sardiyaan Guzari”
(Imam Tabri Tareekh Tabri Vol : 04, Pg : 70)
To Pata Chala Hazrat Abdul Rahman ibn Khalid Bin Waleed Sipah Salar The Aur Unke Saath Khud Abu Ayyub Ansari radi Allaho anho The aur bakaul e wahabiya nasibi Yazeed to Sipaah Salaar tha, To Kaha Gayi Sipaah Salari Aur Konsi Jung Me Mili Sipaah Salari ?
Khair Tum iska jawab naa de sakoge hum dete hai aur Hadees E Sahi Se batate hai kab mili usko Sipah Salari taaki aur thoda khulasa hojaye.  
Proof 02 : Yazeed Jung E Qastuntunya K Pahle Lashkar Me Shamil Naa Tha.
Kaum E Wahabi Yazeed ki Sipaah Salari Ka Dawa Karti Hai Aur Kahti Hai K ‘Yazeed Was Leader And Chief of Army Thus He Was Granted Jannah According To Bukhari The Same Statemnet Quote by Every Nasibi Even Zakir Naik’.  
Ab Dekhna Hai K Yazeed Kab aur Kis Lashkar Ka Ameer Tha Uske Liye Bhi Sahi Hadees Bukhari Se pesh karta hoon Upar ki Hadees Se Aadha Bukhar To Utar Gaya Hoga Ab Is Hadees Se inke Buth khane me Kil thook Jaygi. In Sha Allah Taala   Hazrat Mahmud bin Ansari Radi Allaho Anho Se Ek Taweel Hadees Rivayat Hai wo ek hadees bayan kar rahe the uski hi baat karte karte unka ye farmana jo aage aayga aur bas Nasbiyat ka kila Toot gaya Aur ALLAH ka CRORO Ahsan hai k Imam Bukhari Ne bhi is Hadees ko likh diya Ye hum Us Hadees Ka Sabse Ahem Hissa Jo Is Unwaan Se Related Hai wo yaha Quote Kar Rahe Hain.
Hadees 02 :
‏"‏‏.‏ قَالَ مَحْمُودٌ فَحَدَّثْتُهَا قَوْمًا فِيهِمْ أَبُو أَيُّوبَ صَاحِبُ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي غَزْوَتِهِ الَّتِي تُوُفِّيَ فِيهَا وَيَزِيدُ بْنُ مُعَاوِيَةَ عَلَيْهِمْ بِأَرْضِ الرُّومِ،
“Mahmud Ibn Arabi Ansari Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Farmate Hai Maine Ye Hadees Ek Aisi Jagah Bayan Ki Jaha Jinme Se Ek Sahabi E Rasool Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Anho Bhi The Ye Rome K Jihad Ka Zikr Hai Jisme Aapki Maut Waqayi Huwi Aur Fauz K Sipaah Salar Yazeed Bin Mauviya TheReference : (Sahi Bukhari Vol:02, Pg :167, Kitab No.19, Salatal Tahajjud, Baab :Salatul Nawafil Jamaati, Hadees : 1186)
Explaination of This Hadees & Some Important Points:
01) Is Hadees me Pata Chala k Abu Ayub Ansari Radi Allaho Taala Anho us Laskhar Me Wisaal Huwe Jisme Yazeed Sipaah Salar Tha .
02) Dekhna Hoga k Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Anho Ka Wisaal Huwa Kab Kis Hizri Me ?
Seerat E Sahaba Se Leke Tamam Kutoob E Asma Ur Rizaal Padhle Jaha Jaha Zikr E Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Hai Saaf Saaf Mauzood hai Unka Wisaal 52 Hizri Aur Kuch Rivayato Me 54 Hizri Aaya hai Aur Qastuntunya Shaher Ki Deewar Par Unka Mazar E Aqdas Hai.
Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Anho Ka Sann E Wisaal
1) Allama Badruddin Aini Rahmtullah Alaih
“Jung E Qastuntya Me Deegar Sahaba E Kiram Bhi The Aur Wahi 52 Hizri Me Hazrat Abu Ayyub Ansari ka Inteqal Huwa”
(Umdatul Qari Shara E Sahi Bukhari Vol : 14, Pg :191)
2) Imam Qustalani Rahmatullah Alaih Likhte Hai
“Aur 52 Hizri Me Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Qastuntunya Me Inteqal Farmaye”
(Irshad us Saari Shara E Sahi Bukhari Vol :05, Pg : 146 Matbua Misr)
Pata Chala k Yazeed Us Laskhar Me Gaya Tha Jo 52 Hizri Ka Tha Aur Basaharat Pahle Lashkar K Liye Hai Agar Kam bhi karo bil Farz Man lo 50 Hizri Me Huwa Tab Bhi aapka Yazeed Pehle Lashkar Se Mehroom Hai kyuki Pehla wo Lashkar Gya Jisme Hazrat Abdul Rahman Bin Khalid Bin Waleed The Jinke Saath Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Anho The.
Subahat :  Hosakta Hai Kuch logo ko Yaha Ek Subah ho k Yazeed Kaise Jung Ko Jaa Pahucha ? To Iska Jawab Niche bayan kar rahe Hai Aakhir Is Mustahik E Lanaat ko Jung karne Kyu Bheja Gaya.
Yazeed Pahle Lashkar Me Shamil Naa Tha Uski Jabaan Se Tasdiq :
Yazeed Ka Pehle Lashkar Me Jaane Se Inkaar Kar Diya
Allama Imamul Muar’ikhin Ibn Khaldum Is Hakikat ka bayan Farmaya
“Bilaad E Rome Me Pahla Lashkar Hazrat Sufyaan Bin Aauf ki Sarkardgi Me Rawana Kiya Gaya Yazid Ne Inkaar Tha”
(Mukaddama Ibn Khaldum ‘Arabi’ Vol : 03, Pg : 10)

Imam Ibn Aseer Likhte Hai
“Sann 50 Hizri Me Hazrat Mauviya Radi Allaho Anho Ne Ek Lashkar E Jarrar Biladar E Rome Ki Taraf Bheja Aur Us Par Hazrat Abu Sufyaan Bin Aouf Ko Ameer Banaya Aur Apne Bete Yazeed Ko Jaane ka Hukm Diya To Yazeed Bathe Raha Aur Jaane Se Hile Bahane Banana Shurur Kiya Phir Mauviya Usko Bhejne Se Ruk Gaye”
(Tareekh Ibn E Aseer Vol : 03, Pg : 458)

Saabit Huwa k 50 Hizri k Lashkar Me Bhi Yazeed Shamil Naa Tha uske Ameer Bhi Hazrat Abu Sufyan ibn Aouf The Jo Yazeed Se Pahle Jaa Pahuche Aur Agar Ye Bhi maante Ho to ye Basharat Bhi Abu Sufyan ibn Aouf Le Gaye Yazeed Ab Bhi Mehroom Raha. Jab Ye Lashkar Qastuntunya Pahucha To Uske Baad Badi pareshani Ka Saamna huwa  Bimari, Khane Peene Ki cheezo ki kami ne Mujahideen ko Sakht Azmaish Me Daala Phir Yazeed Un Sabka Mazak Udhate huwe Gande behuda Sher Padhta Hai Mulahiza kare. Yazeed Deegar Mujahideen Ka Mazak Udhata Raha
Yazeed Us Lashkar Ka Mazak udhate ye Sher padhta Hai aur Ye Bhi Ek Jabani Iqraar hai uska k wo pehle Lashkar Me na Tha Aur Naa hi Abu Sufyan ibn Aouf k Lashkar Me Tha balki wo to kahi aur tha aur kaha tha khud Yazeed ki Jabaan Se Sunle 01: “Us Jung Me Logo ko Bhook Pyas aur Sakht Bimari Ki Khabar yazeed Ko pahochi to Wo KHUSH HOKAR YE ASHAAR padh raha Tha
Mujhe Parwaah Nahi ki Un lashkaro Par Bukhar Aur Tangi Wa Takleef ki Balaye Makame Faraqduna Me Aa Padi, jabki Mai Dairr Marran Me Uooni Chadar Par Takiya Lagaye Aaram Se Lete Huwa Hoon Aur Mere pehlu me Umm Kulsoom Mauzood hai. Yazeed ka Jab ye Sher Padhna Aur Mazak Udhana Ameeri Mauviya Tak pahucha to unhone Kasam Khai k Ab Yazeed Ko Bhi Waha Bhejunga Taaki Usse Bhi Musibat Pahuche Jo Waha Lashkar waalo ko Pahuchi Hai”
(Imam Ibn Aseer Tareeekh Ibn Aseer Vol : 03, Pg : 458 Matbua Darul Kitab Berut)
Note : Umm Kulsoom Yazid ki Biwi Thi jo Abdullah ibn Aamir Ki Beti Thi.

Isi rivayat ko Allama Ibn Khaldum Ibn Khaldum Ne Apni tarikh Me, ibn Tagri Ne Unnuz Um Uz Zahira, Abdul Malik Al Makki ne Samtunuz'oom Al Awali Me Nakl Kiya hai.
Imam Ibn Asakir Al Tareekh E Damishq Me Mustanad Rivayat Nakl Karte Hai Chunache Likhe Hai
“Lashkar Ko Maut Aur Bhook Ki Shiddat Laahak Huwi To Ameer Mauviya ko Ye Bada Maamla Mehsoos Huwa Chunache Yazeed Ko Ittela Kar is Baat Ki Ittela Di To Us Wakt Wo Sharab Pee Raha Tha Aur Uske Pass Ek Laundi thi Aur Ye Ashaar gun Guna raha Tha,
Mujhe Parwaah Nahi ki Un lashkaro Par Bukhar Aur Tangi Wa Takleef ki Balaye Makame Faraqduna Me Aa Padi, jabki Mai Dairr Marran Me Uooni Chadar Par Takiya Lagaye Aaram Se Lete Huwa Hoon Aur Mere pehlu me Umm Kulsoom Mauzood hai.
(Tarikh E Damishq Vol : 65, Pg : 406)
Allama Badruddin Aini Rahmatullah Alaih Likhte Hai
“Sahi ye Hai ki Yazeed Bin Mauviya 52 Hizri k Ghazwa E Qastuntunya me Shamil Tha”
(Umdatul Qari Shara E Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 694)
Is Se Bhi Wajeh Saabit Hota Hai k Yazeed ibn Mauviya Jung E Qastuntunya k Pehle Lashkar Me Shamil Naa Tha jo itne behuda kalam padhe aur apni biwi k pehlu me bethe k Mujahideen ka mazak udhaye wo kaise pahle lashkar me shamil hogaya ?
Conclusion :
1)Yazeed Se Pehle Hazrat Abdul Rehman Ibn Khalid ibn Waleed Radi Allaho Anho ki Kayadat Me Lashkar Gaya jo Sann 44 Hizri Me Gaya Unke Saath Sahabi Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho The Wo Waha Jihad karte rahe karte rahe aur waha hi inteqal farma gaye.
2)Sann 49 Hizri Me Sufyan Ibn Aouf ki kayadat Me Ek Lashkar Ameer Mauviya Ne Bheja Usme Bhi Yazeed Naa Gaya balki Sabka Mazak udhata raha.
3) Yazeed Ibn Mauviya Ko Baad Me Bataur E Saza Hazrat Ameer Mauviya Ne Ek Lashkar Me Bheja Aur Us Lashkar Me hi Jiski Kayadat Isne Ki thi waha Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Anho Ka Inteqal Huwa jo 52 Hizri Ka Tha.
4) Hadees Me Fazilat Aur Basharat Pahle Lashkar k liye hai ab Yazeed dusre me jaaye yaa baad me koi bhi lashkar me jaaye mehroom hi rahega.
Aur Phir Hadees ki basharat Me Jo Magfirat Ka Lafz hai agar Uspe hi Likhna shuru karde to yaha bhi Yazeed Aapke Roohani Abba Fail Hojaynge. Dua Ki Gujarish by Sher Ali Hanfi

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers