Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Friday 17 July 2015

Surah Anam Ayat 50 Pe Wahabi ko Jawab



Mai Yaha Tamheed ko halaat e jamana k maddenazar rakhte huwe bandh rha hu taaki jab koi padhe wo khud realise karle k jo likha gaya hai aaj yehi horaha hai chunki ye sab humne aanhko se dekha hai aur hum khud in  logo se bahes kar chuke hai ye article shayad lamba ho par jarur ba jarur pura padhe ek baar save karle yaad karle In Sha ALLAH Taala Zindagi bhar aane waali naslo k liye bhi ye ek azeem ilmi sarmaya hai jisko padhne k baad aap bol padoge aisa mazmoon aaj tak nhi padha hai naa suna hai.

Daur E Haajir Me Musalmano k darmiyan bahot se firke wajood me hai bilkhusus ek fitna awaam me failaya gaya hai Wahabio k Jariye se K Quran ko Khud Samjho Tarjuma padhke har insaan Quran Se apne matlab k Masle nikal sakta hai aur apni baat ko sahi saabit karne k liye ye jahil bewakuf group jo nahi sudhra to jahannam me jayga QURAN ki aayat bhi pesh karte hai jo ye hai

وَلَقَد يَسَّرنَا القُرآنَ لِلذِّكرِ فَهَل مِن مُدَّكِرٍ
“Aur Humne Quran Ko Nasihat Hasil Karne K Waaste Aasan Kar Diya To Koi Hai Jo Nasihat Hasil Kare”
(Surah No 54 Surah Qamar Ayat 17 -Translation of Ashraf Ali Thanvi)
aur bhi is trah k ayat hai jo pesh karte hai  
إِنّا أَنزَلناهُ قُرآنًا عَرَبِيًّا لَعَلَّكُم تَعقِلونَ
“Aur Humne Is Kitab Ko Arabi Me Naazil Kiya Taaki Tum Samjho”
(Surah Yusuf Ayat 02  - Translation of Ashraf Ali Thanvi)
maine translation bhi Aala Hazrat Ka Nhi likha unke shaikh ka hi hai warna ye naa kahe apna translation hai  aur isi trah ki kuch aur aayat e paak wo padte hai aur khte hai dekho Quran samajhna aasan hai hume khud se samajhna chahye in Mullao k jhagde me mat pado ye maulvi log bas apna pet bharte hai kaum ko ladate hai yehi baat aaj ka nauzawan karta hai jo aapne khud dekha hoga.
Lihaja ye horha hai har 02 04 kitab padhne waale ladke jinko thek se ye nhi pata k Quran me kitne kism ki aayat hai Naseekh Mansookh kya hai etc wo apne jaahil ustado k saath bethke 10 by 10 k kamre me Quran kholte hai English Translation + Google jo Yahudio ka banaya Search engine hai aur in jahilo ka asli ustad hai uski madad se QURAN ki aayato pe Research karte hai aur unki tehkeek bas kuch aayato pe aake ruk jaati hai wo kuch aayato se apna akeeda khud banate hai.
Dekhen Ek Hota hai Quran ko Padhna Samajhna Dusra Un Ayato Pe Akeeda banana dono me fark hai bahot Quran aasan hai jarur koi shak nahi magar Hidayat aur Nasihat k liye Koi shaks Quran padhe aur usme se Namaz ki takeed waali ayat le aur namaz padhe jhut na bole acche amal kare ye hai Nasihat isliye QURAN aasan hai par Maamla tab bigadta hai wo log jinka ilmi muttala fakat 04 kitabo ka bhi nahi jinko ye nhi pata hai k kis aayat se masle nikalte hai kis aayat se akeeda banta hai kis aayat ka hukm mansookh hai kiska naseekh kis aayat ko aayat ko Ayat E Mutasabihat kehte hai wagaeira wagaira unko ye lafz bhi nhi pata hota aur wo jahil 02 04 aayat ratta maare aur akeeda bana liya unko lagta hai aaj humne jo research ki QURAN ki jis aayat ko dhunda wo shayad kisi ne nahi padhi bas aaj 1400 saal baad wo mysteri humne pata ki hai natiza ye hota hai wo jhola chaap log bazar me, ghar me aate hai tum shirk kar rhe ho tumhara akeeda Quran k khilaf hai saari Quran ki aayat ye kehti hai Maulvi ye kehte hai QURAN ko maan’na ya maulvi ko maanu yehi baat failate hai.
Magar afsos un jahilo pe jinke tehkeek bas ek aayat ko padhke ruk jaati hai wo koshish bhi nhi karte k hum aage kuch padhe apne aapko bahot bada muhakkik ibadat guzar aabid aalim samajhne lagte hai jo khud gumrah hogaye ab dusro ko gumraah karne lage.
Par wo bhul jaate hai k 1400 saalo me Quran ki 150 se zyada Tafseer likhi jaa chuki 20 20 jildo me wo mufasireen jinki puri zindagi bas Quran ki ek ek aayat me gaur o fikr karte nikli puri zindgi apne baal tak safed kar diya raat raat Kalam e Ilahi ko padhte rhe unme se kisi ne ye maana aayat ka naa liya aur jo samjha aaj 1400 saal baad in awaara gadho ko pata chala jo ye jahilo ne gada hai ye soch pe akeeda banane lage hai. Ye aisa fitna hai jo bahot se bilkhusus nawjawano ko khaa raha hai wo nauzawan aur kharji wahabi mullah jo chand aayat pesh krte hai unme sabse ahem ye ayaat hai unki dalil ki jo wahabi hamesha aapko sunate milenge aur apni la ilmi ka mukkamal saboot denge padte QURAN ki aayat sahi hai par akeeda aur matlab galat nikalte hai.
Allah aise gumraho se Hamare Imaan ki hifazat farmaye..  

قُل لا أَقولُ لَكُم عِندي خَزائِنُ اللَّهِ وَلا أَعلَمُ الغَيبَ وَلا أَقولُ لَكُم إِنّي مَلَكٌ ۖ إِن أَتَّبِعُ إِلّا
ما يوحىٰ إِلَيَّ ۚ قُل هَل يَستَوِي الأَعمىٰ وَالبَصيرُ ۚ أَفَلا تَتَفَكَّرونَ
Tum Farmado Mai Tumse Nahi Kehta K Mere Pass Allah K Khajane Hai Aur Na Ye Kahoo’n Ki Mai Aap Gaib Jaan Leta Hoon Aur Naa Mai Tumse ye Kahoon k Mai Farishta Hoon Mai To Uski Farmadari Karta Hu Jo Mujhpe Wahi Ki Jaati Hai , Tum Farmao Kya Barabar Hai Andhe Aur Aankh Waale To  Kya Tum Gaur Nahi Karte
(Al Quran , Surah Al Anam  Ayat 50) Is aayat ko padhke wo badmazhab aksar Musalmano ko sunate hai aur ek aam musalman ko pareshan karte hai aur ek musalmaan soch me pad jaata hai. Khair ab ye aayat padhke wo jo batana chahte hai wo ye hai 02 chiz. WAHABI KA AKEEDA
01) Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ko Gaib Ka Ilm Naa Tha
02) Huzoor E Akram  صلى الله عليه و آله وسلم  Ko Ekhteyar Na Tha Naahi Koi Khazana Aap صلى الله عليه و آله وسلم  k Pass

Ab aaye dekhe Is aayat ka maane kya tha aur in naam nihad roshan khayal khawarijeen munafikeen ne maane kya liya hai.
Al Jawab :  
Awaal to Is ayat e paak se Khazano ke malik hone ki nafi ya Ilm-e-Ghaib ki nafi ki dalil banana kam ilmi hai.
Is ayat me Khazaain aur Ilm-e-Ghaib ki nafi/inkar kab hai?
Balki Daawe ka inkar hai.
Misal ke taur pe Mai koi daawa nahi karta ki mai Koi Aalim hu. To kya iska ye matlab hua ki mere paas Ilm hi nahi? Ek Gair Mukkalid So Called Sapoot e Wahabiya Ahle Hadees Janab ne kaha k jab Direct Straight Forward aagayi k Ilme Gaib nahi hai Khazana nahi hai to kisi Mullah ki kyu maanu ?
Iske pehle hum dalail aur is aayat ki tafseer iska pasmanzar bayan kare ek hadees e paak padhe taaki in naam nihaad ande se nikle baccho k hosh thikane aajaye.
Quran Me Tafseel Bil Rai Karne Waala Jahannami Hai
Hadees 01 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivaayat hai ke, Rasool Allah  صلى الله عليه و آله وسلم   ne Farmaya
"‏ مَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِغَيْرِ عِلْمٍ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ ‏"
“Jo Shakhs ne Qur’an me (Baghair Ilm ke) apni Raa’i chalaayi Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3204)

Hadees 02 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم  ne Farmaya
"‏ وَمَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِرَأْيِهِ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ
Jo Shakhs baghair Ilm ke Qur’an me Kalaam kare, Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3205)


I) Ye aayat Jaati Ilme Gaib Par Dalalat Karti Hai
Proof 01 : Tafseer e Nishapuri Is Aayat Ki Tafseer Me Likhte Hai
لا أَعلَمُ ka idraak لا أَقولُ par hoga Yaani Aye Mehboob Farma Do Ki Mai Gaib Nahi Jaanta To Isme Dalalat Us Par Hogi Ki Gaib Bil Isteklaal Yaani Jaati Siwaye ALLAH k koi Nahi Jaanta.
Proof 02 : Tafseer e Baizawi  
وَلا أَعلَمُ الغَيبَ  iski tafseer me likhte hai Mai Gaib Nahi jaanta Jab Tak Uski Mujh Par Wahi Naa Ki Jaaye Ya Koi Dalil Us Par Kayam Na Ho Yaa Is se Murad Tamam Ilm Ki Nafi (Inkaar) Hai.
Proof 03 : Tafseer e Kabir Imam Fakrudin Razi
Ye Farmaan K Mai Gaib Nahi Jaanta Huzoor K Is Ikraar Par Dalalat Karta Hai Ki Aap Saare Malumaat Nahi Jaante Ya ye Kalam Bataur E Tawajo Ya Insaar Farmaya Gaya.”
Is tarah ki bahot tafseer hum yaha likh sakte hai par bataur e dalil filhaal 03 hi motebar tafseer kaafi hai jisme wajeh huwa k ye aayat ILME GAIB E JAATI K NAFI (INKAAR) LIYE NAAKI ATAYI Ki
Aasan lafz me Is aayat me ye hai Nabi e Karim Khud se nahi jaante aur naa ye dawa kiya balki jo Rabbe Kadir bata de wo jaan jaate hai.

II)Is ayat me mushrikeen ke sawalo ka jawab diya ja raha hai. Jo unhone Nabi صلى الله عليه و آله وسلم se kiye the.
Mushrikeen ka 1st Pehla Sawal
Tafsir Khazin me isi ayat ke tehet hai:
يقولون للنبي ( صلى الله عليه وسلم ) إن كنت رسولاً من الله فاطلب منه أن يوسع علينا عيشنا ويغني فقرنا Mushrikeen Makka ne Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  se Kaha ki agar aap Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to aap hume Khazane taqseem kar dijiye daulat dekar maaldaar Karen. Taki hum mohjtaj na rahen. Aur apnio zindagi aish wa ishrat se guzaren. (Tafsir Khazin Under Tafseer Of Surah Anam Ayat 50) Mushrikeen ka 2nd Dusra Sawal
قالوا له : أخبرنا بمصالحنا ومضارنا في المستقبل حتى نستعد لتحصيل المصالح ودفع المضار
Agar aap ALLAH ke Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to hamare mustaqbil ki khabar dijiye. Hamare Aaindah kaam me nuqsan hoga ya nafa taki hum pehle hi apna intezam kar len.
Mushrikeen ka 3rd Teesra Sawal
( وذلك أنهم قالوا : ما لهذا الرسول يأكل الطعام ويمشي في الأسواق ويتزوج النساء
Agar aap ALLAH ke Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to khate peete kyun hain ? Aur bazaron me kyun chalte hain? Nikha aurton se kyun karte hain? (Ye to sab Bashar ke kaam hain)
Ye 03 Sawal kahen ya objection jo mushrikeen kuffaro ne kiye the Sawal Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم se Huwa ab jawab me Allah Tabarakwatala ne diya k ALLAH Paak ye bhi farma sakta tha k  Aye MEHBOOB صلى الله عليه و آله وسلم aapko maine aisa koi ilm khazana naa diya balki Quran me Rab Tabarakwatala ne is andaaz me nuzool e wahi ki hai wo ye hai
Al-Quran:  Aye Mehbub صلى الله عليه و آله وسلم ! Farma dijiye:
“Mai tumse nahi kehta ki mere paas ALLAH ke khazane hain aur na mai Ghaib janta hu aur na mai ye kehta hu ki mai koi farishta hu. Mai to usi ke taabe hu jo mujhe wahi aati hai. Aye Pyare Mehbub Sallallaho alaihe wasallam! Unko farma dijiye kya andhe aur ankh wale barabar ho jayenge. Kya tum ghaur nahi karte”
(Surah Anaam ayat 50)
aur ek bahot ahem nuktaa aap pura Quran padh daale jitni aisi aayatein mubaraka hai uska matlab yehi hai Jaati Ilme Gaib ka Naaki Inkaar e Ataiyi Pure Quran me bhot se makam me hai k Ilme Gaib ki kunjiya ALLAH k pass hai Allah Hi Tamam gaib ka jaan ne waala hai par koi ek aayat pe aisi nahi jisme ye kaha ho k ALLAH apne Gaib ka ilm kisi ko ata nahi karta koi aayat bhi nahi hai aisi par ye mauzood hai k ALLAH GAIB KA ILM APNE BANDO Ko ata karta hai wo aage bayan krunga.
III)Is Ayat me ALLAH TABARAKWATALA ne Khitaab Kinse kiya hai ?? Kuffaro Mushrikeen Se
Tafsir Khazin me lafz-e-Qul ke baad mufassir farmate hain:
: ( قل أرأيتم ( أي قل يا محمد لهؤلاء المشركين
Aye Mehbub صلى الله عليه و آله وسلم ! Farma dijiye in mushrikeen ko farma dijiye ki mai tumse nahi kehta Sabit hua ki “Lakum” ye khitab Mushrikeen ko hai. Ki mai tumse ye daawa nahi karta. Ki mere paas Khazain Ilaahiya hain. Aur na ye ki mai ghaib janta hu.
Kisi Mufassir ne ye nahi kaha ki Aye Nabi صلى الله عليه و آله وسلم apni Ummat se farma dijiye.
Nabi E Rehmat  صلى الله عليه و آله وسلم ne yaha khitab farmaya kinse hai wo Mushrikeen aur kuffaro se to kya Kaum e Wahabiya bhi Khud ko Kaafir O Mushrik maanti hai shayad isliye is aayat ko apni taraf se pesh karti hai ??
IV)Imaan Laaya Kyu Jaata Hai ? Imaan ALLAH AUR RASOOL KI RAZA KI KHATIR laaya jaata hai taaki insaan gumrahiyat se nikal k jahannam ka rasta chod jannat ki taraf aajaye ye muktasar se taroof hai warna ispe jildo me kitabe aajayngi. Is aayat se maloom hua k ye “Kaafiro ka  tarika tha k wo kehte the majakiya tanziya aitraaz me aap Allah K Rasool hai to hume khoob daulat aur maal dijiye taaki hum kabhi mohtaj na rahe hamare liye pahad ko sona bana dijiye aur kabhi kabhi kehte hume pichle aur agle dino ki khabar do taaki hum apne liye nafa talash kar sake aur nuksaan se bachne k liye apna bandobast kar sake. Hume kayamat ka wakt batayi kab aaygi kabhi kehte k Aap Rasool ho aur khana bhi khate ho nikah bhi karte ho” Is aitraaz k jawab me ye aayat aayi chunki Imaan isliye nahi laaya jaata k apne future ka ilm jaan lo k profit hai dunya me yaa nuksaan garibi hai ya amiri balki uske sawahid takaze kuch aur hai. Magar kaum e wahabiya bugz k aise chasme lagayi hai k inko kuch nazar hi nahi aata. Ye Humne Surah Anam ayat 50 ki tafseer aur nuzool k pasmanzar par mukhtasar si roshni daali hai taaki sab clear hojaye Is aayat se saaf jaahir hua k is aayat se Huzur e karim صلى الله عليه و آله وسلم k gaib batane ki nafi lena aur ye kahna k aap nahi jaante ye wohi mushriko kaafiro ka tarika th Aur ispe agar akeeda bana liya jaayga to bahot si aayato ka inkaar hojayga ayate ek dusre se takra jaaygi sahi hadeeso ka inkaar karna padega Jo hum yaha pesh karnge.

Part 02 : Dalail Ka Bayan
ILM E GAIB E NABI KA SABOOT QURAN E KARIM SE
وَما كانَ اللَّهُ لِيُطلِعَكُم عَلَى الغَيبِ وَلٰكِنَّ اللَّهَ يَجتَبي مِن رُسُلِهِ مَن يَشاءُ ۖ فَآمِنوا بِاللَّهِ وَرُسُلِهِ ۚ وَإِن تُؤمِنوا وَتَتَّقوا فَلَكُم أَجرٌ عَظيمٌ
 "Aur ALLAH ki yeh Shaan Nahin Hai k Ae Aam logon Tum ko GAIB ka ILM de, haan ALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko Chahe". 
(Al Quran PARAH : 4,Surah :  Al-Imran, Aayat: 179)
Is ayat ki tafseer me
Proof 01 : Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.
"Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka Matla'a kare, is KUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai, aur Ba'az Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese Dalael farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen" 
(Anwaar Ul Tanzeel, Vol :1, Pg:308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)
Proof 02 :Tafseer E Khazan main hai.
Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai, Apne RASOOLON main jise ko chahta hai, Pas UnkoKhabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par." 
(Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Vol : 1, Pg : 308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)
Proof 03 : Tafseer E Kabeer Imam Fakruddin razi rehmatullah alaih isi Aayat k Ma Tehet hai.
" Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par Matla'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai".
(Tafseer Ul Kabeer, Vol : 09, Pg: 111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)

Proof 04: Tafseer E Jalalen masnavi sharif me maulana rumi rehmatullah alaih likhte hai.
"Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai,Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai".... "KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka, Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo. Lekin ALLAH jis ko chahta hai, Chaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese NABI (ALEH SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya". 
(Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)

ROOH Ul BAYAAN main hai Allama Ismail hakki al hanfi likhte hai.
"Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se". 
(Tafseer E ROOH Ul Bayaan, Vol :02, Pg:162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)
Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..
Is ayat se pata chala k gaib ka ilm Allah Tabarakwatala apne pasandida Nabio bando ko bhi ata karta hai to ab ek aam jahen se soche to kya Quran ki ek ayat dusre se takra rahi hai nazar aati hai magar ye sirf la ilmi hai insaan ki asal me Quran ki koi ayat ya sahi hadis e paak quran se nahi takrati hai.

ALLAH KA ILM JAATI HAI USKA KHAZANA JAATI HAI ALLAH KO YE ILM KHAZANA KISINE DIYA NAHI.
JABKI NABI E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم KA ILME GAIB ALLAH KA DIYA HUA HAI ATAI HAI AUR KHAZANA BHI ALLAH NE DIYA HAI.
Ikhteyar E Nabi صلى الله عليه و آله وسلم Quran Aur Sahi Hadees Se NABI E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم KO ALLAH NE KHAZANE ATA KIYE HAIN
“Aur Unhe Kya Bura laga yehi Na k Allah aur Uske Rasool ne Apne Fazl Se Unhe Gani Kar Diya”
(Surah Tauba Ayat : 74)
Allah Taa’la  yaha ye bhi kah sakta tha k sabko gani sirf mai karta hoon aur koi nahi par Yaha Baat Gani Karne Ki Aayi To ne apne Mehboob ko bhi shamil kiya khud k saath  Pata Chala Gani Allah bhi karta aur uski ata Se Uske Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم bhi karte hai.
Ab Hadees e Paak Se Saboot

Hadees 01:
Hazrat Uqba Ibn Aamir  رضي الله عنه farmate hai ek din Huzur e karim صلى الله عليه و آله وسلم  tashreef laae aur uhaad k shadeedo ki kabr pe namaz padhi aur Apne Mimber pe tashreef laae aur farmaya mai tum par gawaah hu aur kasam khuda ki mai is wakt bhi yaha se apna hauze kausar dekh raha hu.
ALLAH SUBHANU TAALA NE JAMIN K SAARE KHAZANE KI KUNJIA MUJHE ATA KAR DIYE YA YE FARMAYA K MUJHE KHAZANE DE DIYE ZAMIN K Aur ALLAH KI KASAM MUJHE IS BAAT KA KHAUF NAHI K TUM MERE BAAD SHIRK KAROGE.
Mujhe sirf is baat ka khauf hai k tum dunya talbi me ladoge
References :
(Sahi Bukhari Vol : 1, Pg : 189 Kitab No : 23 Kitabuz Janaiz, Baab :As Salate Alash Shaheed, Hadis 1344 “English Book No 23, Hadees : 428)
(Sahi Bukhari , Kitabur Riqak, Hadees : 6426 & 6590)
(Sahi Muslim Vol : 02, Book No 43, Kitabul Fazail,  Baab :  Isbaati Hauzin Nabiyana Wa sifatihi, Hadees : 2296 “ English Book No 30 Hadees : 5688)
(Musnad e Ahmad ibn Hambal Vol: 04, Pg:154, Hadees : 17532)
Is hadees e paak se wajah hogya hai k Ummat e muslima shirk nahi karegi magar aaj ye tauhid k contracter bane ghum rahe naam nihad wahabi puri ummat e muslima ko mushrik kehte phr rahe hai.
Hadees 02:
Hazrat Sauban رضي الله عنه  se rivayat hai K Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
Aye Logo Allah ne jamin ko mere liye lapet diya hai yaha tak k maine jamin k mashrik ko bhi dekh liya aur magrib ko bhi dekh liya hai aur Allah ne do khazane mujhe ata kiya ek surkh khajana aur ek safed (white) khajane.
References :
(Sahi Muslim Vol : 02, pg : 390,Kitab No 54 kitabul Fitan, Baab : Fitno aur kayamat ki nishaniyo ka bayan, Hadees : 2889, ‘English Version Book No 24 Hadees : 25’)
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 37, Kitab Al Fitan Wa Al Malahim,Baab : Fitno Ka Aur Uski Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 4252, ‘English Version Book No : 37, Hadees : 13’)
(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No : 33 Kitabal Fitan, Hadees : 2176, ’ English Version Book No 33 Hadees : 39’)
(Sunan Ibn Majah, Book No 36, Kitabul Fitan, Hadees : 3952, ‘English Version Book No 36 Hadees : 27)
Is Hadees ki sharah me Muhadisin ne likha hai k Tamam khajane Allah ne Apne Mehmoob صلى الله عليه و آله وسلم ko Ata kar diye par Surkh Aur Safed ko khas taur pe mukhatib karke ye baat ki taraf ishara diya gaya hai k yaha se murad Surkh se murad Sona (Gold) aur Safed se murad Chandi(Silver) hai.
Hadees 03:
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi allahu anha farmati hai k Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
Aye Ayesha, Allah ne mujhe wo ektheyar diya hai k mai chahu to ye Pahad(Mountain) Sone (Gold) k ban jaaye  aur Sone (Gold) k Hoke mere Saath chale.
References :
(Mishkat Sharif  Jild : 03, Kitabul Fitan Baab : Fi Akhlakihi Wa shamailihi , Hadees : 5586)
(Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees : 3683)
Yaha dekho kya ekteyar bayan kiya Nabi E Karim  صلى الله عليه و آله وسلم  ne Apna Ye Farmaya k Mai CHAHOON TO SONA (GOLD) Hojaye aur mere saath chale. Tum kiske niwale se QURAN hadees padh aaye ho ALLAH jaane ALLAH tum akal k pujario ko akal de.
       MALIK E KONAN HAI JO PAAS KUCH RAKHTE NAHI
DO JAHAAN KI NAEMAATEIN HAI UNKE KHALI HAATH ME
Nabi e Karim  صلى الله عليه و آله وسلم  Bayan kar rhe hai k ALLAH ne wo Ekteyar aur wo Khazane Ka Malik Banaya Hai agr Ishara kardu to ye bhi sona hojaye ye ekteyar hai tumhe aaj tak ye hadees e hi nahi mili ??
Hadees 04:
Hazrat Abu Hurrairah رضي الله عنه  se rivayat hai k Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya k Allah subhanutaa’la ne mujhe tamam jabano ka jaan ne waala  banake bheja aur Allah ne raob k saath meri madad ki aur Ek Raat  soya huwa tha k Mujhe dunya k tamam Khazano ki chabia (key) mujhe ata ki.
Abu Hurraira رضي الله عنه  farmate hai Aye logo Ab Allah k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم hamare darmian se tashreef le gaye aur wo khazane se tum aaj nafa utha rahe ho jo Allah ne Apne Nabi  صلى الله عليه و آله وسلم  ko ata kiya tha.
References :
(Sahi bukhari Vol : 02, Kitab No 91 Kitabul Tabeer i.e .Interpretation of Dreams, Baab : Raat k Sapno Ka Bayan, Hadees : 6998, ‘English Version Book No 91 Hadees 17’)
(Sahi Bukhari Vol : 02, Kitab No : 56, Kitabul Jihad Washayri ALLAH KI RAAH ME JIHAD KARNA, Hadees : 2977)
(Sunan Nasai Vol :02, Book No 25 Kitabu Jihad, Baab : Wuzubil Jihadi, Hadees :3087)
(Sahi Muslim Vol: 01 pg: 99 Kitab No : 05, kitabul Masajid wa Mawadius’salat, Hadees : 523, ‘English Version Book No 04 Hadees 1063’)
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 96 Kitabal Aitesaam Ba Kitab Wal Sunnat, Baab : Huzoor Nabi e Karim ko Jawami Al Kilam K Saath Maboos Kiya Gaya, Hadees : 7273 ye Rivayat Hazrat Saeed bin Mussayab رضي الله عنه se marvi hai)
Is Hadees Ka Khulasa :
1) Nabie E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya MUJHE KHAZANO KI KUNJIYA ATA KAR DI GAYI ab jisko Kunjiya de di kya wo ALLAH Ki ata se Malik naa huwa ?
2) Farman E Nabi  صلى الله عليه و آله وسلم  k baad Sahabi e Rasool  صلى الله عليه و آله وسلم  Hazrat Abu Hurraira Ka Akeeda dekho farmate hai Nabi E Karim  صلى الله عليه و آله وسلم humare darmiyan mauzood nahi hai par wohi khazana hai jisko aaj nafa utha rhe ho. SUBHAN ALLAH
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه ne to haddi tod di wahabiyo ki aur apna akeeda bhi wajeh kar diya.
Hosakata Hai k is hadees pe WAHABI ye kahe k yaha To khwab ki baat hai wo hujjat nhi ye ek Aitraaz kar sakte hai chunki jab koi rasta nhi hota inke pass bhagne ka to is trah ki baat karte hai uska bhi jawab yaha likh rhe hai.  
Jawab : Awwal to ye k in Khabiso ko ye jaan na aur samajhna chahye k AMBIYA ALAIHUMUSALAM ka khwab Mashkook nahi hota jaise aam awaam jo khwab dekhe uska sach hona naa hona tabir hona naa hona dono mumkin hai par AMBIYA ALAIHUMUSALAM jo khwab dekhe wo hakikat hota hai.
Iski taaed Me Quran Aur Hadees Dono Mauzood Hai
Proof Hadees e Paak se :

Proof Hadees e Paak se :
AAP صلى الله عليه و آله وسلم NE Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha se FARMAAYA AYE AYESHA MERI AANKH SOTI HAI MERA DIL NAHI SOTA.
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No. 61 Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi , Baab : Nabi ki aankh Soti Hai par Dil Jhagta Hai, Hadees : 3569)
(Sahi Muslim, Kitab No 06, Kitabul Salat e Musafireen Wa Kasarihi, Hadees : 738)
(Sunan Nasai, Vol : 03 , Book No : 20 Kiyam Al Lail, Hadees : 1697)
(Sunan Abu Dawood, Vol 01,Book No 05 Kitabus Salat, Hadees : 1341)
(Jamai Tirmiz, Vol :01 Book No 02, kitabus Salat, Hadees : 439)
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Kitab Salatul Lail, Hadees : 263)
tum ek dalil ka mutabla karte ho pura ka pura daftar khan kholke derahe hai is hadees se wajeh huwa k Huzoor Nabi E Karim Ka Dil hamesha Jhagta hai to khwab bhi saccha hai hosakata hai ab bhi koi inkaar karde isliye Quran e Paak se bhi ek dalil pesh hai
Quran se jawab: Yaha Us Khwab Ka Zikr Hai Jo Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ne dekha tha Hazrat Ismail Alaihi Salam ko Qurban karne k talluk se
“Phir Jab Wo Uske Saath Kaam K Kaabil Hogaya, Kaha Aye Mere Bete Maine Khwab Dekha Mai Tujhe Jibah Karta Hoon Ab Tu Dekh Teri Kya Raay Hai !
Kaha Aye Mere Baap Kijiye Jis Baat Ka Aapko Hukm Hota Hai, Khuda Ne Chaha To Karib Hai ki Aap Mujhe Sabir Paynge - Ayat 102 ”
“To Jab Dono Ne Hamare Hukm Par Gardan Rakhi Aur Baap Ne Bete Ko Maathe K Bal Litaya Us Wakt Ka Haal Na Puch -103”
“Aur Humne Usse Nida Farmaye Aye Ibrahim- 104 ”
“Beshak Tune Khawab Sach Kar Dikhaya - 105”
(Surah Saaffat, Ayat 102 to 105)
pata chala k Ambiya Alaihi salam k khwab bhi sacche hote hai warna khwab me na hone ka imkaan hota to Hazrat Khalilullah Alaihsalam itna bada faisla kyu lete k Hazrat Ismail Alaihi salam ko jibah karne le gaye ? In dalilo se ALHMADULLILAH is subaahat ka bhi jawab wajeh kiya hai k yaha khwab sach hai.

Aksar ye bhi dekha gya hai aur normally ye hota hai log hadees bayan kardete hai au usko samjhate nahi hai jis se padhne k baad bhi log samajh nhi paate isliye ab jo kuch upar bayan huwa uska kuch ahem khulasa yaha hum kar rhe hai.
Conclusion : Ab upar bayan karda Dalail Par Kuch Ahem Points 

1)In Dalail se pata chala k us aayat ka matlab ye nhi hai k  Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ka waha ye kehna mai nahi jaanta is lihaaj se tha k khud se nahi jaanta waha Inkaar tha jaati hone ka aur Quran ki dusri aayat se humne wajah kiya k ALLAH Taala ne apne Rasoolon ko bhi Gaib kuch ka ilm ata kiya hai.
2)Us Aayat me Nabi E Karim
صلى الله عليه و آله وسلم ne jawab kuffaro ko diya hai kya Wahabi bhi khud ko mushrik kaafir samajhte hai ?
3) Us aayat me hai k Khazane nahi hai to dusri sahi hadees se humne wajeh proof kiya k ALLAH k Nabi
صلى الله عليه و آله وسلم ko ALLAH ne khazana bhi diya hai agr ye hadees bhi aap nahi maante to kya maante ho ?
4) Sahaba k saamne Nabi
صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya Mujhe Khazana ata kiya kunzia di gayi !! Sahaba ko to ye aayat pesh karni thi Surah Anam Ayat 50 k Aye Aaka صلى الله عليه و آله وسلم Quran me to ye likha hai aur aap ye dawa kar rhe hai hum Quran maane ya ye maane jo Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne bayan kiya magar kisi ek sahabi ne wo jinki puri jindagi Quran ki taleem ko aam karne me gayi kisi ek ne ye sawal naa kiya chunki wo jaante the k is aayat ka wo maana hai hi nahi balki akeeda to Sahabi ka Hazrat Abu Hurraira ne bayan kiya WO KHAZANA hai jis se tum Nafa utha rhe ho ye akeeda hai Subhan ALLAH  05)Sahaba se leke Tabain Tabe tabaim Fukaha Muhadiseen Mufasireen 1400 saalo se wo jinki puri jindagi ilme Quran aur hadees me guzri unhone bhi is aayat ka matlab ye nhi liya kyuki wo jaante the ye fakat Kuffaro k jawab k liye tha par mauzooda munafikeen ne isko khud k akeede pe liya aur khud bata diya k Islam se aur Soch fikr e Sahaba se to talluk hi nahi hai inka rista e talluk to mushkireen yahudio se hai awaam ko smajhna chahye.
06) Jab Nabi e Karim
صلى الله عليه و آله وسلم ne ye kaha k Mujhe Khazane Ata kiye gaye  Chalo Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ne to sawal kuch naa kiya aur naa Surah Anam ayat 50 pesh ki thek. Par Kya ALLAH ko nhi pata tha k Maine ye ayat bheji koi khazana nhi aur Aye Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم aap yaha ye dawa kar rhe hai Aapne Shirk kar diya ALLAH ne bhi koi Aayat kyu naa bheji ??
Jo 1400 saal baaad aaye ye kide makode ne liya hai unme se kisi ko nhi samjha aaj tum Yahudi Search engine google k stud
ents ko samajh aaya ? Gaur to karo tum mar kiski muhabbat me jaa rahe ho ?

BE ISHQ E MUHAMMAD صلى الله عليه و آله وسلم PADHTE HAI JO BUKHARI
        AATA HAI UNHE BUKHAR MAGAR BUKHARI NAHI AATI
Kayamat tak ka wakt dete hai jawab nhi aayga hmare dalail ka
Bail Dudh De Sakta Hai, Murga Anda Desakta hai Par Jawab nahi aayga
haa yaa waha se gaaliya aayngi bina haath pair ki taweeel laaynge par jawab nahi aayga ?
Kis Mooh se khud ko Ahle Hadees bolne lage ho ?  kyu nazar nahi aati ye tamam hadees tum khabeeso ko isliye k jab Tum Quran Hadees padte ho to sabse phle apni NAFS aur apne Dimag k suitable akeede k liye padte ho jo tumhare akeede ki ho wo maan lo baaki sab chodo dusra ahem nukta tum jab bhi padte ho to dhundte kya ho ? yehi to sabse ahem hai aakhir tum kitab me talash kya karte ho ?
Tum jab Quraan uthate ho aayat talash karte ho k kis trah ALLAH k Mehboob tarin bando ko kamzor saabit kiya jaaye kis trah aayat dhundi jaaye k Musalmano koi Mushrik Declare kar diya jaaye kis tarah dhunde k Nabi
صلى الله عليه و آله وسلم  ko ekhteyar naa tha gaib naa tha yehi niyaat se padhte ho lihaja hota ye hai chunki niyat me hi khot bugz hai QURAN ki aayat sahi padhke mafoom bigad k maane galat lete ho aur Quran padhke bhi gumraah hote ho.
Jiska zikr jo khud Quran me hai k isko padhke bhi gumraah honge. Mulahiza ho aayat
Al Quran : “Allah Bahutero ko Is se Gumraah karta hai Hai (yaani Quran Se) Aur Bahutaro ko Hidayat farmata hai aur Gumraah unhe karta hai jo behukm hai”
(Al Quran, Para 01, Surah Al Bakra, Ayat : 26)
pata chala k Quran padhke bhi log gumraah honge aur Farmaan E Nabi صلى الله عليه و آله وسلم bhi hai jo Ibn Katir ne likha Hai K Mujhe Meri Ummat Pe Quran Ka Bhi Khatra hai chunki Iske Padhane waale Munafik bhi honge”
Yakinan Tum Mardoodo ne kisi munafik khawarij k dastar
khwan me bethke QURAN padha hai tumhe NAARI ilm mila hai NOORIE ilm nahi mila Tum Kis Mooh Se Bukhari kaa naam lete ho jabki Dur Dur tak Imam Bukhari Rahimullah k Mazhab aur Aqaid pe nahi ho tumko to ab tak Bukhari ki hawa bhi nahi lagi hai bas naam chori kar rakh liya Ahle hadees khauf karo Kis Kharjio ki Muhabbat me mare ho kya tumhare kaam aaynge ? Ya Wo Rehmat e AALAM صلى الله عليه و آله وسلم ki jaat e Aqdas besharmo jinse Shafat ki Ummid rakhte ho unki shaan e Aqdas me hi hai nukta chin karte ho SHARM nahi aati kis mooh se jaaoge baroze mehshar ? Thande dimag se sochna jarur.
Agar Koi Haq ki niyat se thande dimag se ye padhle to mujhe Rabbe Qadir Se Ummid Hai k wo haq ko samajh lega aur sahi raah pe aajayga.
ALLAH UMMAT E MUSLIMA KO TUMHARE MAKR FAREB JAAL SAAZI SE MEHFOOZ FARMAAYE. AAMEEN

Post Credit Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Remembrance at your prayer

26 comments:

  1. Bhai Sahih Albhukhari ki hadis number 4855 ki b tashree kar dayn... Jis ka mahfoom ya ha k aik bar aik shaks ny Hazrat Aisha R.A sy poucha kya Ap S.A.W ny Allah ko dakha ha us par Hazrat Aisha R.A ny farmaya ya tum ny ny bat kar k mery rongty khary kar diyay, Ap R.A ny farmaya jo jo shaks tum sy ya 3 batyn kahy to wo jhoota ha. Hazrat Aisha R.A ny jo 3 batyn bayan ki ha or wo ya hain...
    1- jis ny kaha k Ap S.A.W ny Allah ko dakha ha wo jhoota ha..
    2- jis ny kaha k Ap S.A.W ko pata ha k kal kya ho ga wo jhoota ha
    3- jis ny kaha k Ap S.A.W ny deen pohanchany ma koi bat chupai wo jhoota ha...
    Reference k liyay Sahih Bukhari Hadis number 4855 dakho.. Jazak Allah khair

    ReplyDelete
    Replies
    1. http://786sho.blogspot.in/2015/05/nabi-ne-meraj-ki-raat-allah-ko-dekha.html Ispe hai

      Delete
    2. jis kisi ko aiteraaz hai ke ALLAH tala ka Rasool ka aamna saamna to woh Taif ki Dua padhein pata chaljaye ga
      ke sarkar saws ALLAH ko kis ka waasta derahe hain







      Delete
    3. Beshak jhoota hai aur jo Deen me nayi baat ghadta hai gulu karta hai wo lanati hai ... Aur jo samajhkar bhi nahi samajh paata wo Munafiq hai ... Apne mathlab ke liye Deen ke naam pe gumrahi na baato beshak bahuth bura anjaam hai...

      Delete
  2. Bhai wo beishq e Muhammad waala sher correct kardo

    ReplyDelete
  3. BE ISHQ E MUHAMMAD صلى الله عليه و آله وسلم PADHTE HAI JO BUKHARI,
    AATA HAI BUKHAR UNHE AATI NAHI BUKHARI

    ReplyDelete
  4. Tafseer ibn katheer
    Tafseer ibn jareer ka bi matliya kiya kare janaaaab

    ReplyDelete
  5. Tafseer ibn katheer
    Tafseer ibn jareer ka bi matliya kiya kare janaaaab

    ReplyDelete
  6. kab sudhru ge tum log ..??kab tak lado ge aapas me?? ap ne wo aayat nahi pesh ki jis ka tarjama haI ki AY MUSLIMS AAPAS ME FIRKA FIRKA NA HO JANA OR ALLAH KI RASHI MAJBUTI SE PAKAD LO. bhai ap jo kr rahe hai wo thik nahi yaar kam se kam mojuda halaat dekhkr to sudhr jao aaj puri duniya me hum Ruswa ho rahe hai ...or is ruswai ke jimmedar hum khud hai...mera bhai ap social media ka sahi istemal kre is ummat ko jodne ka kaam kare tod ne ka nahi ....allah hidayat de aameen

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
    2. Kya Quran ko samjhna aasan hai?

      Agar Quran ko samjhna itna hi aasan hota jitna yeh wahabi bolte hai to Quran ki yeh ayat KA Kya matlab hoga

      Surah 21 ayat 7
      Ae logo ilm walo se pucho agar tumhe ilm na ho

      Yaha khud Quran keh raha hai ilm walo se pucho aur tum kehte ho khud hi samjho ab kiski baat maane Quran ki ya wahabi ki

      Ilm walo se puchne KA maqsad Kya hai

      Surah 2 ayat 26
      Allah bahutro ko is (Quran) se gumrah karta hai aur bahutro ko Hidayat farmata hai aur is (Quran) se unhe gumrah karta hai jo behukm hai

      Yaha to Allah subhana farma rahe hai ki Quran padhkar kuch log gumrah ho jayenge aur kuch Hidayat payenge agar Quran samjhna itna aasan hota to yeh ayat kyun nazil hoti



      Surah Al Imran ayat 7
      Wahi hai jisne tum par yeh kitab utari iski (Quran) ki kuch ayate saaf maana rakhti hai woh kitab ki asal hai aur dusri woh hai Jin ke maana me istabah hai woh Jin ke dilo me kaji hai woh istebah wali ke piche padte hai gumrahi chahne aur uska pehlu dhundhne ko aur uska thiq pehlu Allah hi ko maloom hai aur pukhta ilm wale kehte hai hum is par imaan laye sab hamare rab ke pass se hai aur nasihat Nahi maante magar aqal wale

      Upar ayat me saaf likha hai kuch ayate saaf wajeh (clear) meaning wali hai aur kuch ayate istebah (jiska meaning clear Nahi hai/matlab chupa hua hota hai) hai. Ab kaise pata chalega kaunsi ayat muhakam hai aur kaunsi mutashabehat hai bagair ilm ke to log kaise samjhenge


      Hadees 01 :
      Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya
      "‏ مَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِغَيْرِ عِلْمٍ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ ‏"
      “Jo Shakhs ne Qur’an me (Baghair Ilm ke) apni Raa’i chalaayi Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
      Reference :
      (Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3204)

      Hadees 02 :
      Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya
      "‏ وَمَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِرَأْيِهِ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ
      “Jo Shakhs baghair Ilm ke Qur’an me Kalaam kare, Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
      Reference :
      (Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3205)

      Is hadees se saaf Zahir ho Gaya ki bagair ilm ke apni rai se Quran samjhne wala jahannami hai

      Ab kiski baat maane Quran aur hadees ki ya wahabi ki

      Delete
  7. laga raho larne me.
    Pakistan Zindabad
    Pak Armi Bhi Zindabad
    uske bad Me Zindabad

    ReplyDelete
  8. ha ha ha ha bachy rasool pak ka wo kol jo quraan me hy ke agr me janta hota ilam gyb to hasil kr leta boht se faidy or na pohachti mjy koi takleef oy jahil insaan bs kr hasa hasa kr pagel kro ge kia

    ReplyDelete
    Replies
    1. yeh kya likh rahe hain ke Rasool e pak ka kol jo quraan mein hai quraan mein to ALLAH ki ayetein hain

      Delete
    2. کہہ دو کہ میں اپنے فائدے اور نقصان کا کچھ بھی اختیار نہیں رکھتا مگر جو الله چاہے اور اگر میں غیب کی باتیں جانتا ہوتا تو بہت سے فائدے جمع کرلیتا اور مجھ کو کوئی تکلیف نہ پہنچتی۔ میں تو مومنوں کو ڈر اور خوشخبری سنانے والا ہوں ﴿۱۸۸﴾

      Delete
    3. sirf arbi nai quran ka tarjama b perha kro <3 unknown

      Delete
  9. JAHIL KI NISHANI YEHI HA APNY ILM PY GHAROOR KARAY.QURAN KI ROOH NA SAMJHY

    ReplyDelete
  10. SHO se meri gujarish hai ki wahabi jis jis Qur'an k aayat ko hamare khilaf tod marod kar pesh karte , har us ayat ka sahi mane aor tafseer btaye jaye.means yaha pe post kiye jaye.JazakALLAH khair

    ReplyDelete
  11. lolzzzzzzzzzzzz ab sun per per lo gooor se
    /
    کہہ دو کہ میں اپنے فائدے اور نقصان کا کچھ بھی اختیار نہیں رکھتا مگر جو الله چاہے اور اگر میں غیب کی باتیں جانتا ہوتا تو بہت سے فائدے جمع کرلیتا اور مجھ کو کوئی تکلیف نہ پہنچتی۔ میں تو مومنوں کو ڈر اور خوشخبری سنانے والا ہوں ﴿۱۸۸﴾

    ReplyDelete
  12. Bhai pehli bat mei jaha aap dawa krte hai ke wahabi kehte hai ke ilme gaib nahi to apko mai bata du ke yeh dawa sarasar jhut gai hai,,mai bahut se logo se mila woh yeh kehte hai ke ilme gaib jab Allah ata krta tha to ilme gaib milti thi,,yeh woh dawa nahi krte ke ilme gaib tha,,jhut na phailaye aap plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Tauseef ur rehman kehta hai ilm e ghaib nahi abb Uss wahabi ka kiya hukum hai ?

      Delete
  13. Bose dk apne aapko Sunni hanafi bolta hai toh isme shaitan ashraf ali thanvi kahaan se aaya

    ReplyDelete
    Replies
    1. ashraf ali thanvi ahl e sunnat wal jamat ke bahar hai uska alag firka h jise deoband kehte hain

      Delete
  14. Bhai upar jo article likhe ho ekdum khud ko hi gumrah karne ka article. Sab se bara Fir ka to tum sab khud ho. Zabardasti ka taweel karke quran ke sidha mana ko tor maror karta he.. Allah hidayat de tum jaise bairailwi maqtabe fikr ko..tum bhi bhai ho hamare lekin gumrah mat karo bhai. Plz.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sunni to rasta sidha dikhata hai lekin wahibi bhatka deta aur ek baat yaad rakhna mere bhai firka ek hi hai la ilaha illallah mohhamad ur rasoolallah sallallahu alaihi wasallam

      Delete
  15. Aap ko thorha bhi sense hai Aap Sallallahu Alaihi wa sallam Bashar hi the sabse pahle Kalma e shahada me yahi toh batate hain ki Aap Sallallahu Alaihi wa sallam Allah ke Rasool aur bande hai ...aur Aap se pahle guzre Nabi bhi wahi the aur mushrik aur Munafiq is baat se waqif the aur ye unhi ki sharr thi ki wo Nabi par sawal uthayein aur Nabi Sallallahu Alaihi wa sallam ne yahi kaha hamesha ki main Jo bolta hu wo Qual Qaule ilahi hai na ki unki koi apni bani banayi hui baat aur beshak har Nabi ko mujizah ata tha jisko dekh kar log ye bhi kahte ki jaadugar hai lekin iska mathlab na wo Jaadugar the aur na ye kaha Jaa sakta hai ki unko jaadu ka ilm tha Ilm e Ghaib toh Allah ke siwa aur kisi ko na tha pas jitna Allah Apne Nabiyon ko Dena chahe utna hi aur iska mathlab yahi hua ki Ghaib ka ilm bhi Sirf Allah hi bataye toh Nabiyon ko pata chalta na ki khudse pata chalta jo baat aap Hadees aur Quran ki ayaton me bata rahe ho wo bhi yahi kah rahi hain ... Phir usme wahabi paunjabi bolke kyun gol mol ghuma rahe ho aur kya wahabi Qur'an aur hadees Hamare Nabi SAW se humko mili na ki kisi Aala Hazrath se na wahabi se ... Apne mathlab ke liye ek dusre pe ungli uthate rahoge taaki aapka so called multi billion business chalta rahe ood batti agar batti phool chadar nariyal pe kamake aish karna band na ho dhaaga choodi palite fatiha niyaz mannathon ke naam pe kha kha kar dakare maarne ke liye ...

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers