Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 31 March 2015

,
سم الله الرحمن الرحيم


♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Wahabi Gatar Gand Kaum Ki Jahalat Ka Ilmi Zaija
Jaisa k aap sab jante hai Jamat e wahabia har wakt ek hi sawal ko alag alag andaaz me karti hai jaise barsati mendak mausaam dekha us hisab se awaaze nikalna shuru. Ab ki baar
“Wrong Number - Film PK k Dialogue ko base bana ke aitraaz kiya gaya”
Aamir Acter k ladko ko Ahle Sunnat Wa Jamaat K Sher Ka Jawab
Aamir k ladke uski tarah hi wrong Number hai khair follower jo hai uske to inki soch bhi uske tarah hi hogi na nach gaane waale k dimag jaise uske followers bhi hai jinke dimaag me bas akali ghoda hai Shariat ki Istelah nahi.
“AGAR BARELVI AHLE SUNNAT HAI TO YE SAB AMAL SUNNAT SE SAABIT KARDE”
1) 3ra Manana, 11 vi Manana, 40 Wa Manana Sunnat Se Saabit Kardo.
2) Kabro Pe Chadar Phool Chadana Sunnat Se saabit kardo.
3) Teesri Eid Milad Sunnat Se saabit kardo.
4) Juma ki namaz k baad salato salam Sunnat Se saabit kardo
5) kabro par azaan dena Sunnat se saabit karde
6) Azaan se phle salat o salam Padhna Sunnat Se Saabit karde
7) Music k saath naat qawwali Sunnat Se saabit karde fiqh e hanfi se biddat saabit karde …
Ye aitraaz fakat 7 line ka hai par har sawal ka ek khud unwaan hai sawal jitna chota jawab bada hai agar samajhdaar ho jo shariat k bunyaadi usool se acchi tarah se wakif ho Istelah e Shariat jaanta ho uske liye in sawal ka jawab aasan hai par awam shariat k usool se wakif nahi isliye unhe is tarah k message karke wahabi gumraah karte hai.
Khair Aamir k pujario followers ne ye aitraaz karke aisa mehsoos kiya hai k bahot bada unhone pahad tod diya hai haalanki har baar In masail me MUNAZRE Se haar k bhage hai wahabi magar SHAITAN k Muballig hai har baar makar o fareb kaari karte hai.
Iske Pahle k Hum Jawabat de pehle Kuch Usool Hum Bayan karde taaki ye pata chala k ye kaum e wahabia ka ilm e Din se dur dur tak lena nahi hai aise kore kagaaz hai ye k bas sawal karke khush hojate hai wahabi aur nakis akl k wahabi khush fehmi me jeete hai goya soch rhe ho k humne bahot bada kilaa fateh kiya. Sawal Hai ye tamam Amal ko Sunnat E Nabvi Se Saabit kardo jo upar kiye gaye hai ab bahot chota sa sawal kaum e wahabiya se hamara
“Shariat me wo kaunsa usool hai k koi kaam agar sunnat se saabit na ho to kaam karna biddat o haraam hai ya nazaiz hai ?”
ye usoool bayan kare taaki aapki ilmi salahiyat bhi kaum ko pata chale apne dimag k usool puri kaum par thopne lage ho.
Note  : Usool AIMMA FUKAHA k kitabo se laaye apne khud sakhta Tafseer bil rai ya khud sakhta Shara e Hadees na kare warna laath marke side kardenge kyuki aapki soch hamare liye huzzat nahi k aap jo kahe wo maan liya jayga AIMMA FUKAHA ne kya kaha hai wo maana jayga.

“TUM FARMAO LAO APNE GAWAH, JO GAWAHI DE K ALLAH NE ISE HARAM KIYA” (Surah Anaam Ayat 150)
ab wahabio ko chahye k jis cheez ko wo haram kehte hai unhe dalil deni chahye k kaha likha hai 11vi, 3ra 40wa Manana ya dusre kaam haraam hai ?
To ye wahabio k jimme hai k wo dalil de iske haraam hone ki dalil laaye.
1) 3ra Manana, 11 vi Manana, 40 Wa Manana Sunnat Se Saabit Kardo.
Ans) ye Tamam chiz ka talluk Isaal e sawab se hai jiski asal Shariat me mauzood hai.
Isal e Sawab karna MUSTAHAB amal hai kiya to sawab nahi karne pe gunaah nahi”
isko hi Sawab bakshna bhi kehte hai magar buzurgo k liye Sawab Bakshna kehna Munasib nahi “SAWAB NAZR” karna kahna adab k zyada karib hai.
Imam Ahmad Raza Aala Hazrat رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه
“Huzoor E Akdas khwaah Nabi ya Wali ko sawab bakshna kehna Beadabi hai bakshna bade ki taraf se chote ko hota hai balki nazr karna ya hadiya (tohfa) kahen ”
(Fatawa E Razviya vol : 26, Pg : 609)
Isaal e Sawab Ki Asl Hadees e Paak Se Hai
Umme Saad k Liye KUN’WA (WALL)
Hadees 01 :
Hazrat Saad Bin Ubada رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  arz karte hai YA RASOOL ALLAH meri Maa Wisal Kar gayi, Mai unki taraf se sadka karna chahta hu konsa sadka afzal rahega, Sarkar  ne farmaya PAANI, Chunance unhone ek KUN’WA (Wall) khudwaya aur kaha ‘ هَذِهِ لأُمِّ سَعْدٍ‏ ’ yaani Ye Umme Saad K liye
References :
(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Kitab 09 : Al Zakat, Baab 561 : Paani Pahuchane K Fazail, Pg : 180, Hadees : 1681)
(Mishkat Al Masabih Vol : 01, Pg : 362, Hadees : 1912)
(Imam Munzir ne At Targhib Wa Tarhib Vol : 02, Pg : 41, Hadees : 1424)

yehi rivayat Imam Nasai ne kuch yu likhi hai

Hadees 02 :
“Hazrat Sa’d Bin Ubaada رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Fawt Ho Gayi. Unhone Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ !
Meri Waalida Fawt Ho Gayi Hain, Kya Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n ? Aap Ne Farmaya : Ha’n Unhone Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega? Aap Ne Farmaya : Paani Pilaana.
(To Unhone Aik Kuwa’n Kharid Kar Musalmanon Ke Liye Waqf Kar Diya) Phir Yah Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Kee Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha).”
References :
(Imam Nasai , Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 255, Kitab No 30 - Kitab Al Wasaya, Baab No 9 :Zikreel Ektelafi Ala Sufyan, Hadees : 2666)
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra Vol : 04, pg : 112, Hadees : 6491)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05, Pg : 284, Hadees : 22512)
(Imam Tabrani Majmaul Kabir Vol : 06, Pg : 20, 5379)

Hadees e paak se wajeh hua k Hazrat Saad bin Ubada Radi Allaho anho ne apni walida k liye kuunwa khudwa k paani k jariye unke liye sawab pesh e khidmat kiya ussi tarah hum Ahle Sunnah Khane Peene ki chiz k jariye faut shuda ko sawab pesh karte hai ye kaam biddat kaise hua ??  
Note : aap Isaal e sawab jab dil chahe kar sakte hai isme wakt ki koi kaid nhi hai aap saal bhi kare ya saal me ek baar bhi kare koi harz nahi hai ye baat ka khayal rakhe wahabi 10 3ra 40va k lafz bol bol ke awaam ko gumraahiyat me daalne ki koshish karte hai halanki Ahle Sunnat k nazdik aap jab sahulat wo Isaal e sawab kar sakte hai.
ye ek aur hadees mulahiza kare

Hadees 03 :
“Hazrat Abdullah Bin رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Se Riwayat Hai Ki Aik Shakhs Ne Bargah-E-Risalat Me Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ !
Meri Waalida Fawt Ho Chuki Hai Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Doo’n To Kya Woh Use Koi Nafa Dega ?
Aap ﷺ Ne Farmaya : Ha’n ! Us Ne Arz Kiya :
Mere Paas Aik Baag (garden) Hai Aap Gawaah Rahein Mein Ne Yah Baag Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Diya.”
References :
(Sunan Tirmizi, Vol : 02, Pg : 56, Kitab Az Zakat, Baab No 33, Hadees : 669)
“Imam Tirmidhi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hain :
Yah Hadith Hasan Hai Aur Ulama Ka Yahi Qaul Hai Woh Farmate Hain :
Mayyat Ko Sirf Sadqa Aur Duaa Pahunchti Hain.”
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 118, Kitab No 18 - Kitabal Wasaya, Hadees : 2882)
Note : Albani ne bhi Abu Dawood ki hadees ko sahi kaha hai.
(Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 252, kitab No 30 Kitab Al Wasaya, Baab No 07, Hadees : 3655)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 04, Pg : 110, Hadees : 6482)
pata chala k Isaal e sawab faut shuda ko sawab nafa pahuchane k liye har jaiz o halaal tarike se kiya jaa sakta hai wohi to ahle sunnat karte hai aur wahabi shirk biddat k fatwe maarte hai jara aankh ki bandh patti ko kholo.

3ra 10va 40va par kyu ? uski bhi daleel mulahiza ho par ek cheez ka khayal rakhe k ye kaam koi farz wazib nahi hai kiya to sawab na kiya to gunah nahi aur koi khas wakt bhi Isaal e Sawab k liye mukarrar nahi saal bhar me jo din chahe kare aur chahe to 3ra 10wa 40wa ya salana kare.
yaad rahe k iske mukhalifeen ko dalil laana hai k Fula fula din karne ki hadees me mumaniat hai warna ye na kahe k Nabi Alaihi Salam  ne nahi kiya Sahaba Rizwanullahi Azmain ne nahi kiya warna kasrat se hadees mauzood hai k Nabi E Karim ﷺ ne Peer k din roze rakhte the to kya baaki din roza rakhna shariat me mana hogaya.

Hadees 04 :
“Hazrat Sufyan RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ta’oos RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya :
Beshak Saat-07 Din Tak Murdon Ko Qabron Me Aazmaya Jaata Hai Is Liye Log In Dinon Me Un Kee Taraf Se Khaana Khilaane Ko Mustahab Samajhte They.”
رواه أبو نعيم وأحمد.
وقال السيوطي : إسناده صحيح وله حكم الرفع.
References :
(Imam Abu Nu’aym Hilyat-ul-Awliya’, Vol : 04 Pg :11)
(Suyuti Al-Dibaj Ala Sahih Muslim, Vol 02 Pg : 491, Hadees : 905)
(Suyuti As Sharh As-Sunan-un-Nasa’i, Vol : 04 Pg : 104)
(Noor Al-Din Al-Sanadi Hashiyah As-Sanadi Ala An-Nasa’i, Vol : 04 Pg : 103, Hadees -2060)
(Ibn Jawzi Sifat-us-Safwah, Vol : 02 , Pg : 289) Shah Abdul Aziz Muhaddis Dahelvi Alaihi Rehma ye bhi fikah e hanfi ki motebar shaksiyat hai le lo inki hi daleel ab
“Hadees Me Hai K Maut K Baad Murdey Ki Halaat Us Shaks Ki Tarah Hoti Hai Jo Paani Me Doob Raha or Kisi Ki Madad Ka Muntazir Ho Bas Uke Marne K Baad Sadka, Duaein, Fateha Uske liye Bahot Kar Amad Kaam Hai, Is Sabab Se Log Sal Tak Or Khususan Uski Maut se Le Kar 40 Din Tak Isi Qism K Kaamo k Zariya Uski Madad karne Ki Beinteha Koshish karte hai”
(Tafseer e Aziziya Parah Am, Surah Insheqaq Pg : 113)
Ab yaha murda k 40 din k period jo mushkilat me hote hai wo bhi saabit hua aur fikah e hanfi k buzurgo se hi saabit hua kab lagaoge inpe fatwa ??
Kisi wahabi ki maa ne dudh pilaya to jara himmat dikhake lagaye Shaikh Abdul Aziz Muhaddis Dahelvi pe fatwa jara dekhe hum bhi.
Aur ab zyada tabseera nahi bas ek nasihat jaake tumhare aaka angrezi ISMAIL DAHELVI ki kitab Sirat e Mustakeem ko padhlo ISAAL E SAWAB FATIHA Sab mil jayga tum wahabi padhte likhte kuch nhi bas sawal banane me hi zindagi khapa di hai tumne.
2) Kabro Pe Chadar Phool Chadana Sunnat Se saabit kardo.
Ans) Kabro pe Chadar chadana Phool Chadana ek mubah amal hai kiya to Sawab nahi na kiya to gunaah nahi.
humne hamara maukoof bhi bayan kar diya taaki koi ye na samjhe k ye amal koi farz waajib hai aur Aulia ki Kabr pe chadar isliye pesh ki jaati hai taaki imtiyaz hojaye k Sahibe Kabr koi aam Musalman nahi balki Allah ka wali hai.
Aala Hazrat Fazile Barelvi Rahimullah Farmate hai
"Mazaar Par Jab Chaadar Mojud Ho, Kharab Na Hui Ho Badalne Ki Haajat Nahi Tu Chaadar Charhana Fuzul He, Bulkey Jo Daam Is Me Sarf Karen, ALLAH Ke Wali Ko Sawab Nazr Karne Ke Liye Kisi Mohtaj Ko Den"
(Ahkaam e Shariyat Vol  pg : 42 by Ahkaam e shariat)
Aur Phool chadane k baare me bhi yehi akwaal hai k wo Allah ki hamd o sana bayan karta hai isliye usko kabr pe daala jaata hai jaise mashoor hadees e paak hai k 2 shaks ki kabr me Rasool E Karim Alaihi Salam ne Tazi Lakdi kabr me ghadi thi k jab tak gili rahegi hamd o sana karegi sahib e kabr ko rahat rahegi gunaahgaar hai to azab me kami aur aulia hai to darjaat buland honge.
3) Teesri Eid Milad Sunnat Se saabit kardo.
Ans ) wahabi ka aitraz ye hota hai eid bas 2  hai, tumne 3ri kaha se laayi ye wahabi ka ilmi sarmaya hai.
“Aye Allah Aye Hamare Rab Hum Par Aasmaan Se Dastar Khwaan Nazil Farmadey k (iske Utarne ka din) hmare liye EID Hojaye”
(Al Quran Surah Maida Ayat 114)
Dekhe Hazrat Esa Alaihi salam ki dua k jis din aasman se naemat utar jaye usko eid kehte hai to Jis Din Huzoor Alaihi Salam ki tashreef awari hui jo sabse badi naemat hai kya wo din eid nhi hosakta hai.

Hadees :
Hazrat Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool Allah Sal Allahu Alaihi Wassalam ne farmaya  “Beshak Yaum e Juma Eid ka Din Hai”
(Sahi ibn Khuzaima, Vol 03, Pg : 315, 318 Hadees : 2161, 2166)

Juma ko eid ka darja kyu mila ? kyuki Us Din Adam Alaihi Salam ki wiladat hui to wo din eid hogayi to Rasool Allah ki wiladat ko eid kaha gaya to kyu kar biddat hogayi ?? aur Eid e Milad koi aaj k ulema ne nahi izaad ki hai puri dunya me manayi jaati hai khud Devbandio k peer o murshid Haji Imdad ullah Makki ne puri kitab hi likhi hai “FAISALA HAFT E MASLA” Milad k jaiz par ghair mukallid k imam o peshwa ibn kathir ne kitab likhi uska naam hi hai “MAULUDOON NABI ” tumhe apne ghar ki khabar nahi hai khayr eid milad k jawaz pe itni kitabe hai jo aajke nhi phle k akabireen buzurgo ki hai jinko tum bhi maante ho kitab k wajan ko rakhde to wahabi dab k mar jaye.
ab aakhri baat bas k milad k haram o nazaiz hone k koi dalil lao hadees dikhao jisme saaf saaf likha hai k manana haraam hai ??  na la sake to akal k ghode na daudaye phir.
“TUM FARMAO LAO APNE GAWAH JO GAWAHI DE K ALLAH NE ISE HARAM KIYA” (Surah Anaam Ayat 150)
4) Juma ki namaz k baad salato salam Sunnat Se saabit kardo
Ans) Salato Salam padhna to beshak Quran Aur Hadees e Sahi se sabit hai ab tumhare dilo me kina hai aur bugz hai to hum zimmedar nahi
"Beshak Allah Aur Uske Farishte Darood Bhejte Hai Us Gaib Batane Waale Nabi Par, Aye Imaan Waalo Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo"
(Al Quran Surah Al Ahzaab Ayat : 56)
Allah Rabbul Izzat khud Salam bhejta hai apne Habib Par aur Farishte bhi aur Apne Bando ko bhi hukm deta hai to is lihaaj se Durood padhna to saabit hai aur Juma k eid durood ki fazilat bahot aayi hai mulahiza kare
“Hazart Aws Bin Aws رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :
Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai.Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Paaee Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi.
Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai
References :
(Sunan Abu Dawood Vol : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Pg : 443, Hadees : 1047)
(Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374)
(Imam Tabrani, Ma'jam Al Kabeer Vol:1 Pg: 216-217 Hadis: 589)
(Al Musannif Ibn e Abi Shaibah Vol 06, Book : As Salah Chapter : 795 Pg : 40,Hadis: 8789)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu'ah Jild : 1 pg : 445 Hadis: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu'ah Jild : 1 Pg : 345 Hadis: 1085)
(Musnad e Imam Ahmad Bin Hambal, Vol:26 Pg:84 Hadis: 16162)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma'ah Chapter : 105 Jild : 3 Pg : 353 Hadis: 5993)
To juma ko durood padhne bhi saabit hai ab tum wahabiya urf Aulad e aamir ko bura ye laga k itne saare log ek saath APNE AAKA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM par durood kyu padhte hai to jawab yehi hai k ALLAH k bando ne logo ko jama kiya aur log jo gaflat me the unhe bhi padhne me shamil kar liya taaki log bhi padhe aur sabko AAKA Sal Allahu Alaihi Wasalam par durood bhejne ki barkaat nasib ho jo har lihaj se jaiz hai, jo is amal ko galat maante hai unke jimme hai hum unhe  challenge de rhe hai k wo dalil laaye iske haraam o nazayaz hone ki ?
Ek sari hadees laa de jisme saaf alfaaz me mauzood ho k  Huzoor E Akram ﷺ ne farmaya ho is tarah se mujh  pe Durood na padhna ?

Ab tumhe tumhare ghar ki khabar nahi hai Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Alaihi Rehma apni kitab Akbarul Akhyar me likhte hai Pg : 624
Tarjuma : 02 Devbandi ne kiya hai  Maulana Subhan Mehmood Sahab aur Maulana Muhammad Fazil Devbandi kitab k aakhir me Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi dua karte hai aur likhte hai

“Aye Allah mera koi amal aisa nahi jisko mai teri bargaah me pesh karo jiske awez tu mujhe bakhs de mere har amal me kotahi hai siwaye ek amal k milaad e paak  me khada hoke Tere Mehboob ki bargaah me durood o salam padhta hu
Wakt ka Muhaddis is amal ko makbool maane ye tak kahe k khade hoke durood o salam padhna aur phir dua karna yakinan Bargahe Rabbul Izzat me makbool hai jisne puri zindagi khidmat e hadees me wakf kardi unko nahi samjha aaj k ye jaahil ladko wahabiya k nazdik shirk biddat. Hai himmat to lagaye fatwa Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi par.
5) kabro par azaan dena Sunnat se saabit karde
Ans) ye ahmakana sawal tumne izaad kiya hai sawal aisa hai jaise saare amal janab e kaum e wahabiya bina sunnat k karte hi nahi ?? kyu ?
agar yehi paimana hai tumhara,  k jo cheez Sunnat se saabit na ho wo galat nazaiz o haraam hai to bahot se kaam hai jo tum bhi karte ho sawab samajh k par sunnat se saabit nahi hai.
Quran e Paak par Jair o jabar lagana, Hadeeso ki classification karna usool e hadees ka izaad karna, Madaris kayam karna, 40 din k chille tableegi jamat nikalna, 40 days english Islamic Course karna, kitabe print karna, Imaam k liye mehraab banana, dars e nizami, sarf aur nauh ka ilm, ye tamam amal to shuruwat daur me nahi the phir sirf Kabr pe azan dena hi Biddat kyu hua ?? Halanki ye biddat e Hasna hai jispe azr hai karne pe sawab hai na karne pe gunaah nahi. Hadees mulahiza kare.
“Hazrat Jareer Bin Abdullah  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ  Ne Farmaya :
Jo Shakhs Islam Me Kisi Acche Tarike Nek Kaam Ki Buniyad Daale To Us Ke Liye Us Ke Liye Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Sawaab Milta Hai Aur Jo Log Us Ke Baad Us Par Amal Karege Us Ka Sawaab Bhi Hai.
Baghair Is Ke Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee Kee Jaaye Aur Jis Ne Islam Me Kisi Buri Baat Ki Ibtida Ki To Us Par Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Gunaah Hai Aur Jo Log Us Ke Baad Us Par Amal Karege Us Par Un Ka Gunaah Bhi Hai Baghair Is Ke Ki Un Ke Gunaah Me Kuch Kamee Ho.”
References :
(Sahi Muslim Vol :  02, Pg : 508, Kitab No - 12 Kitab uz Zakat, Baab No : 20, Hadees : 1017)
(Sunan Nasai Vol : 03, Pg : 75, Kitab No 23 Kitabuz Zakat, Hadees : 2554)
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Pg : 74, Kitab ul Mukaddama, Hadees 203)
(Musnad E Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 04 Pg : 358)
(Sunan Darimi Vol :  01 Pg : 140, Hadees : 512)
Ab azaan se siwaye shaitan k, kisi ko takleef nahi hoti chunanche yakinan wo shaitan k ham saathi hi hai jinhe Azaan se nafrat ho aur Azan e kabr ko biddat kehte hai..
Hadees :
Hazrat Saeed Bin Mussayab  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k wo farmate mai ek janaze me Hazrat Abdullah ibn Umar  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  k saath sharik tha unhone ye dua farmaya
اللَّهُمَّ أَجِرْهَا مِنَ الشَّيْطَانِ وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ
Aye Allah Is Marhoom Ko Shaitan k Shar se Aur kabr k Azaab Se nizaad ata farma’
References :   
(Sunan Majah Vol 02, Kitabul Janaiz, Hadees : 1620)

Muhaddis Imam Tirmizi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne apni kitab Nawadirul Usool me Hazrat Sufyan رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Anho se rivayat karte hai
“Jab Murde Se Sawal Hota Hai Ki Tera Rab Kaun Hai ?
To Shaitan Us Par Zahir Hota Hai aur Apni Taraf Ishara Karta Hai Yaani Mai Tera Rab Hu. Isliye Hukm Aaya Ki Mayyat K Liye Jawab Sabit Kadam Rehne Ki Dua Kare”  
Is Hadees Se wajah hua k Shaitan Qabr par bhi aata hai bahkane k liye aur isliye Qabr pe azaan di jaati hai k shaitan bhag jaaye aur bhi bahot se wajuhat hai iski.

“Jab Shaitan Azan ki awaaj sunta hai Bhagta hua Rauha pahuch jaata hai. Raavi farmate hai maine RAUHA k baare me pucha farmaya Madina e Munawara se 36 Miles Dur Hai RAUHA
(Sahi Muslim, Vol 01 , Kitab No 04 Kitab Us Salat, Pg 204, Hadees - 388)
kuch wahabi aitraaz karte hai k Azaan to namaz k liye hoti hai phr Kabr me konsi namaz hai ye kuch nahi wahabi ki la ilmi hai Azaan sirf Namaz k liye balki bahot se kaam me di jaati hai bachha paida ho uske Right Ear (kaan) me azaan di jaati hai, Toofan Bahot zyada barish mushkilat padne par Azaan di jaati hai kya yaha namaz hai ?
6) Azaan se phle salat o salam Padhna Sunnat Se Saabit karde ?
Ans) Durood e paak padhne ki fazilat kisi se chupi nahi aur koi wakt iske padhne k mukarrar bhi nahi siwaye kuch wakt ko chod jaise juma k khutbe me, napak jagah pe bethe wakt etc. baaki jab chahe Durood padhe ye khair o barkat waala amal hai sirf is baat se Durood e Mubaraka par ungli uthana k Azaan se pehle Durood kaha se sabit hai Nabine nahi padhne ka hukm diya Sahaba ne nahi padha ye fakat la ilm insaan ka sawal hai phir wahabi koi ek aisi hadees pesh kare k Azaan se pehle Durood padhna Nazaiz o Haram hai.  
Imam Jalaludin Suyuti As Shafai Rahmatullah Alaih ne apni kitab Al Jamee Sagheer me hadees e paak likhte hai Rasool Allah ne farmaya
“Jab Bhi Koi Nek Amal Kare Allah ki Hamd O Sana Kare aur Mujhpe Durood Bheje”
Kya Azaan Nek Amal Nahi hai ? Yakinan hai phir agar Azan se kabl Durood padh liya agarche Sahaba se na saabit ho par isme kya nuksaan hai ?
Yaha wahabi Makkari karnge aur kahenge Biddat hai Gumraahi hai.
Jaisa k upar bayan karda hadees me saabit hai k Biddat E Hasana (Acchi Biddat) hai par wahabi Biddat ki mazammat waali hadees pesh karenge uska jawab bhi mulahiza kare.
Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Rahmatullah Alaih inhe Devbandi Gair Mukkalid Wahabi dono maante hai likhte hai
“Jo Biddat Usool Aur Kawa’ide Sunnat k Muafik Aur Uske Mutabik Kayas Ki Hui Hai (yaani Shariat Aur Sunnat Se Na Takrati Ho) Usko Biddat E Hasna Kehte Hai Aur Jo Iske Khilaf Ho Woh Biddat Gumrahi Kehlati Hai ”
(Ashatul Lamaat Sharhe Mishkaat Vol : 01, Pg : 130)
pata chala wo biddat gumrahi hai jo Sunnat se takrati ho aur Shariat k khilaf ho to wahabi jawab de iska k Azaan se pehle Durood padhna kis sunnat se takra raha hai ? Konsi Shariat pamaal hui is se ? Ek Aur Hadees Mulahiza kare
“Jab Koi kaum din me Biddat rayaz karti hai to uske Misl Ek Sunnat utha Li Jaati hai”
Refernces :
(Musnad Ahmad ibn Hambal  Jild : 04, Pg :105, Hadees : 17095)
(Imam Haythami ne Mazma ul Zawaid Vol : 01, Pg :  188)
(Imam Munziri  attargib Wattarhib Vol : 01, pg : 45 hadees : 83)
hadees e paak se wajeh hua k Biddat wo hoti hai jis se Sunnat mith jaaye azaan se konsi Sunnat mit ti hai muntazir e jawab jamat e wahabiya se agar nahi hai jawab to makkari farebkari chodo aur Sunni banjao. 7) Music k saath naat qawwali Sunnat Se saabit karde.
Ans) Sawal besharm wahabi aisa karte hai goya is tarah k amal hamare akabireen ne Farz wajib karar diya hai awaam ko gumraah karne k liye har mumkin koshish kaum e wahabia ne kar rakhi hai.
Music k saath Naat Qawwali padhna hamara yaha nazayaz o haraam hai padhna waala khud gunaahgaar hai is se hum bari e jimma hai hum khud khilaf hai jo is tarah karte hai wo uske jimmedar hai gunaahgaar honge jo karnge. Post Credit Shaikh Sher Ali Hanfi Keep Remembrance at your Prayers

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers